Search Hadith

Video of the week

Traffic

A visitor from Goias viewed 'Imaan ( faith)' 13 mins ago
A visitor from Peshawar viewed 'Family' 52 mins ago
A visitor from Al bahah viewed '✦ Hadith : Jo kuch duniya mein' 1 hr 43 mins ago
A visitor from Kuala lumpur viewed '✦ Hadith : Is dua ko raat ko pa' 1 hr 59 mins ago
A visitor from Singapore viewed 'ilm (Knowledge)' 2 hrs 20 mins ago
A visitor from Delhi viewed 'Hadith: Aisa mard jo apne Ghar' 2 hrs 27 mins ago
A visitor from Singapore viewed 'Waseela' 2 hrs 28 mins ago
A visitor from Riyadh viewed 'Hadith: Sabse Afzal namaz Juma' 3 hrs 3 mins ago
A visitor from Karimnagar viewed 'Namaz ke baad ke Azkar in Roman' 3 hrs 24 mins ago
A visitor from Bengaluru viewed 'Hadith : Panch (5) ko panch (5)' 3 hrs 34 mins ago

Total Pageviews

4,427,800

Category

Search Hadith

Sunday, July 30, 2023

Sawal 1432 : Inmein se jannat mein sabse pahle kaunsi jamat dakhil hogi ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1432 ❗ 

 


 Sawal 1432 : Inmein se jannat mein sabse pahle kaunsi jamat dakhil hogi ?


A. Muhajireen

B. Ansaar

C. Badr Ke Shaheed

D. Uhad ke Shaheed

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab A. Muhajireen* 💐 

----------

✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu bayan krte hain ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya aapko meri ummat ki us jamaat ke bare mai ilm hai jo sab se pahle jannat mai dakhil hogi ? Maine kaha Allah aur uske Rasool hi behtar jante hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Wo jamat Muhajireen ki hai, Wo roz e Qayamat jannat ke darwaze par aakar darwaza kholne ka mutalba karenge, Darban unse puchega, Kya Tumhara hisab-o kitab ho chuka hai ? Wo kahenge  kis mozu par hamse hisab kitab liya jayega ? Allah Subhanahu ke raaste mein marte dam tak hamari Talwarein hamare kandhon par rahein, so unke liye darwaza khol diya jayega aur (wo jannat mai dakhil ho kar) aam logon ke dakhile se  chalees (40) saal pahle wo andar aaram bhi kr chuke honge

Al Silsila tus Sahiha 1433 | 3923



No comments:

Post a Comment