Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, July 30, 2023

Sawal 1445 : Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kis waqt apne Rizq ke liye dua farmaya karte they ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1445❗ 

 




Sawal 1445 : Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kis  waqt apne Rizq ke liye dua farmaya karte they ?


A. Safar se wapsi ke waqt

B. Namaz mein do sazdo ke darmiyan

C. Baarish ke waqt 

D. Sajda e tilawat mein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab B. Namaz mein do sazdo ke darmiyan* 💐

----------------

Abdullah ibn Abbas radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Do sazdo ke darmiyan ye dua parhtey they

Allahummaghfirli, waArhamni , waAafini, WaAhdini, waArzuqni

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي


(Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Aafiyat de aur mujhe Hidayat de aur mujhe Rizq ata farma)

Sunan Abu Dawud 850-Hasan


AL Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah  sallallahu alaihi wasallam ke ruku , Sazda , ruku se sir uthaney ke baad ka waqt aur dono Sazdo ke darmiyan baithney ka waqt Takriban barabar hota tha

Sahih Bukhari 801

No comments:

Post a Comment