❗ Only-Quran-Hadith Quiz -1437 ❗
Sawal 1437: Namaz mein Ek baar Rafa yadein karne par kitni Nekiya milti hain (Rafaydein yani Haatho ko kaano ya kaandho tak uthana) ?*
A. 7 Nekiyan
B. 10 nekiyan
C. 27 Nekiyan
D. 50 Nekiyan
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahih Jawab B. 10 nekiyan* 💐
---------------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Aadmi Namaz mein (Apne haath se) jo ishara karta hai (Yani Rafayadein karta hai), to is ke badle 10 Nekiya likhi jati hain, har ungli ke badle Ek Neki
Al-Silsila-Sahiha 788
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam jab (Namaz ke shuru mein) Allahu Akbar kahte to apne dono Haath buland karte yaha tak ki Apne kaano ke barabar le jate , aur jab Ruku karte to us se pahle phir se apne dono haath buland karte yaha tak ki Apne kaano ke barabar le jate , aur jab ruku se apna sir uthate Sami Allahu Liman Hamidah kahte aur phir se aisa hi karte ( Yani Apne dono haath apne kaano tak Uthate)
Sahih Muslim 865
No comments:
Post a Comment