Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, July 30, 2023

Sawal : Fateh Makka ke din Jab Rasool-Allah ﷺ Makka mein dakhil huye to us waqt aapki oontni Par Aapke peeche kaun baitha hua tha ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1423 ❗


Sawal 1423 :  Fateh Makka ke din Jab Rasool-Allah ﷺ Makka mein dakhil huye to us waqt aapki oontni Par Aapke peeche kaun baitha hua tha ?


A. Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu

B. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

C. Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu

D. Inmein se koi nahi 


✅ *Sahi Jawab A :  Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu* 💐

-------------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Fatah makaka ke mauqa par makkah ke bahri ilaqey se apni sawari par tashreef laaye. Osama Radi Allahu Anhu ko aap ne apni sawari par peechay bitha diya tha aur aap ke saath Bilal Radi Allahu Anhu aur Usmaan Bin Talha Radi Allahu Anhu bhi they jo kaaba shareef ki deikh bhaal karte they An-hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne Masjid Al-Haram mein apni sawari bitha di aur Usmaan Radi Allahu Anhu se kaha ke Bait Allah (Kaba sharif) ki Chabiyan (keys) laayein. unhon ne kaaba ka darwaaza khol diya aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam andar dakhil ho gaye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Osama , bilal aur usmaan Radi Allahu Anhuma bhi they

Sahi Bukhari : 2988

No comments:

Post a Comment