Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, July 30, 2023

Sawal 1457 : : Ek Gareeb Musalman Daulatman Musalman se kitne saal pahle jannat mein jayega ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1457 ❗ 

 




Sawal 1457 : : Ek Gareeb Musalman Daulatman Musalman se kitne saal pahle jannat mein jayega ?


A. 70 Saal

B. 700 Saal

C. 50 Saal

D. 500 Saal

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab D. 500 Saal* 💐

----------------

★ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne  farmaya Gareeb momeen daulatmand momeen se Aadha din yani 500 Saal pahle jannat mein jayega 

Sunan Ibn Maja 4122 -Sahih


★ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne  farmaya Main jannat ke darwaze par khada hua to dekha waha Aksar dakhil hone wale Mohtaj aur mehnat mazduri karne wale log they 

aur maaldar log ek taraf rok diye gaye hain unka Hisab lena baqi hai aur jo log dozakhi they wo to dozakh ke liye bhej diye gaye hai

Sahih Bukhari - 6547









Sawal 1456 : Jo Bhi Masjid mein ilm sikhne ya Sikhane ke liye jata hai usko kitna sawab milta hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1456 ❗ 

 


 Sawal 1456 : Jo Bhi Masjid mein ilm sikhne ya Sikhane ke liye jata hai usko kitna sawab milta hai ?


A. Ek Hajj ka

B. Ek Umrah ka

C. Ek Raat Qayam ka

D. Ek Shaheed ka

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab A Ek Hajj ka* 💐

-------

 قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ﷺ من غدا إلى مسجدٍ لا يريدُ إلا أن يتعلَّمَ خيرًا أو يُعلِّمَه ، كان له كأجرِ حاجٍّ ، تامًّا حجَّتُه

-------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo bhi masjid mein is niyat se jata hai ki waha jakar ilm sikhe ya sikhaye to usko ek Kamil hajj ka sawab milta hai

At-tabrani 8/111, Sahih Al targeeb 55 -Sahih







Sawal 1455 : Inmein se kaunsi cheez ke instemal karne par Allah Subhanahu Razi hota hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1455 ❗ 

 




 Sawal 1455 : Inmein se kaunsi cheez ke instemal karne par Allah Subhanahu Razi hota hai ?


A. Surma

B. Miswak

C. Zamzam

D. Kalonji

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab B Miswak* 💐

-------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum miswak ka istemal lazmi taur par karo , kyunki ye munh ko paak karne wala aur Rabb ko Razi karne wala hai 

Masnad Ahmed 552 -Sahih



Sawal 1454 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunse Nabee ki tarah dikhte hain ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1454❗ 

 




Sawal 1454 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunse Nabee ki tarah dikhte hain ?


A. Musa Alaihi Salam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Eesa Alaihi Salam

D. Idris Alaihi Salam

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab B: Ibrahim Alaihi salam* 💐

----------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Mairaj ki raat ka waqya bayan karte huye farmaya  ki maine Musa Alaihi salam ko dekha wo ek duble patle seedhe walo wale aadmi hain aur maine Eesa Alaihi salam ko bhi dekha wo mayana qad aur nihayat surkh aur safed Rang wale they aise taro taza aur paak saaf ki aisa lagta tha abhi gusl khane se  nikle hain aur Main

Ibrahim Alaihi salam se unki Aulad mein sabse zyada mushabah hu yani unki tarah dikhta hu

Sahih Bukhari 3394




Sawal 1453 : inmein se kaunsa azkar jisko kahne par uske liye Jannat mein khajur ka ek darakht laga diya jata hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1453 ❗ 


 

Sawal 1453 : inmein se kaunsa azkar jisko kahne par uske liye Jannat mein khajur ka ek darakht laga diya jata hai ?


A. Astagfirullah Wa Atubu ilaih

B. Alhamdulillahi Kathira 

C. Alhamdulillahi Rabbil Aalameen

D. Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi 

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahih Jawab D. Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi* 💐

----------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs ye kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darakht laga diya jata hai Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi (yani Allah ki zaat paak hai ,  wo bada azmat wala hai aur usee ki hamd hai) 

Sahih Ibn Hibban  834-Hasan

Sawal 1452 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Dozakh mein dekha tha ki wahan zyadatar Autrtein thi wo kaun thi ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1452 ❗ 

 




 Sawal 1452 :  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne Dozakh mein dekha tha ki wahan zyadatar Autrtein thi wo kaun thi ?


A. Shohar ki Nashukri karne wali

B. Maaldar Aurtein

C. Behayee ko phailane wali

D. Rishtedaro mein ladayee lagane wali

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)




✅ *Sahih Jawab A : Shohar ki Nashukri karne wali* 💐

------------------

RasoolAllah  Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Mujhe Dozakh dikhlayi gayi to usmein zyadatar Aurtein thi jo Kufr karti hain pucha gaya Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kya Wo Allah Subhanahu kesaath Kufr karti hain to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki wo Shohar ki Nashukri karti hain aur Ehsaan ki Nashukri karti hain agar tum Umar bhar unmein se kisi ke sath Ehsaan karte raho phir tumhari taraf se kabhi koi inke khayal mein Nagawaari ki baat ho jaye to fauran kah uthegi ki Maine kabhi bhi tujh se koi Bhalayi nahi dekhi 

Sahih Bukhari-29

Sawal 1451 : Allah Subhanhu ke Asma ul Husna mein se ek naam Al-Quddus bhi hai, Al-Quddus kya matlab hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1451 ❗ 

 




Sawal 1451 : Allah Subhanhu ke Asma ul Husna mein se ek naam Al-Quddus bhi hai, Al-Quddus kya matlab  hai ?


A. Salamati dene wala

B. Haqeeqi Baadshah

C. Sabse Zyada Paak

D. Farishto ka Malik

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab C. Sabse Zyada Paak* 💐

-------------

Allah Subhanahu ne Quran mein farmaya 


*هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْمَلِكُ الْقُدُّوسُ السَّلَامُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ  سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ*

-------------

Al Quran : Wo hi Allah hai uske siwa koi mabud nahi , Wo Al-Malik yani Haqeeqi Baadshah , Al-Quddus  Sabse zyada Paak,  As-Salam ani Salamati dene wala ,  Al-Mu’min  Aman dene wala, Al-Muhaymin  Nigehbaan,  Al-Azeez  Sab par Ghalib, Al-Jabbar  Sabse zabardast, Al-Mutakabbir  Badhayee wala

Allah paak hai unse jo uske shareek thahrate hain

Surah Al Hashr 59:24

Sawal 1450: Jab insan fajar ke liye uthta hai to Wuzu ke waqt shaitan ko dur bhagane ke liye kya karna chahiye ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1450 ❗ 

 




Sawal 1450: Jab insan fajar ke liye uthta hai to Wuzu ke waqt shaitan ko dur bhagane ke liye kya karna chahiye ?


A. 3 baar kulli

B. 3 baar munh dhona 

C. 6 baar kulli 

D. 3 baar naak saaf karna

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab D. 3 baar naak saaf karna* 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya jab koi shaksh so kar uthey aur phir wuzu karey to 3 baar naak saaf karey kyunki shaitan raat bhar uski naak ke nathney par baitha rahta hai

(jis se insan ko susti aati rahti hai , naak saaf karne se wo susti dur ho jati hai)

Sahih Bukhari 3295




Sawal 1449 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko Do cheezo mein se ek par ikhtiyar diya tha jismein se Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Shafaat ko chuna , wo dusri cheez kya thi ?*

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1449 ❗ 

 




 Sawal 1449 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ko Do cheezo mein se ek par ikhtiyar diya tha jismein se Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Shafaat ko chuna , wo dusri cheez kya thi ?*


A. Ummat ko ek Saath Halaq na kiya jana

B. Aadhi Ummat ko jannat mein dakhil karna

C. Hauz e Kauther 

D. puri Ummat ko jannat mein dakhil karna

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab B. Aadhi Ummat ko jannat mein dakhil karna* 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Mere Rabb ki taraf se ek aane wale mere paas aaya aur kaha ki Allah ne aap ko do cheezon ke darmiyan 

ikhtiyar diya hai ki ya toh Aap ki aadhi Ummat ko jannat mein dakhil kar diya jaye ya phir Aap ko shafaat de di jaye toh main ne shafaat ko ikhtiyar kiya

aur yeh un sab ke liye hogi jo is haal mein marr jaye ki Allah ke saath kisi ko shareeq nahi karta ho.

Jamia Tirmidhi : 2441-Sahih

Sawal 1448 : Wo kaunsa Jaanwar hai jo shaitan ko dekh kar chillata hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1448 ❗ 

 




Sawal 1448 : Wo kaunsa Jaanwar hai jo shaitan ko dekh kar chillata hai ?


A. Kutta

B. Murga

C. Gadha

D. Khinzir

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab A & C : Kutta aur Gadha* 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya jab tum raat ko kutto ka bhonkna aur gadho ki aawaze suno to Allah Subhanahu ki panah talab karo kyunki ye wo kuch dekhte hain jo tum nahi dekhte ho
Sunana Abu Dawud : 5103 -Sahih


Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya jab Gadhe ki aawaz suno to Allah ki panah talab kiya karo kyunki usne Shaitan ko dekha hai  

Sahih Bukhari - 3303



Sawal 1447 : Quran ki wo kaunsi surah hai jiski ek hi Aayat mein lagatar 8 Asma ul husna yani Allah ke naam hain ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1447  ❗ 

 



 Sawal 1447 : Quran ki wo kaunsi surah hai jiski ek hi Aayat mein lagatar 8 Asma ul husna yani Allah ke naam hain ?


A. Surah Yaseen

B. Surah Ar-Rahman

C. Surah Al-Fath

D. Surah Al-Hashr

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih jawab D. Surah Al-Hashr* 💐

-------------

Allah Subhanahu ne Quran mein farmaya 


*هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْمَلِكُ الْقُدُّوسُ السَّلَامُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ  سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ*

-------------

Al Quran : Wo hi Allah hai uske siwa koi mabud nahi , Wo Al-Malik yani Haqeeqi Baadshah , Al-Quddus  Sabse zyada Paak,  As-Salam ani Salamati dene wala ,  Al-Mu’min  Aman dene wala, Al-Muhaymin  Nigehbaan,  Al-Azeez  Sab par Ghalib, Al-Jabbar  Sabse zabardast, Al-Mutakabbir  Badhayee wala

Allah paak hai unse jo uske shareek thahrate hain

Surah Al Hashr 59:24

Sawal 1446 : Wo kaunsa Jaanwar hai jo Farishte ko dekh kar bolta hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1446 ❗ 

 




Sawal 1446 : Wo kaunsa Jaanwar hai jo Farishte ko dekh kar bolta hai ?


A. Billi

B. Murga

C. Kawwa

D. Bakra

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab B. Murga* 💐

------------

 Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya jab Murge ki aawaz suno to Allah se uske Fazal ka  Sawal kiya karo kyunki usne Farishte ko dekha hai  

Sahih Bukhari - 3303

Sawal 1445 : Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kis waqt apne Rizq ke liye dua farmaya karte they ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1445❗ 

 




Sawal 1445 : Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kis  waqt apne Rizq ke liye dua farmaya karte they ?


A. Safar se wapsi ke waqt

B. Namaz mein do sazdo ke darmiyan

C. Baarish ke waqt 

D. Sajda e tilawat mein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab B. Namaz mein do sazdo ke darmiyan* 💐

----------------

Abdullah ibn Abbas radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Do sazdo ke darmiyan ye dua parhtey they

Allahummaghfirli, waArhamni , waAafini, WaAhdini, waArzuqni

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي


(Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Aafiyat de aur mujhe Hidayat de aur mujhe Rizq ata farma)

Sunan Abu Dawud 850-Hasan


AL Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah  sallallahu alaihi wasallam ke ruku , Sazda , ruku se sir uthaney ke baad ka waqt aur dono Sazdo ke darmiyan baithney ka waqt Takriban barabar hota tha

Sahih Bukhari 801

Sawal 1444 : Uthman Radi Allahu Anhu ne kiski dawat par Islam Qubul kiya ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1444 ❗ 

 



Sawal 1444 : Uthman Radi Allahu Anhu ne kiski dawat par Islam Qubul kiya ?


A. Zaid Radi Allahu Anhu

B. Abu Bakr  Radi Allahu Anhu

C. Ali Radi Allahu Anhu

D. Inmein se koi nahi 



✅ *Sahi Jawab B : Abu Bakr  Radi Allahu Anhu* 💐

---------

Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne jab Islam Qubul kar liya to Unhone RasoolAllaah Sallallaahu alahi wasallam ki taraf se logo ko deen di dawat dena bhi shuru farama diya aur unki dawat par 

Uthman bin Affan, Zubair bin Awwam , Aadul Rhaman bin Awf, Saan bin Abi waqas, Talha bin ubaidullah Radi Allahu Anhuma ne Deen ki dawat ko qubul kiya jab inlogo ne Aap ki taraf se

dawat Qubul kar li to Abu Bakr Radi Allahu Anhu in sabko lekar Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam  ke pass aaye un hone waha Islam Qubul kiya aur Namaz padhi

Seera Ibn Heesham - 251

Ar Rahiq Al makhtum - 109


Sawal 1443 : Inmein se kaun Shaitan hota hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1443 ❗ 

 




 Sawal 1443 : Inmein se kaun Shaitan hota hai ?


A. Kali Billi

B. Kala Kutta

C. Kala Saanp

D. Inmein se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab B. Kala Kutta* 💐

-----

Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Kala kutta Shaitan hota hai

Sahih Muslim 1137



Sawal 1442 : Inmein se Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke chacha zaad bhai kaun they ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1442❗ 

 


Sawal 1442 : Inmein se Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke chacha zaad bhai kaun they ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Uthman Radi Allahu Anhu

C. Ali Radi Allahu Anhu

D. Zaid Radi Allahu Anhu

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)




✅ *Sahi jawab  C  Ali Radi Allahu Anhu* 💐 

--------------

Ali Radi Allahu Anhu  Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke chacha Abu Talib bin Abdul Mutallib ke bete they 

Seerat Ibn Heesham - 247




Sawal 1441 : Wo kaunse do jaanwar hain jinko Namaz padhte huye bhi dekh lo to maarne ka hukm hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1441 ❗ 

 


 


Sawal 1441 : Wo kaunse do jaanwar hain jinko Namaz padhte huye bhi dekh lo to maarne ka hukm hai ?


A. Bichchu aur Saanp

B. Bichchu aur Girgit

C. Saanp aur Girgit

D. Chipkali aur Girgit

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab A : Bichchu aur Saanp* 💐

-------

Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Namaz padhte huye bhi Do kaale jaanwaro ko Qatl kar do Saanp aur Bichchu

Sunan Abu Dawud- 921 -Sahih


Sawal 1440 : Rasool-Allah ﷺ aur Aisha Radi Allahu Anha ka nikah kaunse Islamic mahine mein hua tha ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1440 ❗ 

 




 Sawal 1440 : Rasool-Allah ﷺ aur  Aisha Radi Allahu Anha ka nikah kaunse Islamic mahine mein hua tha ?


A. Ramzan

B. Rabi ul Awwal

C. Rajab

D. Shawwal

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab D Sawwal* 💐

-------

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mujhse Shawwal mein shadi ki aur Shawwal hi mein milan bhi kiya 

Aisha Radi Allahu Anha Apne yahan ki Aurto ko Shawwal mein unke shoharo ke pass bhejna pasand farmati thi

Sunan Ibn Majah 1990-Sahih

Sawal 1439 : Qayamat ki wo kaunsi nishani hai jisko dekh kar sab log imaan le aayenge ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1439 ❗ 

 


 


Sawal 1439 : Qayamat ki wo kaunsi nishani hai jisko dekh kar sab log imaan le aayenge ?


A. Yajuj majuj ka nikalna

B. Dabatul Ard ka nikalna

C. Isa Alaihi Salam ka nuzul

D. Suraj ka Maghrib se nikalna

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab D. Suraj ka Maghrib se nikalna* 💐

------------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jaise hi Suraj Maghrib yani paschim se tulu hoga aur log dekh lenge to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na laya hoga aur usne apne imaan ke saath achche kaam na kiye hongeAur Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lapet paye honge, aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pi bhi nahi paya hoga, aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki koi apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pi sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki kisi ne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi usey khaya bhi nahi hoga

Sahih Bukhari 7121



Sawal 1438 : Jahannam se nikal kar Jannat mein jo Shaksh sabse Akahir mein dakhil hoga usko jannat mein Kitni jagah di jayegi ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1438 ❗ 

 


 Sawal 1438 : Jahannam se nikal kar Jannat mein jo Shaksh sabse Akahir mein dakhil hoga usko jannat mein Kitni jagah di jayegi ?


A. Is duniya ke barabar

B. Is duniya ki 2 guna jagah

C. is duniya ki 7 guna jagah

D. is duniya ki 10 guna jagah

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi jawab D : is duniya ki 10 guna jagah* 💐

-----------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Main khoob janta hoon ki Ahle jahannam mein se kaun sabse Aakhir mein waha se niklega aur Ahle jannat mai kaun sabse  aakhir mein  dakhil hoga , ek shakhs jahannam se ghutno ke bal ghasit te huye niklega aur Allah Subhanahu us se kahega ki jao aur jannat mai dakhil ho jao, wo jannat ke pass aayega lekin usko aisa maloom hoga ki jannat bhari hui hai , Chunancha wo wapas aayga aur Arz karega ke Eh Rabb ! Maine jannat ko bhara hua paya , Allah Subhanahau  phir us se farmayega ki jao aur jannat mein dakhil ho jao wo phir aayega lekin usko aisa malum hoga ki jannat bhari huyee hai wo wapas laut jayega aur Arz karega ki Eh Rabb maine jannat ko bhara hua paya

 Allah Subhanahau  phir us se farmayega jao aur jannat mai dakhil ho jao tumhe duniya aur usse das guna diya jata hai ya tumhe duniya ka das guna diya jata hai wo shakhs kahega tu mera mazaq bnata hai halaki tu Shehenshaah hai Maine dekha ki is baat par Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam hans diye aur Aapke aage ke dandan Mubarak Zahir ho gye aur kaha jata hai ki wo jannat ka sbse kam darje wala shakhs hoga 

Sahih Bukhari 6571



Sawal 1437: Namaz mein Ek baar Rafa yadein karne par kitni Nekiya milti hain (Rafaydein yani Haatho ko kaano ya kaandho tak uthana) ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -1437  ❗ 

 




 

Sawal 1437:  Namaz mein Ek baar Rafa yadein  karne par kitni Nekiya milti hain (Rafaydein yani Haatho ko kaano ya kaandho tak uthana) ?*


A. 7 Nekiyan 

B. 10 nekiyan

C. 27 Nekiyan

D. 50 Nekiyan

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahih Jawab B. 10 nekiyan* 💐

---------------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Aadmi Namaz mein (Apne haath se) jo ishara karta hai (Yani Rafayadein karta hai), to is ke badle 10 Nekiya likhi jati hain, har ungli ke badle Ek Neki

Al-Silsila-Sahiha 788


✦: Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam jab (Namaz ke shuru mein) Allahu Akbar kahte to apne dono Haath buland karte yaha tak ki Apne kaano ke barabar le jate , aur jab Ruku karte to us se pahle phir se apne dono haath buland karte yaha tak ki Apne kaano ke barabar le jate , aur jab ruku se apna sir uthate Sami Allahu Liman Hamidah kahte aur phir se aisa hi karte ( Yani Apne dono haath apne kaano tak Uthate)

Sahih Muslim 865

Sawal 1436 : Hajjatul Wida ke moqe par jab Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne apne sir ke baal mundwaye to sabse pahle kaunse Sahabi ne unko liya tha ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1436 ❗ 

 




Sawal 1436 : Hajjatul Wida  ke moqe par jab  Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne apne sir ke baal mundwaye to sabse pahle kaunse Sahabi ne unko liya tha ?


A. Abu Talha Radi Allahu Anhu

B. Ali Radi Allahu Anhu

C. Muaaz bin Jabal Radi Allahu Anhu

D. Inmein se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahih Jawab A : Abu Talha Radi Allahu Anhu* 💐

---------------

Hajjatul Wida  ke moqe par jab  Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne apne sir ke baal mundwaye to sabse pahle Abu Talha Radi Allahu Anhu ne unko liya tha

Sahih Bukhari 171

Sawal 1435 : Is Ummat ke Aksar logo ki Umar kitne saal ke darmiyan hogi ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1435 ❗ 

 






Sawal 1435 :  Is Ummat ke Aksar logo ki Umar kitne saal ke darmiyan hogi ?


A. 50-70 saal  

B. 60 - 80 saal 

C. 60-70 saal

D. 50-80 saal

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)

     

✅ *Sahih Jawab C : C. 60-70 saal* 💐 

------------------     

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri Ummat ke kam hi log 70 saal ki umar tak pahuchenge 

Al Silsila tus Sahiha : 3685


RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri Ummat ki umrein 60-70 saal ke darmiyan hain kam hi log aise hain jo is hadd se tajawaz karenge (yani  kam hi log 70 saal tak pahuchenge)

Al Silsila tus Sahiha : 4070

Sawal 1434 : ye Dua kis waqt padhni chahiye ? Adhak Allahu Sinnak - أَضْحَكَ اللَّهُ سِنَّكَ

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1434 ❗ 

 



 

Sawal 1434 : ye Dua kis waqt padhni chahiye ?

Adhak Allahu Sinnak - أَضْحَكَ اللَّهُ سِنَّكَ


A. Kisi cheez ke Nuqsan par

B. Kisi ko Hansta hua dekh kar

C. Mareez ki Ayadat par

D. Doodh pine ke baad

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)

     


✅ *D. Doodh pine ke baad* 💐 

---

✦  Ek baar Umar Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass tashreef laye to dekha ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam muskura rahe they to unhone kaha 

Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam


أَضْحَكَ اللَّهُ سِنَّكَ

Adhak Allahu sinnak

Alllah Subhanahu hamesha aapko hansta hua rakhe

Sahih Bukhari 3294



Sawal 1433 : inmein se kaun shaheed hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -1433  ❗ 

 


 Sawal 1433 : inmein se kaun shaheed hai ?


A. Imaarat mein dab kar mar jane wala

B. Quran Hifz karte huye mar jane wala

C. Yateem ki Dekhbhal karne wala 

D. Inmein se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahih Jawab A : Imaarat mein dab kar mar jane wala* 💐 

-------- 

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya Allah ki raah mein qatl hone ke alawa shahadat 7 qism ki hoti hai

1. Taoon (plague/Virus) se mar jane wala shaheed hai

2. Pet ke marj se se mar jane wala bhi shaheed hai

3. Paani mein doob kar mar jane wala bhi shaheed hai

4. Kisi imaarat mein dab kar mar jane wala shaheed hai

5. Fefdo (lungs) ki beemari se mar jane wala bhi shaheed hai

6. Aag mein jal kar mar jane wala bhi shaheed hai

7. Jo aurat bachche ki wiladat ke waqt mar jaye wo bhi shaheed hai

Sunan Nasaii 1847-Sahih




Sawal 1432 : Inmein se jannat mein sabse pahle kaunsi jamat dakhil hogi ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1432 ❗ 

 


 Sawal 1432 : Inmein se jannat mein sabse pahle kaunsi jamat dakhil hogi ?


A. Muhajireen

B. Ansaar

C. Badr Ke Shaheed

D. Uhad ke Shaheed

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab A. Muhajireen* 💐 

----------

✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu bayan krte hain ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya aapko meri ummat ki us jamaat ke bare mai ilm hai jo sab se pahle jannat mai dakhil hogi ? Maine kaha Allah aur uske Rasool hi behtar jante hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Wo jamat Muhajireen ki hai, Wo roz e Qayamat jannat ke darwaze par aakar darwaza kholne ka mutalba karenge, Darban unse puchega, Kya Tumhara hisab-o kitab ho chuka hai ? Wo kahenge  kis mozu par hamse hisab kitab liya jayega ? Allah Subhanahu ke raaste mein marte dam tak hamari Talwarein hamare kandhon par rahein, so unke liye darwaza khol diya jayega aur (wo jannat mai dakhil ho kar) aam logon ke dakhile se  chalees (40) saal pahle wo andar aaram bhi kr chuke honge

Al Silsila tus Sahiha 1433 | 3923



Sawal 1431 : ye Dua kis waqt padhni chahiye ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1431 ❗ 

 


 Sawal 1431 : ye Dua kis waqt padhni chahiye ?


اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيهِ وَزِدْنَا مِنْهُ


Allahumma Barik lana feehi wa zidna Minhu


A. Achche Kaam ko dekh kar

B. Kisi ko Hansta hua dekh kar

C. Tez Baarish ke waqt

D. Doodh pine ke baad

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab D. Doodh pine ke baad* 💐

-----------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  jab koi doodh peeye toh ye dua padhe 


اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيهِ وَزِدْنَا مِنْهُ

✦ Eh Allah hume doodh se barkat ataa farma aur isko zyada kar de

kyunki  doodh ke alwa koi aise cheez nahi jo khaane aur peene dono mein kifayat  karen 

Sunan Abu Dawud 3730 - Hasan (Sheikh Albani)


https://islamqa.info/ur/answers/13348

Sawal 1430 : Mafatihul Jannah yani jannat ki chabiya (keys) kisko kaha gaya hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1430 ❗ 

 


Sawal 1430 : Mafatihul Jannah yani jannat ki chabiya (keys) kisko kaha gaya hai ?


A. Allah ka Zikr

B. Talwarein

C. Momeeno ki Betiyan

D. Momeeno ki Maayein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab B. Talwarein* 💐 

----------

Abu Bakr bin Abu Musa Ash’ari bayan karte hain ki Maine Dushmano ke saamne Apne Walid ko ye kehte huye suna ki RasoolAllah Sallallahu alaihi Wasallam ne farmaya Beshak Talwarein Jannat ki Chabiyan hain Ek khasta haal Aadmi ne kaha kya Tum ne RasoolAllah Sallallahu alaihi Wasallam se ye Hadith suni hai ? Unhone kaha Jee haan 

Usne apni Talwaar Nikal li , Myaan tod di aur Apne Saathiyon ki taraf mutawajjah hokar kaha Tum par salamati ho , phir Dushman ki taraf lapka aur jihaad karte karte Shaheed ho gaya

Al Silsila tus Sahiha 1459 | 3946


Sawal 1429 : Ek Sahabi Dushman ki Jasusi karte huye Shaheed ho gaye to unki walida ko RasoolAllah Sallalalahu Alaihi Wasallam ne ye khushkhabri di ki wo jannat ke Afzal darje par hain wo kaunse sahabi they ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1429 ❗




Sawal 1429 : Ek Sahabi Dushman ki Jasusi karte huye Shaheed ho gaye to unki walida ko  RasoolAllah Sallalalahu Alaihi Wasallam ne ye khushkhabri di  ki wo  jannat ke Afzal darje par hain wo kaunse sahabi they ?


A. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu

B. Abdullah Bin Zubair Radi Allahu anhu

C. Musaib bin umer Radi Allahu anhu

D. Haritha bin Suraqa Radi Allahu anhu

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab D. Haritha bin Suraqa Radi Allahu anhu* 💐 

-------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Haritha bin Suraqah Radi Allahu Anhu jasusi ke liye nikle achanak Ek Teer laga aur wo Shaheed ho gaye unki Maa ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam

Aap jaante hain ki Haritha ka Mere yahan kya muqam tha, agar wo Jannat mein hai to Main Sabr karti hu warna Aap dekhenge ke Main (uski Judayee par) kya karti hu

to Aap Sallallahu alaihi Wasallam ne farmaya Umme Haritha Jannat Ek nahi balki kayi Jannatein hai aur tumhara beta Haritha Jannat ke Afzal hisse mein ya Jannatul Firdaus mein hai 

Al Silsila tus Sahiha : 1519 | 3953 


Sawal 1428 : Allah Subhanahu ne Jannat ko jab kalam karne ko kaha to usne Quran ki kaunsi surah ki aayat padhi ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  1428❗



Sawal 1428 : Allah Subhanahu ne Jannat ko jab kalam karne ko kaha to usne Quran ki kaunsi surah ki aayat padhi  ?


A. Surah Al-Muminun

B. Surah Ar-Rahman

C. Surah Al-Mulk

D. Surah Al-Fatiha

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab A : Surah Al-Muminun* 💐 

----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  Allah Subhanahu ne Jannat ko paida kiya( Tameer ka andaz ye tha ki Ek Eent Sone ki, Ek Eent Chaandi ki aur Gaara Kasturi ka tha Allah Subhanahu ne usey kaha Kalaam kar Usne Surah Al-Muminun ki ye aayat padhi 

قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُونَ 

Beshak Momin kamyab ho gaye 

(Surah Mominoon 23 : 1)

Farishton ne ye sunkar kaha Eh Jannat Tere liye Khushkhabri ho Tu to Badeshaaho ka thikana hai

Al Silsila tus Sahiha-1480 | 3954 

Sawal 1427 : Jab Allah Subhanahu ne Apni Saari Makhluq ka Rizq bayan kar diya to uske baad kisne kaha ki mera rizq kisme hain ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1427 ❗



Sawal 1427 : Jab Allah Subhanahu ne Apni Saari Makhluq ka Rizq bayan kar diya to uske baad kisne kaha ki mera rizq kisme hain ?


A. Malak Al-Maut ne

B. Dajjal ne

C. Iblees ne

D. Yajuj Majuj ne

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab C. Iblees ne* 💐 

------------------

RasoolAllah SalAllahu alaihi Wasallam ne farmaya Iblees ne kaha Eh Allah Tu ne Apni Saari Makhluq ka Rizq bayan kar diya, Mera Rizq kis Cheez mein hai? 

Allah Subhanahu ne farmaya Har Us cheez mein jis mein Mera Naam nahi liya gaya ho

Al-Silsila-tus-Sahiha - 1254




Sawal 1426 : inmein se Quran ki kaunsi Surah mein ye kalma - La ilaha illAllah - لا إله إلا اللّه hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1426 ❗



Sawal 1426 : inmein se Quran ki kaunsi Surah mein ye kalma 

- La ilaha illAllah -  لا إله إلا اللّه hai ?


A. Surah Al-Kahaf

B. Surah Al Ambiya

C. Surah Al Fath

D. Surah Muhammed

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab D. Surah Muhammed* 💐 

-----------

*فَاعْلَمْ أَنَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا اللَّهُ وَاسْتَغْفِرْ لِذَنبِكَ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ*

Jaan lo ki Allah ke siwa koi Mabud nahi aur Apne gunaho ki maafi maangiye aur Musalman Mardon aur Musalman Aurton ke Gunaho ki bhi .

Note : Iske alawa Surah As-Saffat ki Aayat 35 mein bhi ye kalma hai 

Surah Muhammad 47: 19




Sawal 1425 : Inmein se wo kaun hai jo Qayamat ke din Nabiyon aur Shaheedo ke saath hoga ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1425 ❗



Sawal 1425 : Inmein se wo kaun hai jo Qayamat ke din Nabiyon aur Shaheedo ke saath hoga ?


A. Sachcha aur Amanatdaar Hakim

B. Sachcha aur Amanatdaar Tajir

C. Sachcha aur Amanatdaar Muhajir

D. Sachcha aur Amanatdaar Mujahid

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab B. Sachcha aur Amanatdaar Tajir* 💐 

--------------

RasoolAllah SalAllahu alaihi Wasallam ne farmaya Sach bolne wala, Amaanatdaar Musalman Taajir (Tijarat karne wala) Qayamat ke din Ambiya, Siddiqeen aur Shohda ke saath hoga

Al-Silsila-tus-Sahiha : 1241

Sawal 1424 : Mairaj ki raat Rasool-Allah Sa-Allahu alaihi wasallam ko inmein se kya ata kiya gaya ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1424 ❗



Sawal 1424 : Mairaj ki raat  Rasool-Allah Sa-Allahu alaihi wasallam ko inmein se kya ata kiya gaya  ?


A. Surah Al-Fatiha ki Aayatein

B. Aayat-Al-Kursi

C. Surah Al-ikhlas ki Aayatein

D. Surah Al-Baqarah ki Aaytein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi jawab  D : Surah Baqarah ki Aayatein* 💐

-----------

Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam ko Mairaj hua to Aap sidaratul muntaha tak pahunchey aur wo chatey (sixth) aasman mein hai zameen se jo chadta hai wo yahi aakar thahar jata hai phir le liya jata hai aur jo upar se utarta hai wo bhi yahi thahar jata hai phir le liya jata hai Rasool-Allah SallallahuAlaihi wasallam ko wahan 3 cheezein di gayee Ek Paanch waqt ki Namazein, Dusra Surah Baqra ki Aakhri Aayatein,Teesra Alllah subhanahu ne baksh diya Aap SallallahuAlaihi Wasallam ki ummat mein se har us shakhs ko jo Allah Subhanahu ke Saath Shirk nahi karta

Sahih Muslim :  431



Sawal : Fateh Makka ke din Jab Rasool-Allah ﷺ Makka mein dakhil huye to us waqt aapki oontni Par Aapke peeche kaun baitha hua tha ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1423 ❗


Sawal 1423 :  Fateh Makka ke din Jab Rasool-Allah ﷺ Makka mein dakhil huye to us waqt aapki oontni Par Aapke peeche kaun baitha hua tha ?


A. Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu

B. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

C. Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu

D. Inmein se koi nahi 


✅ *Sahi Jawab A :  Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu* 💐

-------------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Fatah makaka ke mauqa par makkah ke bahri ilaqey se apni sawari par tashreef laaye. Osama Radi Allahu Anhu ko aap ne apni sawari par peechay bitha diya tha aur aap ke saath Bilal Radi Allahu Anhu aur Usmaan Bin Talha Radi Allahu Anhu bhi they jo kaaba shareef ki deikh bhaal karte they An-hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne Masjid Al-Haram mein apni sawari bitha di aur Usmaan Radi Allahu Anhu se kaha ke Bait Allah (Kaba sharif) ki Chabiyan (keys) laayein. unhon ne kaaba ka darwaaza khol diya aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam andar dakhil ho gaye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Osama , bilal aur usmaan Radi Allahu Anhuma bhi they

Sahi Bukhari : 2988

Thursday, July 27, 2023

Hadith: Ek din Roza rakhne wale ko Allah Subhanahu 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai

 



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ *Hadith: Ek din Roza rakhne wale ko Allah Subhanahu 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai*

-------

*قَالَ رَسُولَ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم  مَا مِنْ عَبْدٍ يَصُومُ يَوْمًا فِي سَبِيلِ اللَّهِ إِلاَّ بَاعَدَ اللَّهُ بِذَلِكَ الْيَوْمِ وَجْهَهُ عَنِ النَّارِ سَبْعِينَ خَرِيفًا*

✦ Abu Said khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai 

Sahih Muslim  2713 

----------

✦ अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू-अलैही-वसल्लम ने फरमाया की जो एक दिन रोज़ा रखे अल्लाह की राह में तो अल्लाह उसके मुँह को सत्तर (70) बरस की राह तक दोजख से दूर कर देता है 

सही मुस्लिम   2713

---------

حضرت ابو سعید خدری رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فر ما تے ہو ئے سنا: جس نے اللہ کی راہ میں ایک دن کا روزہ رکھا اللہ تعا لیٰ اس کے چہرے کو ( جہنم کی ) آگ سے ستر سال کی مسافت تک دور کر دیتا ہے۔

صحیح مسلم  ۲۷۱۳

------

✦ Abu Sa'id al Khudri (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam as saying: Every servant of Allah who observes fast for a day in the way of Allah, Allah would remove, because of this day, his face farther from the Fire (of Hell) to the extent of seventy years' distance. 

Sahih Muslim Book 006, 2570


Wednesday, July 5, 2023

Hadith: Qabro ko pukhta na karo yani usko Pakki na banao aur us par imaarat na banao






  *Bismilllahirrhamnirrahim*

✦ *Hadith: Qabro ko pukhta na karo yani usko Pakki na banao aur us par imaarat na banao*

----------
*نَهَى رَسُولُ اللَّهِ ﷺ أَنْ يُجَصَّصَ الْقَبْرُ وَأَنْ يُقْعَدَ عَلَيْهِ وَأَنْ يُبْنَى عَلَيْهِ*

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ko pukhta karne (yani pakki Qabr banane) , aur us par baithne aur us par imaarat banane se mana farmaya hai
Sahih Muslim  2245

✦ Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi angare par is tarah baithe jaye ki wo uske kapdo ko jala kar uski khaal tak pahuch jaye , ye uske haq mein zyada behtar hai us se ki wo kisi Qabr par baithe
Sahih Muslim  2248

 ✦ Rasool-Allah  SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya Qabro ki taraf (rukh karke) Namaz na padho aur na us par baitho
Sahih Muslim  2251

-------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے قبروں کو پختہ کرنے (یعنی اس کو پکّی بنانے) اور اس پر بیٹھنے اور اس پر امارات بنانے سے منا فرمایا ہے  

صحیح مسلم ٢٢٤٥ 


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : " تم میں سے کوئی انگارے پر ( اس طرح ) بیٹھ جائے کہ وہ اس کے کپڑوں کو جلا کر اس کی جلد تک پہنچ جائے ، اس کے حق میں اس سے بہتر ہے کہ وہ کسی قبر پر بیٹھے ۔ " 

صحیح مسلم ٢٢٤٨  


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  قبروں کی طرف ( رخ کرکے ) نماز نہ پڑھو اور نہ ان پر بیٹھو 

صحیح مسلم ٢٢٥١  

-------

✦ रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने क़ब्रो को पुख़्ता करने (यानि उसको पक्की बनाने), और उस पर बैठने और उस पर ईमारत बनाने से मना फरमाया है

सही मुस्लिम  2245


✦ रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया अगर कोई एक अंगारे पर बैठे और उसके कपड़े जल जाए और उसकी खाल तक पहुँचे ये बेहतर है, उस से की वो कब्र पर बैठे

सही मुस्लिम 2248


 ✦रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया क़बरो की तरफ (रुख करके) नमाज़ ना पढ़ो और ना  उन पर बैठो 

सही मुस्लिम 2251

-------

✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam forbade that the graves should be plastered or they be used as sitting places , or a building should be built over them

Sahih muslim Book 4,  2116


✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said It is better that one of you should sit on live coats which would burn his clothing and come in contact with his skin than that he should sit on a grave

Sahih Muslim, Book 4,  2119


✦  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Do not pray facing towards the graves, and do not sit on them

Sahih Muslim, Book 4,  2122