Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, September 27, 2022

Hadith : jis Shakhs ne Nashe ki wajah se ek Namaz chorh di uska sab kuch barbad ho gaya

 



*Bismillahirrahmanirraheem*

✦ :  *Hadith : jis Shakhs ne nashe ki wajah se ek Namaz chorh di uska sab kuch barbad ho gaya*

-------------

 ✦ :  Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis Shakhs ne Nashe ki wajah se ek Namaz chorh di to wo aise hai jaise ki Duniya aur uska tamam samaan uska tha aur ye us se cheen gaya aur jis Shaksh ne Nashe ki wajah se chaar martaba Namaz chorh di to Allah Subhanahu par laazim hai ki usey Teenat-Al- khabaal pilaye , pucha gaya ye Teenat- Al-khabaal kya cheez hai ? Eh Allah ke Rasool ? Aap ne farmaya Ahle Jahannum ka peep

Al Silsila tus Sahiha : 732 Sahih

-------------

 رسول صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا جس شخص نے نشے كی وجہ سے ایك نماز چھوڑدی تو وہ ایسے ہے گویا کہ دنیا اور اس کا تمام سامان س کا تھا ارو یہ اس سے چھن گیا ہے، اور جس شخص نے نشے كی وجہ سے چار مرتبہ نماز چھوڑ ی تواللہ تعالیٰ پر لازم ہے كہ اسے طینۃ الخبال پلائے۔ پوچھا گیا یہ طینۃ الخبال  كیا چیز ہے ؟ اے اللہ كے رسول؟ آپ نے فرمایا: اہل جہنم كا پیپ

سلسلہ الصحیحہ 732 صحیح

-------------

✦ :  अब्दुल्लह बिन उमर रदीयल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल्लाल्लाहु अलैहि वसल्लाम ने फ़रमाया जिस शख़्स ने नशे की वजह से एक नमाज़ छोड़ दी तो वो ऐसे है जैसे की दुनिया और उसका तमाम समान उसका था और ये उस से छीन गया है और जिस शख़्स ने नशे की वजह से चार मर्तबा नमाज़ छोड़ी तो अल्लाह सुबहनाहु पर लाज़िम है की उसे तीनत अल ख़बाल पिलाए पूछा गया तीनत अल ख़बाल क्या चीज़ है? ए अल्लाह के रसूल? आपने फ़रमाया अहले जहन्नुम का पीप 

अल सिलसिला तुस सहीहा- 732-सहीह 

-------------

 ✦ :  Narrated by Abdullah bin Umar RadiAllahu anhu said that the Messenger of Allah SallAllahu Alaihi Wasallam said, "Whoever misses a Single prayer due to drunkenness, it is as if the world and all its possessions belonged to him, and it has been taken away from him."A person who misses prayer four times due to drunkenness, then Allah Ta'ala must make him drink Taynat al-Khabal. It was asked, what is Taynat al-Khabal? O Messenger of Allah? He said: The pus of the people of hell

Al Silsila tus Sahiha-732-Sahih

Friday, September 23, 2022

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1386 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1386 ❗



Sawal :  Hajjatul Wida ke moqa par 

Rasool-Allah  ﷺ  ne Apne  Haath se kitne oont zabah kiye they?


A. 63

B. 60

C. 7

D. 70


Sahi Jawab D  63

------

Jaber Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hajjatul Wida ke moqe par Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam apne saath Qurbani ke 100 oont lekar gaye they jab aap Qurbani ki jagah par tashreef le gaye to Aap ne apne haath se 63 oont zabah kiye aur baqi bache huye Hazrat Ali Radi Allahu Anhu ko zabah karne ke liye diye

Sahih Ibn Hibban, 4018-Sahih

Sahih Muslim 1218a

https://sunnah.com/muslim:1218a


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1385 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1385 ❗


Sawal . Allah ne Quran mein farmaya 

Hurmat wale mahine 4 hain, Inmein se 

kaunsa mahina Hurmat wala nahi hai ?

yani un 4 mahinbo mein shamil nahi hai ?


A. Muharram

B. Dhul Qaida 

C. Rajab

D. Shaban 


Sahi Jawab  Shaban 


✦ Al Quran : Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah mahine hai , Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char hurmat wale hain yahi seedah deen hai isliye inmein ( in mahino mein) apne upar zulm na karo ( yani gunah ke kaam na karo)

(Dhul Qaida, Dhul Hijja,Muharram, Rajab) 

Surah At-Tauba 9:36

Sahih Bukhari 5550

---------------

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya saal barah mahine ka hota hai , unmein chaar hurmat ke mahine hain , teen to ek ke baad ekhain  Dhul Qaida, Dhul Hijja aur Muharram aur Ek Rajab hai  jo jamadil aakhir aur shaban ke darmiyan hota hai

Sahih Bukhari 5550


✦ Al Quran : Verily, the number of months with Allah is twelve months (in a year), so was it ordained by Allah on the Day when He created the heavens and the earth; of them four are Sacred (Dhul Qaida, Dhul Hijja,Muharram and Rajab)That is the right religion, so wrong not yourselves therein

Surah At-tauba (9) Verse 36


The prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam The year is twelve months, four of which are sacred, three of them are in succession, namely Dhul-Qa'da, Dhul Hijja and Muharram, (the fourth being) Rajab which is between Juma'da (ath-thamj and Sha'ban.

Sahih Bukhari, Book 68, Hadith 458

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1384 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1384 ❗



Sawal : Allah apne bando ko sabse zyada 

kab aag se aazad farmata hai ?


A. Arafah ke din

B. Shab e Qadr mein

C. Ashura ke din

D. inmein se koi nahi



Sahi Jawab  A

-----

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Arfa se badh kar koi din aisa nahi jismein Allah subhanahu apne bando ko aag se aazad karta ho jitna ki arfa ke din aazad karta hai  

Sahih Muslim 3288

------

✦ The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said: There is no day on which Allah set free more slaves from the Fire than the Day of Arafah. 

Sahih Muslim, Book 7, 3126


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1383 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1383 ❗



Sawal : Allah ne kaunsi surah mein 

Dhul Hijjah ki 10 raato ki Kasam li hai ?


A. Surah Al-Ghashiya

B. Surah Al-Fajr

C. Surah Al-Lail

D. Surah Al-Buruj


Sahi Jawab B : Surah Al-Fajr

-------

Allah Subhanhu ne Qurana mein farmaya  Wal Fajr wa layaleen AshrYani Qasam hai Fajr ki aur Das raaton ki

Tafsir ibn katheer mein hai ki Yaha 10 raaton se se murad Dhul Hijjah ke mahine ki pahli 10 raatein hain

Surah Al Fajr  89: Aayat 1-2


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1382 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1382 ❗


Sawal  : Rasool-Allah   ﷺ   ne Jannat 

mein kisi ke Quran ki tilawat 

suni, wo kaun they  ?


A. Owais Qarni  R.A.

B. Nauman bin Basheer R.A.

C. Zaid bin Haritha R.A.

D. Inmein se koi nahi

----------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe neend aa gayee aur maine apne aapko jannat mein dekha aur maine kisi ko tilawat karte huye suna maine kaha "Mann Haza "  ye kaun hai  to jawab mila Haza Haritha bin Nauman yani ye Haritha bin nauman Radi Allahu Anhu hai , phir Aap  Sallallahu Alahih Wasallam  ne farmaya "Kazalikal Birr" Neki ka yahi nateeja hai  , Neki ka yahi nateeja hai , Harisa apni Maa ki bahut zyada khidmat kiya karte they

Sunan Al-Kubra ( Imam Nasayee) 8176-Sahih 

----------

Aa’ishah who said: The Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) said: “I slept and I dreamt that I was in Paradise, and I heard the voice of someone reciting. I said: ‘Who is this?’ They said: ‘This is Haarithah ibn an-Nu‘maan.’” And the Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) said: “Such is kindness to parents, such is kindness to parents.” And he was the one who honoured his mother the most among the people.

Sunan Al-Kubra ( Imam Nasayee) 8176-Sahih 


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1381 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1381 ❗


Sawal  : Jannat wale Dozakh walo se puchnge ki 

مَا سَلَكَكُمْ فِي سَقَرَ

Kis Cheez ne tumhe Dozakh mein daala

 to wo sabse pahli wajah kya batayenge 


A. Namaz nahi padhte they

B. Shirk karte they

C. Miskeen ko khana nahi dete they

D. Inmein se koi nahi



Sahi Jawab A

--------

* Jannat wale Dozakh walon se puchenge..

مَا سَلَكَكُمْ فِي سَقَرَ

Al Quran: Kis Cheez ne tumhe Dojakh mein daala ? 


قَالُوا لَمْ نَكُ مِنَ الْمُصَلِّينَ

Wo jawab denge ki Hum namaz nahi padhte they

Aur Na Miskeeno ko khana khilate they

Aur bakwaas karne walon ke saath bakwas kiya karte the

Aur insaaf ke din ( yani Qayamat) ko jhootlaya karte they, yahan tak ki humein maut aa pahunchi

Al Quran  Al-Muddathir 74: 42-47


Al Quran: What has caused you to enter Hell?" They will say: We were not of those who used to offer the Salat (prayers), Nor we used to feed Al-Miskin (the poor) and we used to talk falsehood (all that which ALLAH hated) with vain talkers. And we used to be lie the Day of Recompense, Until there came to us (the death) that is certain."

Al Quran , Al-Muddathir (74) Verse #42-47


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1380 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1380 ❗


Sawal  : Quran ki kaunsi surah mein Do sajde hain ?


A. Surah Aaraf

B. Surah Maryam

C. Surah Hajj

D. Surah Naml


Sahi Jawab C - Surah Hajj

is surah ki Aayat number 18 aur Aayat number 77 mein Sajda hai


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1379 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1379



Sawal :  is Duniya mein sabse pahle 

kaunsi Masjid banayee gayee?


A. Masjid Al Quba

B. Masjid Al Aqsa

C. Masjid An Nabwi

D. Masjid Al Haram



Sahi Jawab D Masjid Al Haram

-----

Abu Dharr Radi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se pucha ki ruye zameen par yani is duniya mein  sabse pahle kaunsi Masjid banayee gayee to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Masjid Al Haram

Sahih Muslim -1162

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1378 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1378 ❗



Sawal  : Wo kaunse Sahabi jinko Rasool-Allah ﷺ ne dekha ki wo jannat mein farishto ke 

saath ud rahe hain (flying in paradise) ?


A. Hanzala Radi allahu anhu

B. Saad bin Muaaz radi allahu anhu

C. Hussain radi Allahu anhu

D. Jafar radi allahu anhu


-------------

Quiz : Who is that sahabi , to whom Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam saw that he is flying in paradise with angeles ?


A. Abu bakr radi allahu anhu

B. Ali radi allahu anhu

C. Hussain radi Allahu anhu

D. Jafar radi allahu anhu



Sahi Jawab D Jafar radi allahu anhu

--------------------------------

Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki maine jafar (Radi Allahu Anhu) ko jannat mein farishto ke saath udte huye dekha

Jamia Tirmizi  4130-Hasan


hazrat Abdullah bin umar Radi Allahu Anhuma jab bhi jafar Radi Allahu Anhu ke bete ko salam karte to unse ye kahte ki As salamu alaika Ya ibn Zu-l-Janahain yani eh do paro (pankh) wale buzurg ke sahebzade

Sahih Bukhari  3709


Note: Ulmao ka kahna hai ki jafar Radi Allahu Anhu ke ghazwa e muta mein islam ke liye ladte huye dono bazu kat gaye they aur unhe shaheed kar diya gaya tha isliye unko un bazu ki jagah do par ata kiye gaye hain aur isee wajah se unhe Jafar Al tayyar ka laqab mila (arbi mein tayyara yani udne wala) 


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1377 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1377 ❗



Sawal . Wo kaun hain jinko khwab mein

 Zamzam ka kuwa khodne ka hukm diya gaya tha  ?


A. Ibrahim Alaihi Salam

B. Hajra Alaihi Salam

C. Sara Alaihi Salam

D. Inmein se koi nahi


Quiz . Who was shown in a dream about the  digging a well of zamzam with its location  ?


A. Ibrahim Alaihi Salam

B. Hajra Alaihi Salam

C. Sara Alaihi Salam

D. Inmein se koi nahi


Sahi Jawab Abdul Muttallib

----------------

✦ : Abdul Muttallib jo ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke dada they unhone Khwab dekha ki unko zamzam ka kuwa khodne ka hukm diya ja raha hai aur unko khwab mein wo jagah bhi batayee gayee jaha kuwa khodna tha

Ar Raheeq ul Makhtum - Page 78

------------

The grand father of Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  whose name was Abdul-Muttalib had a very clear dream about digging a well (zamzam) and also he was shown the location of digging place.

Ar Raheeq Ul Makhtum - Page 78


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1376 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1376 ❗



Sawal : Maidan e Mahshar mein log 

Sifarish ke liye jab Adam Alaihi Salam 

ke pass jayenge to wo logo ko kaunse 

Nabee ke paas bhejenge ?


(One the Day of Qayamah when the People will go to Adam Alaihi salam  for the intercession, he will send people towards which Prophet ?)


A. RasoolAllah ﷺ

B. Musa Alaihi Salam

C. Nooh Alaihi Salam

D. Isa Alaihi Salam


✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab log Qayamat ke din Sifarish ke liye Adam Alaihi Salam ke pass jayenge to un ko wo khata yaad aa jayegi jo unhon ne ki thi aur wo kahenge ki tum log aisa karo Nooh Alaihi Salam ke paas jao wo pahle Rasool hain jinko Allah Subhanahu ne zameen walon ki taraf bheja tha.

Sahih Bukhari - 7410


✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said on the Day of Qayamah when the people will go to Adam Alaihi Salam for intercede he will say 'I am not fit for this undertaking' and mention to them the mistakes he had committed, and he will say  better you go to Nooh Alaihi Salam as he was the first Apostle sent by Allah to the people of the Earth.

Sahih Bukhari, Book 93, 507


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1375 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1375 ❗



Sawal . Wo kaunsa Azkar hai Jisko padhna 

Allah Subhanahu ke nazdik sone aur 

chandi ke pahad kharch karne se bhi 

zyada pasandeeda hai ?


A. La ilaha illAllah

B. Alhamdulillahi Rabbil Aalameen

C. SubhanAllahi Wa Bihamdihi

D. Allahu Akbar Kabira



✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis Shaks ko raat ki ibadat (yani Tahajud ki namaz) mushkil ho aur wo maal ke kharch karne mein bakhil ho ya dushman se qital karne mein buzdil ho usay cahahaye ke SubhanAllahi wa bihamdehibahut zyada se zyada padha karen kyunki ye kalmat Allah Subhanahu ke nazdik sone aur chandi ke pahad kharch karne se bhi zyada mehboob aur pasandeeda hain

Tabrani Al-Kabeer 7795 - Sahih

Sahih Al Targeeb wa tarheeb - 1541 -Sahi

----------------------

✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: the One who is unable to pray during the night or if he is too miser to spend money or if he is too coward to take part in Jihad, then he should recite “SubhanAllahi Wa Bihamdihi” frequently ,  because this azkar is more valuable to Allah,  then spending in his path, a mountain of gold and silver 

Tabrani Al-Kabeer -7795 - Sahih

Sahih Al Targeeb wa tarheeb - 1541 -Sahi

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1374 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1374 ❗


Sawal : Inmein se Wo kya hai jo 

Allah Subhanhu Qubul nahi farmata ?


A. Bina Paki ki namaz

B. Dikha kar diya hua sadqa

C. Ghar par padhi jane wali Namaz

D. Ramzan ke baad di jane wali zakat




✅ *Sahih Jawab A* 💐

----------

Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya Allah Taala haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey aur na hi bina paki ke Namaz (Qubul farmate hain).

Sunan Abu Dawud 59- Sahih


Note : Sadqe ko Dikha kar bhi diya ja sakta hai ....

Al Quran : Agar tum sadqa (khairaat) zahir kar ke do to bhi achchi baat hai  aur agar usko chupa kar do aur faqeeroon ko pahucha do to tumahre haq mein wo behtar hai

Surah Baqara 2: 271

------------

Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam   said: ALLAH does not accept charity from goods acquired by embezzlement as He does not accept prayer without purification. 

Sunan Abu Dawud -Hadith 59- Sahih

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1373 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1373 ❗



Sawal : Agar koi pakki Kasam le kar 

tod de to usko kya kaffara dena hoga ?


A. 10 Miskeen ko khana khilana

B. 7 din ke roze rakhna

C. 7 Miskeen ko kapde dena 

D. 3 Gulam Aazad karna


Sahih Jawab A

----------

Al Quran : Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhey naki pakadta hai, lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta ( yani mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 Miskeeno ko Awsat darje ka khana khilana hai jo tum apne ghar walo ko khilate ho ya 10 miskino ko kapde dena ya Ek Ghulam Aazad karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke roze rakhe ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) 

Al Quran : Surah Al Maida 5 : 89

-----------------

Allah will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . 

Al Quran : Surah Al Maida 5 : 89


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1372 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1372 ❗



Sawal : Jamat ke saath Namaz  Akele Namaz padhne se 

kitne darje zyada fazeelat rakhti hai ?


A. 7

B. 27

C. 70

D. 50



Sahi Jawab B. 27

------

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jamaat ke saath Namaz Akele namaz padhne se 27 darja zyada fazeelat rakhti hai

Sahih Bukhari - 645

-----------

 The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, The prayer in congregation is twenty seven times superior to the prayer offered by person alone.

Sahih Bukhari , Book 11,  618

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1371 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1371 ❗



Sawal : Allah Subhanhu ne Quran mein farmaya

الَّذِينَ جَابُوا الصَّخْرَ بِالْوَادِ 

Wo Wadi mein paththar tarashh kar 

ghar banate they   wo kaun they ?


A. Bani Israeel

B. Qaum e Loot

C. Qaum e Aad

D. Inmein se koi nahi




Sahih Jawab D : Inmein se koi nahi Kyunki wo Qaum hai Qaum e Samood

------

وَثَمُودَ الَّذِينَ جَابُوا الصَّخْرَ بِالْوَادِ

Aur Qaum e Samood ke saath (kya kiya) jo Wadee mein Paththar tarashte they (aur ghar banate they)

Surah Al Fajr 89:9


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1370 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1370 ❗


Sawal : Qayamat ke din Rasool-Allah ﷺ 

ke sabse zyada nazdeek 

kaun log honge ?


A. Zyada Durud padhne wale

B. Zyada La ilaha illallah kahne wale

C. Bewa ki madad karne wale

D. Zyada Namaz padhne wale


Sahi Jawab A. Zyada Durud padhne wale

---------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada durud bhejte hain. 

Jamia Tirmidhi 484-Hasan 

--------

✦ The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: The person closest to me on the Day of Judgement is the one who sent the most Salat (durud) upon me. 

Jamia Tirmidhi, 484-Hasan

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1369 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1369 ❗



Sawal : Qayamat ke din Allah ke

 Padosi kaun log honge ?


A. Masajido ko Aabad Karne wale

B. Jihad karne wale 

C. Roza rakhne wale

D. inmein se koi nahi



Sahi Jawab A. Masajido ko Aabad Karne wale

-------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Qayamat ke din aawaz dega mere Padosi Kaha hai, mere Padosi Kaha hai farishtein kahenge Ya RABB kaun is layaq hai ke wo Aap Ka Padosi bane , Allah Subhanahu farmayega Masajido ko Aabad Karne wale Kaha hai (yani wo Allah ke padosi hain) 

Al-Silsila-As-Sahiha # 561

----

✦ The Messenger of Allah, peace and blessings be upon him said, Allah will announce on the Day of Resurrection: Where are my neighbors? Where are my neighbors ? The angels will say Our Lord, who is befitting to be your neighbor? Allah will say: Where are those who filled the mosques?

Al-Silsila-As-Sahiha -561

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1368 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1368 ❗


Sawal : Agar kisi ka sir dard hota to 

Rasool-Allah ﷺ usko kya hukm dete ?


A. Aayat Al Kursi padhne ka

B. Hijama karwane ka

C. Miswak karne ka

D. Mehandi Lagane ka


Sahi Jawab B. HIjama karwane ka

-------

✦ Salma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Jo shaksh bhi apne sir dard ki shikayat le Kar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aata to Aap SallAllahu Alahih Wasallam usay Hijama Ka hukum dete aur Jo Shaks apne pairon mein dard ki shikayat le Kar aata Aap Sallallahu Alahih Wasallam usay farmate unmein hinna (Mehnadi) lagao

Sunan Abu Dawud 3849- Hasan


✦ Narrated Salma Radi Allahu Anha said when anybody complained to the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  of a headache , he told to get himself cupped, or regrding the complaine of a pain in the legs ,he told to dye them with henna. 

Sunan Abu Dawud, Book 28, 3849- Hasan