❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1382 ❗
Sawal : Rasool-Allah ﷺ ne Jannat
mein kisi ke Quran ki tilawat
suni, wo kaun they ?
A. Owais Qarni R.A.
B. Nauman bin Basheer R.A.
C. Zaid bin Haritha R.A.
D. Inmein se koi nahi
----------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe neend aa gayee aur maine apne aapko jannat mein dekha aur maine kisi ko tilawat karte huye suna maine kaha "Mann Haza " ye kaun hai to jawab mila Haza Haritha bin Nauman yani ye Haritha bin nauman Radi Allahu Anhu hai , phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya "Kazalikal Birr" Neki ka yahi nateeja hai , Neki ka yahi nateeja hai , Harisa apni Maa ki bahut zyada khidmat kiya karte they
Sunan Al-Kubra ( Imam Nasayee) 8176-Sahih
----------
Aa’ishah who said: The Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) said: “I slept and I dreamt that I was in Paradise, and I heard the voice of someone reciting. I said: ‘Who is this?’ They said: ‘This is Haarithah ibn an-Nu‘maan.’” And the Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) said: “Such is kindness to parents, such is kindness to parents.” And he was the one who honoured his mother the most among the people.
Sunan Al-Kubra ( Imam Nasayee) 8176-Sahih
No comments:
Post a Comment