❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1385 ❗
Sawal . Allah ne Quran mein farmaya
Hurmat wale mahine 4 hain, Inmein se
kaunsa mahina Hurmat wala nahi hai ?
yani un 4 mahinbo mein shamil nahi hai ?
A. Muharram
B. Dhul Qaida
C. Rajab
D. Shaban
Sahi Jawab Shaban
✦ Al Quran : Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah mahine hai , Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char hurmat wale hain yahi seedah deen hai isliye inmein ( in mahino mein) apne upar zulm na karo ( yani gunah ke kaam na karo)
(Dhul Qaida, Dhul Hijja,Muharram, Rajab)
Surah At-Tauba 9:36
Sahih Bukhari 5550
---------------
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya saal barah mahine ka hota hai , unmein chaar hurmat ke mahine hain , teen to ek ke baad ekhain Dhul Qaida, Dhul Hijja aur Muharram aur Ek Rajab hai jo jamadil aakhir aur shaban ke darmiyan hota hai
Sahih Bukhari 5550
✦ Al Quran : Verily, the number of months with Allah is twelve months (in a year), so was it ordained by Allah on the Day when He created the heavens and the earth; of them four are Sacred (Dhul Qaida, Dhul Hijja,Muharram and Rajab)That is the right religion, so wrong not yourselves therein
Surah At-tauba (9) Verse 36
The prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam The year is twelve months, four of which are sacred, three of them are in succession, namely Dhul-Qa'da, Dhul Hijja and Muharram, (the fourth being) Rajab which is between Juma'da (ath-thamj and Sha'ban.
Sahih Bukhari, Book 68, Hadith 458
No comments:
Post a Comment