Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, March 22, 2021

Hadith : Jab koi Musalman beemar hota hai to bhi usko us amal ka sawab milta rahta hai jo wo sehat ke waqt kiya karta tha

 


 *Bismillahirrahmanirraheem*

✦:Hadith : Jab koi Musalman beemar hota hai to bhi usko us amal ka sawab milta rahta hai jo wo sehat ke waqt kiya karta tha
-------
✦:RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jab Musalman banda beemar Hota hai to Allah Subhanahu Iske (Amal ke liye Farishte se) kahta hai, Jab tak mein ise tandurust na kar doon Iske liye sehat mandi ki Halat mein iske Afzal Amal ke mutabiq amal likhte jao
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب مسلمان بندہ بیمار ہوتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کے (عمل كے لئے فرشتہ سے )كہتا ہے:جب تك میں اسے تندرست نہ كردوں اس كے لئے صحتمندی کی حالت میں اس کے افضل عمل کے مطابق عمل لکھتے جاؤ
سلسلہ صحیحہ ٢٢٨٣
-----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब मुसलमान बंदा बीमार होता है तो अल्लाह सुबहानहु उसके (अमल के लिए फ़रिश्ते से) कहता है की जब तक मैं इसको तंदुरस्त न कर दूँ
इसके लिए सेहतमंदी की हालत में उसके अफज़ल अमल के मुताबिक़ अमल लिखते जाओ
अल सिलसिला सहीहा -  2283

-----
✦: Rasool-Allah sallallahu Aaihi wasallam saidWhen a believer Slava  got sick , Allah Subhanahu says (to an Angel for his deeds ),  Keep writing his good deeds which he used to do while he was healthy , untill I grant him health again
Al Silsila Sahiha 2283

 

 

Sunday, March 21, 2021

Hadith: Logon mein sulah karwana Namaz, roze aur sadqe se Afzal hai

 *Bismillahirrahmanirraheem*

*Hadith: Logon mein sulah karwana Namaz, roze aur sadqe se Afzal hai*
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya main tumehin wo baat na batau jo darje mein roze namaz aur sadqa  se afzal hai logo ne kaha ji haan, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya aapas mein sulah karwa dena
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  کیا میں تمہیں وہ بات نہ بتاؤں جو درجے میں روزے، نماز اور زکاۃ سے بڑھ کر ہے؟  لوگوں نے کہا: جی ہاں ، آپ نے فرمایا:  آپس میں صلح  کرا دینا

سنن ابو داوود ٤٩١٩- صحیح
----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया क्या मैं तुम्हें वो बात न बताऊं जो दर्जे में रोज़े नमाज़ और सदके से अफज़ल है , लोगों ने कहा जी हाँ , आप  सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया आपस में सुलह करवा देना
सुनन अबू दाउद 4919-सही

----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said Shall I not inform you of something more excellent in degree than fasting, prayer and charity (sadaqah) ? The people replied: Yes, Prophet of Allah ! He said: making peace between people
Sunan Abu Dawood 4919-Sahih



❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1325* ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1325* ❗


*Sawal : Jab log Qabro se niklenge to us waqt aasman ka haal kya hoga ?*


A. Aasman se zameen tak farishte saf baandh kar khade honge

B. Aasman Allah ki muththi mein hoga 

C. Aasman ke darwaze khule honge

D. Aasman ko 8 farishte thame huye honge

E. Aasman se Surkh dhuaan nikal raha hoga

F. Aasman se barish ho rahi hogi

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Note : Agar kisi bhi sawal ka Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1325* ❗

*Quiz : What will be happening in the heaven ,  when the peope will be raised from the grave ?*

A. There will be angels from the heaven to the earth in row

B. It will be in the hand of Allah

C. Its door will be opened 

D. Eight angels will be holding the heaven

E. The red smoke will be coming out rom the sky

F. It will be raining from the heaven

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 

Note : If your answer is option G please write the correct answer 


💐 *Sahih Jawab : F* 💐✅

-------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Qayamat ke din jab logo ko qabro se uthaya jaega to Aasman un par halki halki Barish barsa raha hoga 

Masnad Ahmed 13070-Sahih

-----

قَالَ رَسُوْلُ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم یُبْعَثُ النَّاسُ یَوْمَ الْقِیَامَۃِ وَالسَّمَائُ تَطِشُّ عَلَیْہِمْ۔


💐 *Answer : F* 💐✅

-------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said When the people will be raised on the day of Qayamah , It will be raining slightly on them 
Masnad Ahmed 13070-Sahih

Saturday, March 20, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1324* ❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1324* ❗

Jab Makka se sahaba Hijrat karke madina aaye to  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Muhajir aur Ansar sahaba ke bheech bhaichara qayam karke ek ko dusre ka bhai bana diya 

Sawal 1 : Us waqt Abu Bakr Radi Allahu Anhu ka bhai kisko banaya gaya ?

Sawal 2 : Uthman Radi Allahu Anhu ka bhai kisko banaya gaya ?

Sawal 3 : Ali Radi Allahu Anhu ka bhai kisko banaya gaya ?


A. Abdullah Ibn masood

B. Muaadh Bin jabal

C. Abu Ayyub Ansari

D. Abu Darda

E. Abdul Rahman Bin Awf

F. Umar radi Allahu Anhu

 *Radi Allahu Anhuma*

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1324* ❗

When Sahaba Migrated from makka to madina RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam established a bond of brotherhood between Sahaba 

Quiz 1 : That time Who was the brother of Abu Bakr Radi Allahu Anhu according that bond ?

Quiz 2 : Who was the brother of Uthman Radi Allahu Anhu  ?

Quiz 3 : Who was the brother of Ali Radi Allahu Anhu  ?


A. Abdullah Ibn masood

B. Muaadh Bin jabal

C. Abu Ayyub Ansari

D. Abu Darda

E. Abdul Rahman Bin Awf

F. Umar radi Allahu Anhu

 *Radi Allahu Anhuma*

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


💐 *Sahih Jawab : FEG* 💐✅
-------
Abdullah bin umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki (Hijrat ke baad) RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Apne Sahaba ko ek dusre ka bhai bhai bana diya , Abu bakr aur Umar Radi Allahu Anhuma ko bhai bana diya , Talha aur Zubair Radi Allahu Anhuma ko bhai bana diya , Uthman aur Abdul Rahman Bin Awf  Radi Allahu Anhuma ko bhai bana diya , Ali Radi Allahu Anhuma ne kaha Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam aapne tamam Ashab ko ek dusre ka bhai bana diya , mera bhai kaun hai ? RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Ali , kya tum is baat se razi nahi ho ki tumhara bhai main hu , unhone kaha ji haan , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum duniya aur akahirat mein mere bhai ho

Mustadrak Al Sahihain (Al Hakim)-4289-Sahih


💐 *Answer : FEG* 💐✅
-------

Narrated By Abdullah bin umar Radi Allahu Anhuma (After the migration) RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam established a bond of brotherhood between Sahaba , he made a bond of brotherhood between Abu Bakr and Umar Radi Allahu Anhuma , between Talha and Zubair Radi Allahu Anhuma, between Uthman aur Abdul Rahman Bin Awf  Radi Allahu Anhuma, Ali Radi Allahu Anhu said  Oh Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam you have established a bond of brotherhood between all sahab what about me ? RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Are you not pleased on this that I am your brtoher ? he said Yes , RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said you are my brother in this world and Aakhirah

Mustadrak Al Sahihain (Al Hakim) - 4289-Sahih


Thursday, March 18, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1323* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1323* ❗


*Sawal 1 : Wo kaun log hain jinke liye farishte Allah se dua karte hain ki un logo par dozakh ka Azab na hon?*

*Sawal 2 : Wo kaun log hain jinke liye cheetiyan bhi dua karti hain ?*


A. Sila rahmi karne wale

B. ilm sikhne wale

C. SubhanAllah Alhamdulillah laa illaha IllAllah Allahu Akbar padhne wale 

D. Astagfar karne wale 

E. Durud padhne wale 

F. Jinki zuban Allah subhanahu ki zikr se tar rahe 

G. Logo ko khair ki baate sikhane wale

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1323* ❗


*Sawal 1 : For whom Angels Pray to Allah that save them from the torment of the Fire?*

*Sawal 2 : For Whom Ants Pray in their hole ?*


A. For those who do good with relatives

B. Those who seek knowledge

C. Those who recite SubhanAllah Alhamdulillah laa illaha IllAllah Allahu Akbar 

D. Those who repent

E. Those who recite much durud 

F. Those tongue always moist with the Zikrullah

G. Those who teaches the people to do good

H. O Allah increase my knowledge 


💐 *Sahih Jawab : DG* 💐✅

-------

✦ Al Quran : Jo Farishte Arsh ko uthaye huye hain aur jo iske gird hain woh apne Rabb ki hamd ke saath tasbeeh karte rahte hain aur is par imaan late hain aur imaandaro ke liye bakhshish mangte hain ke  Eh hamare RABB tu apni Rehmat aur ilm ke sath har cheez par chhaya hua hain to *tu unhein bakhsh de jo Tauba karen* aur teri raah ki pairwi karen aur tTu unhe dozakh ke azab se bhi bacha

Surah Ghafir (Momeen) , Aayat 7

✦: RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan ALLAH subhanahu aur uske farishte aur tamam ahl-e-zameen aur aasman aur yahan tak ki cheenti apni surakh mein aur machliyan bhi us shakhs ke liye khair ki dua karte aur rahmat bhejte hain hain jo logo ko bhlayee ki baatein sikhata hai

Jamia Tirmidhi  2685-Hasan


💐 *Sahih Jawab : DG* 💐✅

-------

✦: Al Quran : Those (angels) who bear the Throne (of Allah) and those around it glorify the praises of their Lord, and believe in him, and ask forgiveness for those who believe (in the Oneness of Allah) (saying): "Our Lord! You comprehend all things in mercy and knowledge, so forgive those who repent and follow Your Way, and save them from the torment of the blazing Fire!

Surah Ghafir (Momeen) , Verse 7

Wednesday, March 17, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1322* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1322* ❗

Jawab ek se zyada hai

*Sawal : Wo kaun hain jinki aankho ko Dozakh ki aag nahi chu sakegi ?*

A. Jo Allah ke darr se ro padhe

B. Jisne Allah ke raaste mein pahra diya

C. Jinko dekhna Haram hai usko nahi dekha 

D. Jisne aankho mein Asmad surma lagaya

E. Jiski aankh jung mein zakhmi huyee

F. Jo bachpan se Nabeena ho

G. Jisne Namaz qayam ki

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1322* ❗

Answers are more than one


*Quiz  : Which eyes will not see hellfire ?*


A. The one who wept for fear of Allah

B. The one who Petrol in the way of Allah

C. The one who didn't see haram (which was prohibited to see)

D. The one who use the Asmad Kohl for eyes

E. The one whose eyes got hurt in the battle

F. The one who is blind from the childhood

G. The one who perform Prayer regularly

H. O Allah increase my knowledge 



💐 Sahih Jawab : ABC 💐✅

-------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Teen Aadmi aise hain, jinki Aankhein Qayamat ke din dozakh ki aag nahi dkehegi (yani unko aag nahi chu sakegi ) woh aankh jo Allah ke darr se roye, woh aankh jisne Allah ke raaste mein pehra diya, aur woh aankh jisne Allah ki Haram kardah Cheezo ko nahi dekha

As-Silsila As-Sahiha 1477


💐 Answer : ABC 💐✅

-------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Three eyes will not see the Hellfire an eye standing guard in the way of Allah, an eye weeping from fear of Allah, and an eye lowering its gaze from what Allah has forbidden.

As-Silsila As-Sahiha 1477

Tuesday, March 16, 2021

❗Only-Quran-Hadith Quiz-1321 ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1321* ❗


Sawal 1 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sahaba ko fitno ke waqt ek sahabi ke saath rahne ki waseeyat ki thi aur unko ameen kaha tha wo sahabi kaun they ?

Sawal 2 : Farz Ehkamo ka sabse zyada ilm kaunse sahabi ko tha ?


A. Abu bakr

B. Umar

C. Uthman

D. Ali 

E. Abu Ubaidah bin Al jarrah 

F. Zaid bin Thabit

*Radi Allahu Anhuma*

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Note : Agar kisi bhi sawal ka Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1321* ❗


Quiz 1 : Once RasoollAllah Sallallhu Alaihi Wasallam said to sahaba, during the time of turmoil (Fitanah) , join to him and his companions and he also said that he is trustworthy (Ameen) , Who was he ?

Quiz 2 : Who is the most knowledgeable of the rules of inheritance (Faraid) ?

A. Abu bakr

B. Umar

C. Uthman

D. Ali 

E. Abu Ubaidah bin Al jarrah 

F. Zaid bin Thabit

*Radi Allahu Anhuma*

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


Note : If your answer is option G please mention the correct answer to be declared a winner


💐 *Sahih jawab : CF* 💐✅

------

RasoollAllah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya tum mere baad Fitne aur ikhtilaf mein padh jao ge, Ek Shaksh ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha? Eh Allah ke Rasool  Sallallhu Alaihi Wasallam  Hamari rehnumayee karne wala kaun hoga? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum is Ameen (Amanatdaar) aur iske Saathio ke saath mil jana, Aap Sallallahu Alahih Wasallam Uthman Radi Allahu Anhu ki taraf isharah kar rahe they

Al-Silsil-As-Sahiha# 2568


RasoolAllah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya Faraiz mein sabse ziyada waqif Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu  hain ,

Sunan Ibn Majah-154(Sahih)


💐 *Answer : CF* 💐✅

------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, After me you will be surrounded by the turmoil (Fitnah) , a person asked to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam , Who will be our leader that time ? Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam replied join this Ameen (Trustworthy) and his Companions, Aap Sallallahu Alaihi wasallam was pointing towards Uthman Radi Allahu Anhu.

Al- Silsila As-sahiha 2568


RasoollAllah Sallallhu Alaihi Wasallam  said: the most knowledgeable of the rules of inheritance (Faraid) is Zaid bin Thabit Radi allahu anhu

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  154 (Sahih)

Monday, March 15, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1320* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1320* ❗


Ek baar ek Nabee ne apni ummat ke kahne par ek mojaza ki dua ki to  Allah Subhanahu ne  faramaya ki wo dua qubul to ho jayegi uske baad bhi agar unhone kufr kiya to unko saza di jayegi


*Sawal 1 : Wo mojaza kya tha ?*


A. Pahad se Oontni ka nikalna

B. Chand ke do tukde hona

C. Murdo ka zinda hona

D. Samundar ke beech rasta ban jana

E. Aasman se khane ka nuzul

F. Baitul Muqddas ki fateh

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Sawal 2 : Wo Nabee Kaun they ?*


A. RasoolAllah SallAllaahu Alaihi Wasallam

B. Musa Alaihi Salam

C. Ibrahim Alaihi Salam

D. Eesa Alaihi Salam

E. Hood Alaihi Salam

F. Saleh Alaihi Salam

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Note : Agar kisi bhi sawal ka Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye


❗Only-Quran-Hadith Quiz-1320 ❗


Once a prophet Supplicated to Allah for a miracle which was asked by his people,  Allah said whoever disbelieves after that miracle I will punish him with a punishment by which I have not punished anyone among the worlds.


Quiz 1 : What was that miracle  ?


A. She camel cameout from a mountain

B. Splitting the moon into two parts

C. Bringing the dead back to life

D. Splitting of sea to make a way

E.  Table spread that descended from heaven

F.  Victory of Baitul Muqddas 

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


Quiz 2 : Who was that Prophet ?


A. RasoolAllah SallAllaahu Alaihi Wasallam

B. Musa Alaihi Salam

C. Ibrahim Alaihi Salam

D. Eesa Alaihi Salam

E. Hood Alaihi Salam

F. Saleh Alaihi Salam

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


Note : If your answer is option G please mention the correct answer to be declared a winner


💐 *Sahih jawab : ED* 💐✅

------

Al Quran :  Jab Hawariyon ne kaha Eh Eesa (Alaihi Salam) Maryam ke bete , kya tera Rabb kar sakta hai ki ham par (khane ka) khwan bhara hua aasman se utarey , honhe kaha Allah se daro agar tum iman wale ho,wo bole ki hamari ye khwahish hai ki ham usmein se khayen aur hamare dil tasalli payein, Eesa (Alaihi salam) maryam ke bete ne kaha, Eh Allah hamare RABB hum par aasman se  bhara hua dastarkhwan utar jo hamare pahlo aur pichlo ke liye eid ho aur teri taraf se ek nishani ho aur humein rizq de aur tu hi sabse behtar rizq dene wala hai Allah subhanahu ne farmaya beshak main wo tum par utarunga phir uske baad jo koi tum mein se nashukri karega to maine usko aisee saza dunga jo duniya mein kisi ko na di hogi

Surah Al Maida, 112-115


💐 *Answer : ED* 💐✅

------

[And remember] when the disciples said, "O Jesus, Son of Mary, can your Lord send down to us a table [spread with food] from the heaven? [Jesus] said," Fear Allah, if you should be believers."They said, We wish to eat from it and let our hearts be reassured and know that you have been truthful to us and be among its witnesses. Said Jesus, the son of Mary, "O Allah, our Lord, send down to us a table [spread with food] from the heaven to be for us a festival for the first of us and the last of us and a sign from You. And provide for us, and You are the best of providers."Allah said, "Indeed, I will sent it down to you, but whoever disbelieves afterwards from among you - then indeed will I punish him with a punishment by which I have not punished anyone among the worlds.

Surah Al Maida, 112-115

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1319* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1319* ❗


*Sawal : Wo kaun hain jinke bachcho ke bachcho ke liye bhi  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne maghfirat ki dua ki thi ?*


A. Badr mein jung karne wale

B. Uhud mein jung karne Wale

C. Muhajireen

D. Ansar

E. Suleh Hudibiya mein hazir rahne Wale

F. Khandaq khodne wale 

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Note : Agar kisi bhi sawal ka Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye*


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1319* ❗


*Quiz  : Once Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Supplicated of forgiveness for the children of their children , Who were they ?*


A. The one who joined in the battle of Badr

B. The one who joined in the battle of Uhud

C. Muhajireen

D. Ansar

E. The one who present in the Hudibiya treaty

F. The one who dag the tranch (khandaq)

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


*Note : If anwer is G then reply with correct answer*


💐 *Sahih jawab : D* 💐✅

------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Eh Allah! Ansar aur unki Aulad aur unki Aulado ki Maghfirat farma
------

 قَالَ رَسُوْلُ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِلأَنْصَارِ وَلِذَرَارِيِّ الأَنْصَارِ وَلِذَرَارِيِّ ذَرَارِيِّهِمْ 
Jamia Tirmizi - 3902-Sahih


💐 *Answer : D* 💐✅
------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: O Allah forgive the Ansar and the children of the Ansar, and the children of their children.
Jamia Tirmizi,  Book 46, 3902-Sahih


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1318* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1318* ❗


✦: Ek baar Quran ki ek aayat nazil huyee jab  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam us aayat ko likhwane lage to ek sahabi ne apni taklif batayee jinki wajah se us aayat ka dusra hissa usee waqt nazil ho gaya 


Sawal 1 : Wo Sahabi kaun they jinki wajah se wo aayat mukammal huyee ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Umar Radi Allahu Anhu

C. Uthman Radi Allahu Anhu

D. Ali Radi Allahu Anhu

E. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

F. Zaid Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Sawal 2 : Wo Aayat kis baat se mutalliq thi?


A. Roza

B. Jihad

C. Namaz

D. Hajj

E. Sadqa / Zakat

F. Aurat ke huquq

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Note : Agar kisi bhi sawal ka Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1318* ❗


Once A Verse of Quran revealed and As soons as the Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ordered to write that verse,  A sahabi gave a reason regarding that verse so another part of that verse revealed in favor of him 

Quiz 1 :  Who was that Sahabi ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Umar Radi Allahu Anhu

C. Uthman Radi Allahu Anhu

D. Ali Radi Allahu Anhu

E. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

F. Zaid Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Quiz 2 : That verse belonged to which thing?


A. Fasting

B. Jihad

C. Prayer

D. Hajj

E. Chairty

F. The rights of Women

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Note : If answer is G - None of the above , kindly give correct answer



💐 *Sahih Jawab : GB* 💐✅

------

Zaid bin Sabit Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne in se ye aayat likhwayee

 «لا يستوي القاعدون من المؤمنين والمجاهدون في سبيل الله»

Musalmaano mein se (Ghar) baithe rahne wale aur Allah Taala ki Raah mein apne maal aur apni jaan se Jihad karne wale ek 

barabar nahi ho sakte (4:95) Abhih Aap Sallallahu Alahih Wasallam yeh aayat likhwa hi rahe the ki Ibne Umm Maktoom Radi Allahu Anhu aa gaye aur Arz kiya: Allah ki khasam ! Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  Agar mein jihad mein Shirkat kar sakta to Yaqeenan jihad karta, woh andhe (Na bina) they iske baad Allah Subhanahu ne apne Rasool Sallallahu Alahih Wasallam par wahi nazil ki jisme Allah Subhanahu ne  غير أولي الضرر‏  ( yani bina kisi uzar ke ) alfaz aur nazil kiye ( jo Jihad mein shamil hone se mazbur hain unke liye koi 

harj nahi )

Sahih Bukhari- 4594


💐 *Answer : GB* 💐✅

------

Narrated Zaid bin Thabit: That the Prophet (ﷺ) dictated to him: "Not equal are those of the believers who sit (at home) and those who strive and fight in the Cause of Allah." Zaid added: Ibn Um Maktum came while the Prophet (ﷺ) was dictating to me and said, "O Allah's Apostle! By Allah, if I had the power to fight (in Allah's Cause), I would," and he was a blind man. So Allah revealed to his Apostle while his thigh was on my thigh, and his thigh became so heavy that I was afraid it might fracture my thigh. Then that state of the Prophet (ﷺ) passed and Allah revealed:-- "Except those who are disabled (by injury or are blind or lame etc)

Sahih Bukhari- Book 60, Hadith 116

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1317* ❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1317* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Quran majid ki tarif mein kaun kaun see batein Quran ya Hadith mein aayee hain ?*


A. Quran padhna sadqa dene ke barabar hai

B. Quran Chamkta hua Noor hai

C. Sahib e Quran 70 logo ki sifarish karwayega

D. Baar baar padhte rehne se bhi purana nahi hota

E. Quran Allah ka dastarkhwan hai

F. Quran ka ek sira Allah ke haath mein hai

G. jo shaksh Quran parh kar bhula de wo Qayamat ke din Allah se khali haath hokar milega 

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1317* ❗

*Answers are more than one*

*Quiz : What are the characteristic of Quran according Quran or Hadith ?*


A. Reciting Quran is equal to the charity

B. Quran is the Clear light

C. The one who memorize the quran will intercede 70 people

D. The sweetness of Quran does not decreased by the continuous recitation

E. Quran is the banquet of Allah

F. Quran's one end is in the hand of Allah

G. The one who recites the Qur'an and forgets it will meet Allah on the Day of Judgment with empty-handed

H. O Allah increase my knowledge



💐 *Sahih Jawab : AB DE FG* 💐✅

------

✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Quran ek Rassi (zariya) hai jiska ek sira Allah subhanahu ke haath mein hai aur dusra sira tumhare haath mein hai isko mazbuti se pakad lo kyunki uske tum kabhi bhi gumrah aur halak nahi honge

Al-Silsila-tus-Sahiha-920


✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai  jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala aur ahista aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki chupke se sadqa dene wala

Sunan Abu Dawud 1320-Sahih


✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Quran Majid Allah subhanahu ka dastarkhwan hai jaha tak mumkin ho isski dawat qubul karo ye Quran majid Allah subhanahu ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai, ye jhukta nahi ke issko khada karna padhe, teda nahi hota ke seedha karna padhe, isske ajaib kabhi khatam na honge aur baar baar kasrat se padhte rehne se bhi purana nahi hota (yani  iss se dil nahi bharta), iski tilawat kiya karo kyunki Allah Subhanahu iski tilawat par tumhein har harf ke badle das neikiya ka ajar ata farmata hai yaad rakho main ye nahi kehta ke alif laam meem ek harf hai balke Alif ek harf hai laam ek harf hai meem ek harf hai ( sirf Alif laam meem padhne se 30 neki mil jati hai) 

Mustadarak Al-Hakim, 1/741 Sahih


✦ : Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo shaksh Quran parh kar bhula de wo Qayamat ke din Allah subhanahu se khali haath hokar milega 

Sunan Abu Dawud 1461-Sahih


💐 *Correct Answer : AB DE FG* 💐✅

------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said One who recites the Qur'an in a loud voice is like one who gives charity openly and one who recites the Quran quietly is one who gives charity secretly

Sunan Abu Dawud, Book 5, 1328-Sahih


✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said Indeed this Qur’an is the banquet of Allah, so learn as much as you can from the banquet of Allah. Indeed this Qur’an is the strong rope of Allah and it is the clear light (of guidance) and it is a beautiful cure, a protection for those who cling to it and a salvation for those who follow it. Nothing is bent or corrupted except that the Qur’an rectifies it, nor deviated but that it reprimands them. Its marvels do not fade nor is the sweetness of it decreased by the frequency of those who recite it. So recite it, for indeed Allah will bestow upon you ten times the single reward for your recitation of each letter. I do not say Alif Laam Meem is a letter, but Alif is a letter, Laam is a letter and Meem is a letter. ( ex : When you say Alif Laam Meem you will get 30 good deeds)

Mustadarak Al-Hakim, 1/741 Sahih


✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Verily, this Quran is a means (rope etc.). Its one end is in the hand of Allah and the other end is in your hands. Hold fast to it ( read it and follow it), if you do so  you will never be lead astray or ruined ever again.

Al-Silsila-As-Sahiha-920


✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said  The one who recites the Qur'an and forgets it, but will meet Allah on the Day of Judgment in a maimed condition ( empty-handed). 

Sunan Abu Dawud 1469-Sahih


Sunday, March 14, 2021

Quran Majid Allah ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai

 

 

 


 


*Bismillahirrahmanirraheem*

✦: *Mafhum e Hadith: Quran Majid Allah ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai*
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Quran Majid Allah subhanahu ka dastarkhwan hai jaha tak mumkin ho isski dawat qubul karo ye Quran majid Allah subhanahu ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai, ye jhukta nahi ke issko khada karna padhe, teda nahi hota ke seedha karna padhe, isske ajaib kabhi khatam na honge aur baar baar kasrat se padhte rehne se bhi purana nahi hota (yani  iss se dil nahi bharta), iski tilawat kiya karo kyunki Allah Subhanahu iski tilawat par tumhein har harf ke badle das neikiya ka ajar ata farmata hai yaad rakho main ye nahi kehta ke alif laam meem ek harf hai balke Alif ek harf hai laam ek harf hai meem ek harf hai ( sirf Alif laam meem padhne se 30 neki mil jati hai)
Mustadrak Al-Hakim, 1/741 Sahih

------
حضرت عبد اﷲ (بن مسعود) رضی اللہ عنہ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے روایت کرتے ہیں کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: بیشک یہ قرآن اﷲ تعالیٰ کا دسترخوان (عطیہ
و نعمت) ہے۔ جہاں تک ممکن ہو اس کی دعوت قبول کرو۔ یہ قرآن اﷲ تعالیٰ کی رسی، چمکتا دمکتا نور اور (ہر روگ و پریشانی کا) نفع بخش علاج ہے۔ جو اس پر عمل کرے اس کے لئے (باعثِ) 
حفاظت اور جو اس کی پیروی کرے اس کے لئے (باعثِ) نجات ہے۔ یہ جھکتا نہیں کہ اس کو کھڑا کرنا پڑے، ٹیڑھا نہیں ہوتا کہ سیدھا کرنا پڑے۔ اس کے عجائب (رموز و اَسرار، نکات و حکم)
کبھی ختم نہ ہوں گے اور بار بار کثرت سے پڑھتے رہنے سے بھی پرانا نہیں ہوتا (یعنی اس سے دل نہیں بھرتا)۔ اس کی تلاوت کیا کرو کیونکہ اﷲ تعالیٰ اس کی تلاوت پر تمہیں ہر حرف کے
عوض دس نیکیوں کا اجر عطا فرماتا ہے۔ یاد رکھو! میں یہ نہیں کہتا کہ الم ایک حرف ہے بلکہ الف ایک حرف ہے، لام ایک حرف ہے، اور میم ایک حرف ہے (گویا صرف الم پڑھنے سے ہی تیس
نیکیاں مل جاتی ہیں)۔
مستدرک الحاکم ١/٧٤١ -صحیح
------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ये कुरान मजिद अल्लाह सुबहानहु का दस्तरख्वान (नेमत) है जहाँ तक मुमकिन हो इसकी दावत कुबूल करो , ये कुरान अल्लाह सुबहानहु कीरस्सी है,  चमकता दमकता नूर है और (हर रोग और परेशानी का ) नफ़ा बख्श इलाज है, जो इस पर अमल करे उसके लिए हिफ़ाज़त है और जो उसकी पैरवी करे उसके लिए निजात है , ये झुकता नहीं की उसको खड़ा करना पड़े, टेढ़ा नहीं होता की सीधा करना पड़े, इसके अजाइब कभी ख़त्म न होंगे और बार बार कसरत से पढ़ते रहने से भी पुराना नहीं होता (यानि इस से दिल नहीं भरता) इसकी तिलावत किया करो क्यूंकि अल्लाह सुबहानहु इसकी तिलावत पर तुम्हे हर हरफ के बदले 10 नेकियों का अजर अता फरमाएगा याद रखो में ये नहीं कहता की अलिफ़ लाम मीम ( الم) एक हरफ है बल्कि अलिफ़ एक हरफ है , लाम एक हरफ है और मीम एक हरफ है (यानि अलिफ़ लाम मीम पढने से ही 30 नेकियाँ मिल जाती हैं )
मुस्तदरक अल-हाकिम 1/741-सही
------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said Indeed this Qur’an is the banquet of Allah, so learn as much as you can from the banquet of Allah. Indeed this Qur’an is the strong rope of Allah and it is the clear guidance and it is a beautiful cure, a protection for those who cling to it and a salvation for those who follow it.Nothing is bent or corrupted except that the Qur’an rectifies it, nor deviated but that it reprimands them. Its marvels do not fade nor is the sweetness of it decreased by the frequency of those who recite it. So recite it, for indeed Allah will bestow upon you ten times the single reward for your recitation of each letter. I do not say Alif Laam Meem is a letter, but Alif is a letter, Laam is a letter and Meem is a letter. ( ex : When you say Alif Laam Meem you will get 30 good deeds)
Mustadrak Al-Hakim, 1/741 Sahih

Wednesday, March 10, 2021

Imaan walo ke liye maghfirat maangne ki fazilat

*Bismillahirrahmanirraheem*

✦: *Imaan walo ke liye maghfirat maangne ki fazilat*
----
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo kisi momeen mard aur aurat ke liye Allah subhanahu se maghfirat mangega to uske liye  haar momeen mard aur aurat ke badle ek Neiki likhi jaegi
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جو  کسی  مومن مرد اور عورت کے لیے اللہ  سبحانه سے مغفرت مانگے گا اس کے لئے ہر مومن  مرد  اور  عورت کے بدلے ایک نیکی لکھی جائے گی ۔
طبرانی - ٢١١٨-مسند الشامین -حسن

----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो किसी मोमीन मर्द और औरत के लिए अल्लाह सुबहानहु से मगफिरत मांगेगा उसके लिए हर मोमीन मर्द और औरत के बदले एक नेकी लिख दी जाएगी
अत तबरानी-2118-मसनद अल शामीन -हसन

----
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever seeks forgiveness for the believing men and women, Allah will record a
good deed for him by each man and woman
At-Tabaraani-2118-Musnad Al-Shamiiyin-Hasan

Note : is Hadith ka mafhum ye hai ki jitne momeeno ke liye maghfirat ki dua maangi jayegi utni hi nekiyan milengi in sha Allah
------
Dua :
رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ
✦ Rabbana Agfirlee Waliwalidaeeya Wa lilmumeenina Yauma  Yaqaumul hisab
------
✦ Al Quran : Eh hamare RABB mujhko aur mere waldein (parents) ko aur momeeno ko hisab wale din baksh dena.
Surah Ibrahim (14) , Aayat 41

 
 

❗Only-Quran-Hadith Quiz-1316 ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1316* ❗

Sawal 1 : Allah Subhanahu ke pass jitni rahmat ke hisse hain usmein se kitne hisse usne duniya mein bheje hain ?

Sawal 2 : Allah Subhanahu ke pass apne waliyon (Awliya) ke liye Qayamat ke din kitni Rahmatein hongi ?


A. 1

B. 7

C. 70

D. 700

E. 99

F. 100

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma

Note : Agar Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1316* ❗

Quiz 1: How many parts of mercy Allah sent to all His creatures in this world ?

Quiz 2 : On the day of Qayamah, How many part of the mercy (Rahmah) will be there for the Awliya Allah (Friends of Allah) ?


A. 7

B. 70

C. 700

D. 50

E. 99

F. 100

G. None of the above

H. I want to know

💐 *Sahi Jawab : AF* 💐✅
------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ALLAH subhanahu ne Rahmat ko jis din banaya to uske 100 hisse kiye aur apne pass unmein se 99 rakhe iske baad tamam makhluq ke liye sirf Ek hissa Rahmat ka bheja
Sahih Bukhari 6469

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Beshak Allah Subhanahu ke pass 100 rahmatein hain usne ek rahmat ko duniya walon mein taqseem kiya wo unko maut tak kafi hogi aur 99 Rahmatein apne Awliya ke liye rakhi huyee hain, Aur jo Rhamat Allah Subhanahu ne duniya walo mein taqseem ki hai usko bhi (Qayamat ke din) wapas lekar un 99 ke saath mila dega  aur is tarah apne waliyon (doston) ke liye Qayamat ke din 100 rahmatein puri kar dega
Al-Silsila-As-Sahiha#2554
------
إن لِلهِ مِائَةُ رَحْمَةٍ، قَسَمَ رَحْمَةً (وَاحِدَةً) بَيْنَ أَهْلِ الدنيا وَسِعَتْهُمْ إِلَى آجَالِهِمْ وأخَّرَ تِسْعَةً وَتِسْعِينَ رَحْمَةً لِأَوْلِيَائِهِ وَإِن اللهُ قَابِضُ تِلْكَ الرَّحْمَةِ الَّتِي قَسَمَهَا بَيْنَ أَهْلِ الدنيا إِلَى التِّسْع وَالتِّسْعِينَ فَيُكَمِّلُهَا مِائَةَ رَحْمَةٍ لِأَوْلِيَائِهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ

💐 *Answer : AF* 💐✅
------
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Said Verily Allah created Mercy. The day He created it, He made it into one hundred parts. He withheld with Him Ninety-nine (99) parts, and sent its one part to all His creatures.
Sahih Bukhari Book 76, No. 476

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Said Indeed Allah has 100 parts of his mercy and he sent only one part of that mercy in this world and that will be enough untill death, he kept 99 Part of the mercy for his Awliyah (Friends) and the part which he sent in this world will be taken back and in this way he will complete his 100 part of the mercy for his Awliyah (Friends) 
Al-Silsila-As-Sahiha#2554

Tuesday, March 9, 2021

Al Quran : Aur koi nahi janta ki Kis Zameen par usko maut aayegi



 

 *Bismillahirrahmanirraheem*

*وَمَا تَدْرِي نَفْسٌ بِأَيِّ أَرْضٍ تَمُوتُ*
----
✦: *Al Quran : Aur koi nahi janta ki Kis Zameen par usko maut aayegi*
----
✦: और कोई नहीं जानता की किस ज़मीन पर उसको मौत आएगी
----
* القرآن  : اور کوئی نہیں جانتا کہ کس زمین پر اس کو موت آئے گی*
----
✦: *And no soul perceives in what land it will die.*
----
*Surah Luqman 31:34*

Al Quran : Allah behtar Nigehban hai aur wo sab meharbanon se meharban hai


 

 *Bismillahirrahmanirraheem*

*فَاللَّهُ خَيْرٌ حَافِظًا  وَهُوَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ*
------
*✦: Al Quran : Allah behtar Nigehban hai aur wo sab meharbanon se meharban hai*
------
*الله بہتر نگہبان  ہے اور وہ سب مہربانوں سے مہربان ہے*
------
*✦: अल कुरान : अल्लाह बेहतर निगेहबान हैं और वो सब मेहरबानों से मेहरबान है*
-----
*✦: Allah is the best guardian, and He is the most merciful of the merciful*
------
*Surah Yusuf 12:64*


 

Hadith : Sari zameen Namaz ki jagah hai siwaye Hamam (Gusl Khana) aur Qabristan ke

 


 *Bismillahirrahmanirraheem*

*Hadith : Sari zameen Namaz ki jagah hai siwaye Hamam (Gusl Khana) aur Qabristan ke *
--------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Sari zameen Namaz ki jagah hai siwaye Hamam (Gusl Khana) aur Qabristan ke ( Yani in dono jagah namaz padhna mana hai)
Sunan Abu Dawud 492-Sahih
-------
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا ساری زمین نماز پڑھنے کی جگہ ہے، سوائے حمام  ( غسل خانہ )  اور قبرستان کے
سنن ابو داوود ٤٩٢ ، -صحیح
------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया  सारी ज़मीन नमाज़ की जगह है सिवाए हमाम (गुसल खाना) और कब्रिस्तान के
सुनन अबू दाऊद सही
------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said: The whole earth is a place of prayer except bathroom and graveyards and
Sunan Abu Dawud 492-Sahih

Al Quran : Unki tarah na ho jana jinhone Allah ko bhula diya phir Allah ne bhi unko (aisa kar diya) ki wo apne aapko bhul gaye

 


 Bismillahirrahmanirraheem

وَلَا تَكُونُوا كَالَّذِينَ نَسُوا اللَّهَ فَأَنسَاهُمْ أَنفُسَهُمْ ۚ أُولَـٰئِكَ هُمُ الْفَاسِقُونَ
-----
اور ان کی طرح نہ ہوں جنہوں نے الله کو بھلا دیاپھر الله نے بھی ان کو (ایسا کر دیا) کہ وہ اپنے آپ ہی کو بھول گئے یہی لوگ نافرمان ہیں
-----
✦: Al Quran : Unki tarah na ho jana jinhone Allah ko bhula diya phir Allah ne bhi unko (aisa kar diya) ki wo apne aapko bhul gaye yahi log nafarman hain
-----
✦: अल कुरान : उनकी तरह न हो जाना जिन्होंने अल्लाह को भुला दिया फिर अल्लाह ने भी उनको (ऐसा कर दिया) की वो अपने आपको भूल गए यही लोग नाफरमान हैं
-----
✦: And be not like those who forgot Allah, so He made them forget themselves. Those are the defiantly disobedient.
-----
Surah Hashr 59:19

Mafhum e hadith: Momeen par jhoota ilzam lagane ki saza

 


 

Bismillahirrahmanirraheem

✦: Mafhum e hadith: Momeen par jhoota ilzam lagane ki saza
----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jisne kisi momeen ke bare mein koi aise baat kahi jo usmein nahi thi to Allah subhanahu uska thikana (Radgat Al Khabal) Dozakhiyon ke khoon aur peep wali jagha par banayega jab tak ki wo apni kahi huye baat se tauba na kar le
------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جس نے کسی مؤمن کے بارے میں کوئی ایسی بات کہی جو اس میں نہیں تھی تو اللہ اس کا ٹھکانہ(جہنمیوں کے خون اور پیپ جمع ہونے کے مقام  رَدْغَةَ الْخَبَالِ ) میں بنائے گا یہاں تک کہ اپنی کہی ہوئی بات سے توبہ کر لے ۔
------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस ने किसी मोमीन के बारे में कोई ऐसी बात कही जो उसमें नहीं थी तो अल्लाह सुबहानहु उसका ठिकाना जहान्नामियों के खून और पीप जमा होने के मुकाम में बनाएगा जब तक वो अपनी कही हुयी बात पर तौबा न कर ले
------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said if anyone makes an untruthful accusation against a Muslim, he will be made by Allah to dwell in the corrupt fluid flowing from the inhabitants of Hell till he retracts his statement.
Sunan Abi Dawood 3597-Sahih

Hadith : Panch (5) ko panch (5) se pahle ganimat jano

 

 

 Bismillahirrahmanirraheem

✦: Hadith :  Panch (5) ko panch (5) se pahle ganimat jano
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya panch (5) ko panch (5) se pehle ganimat jano, Apni zindagi ko apni maut se pahle, Apni sehat ko beemari se pahle aur Apni fursat ko mashguliyat se pahle aur Apni jawani ko budhape se pahle, aur apni maaldari ko faqeeri se pehle
-----
رسول اللّه صلى اللّه عليه وسلم نے فرمایا پانچ كو پانچ سے قبل غنيمت جانو اپنى زندگى كو اپنى موت سے پہلے ، اپنى صحت كو بيمارى سے پہلے اور اپنى فراغت كو مشغول ہونے سے پہلے ، اور اپنى جوانى كو بڑھاپے سے پہلے اور اپنى مالدارى كو فقيرى سے پہلے
صحیح الجامع ١٠٧٧
-----
✦:रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया पांच को पांच से पहले गनीमत जानो , अपनी ज़िन्दगी को अपनी मौत से पहले अपनी सेहत को बीमारी से पहले , अपनी फुर्सत को मशगुलियत से पहले और अपनी जवानी को बुढ़ापे से पहले और अपनी मालदारी को फ़कीरी से पहले
सही अल जामे - 1077
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said,  Take advantage of five before five: your youth before your old age, your health before your illness, your riches before your poverty, your free time before your work, and your life before your death.
Sahih Al-Jame-1077