Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, December 2, 2014

Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega
-----------------
✦ Abu Hurairah radi allahu taaala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se (duniya mein) maaf kara le, kyunki aakhirat mein dinar aur diraham (Rupye paisey)nahi honge , is se pahle  (maaf karwa le warna)  uske bhai ke liye uski nekiyon mein se haq dilaya jayega aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us (mazlum) bhai ki buraeeyan us par daal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6534

✦ Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye zulmo ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega ( yani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat mein dakhil hone ki ejazat milegi , us zaat ki kasam jiske haath mein Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi apne ghar ko duniya mein apne ghar ki muqable mein zyada achchi tarah pahchan lega
Sahih Bukhari, Vol 8, 6535

-----------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया जिसने अपने किसी भाई पर ज़ुल्म किया हो तो उसे चाहिए की इस से (दुनिया में) माफ़ करा ले, क्यूंकी आख़िरत में दीनार  और दिरहम (रुपये पैसे)नही होंगे , इस से पहले  (माफ़ करवा ले वरना)  उसके भाई के लिए उसकी नेकियों में से हक़ दिलाया जाएगा और अगर उसके पास नेकिया नही होंगी तो उस (मज़लूम) भाई की बुराईयाँ उस पर डाल दी जाएगी.
सही बुखारी, जिल्द  8, 6534

✦ अबू सईद  खुदरी रदी  अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की मोमीन  दोज़ख़् से छुटकारा पा जाएँगे लेकिन दोज़ख  और जन्नत के दरमियाँ एक पूल है जहा उन्हे रोक लिया जाएगा और फिर एक दूसरे पर किए गये ज़ुल्मों  का बदला लिया जाएगा जो दुनिया में उनके दरमियाँ हुए थे , जब सब कुछ सॉफ और पाक हो जाएगा ( यानी सबको बदला मिल जाएगा) उसके बाद उन्हे जन्नत में दाखिल होने की ईजाज़त  मिलेगी , उस ज़ात की कसम जिसके हाथ में मुहम्मद सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  की जान है जन्नतियों  में से हर कोई अपने घर को दुनिया में अपने घर की मुक़ाबले में ज़्यादा अच्छी तरह पहचान लेगा
सही बुखारी, जिल्द  8, 6535

-----------------
✦ Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has wronged his brother, should ask for his pardon (before his death), as (in the Hereafter) there will be neither a Dinar nor a Dirham. (He should secure pardon in this life) before some of his good deeds are taken and paid to his brother, or, if he has done no good deeds, some of the bad deeds of his brother are taken to be loaded on him (in the Hereafter)
Sahih Bukhari Vol 8, Book 76, No. 541

✦Narrated Abu Sa`id Al-Khudri Radhi allahu anhu  Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam  said, "The believers, after being saved from the (Hell) Fire, will be stopped at a bridge between Paradise and Hell and mutual retaliation will be established among them regarding wrongs they have committed in the world against one another. After they are cleansed and purified (through the retaliation), they will be admitted into Paradise; and by Him in Whose Hand Muhammad's soul is, everyone of them will know his dwelling in Paradise better than he knew his dwelling in this world.
Sahih Bukhari Book 76, No. 542

Monday, December 1, 2014

Mafhum-e-Hadith: Raat ko Surah Al-ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh kar aur badan par phunk kar soya karo



Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Raat ko Surah Al-ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh kar aur badan par phunk kar soya karo

-----------------------------------
Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam har raat jab Bistar par Aaram farmate to Apni dono hatheliyon ko mila kar Qul huwaAllahu ahad (Surat Al-Ikhlas), Qul Aauzu Birabbil Falaq (Surat Al-Falaq ) aur Qul Aauzu Birabbin naas (Surat An-Nas) (Teeno surtein Mukammal) padh kar un par phoonkte aur Phir dono hatheliyon ko Jahan tak Mumkin hota apne jism par phairte the, Pehle sir aur Chehra par hath phairte aur Samne ke badan par, ye Amal Aap teen(3) dafa karte the.

Sahih Bukari: Vol 6, 5017

____________________________


نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم ہر رات جب بستر پر آرام فرماتے تو اپنی دونوں ہتھیلیوں کو ملا کر «قل هو الله أحد»،‏‏‏‏ «قل أعوذ برب الفلق» اور «قل أعوذ برب الناس» ( تینوں سورتیں مکمل ) پڑھ کر ان پر پھونکتے اور پھر دونوں ہتھیلیوں کو جہاں تک ممکن ہوتا اپنے جسم پر پھیرتے تھے۔ پہلے سر اور چہرہ پر ہاتھ پھیرتے اور سامنے کے بدن پر۔ یہ عمل آپ صلی اللہ علیہ وسلم تین دفعہ کرتے تھے۔

صحیح بخاری جلد ۶ ۵۰۱۷
----------------------------------
English translation:

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha Whenever the Prophet Sallallhu Alaihi Wasallam went to bed every night, he used to cup his hands together and blow over it after reciting Surat Al-Ikhlas, Surat Al-Falaq and Surat An-Nas, and then rub his hands over whatever parts of his body he was able to rub, starting with his head, face and front of his body. He used to do that three times.

Sahih al-Bukhari , Book 61, 536

Mafhum-e-Hadith: jise namaz me kuch shak hawa nikalne ka ho jata hai. Kya use namaz tod deni chahiye?


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: jise namaz me kuch shak hawa nikalne ka ho jata hai. Kya use namaz tod deni chahiye?

Abbas bin Tamim ne aur un se un ke uncle Abdullah bin zaid mazni Radhi allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ke samne ek aise Shakhs ka zikr aya jise namaz me kuch sak hawa nikalne ka ho jata hai. Kya use namaz tod deni chahiye? Farmaya ki Nahi. Jab tak woh aawaz na sunle ya badbu na mahsus kar le (is waqt tak namaz na tode) 
{Sahih al-Bukhari:vol:3, 2056}
-------------------------------
English translation:
Narrated `Abbas bin Tamim that his uncle (Abdullah bin zaid mazni Radhi allahu anhu said: "The Prophet Sallallahu alaihi wasallam was asked: If a person feels something during his prayer; should one interrupt his prayer?" The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said: No! You should not give it up unless you hear a sound or smell something." 
{Sahih al-Bukhari: Vol. 3, Book 34, Hadith 272}

Hadith: Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai azab hota hai.




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai azab hota hai.
.
Abdullah bin Umar radi allahu taaala anhu ne apne walid se rivayat kiya ki  Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmya ke Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai azab hota hai.
{Sahih al-Bukhari: Vol. 2,1292}
.
Hazrat Abdullah bin Mas'ud radi allahu taaala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo aurate (kisi ki maut par) apne chehron ko piṭ-ti aur girebaan chak kar leti hai (yani matam karte huye apne kapde phaadti hain) aur jahiliyat ki bate karti hai woh ham me se nahi hai.
{Sahih al-Bukhari:Vol2, 1294}

-----------------------------------

حضرت عبداللہ بن عمر رضی الله عنہ سے روایت ہے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میت کو اس پر نوحہ کئے جانے کی وجہ سے بھی قبر میں عذاب ہوتا ہے۔
صحیح بخاری جلد ۲ ۱۲۹۲

حضرت عبداللہ بن مسعود  رضی اللہ عنہ سے روایت ہے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو عورتیں ( کسی کی موت پر ) اپنے چہروں کو پیٹتی اور گریبان چاک کر لیتی ہیں اور جاہلیت کی باتیں بکتی ہیں وہ ہم میں سے نہیں ہیں۔ 

صحیح بخاری جلد  ۲ ۱۲۹۴
-------------------
English translation:
Narrated Ibn 'Umar radi allahu taaala anhu from his father said: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The deceased is tortured in his grave for the wailing done over him." 
{Sahih al-Bukhari: Vol. 2, Book 23, Hadith 379}
Narrated ` Abdullah bin Mas'ud radi allahu taaala anhu said: the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "He who slaps his cheeks, tears his clothes and follows the ways and traditions of the Days of Ignorance is not one of us."
{Sahih al-Bukhari : Vol. 2, Book 23, Hadith 382}

Hadith: Tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Abdullah bin Busr Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Ek shaks ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se arz kiya Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Islam ke ahkam bahu zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho 
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1299-Hasan

✦ Hadith : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Kya main tumko aisa amal na batauu jo tumhare malik ( ALLAH) ke nazdeek achcha aur pakeeza hai aur tumhare darjat mein sabse buland , aur jo (ALLAH ki raah mein) sone aur chandi ko kharch karne se bhi afzal hai , Aur jo ALLAH ki raah mein dushmano se jihad karte huye unki gardane maarne aur wo tumharai gardane maare us se bhi behtar hai, Sahaba Radhi allahu anhuma na arz kiya kyu nahi ( jarur bataeeye), AAP Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo ALLAH ka zikr hai , Muaz bin jabal Radhi allahu anhu ne farmaya Allah ke azab se bachane wali zikr ilahi se badkar aur koi cheez nahi hai
Jamia Tirmidhi , vol 2, 1301 - Hasan
------------------
ایک آدمی نے کہا: اللہ کے رسول ﷺ اسلام کے احکام و قوانین تو میرے لیے بہت ہیں، کچھ تھوڑی سی چیزیں مجھے بتا دیجئیے جن پر میں ( مضبوطی ) سے جما رہوں، آپ نے فرمایا: ”تمہاری زبان ہر وقت اللہ کی یاد اور ذکر سے تر رہے
جامع ترمیزی جلد ٢ ١٢٩٩-حسن 

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”کیا میں تمہارے سب سے بہتر اور تمہارے رب کے نزدیک سب سے پاکیزہ اور سب سے بلند درجے والے عمل کی تمہیں خبر نہ دوں؟ وہ عمل تمہارے لیے سونا چاندی خرچ کرنے سے بہتر ہے، وہ عمل تمہارے لیے اس سے بھی بہتر ہے کہ تم ( میدان جنگ میں ) اپنے دشمن سے ٹکراؤ، وہ تمہاری گردنیں کاٹے اور تم ان کی ( یعنی تمہارے جہاد کرنے سے بھی افضل ) “ لوگوں نے کہا: جی ہاں، ( ضرور بتائیے ) آپ نے فرمایا: ”وہ اللہ تعالیٰ کا ذکر ہے“، معاذ بن جبل رضی الله عنہ کہتے ہیں: اللہ کے ذکر سے بڑھ کر اللہ کے عذاب سے بچانے والی کوئی اور چیز نہیں ہے 
جامع ترمیزی جلد ٢ ١٣٠١ -حسن 
------------------


✦ हदीस : अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक शख्स  ने रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम से अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम इस्लाम के अहकाम बहुत ज़्यादा हो गये हैं , आप मुझे कोई ऐसी चीज़ बता दीजिए जिसको में हमेशा के लिए इख़्तियार कर लूँ  तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तुम्हारी ज़ुबान को हर वक़्त अल्लाह सुबहानहु के ज़िक्र से तर रखो 
जामिया तिरमिज़ी , जिल्द  2, 1299-हसन

✦ हदीस  : हज़रत अबू दर्दा  रदी  अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया क्या मैं तुमको ऐसा अमल ना बताऊ  जो तुम्हारे मालिक (अल्लाह) के नज़दीक अच्छा और पाकीज़ा है और तुम्हारे दरजात .में सबसे बुलंद , और जो (अल्लाह की राह में) सोने और चाँदी को खर्च करने से भी अफ़ज़ल है , और जो अल्लाह की राह में दुश्मनो से जिहाद करते हुए उनकी गर्दने काटने  और वो तुम्हराई गर्दन  काट दे  उस से भी बेहतर है, सहाबा रदी  अल्लाहू अन्हुमा ने अर्ज़ किया क्यू नही (ज़रूर बताईए), आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया वो अल्लाह का ज़िक्र है , मुआज़ बिन जबल रदी  अल्लाहू अन्हु ने फरमाया अल्लाह के अज़ाब से बचाने वाली ज़िक्र इलाही से बड़कर  और कोई चीज़ नही है
जामिया तिरमिज़ी  , जिल्द  2, 1301 - हसन
------------------

✦ Hadith: A man said: O Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam indeed, the legislated acts of Islam have become too much for me, so inform me of a thing that I should stick to. He sallallahu alaihi wasallam said: Let not your tongue cease to be moist with the remembrance of Allah.
Jamia Tirmidhi Book 45, 3375-Hasan

✦ Hadith: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Should I not inform you of the best of your deed, and the purest of them with your Master (ALLAH), and the highest of them in your ranks, and what is better for you than spending gold and silver, and better for you than meeting your enemy and striking their necks, and they strike your necks? They said: Of course. He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, The remembrance of Allah [Most High]. [Then] Muadh bin Jabal Radhi allahu anhu said: There is nothing that brings more salvation from the punishment of Allah than the remembrance of Allah.
Jamia Tirmidhi , Book 45, 3377-Hasan
.
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem

Mafhum-e-Hadith: Hazrat Uthman Radhi allahu anhu ki shaan





Bismillahirrahmanirrahim 
.
Mafhum-e-Hadith: Hazrat Uthman Radhi allahu anhu ki shaan
-----------------------------------------------
Hazrat Kaab bin Ujrah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne qareeb ke zamane mein ek fitne ka zikr kiya aur us waqt ek aadmi apne sir ko dhanpe huye guzra Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ye shakhs us din hidayat par hoga maine chalang laga kar Uthman Radhi allahu anhu ko pakad liya aur Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke samne unko lakar pucha Kya ye shaksh 
( us waqt hidayat par hoga ) Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Haan 
Sunan Ibn majah, Vol 1,111-Sahih 
.
Hazrat Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Eh Uthman agar Allah subhanahu tumhe is amr ( Khilafat) ka waali bana de to munafiqeen chahenge ki tum qameez utar do (yani khilafat chorh do) jo Allah subhanahu ne tumhe pahnayee hogi , Aap sallallahu alaihi wasallam ne 3 martaba yahi farmaya 
Sunan Ibn majah, Vol 1, 112-Sahih
.
Anas Bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meri Ummat mein haya ke aitbar se sabse sachche Uthman Radi Allahu Anhu hain
Sunan Ibn majah, Vol 1, 154-Sahih
.
Comment: Uthman Radhi allahu anhu ka nikah Aap sallallahu alaihi wasallam ne unki beti Ruqayya Radhi allahu anha se kiya aur pahli biwi ki wafat ke baad unka nikah phir se Aap sallallahu alaihi wasallam ne unki dusri beti Umm Kulthum Radhi allahu anha se karwaya jiski wajah se unka laqab Zun-Nurain hua yani do noor wala 
--------------------------------------------------------------------------
It was narrated that Ka'b bin Ujrah Radhi allahu anhu said:
"The Messenger of Allah mentioned a Fitnah (tribulation) that had drawn nigh. Then a man passed by with his head covered. The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said: 'On that day, this man will be following right guidance.' I leapt up and took hold of 'Uthman's arms, then I turned to face the Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam and said: 'This man?' He said: 'This man.
Sunan Ibn majah, Vol 1,111-Sahih
.
It was narrated that 'Aishah Radhi allahu anha said: The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said: "O 'Uthman, if Allah places you in authority over this matter (as the caliph) some day and the hypocrites want to rid you of the garment with which Allah has clothed you (i.e., the position of caliph), do not take it off." He sallallahu alaihi wasallam said that three times
Sunan Ibn majah, Vol 1, 112-Sahih
.
Narrated Anas bin Malik may ALLAH be pleased with him that the Messenger of Allah Peace be upon him said: The most sincere of my ummah in shyness and modesty is Uthman
Sunan Ibn majah, Vol 1, 154-Sahih
.
Comment: The Prophet sallallahu alaihi wasallam gave his daughter Ruqayyah Radhi allahu anha in marrige with Uthman Radhi allahu anhu and after the death of ruqayyah Radhi allahu anha the Prophet sallallahu alaihi wasallam gave his next daughter Umm Kulthum Radhi allahu anhu in marrige with him and because of this he was given the title of Dhun-nurain ( the man with two lights.)

Hadith: Taweez, gandey (mantra) wagairah sab shirk hai




Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Taweez, gandey (mantra) wagairah sab shirk hai
--------------------------------

Al Quran : Aur agar Allah tumhe koi takleef pahuchaye to uske siwa aur koi dur karne wala nahi hai aur agar tumhe bhalayee pahuchaye to ( usko koi rokne wala nahi hai) wo har cheez par qadir hai
Al Quran, Al-Anaam (6) , Verse 17
.
Hadith: Hazrat Abdullah bin masood ki biwi Zainab Radhi allahu anhuma ne kaha ki Abdulllah bin Masud Radi Allahu Anhu ne kaha Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki taweez, gandey (mantra) wagairah sab shirk hai , ye sunkar zainab ( Hazrat Abdullah ki biwi) ne kaha ki tum ye kya kahte ho Allah ki kasam meri aankh Dard ki shiddat se bahar nikalne ko thi aur main falah yahudi ke pass jaya karti thi wo mujhe taweez diya karta tha jab usne mujhe taweez diya to mujhe sukun ho gaya to Hazrat Abdullah kahne lage ye to shaitani amal hai jabki wo ( Shaitan) apne haath se usey ( yani aankh) dabaya karta tha jab us yahudi ne us par dam kiya to wo shaitan us Amal sey ruk gaya ( taaki tum us taweez par hi yakeen karne lag jao) aur beshak tumhare liye yahi kaafi hai ki tum is tarah kah diya karo jaise ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmaya karte they 

اللهم رب الناس، مذهب البأس، اشف أنت الشافي، لا شافي إلا أنت، شفاء لا يغادر سقماً 
(Allahumma Rabbin nas adhabal ba'sa, ashfi , anta shafee, la Shaafi illa Anta, shifa'a la yughadiru saqma)
Eh Allah logon ke Rab , Takleef ko dur karney waley, Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai, aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.
Sunan Abu Dawud, Vol3, 485-Sahih

--------------------------------
Al Quran : And if Allah touches you with harm, none can remove it but He, and if He touches you with good ( none can prevent it) , then He is Able to do all things.
Al Quran, Al-Anaam (6) , Verse 17
.
Hadith: Zaynab, the wife of Abdullah ibn Mas'ud Radhi allahu anhuma, told that Abdullah said: I heard the Prophet sallallahu alaihi wasallam said: spells, charms and love-potions are polytheism. I asked: Why do you say this? I swear by Allah, when my eye was discharging I used to go to so-and-so, the Jew, who applied a spell to me. When he applied the spell to me, it calmed down. Abdullah said: That was just the work of the Devil who was picking it with his hand, and when he uttered the spell on it, he desisted ( so that you can trust in that spell only) . All you need to do is to say as the Apostle of Allah (peace_be_upon_him) used to say: 

اللهم رب الناس، مذهب البأس، اشف أنت الشافي، لا شافي إلا أنت، شفاء لا يغادر سقماً 
(Allahumma Rabbin nas adhabal ba'sa, ashfi , anta shafee, la Shaafi illa Anta, shifa'a la yughadiru saqma)
Remove the harm, O Lord of men, and heal. Thou art the Healer. There is no remedy but Thine which leaves no disease behind. 
Sunan Abu Dawud, Book 28, 3874-Sahih

Al Quran : Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,



Bismillahirrahmanirrahim 

Al Quran , Surah An-Nas

قُلْ أَعُوذُ بِرَبّ النَّاسِ مَلِكِ النَّاسِ إِلَـٰهِ النَّاسِ 
مِن شَرّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ
---------------------------------------------

Qul Aaoodhu BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas
Min Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi(lazi) Yuwaswesu fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas

---------------------------------------------
Al Quran : Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya, 
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai 
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.

Al Quran , Surah An-Nas (114) , Verse 1-6 
---------------------------------------------

क़ुल आऊजू बिराब्बिन-नास
मालिकिन-नास ,इलाहीन-नास 
मीन शर्रिल वसवासिल खन्नास 
अल-लज़ी  युवासविसू  फ़ी सूदुरिन-नास 
मिनल जिन्नती वान-नास 
--------------
अल क़ुरान : कह दो मैं लोगो के रब की पनाह में आया, 
लोगो के बादशाह की, लोगों के माबूद की,
उस शैतान की बुराई से जो वसवसे डाल कर छुप जाता है,
जो लोगों के सीनो में वसवसे डालता है, जिन्नों और इंसानो में से

अल क़ुरान , सुराह आन-नास (114) , आयत 1-6 
---------------------

Al Quran : Say: I seek refuge with (Allah) the Lord of mankind , 
The King of mankind ,The God of mankind, 
From the evil of the whisperer (devil who whispers evil in the hearts of men) 
who withdraws (from his whispering in one's heart) 
Who whispers [evil] into the breasts of mankind 
From among the jinn and mankind 
Al Quran , Surah An-Nas (114) , Verse 1-6

Al Quran : Beshak jo log kafir hain unke maal aur unki aulad ALLAH ke muqable mein hargiz kaam nahi aayenge



Bismillahirrahmanirrahim 
.
Al Quran : Beshak jo log kafir hain unke maal aur unki aulad ALLAH ke muqable mein hargiz kaam nahi aayenge aur wo dozakh ka indhan hain, jis tarah firaun walo aur unse pahle ke logon ka haal hua unhone hamari nishaniyon ko jhutlaya phir ALLAH ne unke gunahon ke sabab se unki giraft farmayee aur ALLAH sakht azab dene wala hai 
Kafiron se kah do ki tum anqareeb maghlub ho jaoge aur Dozakh ki taraf haanke jaoge aur wo buri jagah hai 
Al Quran , Surah Aal-e-Imran (3) , 10-12
.
Al Quran : Jo Gunaahgar ( kaafir) hain wo ( Duniya mein) Momeeno se hansee kiya karte they, Aur jab unke pass se Guzartey to haqarat se ishaarey karte Aur jab apney ghar ko jaatey to itratey huye jaatey , aur jab in ( momeeno) ko dekhtey to kahtey ki ye to gumraah hain, haalanki wo un par nigraah (watchers )bana kar nahi bhejey gaye hain, To Aaj momeen kaafiron se hansee karengey (aur) takhton par ( baithey huye) unka haaal dekh rahey honge , to kaafiron ko unke kaamo ka badla mil gaya.
Al Quran , Surah Al-Mutaffifin 83, Verse 29-36
.
Hadith: Abu hurairah radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Duniya momeen ke liye Qaidkhana (jail) hai aur kaafir ke liye Jannat hai
Sahih Muslim, Vol 6 , 7417
--------------------------------------
Al Quran : Verily, those who disbelieve, neither their properties nor their offspring will avail them whatsoever against Allah; and it is they who will be fuel of the Fire. 
Like the behaviour of the people of Fir'aun (Pharaoh) and those before them; they belied Our Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.). So Allah seized (destroyed) them for their sins. And Allah is Severe in punishment.
Say to those who disbelieve: "You will be defeated and gathered together to Hell, and worst indeed is that place to rest.
Al Quran , Surah Aal-e-Imran (3) , 10-12
.
Al Quran : Verily, (during the worldly life) those who committed crimes ( kaafir) used to laugh at those who believed.And, whenever they passed by them, used to wink one to another (in mockery). And when they returned to their own people, they would return jesting;And when they saw them, they said: "Verily these have indeed gone astray!" But they (disbelievers, sinners) had not been sent as watchers over them (the believers).But this Day (the Day of Resurrection) those who believe will laugh at the disbelievers, On (high) thrones, looking (at all things).Are not the disbelievers paid (fully) for what they used to do?
Al Quran , Surah Al-Mutaffifin 83, Verse 29-36
.
Hadith: Abu Huraira RadiAllahuAnhu reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: The world is a prison-house for a believer and Paradise for a non-believer.
Sahih Muslim, Book 042, Number 7058