Bismillahirrahmanirrahim
✦ Al-Quran : Aur jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hain sab ALLAH hi ka hai, jise chahe bakhsh de aur jise chahe azab kare , Aur Allah bakhshne wala meharban hai
Surah Aal-e-Imran (3) , Verse #129
✦ Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya bani israil mein do shaksh they inmein se ek to Gunahgar tha aur dusra Ibadat mein koshish karne wala tha , Ibadat ki koshish karne wala hamesha dusre shaksh ko gunah karta hua hi dekhta tha aur us se kahta tha ki in gunaho se ruk ja.
✦ Ek roz usne (ibadat guzar ne) use koi gunah karte huye paya to us se kaha ki is se ruk ja to gunahgar ne kaha ki mujhe mere RAB ke saath chorh de , kya tu mujh par Nigahban bana kar bheja gaya hai ? usne (ibadat guzar ne) kaha ki Allah ki kasam Allah subhanahu teri maghfirat nahi karenge ya kaha ki Allah subhanahu tujhe jannat mein dakhil nahi karenge.
✦ phir un dono ki rooh Qabz kar li gayee to dono ki roohain Rabbul Aalameen ke samne jama huyee to Allah subhanahu ne Aabid ( ibadatguzar) se farmaya ki kya tu us cheez par Qadir hai jo mere qabze kudrat mein hai, aur gunahgar se farmaya ki ja jannat mein dakhil ho ja meri rahmat ke badaulat aur dusre se farmaya ki usey jahannam ki taraf le jao, Abu Hurairah Radi allahu anhu farmate hai ki Qasam hai us zaat ki us Aabid ( ibadatguzar) ne aisa kalma kah diya jisne uski duniya aur aakhirat dono tabah kar di
Sunan Abu Dawud, Vol3, 1469 - Sahih
✦ Hadith: Jundab Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Ek shaksh bola ki ALLAH subhanahu ki kasam Allah falah ko nahi bakhsega , ALLAH subhanahu ne farmaya wo kaun hota hai jo meri kasam khakar kahta hai ki main falah ko na bakhshunga , maine us (falah) ko bakhsh diya aur iske (kasam khane wale ) ke aamal
zaya kar diye.
Sahih Muslim, Vol 6, 6681
-------------------------------------------------------------------
✦ अल -कुरान : जो कुछ आसमानों में है और जो कुछ ज़मीन में हैं सब अल्लाह ही का है , जिसे चाहे बख्श दे और जिसे चाहे अजाब करे , और अल्लाह बख्शने वाला मेहरबान है
सुरह आल-ए-इमरान (3) आयत 129
✦ हदीस: अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया बनी इसराईल में दो शख्स थे इनमें से एक तो गुनाहगार था और दूसरा इबादत में कोशिश करने वाला था , इबादत की कोशिश करने वाला हमेशा दुसरे शख्स को गुनाह करता हुआ ही देखता था और उस से कहता था की इन गुनाहों से रुक जा, एक रोज़ उसने (इबादत गुज़ार ने) उसको कोई गुनाह करते हुए पाया तो उस से कहा की इस से रुक जा , गुनाहगार ने कहा की मुझे मेरे रब के साथ छोड़ दे क्या तू मुझ पर निगहबान बना कर भेजा गया है ? उसने (इबादत गुज़ार ने) कहा की अल्लाह की कसम , अल्लाह सुबहानहु तेरी मगफिरत नहीं फरमाएगा या कहा की अल्लाह सुबहानहु तुझे जन्नत में दाखिल नहीं करेगा , फिर उन दोनों की रूह कब्ज़ कर ली गयी तो दोनों की रूहें रब्बुल इज़्ज़त के सामने जमा हुई तो अल्लाह सुबहानहु ने आबिद (ईबादत गुज़ार ) से फ़रमाया की क्या तू उस चीज़ पर कादिर है जो मेरे क़ब्ज़ा ए कुदरत में है , और गुनाहगार से फ़रमाया की मेरी रहमत के बदोलत जन्नत में दाखिल हो जा और दुसरे के लिए फ़रमाया की इसको जहन्नम की तरफ ले जाओ , अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु फरमाते हैं की क़सम है उस ज़ात की उस आबिद (ईबादत गुज़ार ) ने ऐसा कलमा कह दिया जिसने उसकी दुनिया और आखिरत दोनों तबाह कर दी
सुनन अबू दावुद, जिल्द 4, हदीस 1469-सही
✦ हदीस: जुन्दब रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया एक शख्स बोला की अल्लाह सुबहानहु की क़सम अल्लाह फलाह शख्स को नहीं बख्शेगा (यानि माफ़ नहीं करेगा), अल्लाह सुबहानहु ने फ़रमाया वो कौन होता है जो मेरी क़सम खाकर कहता है की मैं फलाह को नहीं बख्शुन्गा मैंने उस (फलाह) को बख्श दिया और इस के (क़सम खाने वाले के) आमाल ज़ाया कर दिए
सही मुस्लिम , जिल्द 6 , हदीस 6681
-------------------------------------------------------------------
✦ AL Quran : And to Allah belongs all that is in the heavens and all that is
in the earth. He forgives whom He wills, and punishes whom He wills. And Allah
is Oft-Forgiving, Most Merciful.
Surah Aal-e-Imran (3) , Verse #129
✦ Hadith: Narrated AbuHurairah Radi Allahu Anhu I heard the Apostle of Allah
(peace_be_upon_him) say: There were two men among Bani Israil, who were
striving for the same goal. One of them would commit sin and the other would
strive to do his best in the world. The man who exerted himself in
worship continued to see the other in sin. He would say: Refrain from it. One
day he found him in sin and said to him: Refrain from it. He said: Leave me
alone with my Lord. Have you been sent as a watchman over me?
He said: I swear by Allah, Allah will not forgive you, nor will he admit
you to Paradise. Then their souls were taken back (by Allah), and they met
together with the Lord of the worlds. He (Allah) said to this man who had
striven hard in worship; Had you knowledge about Me or had you power over that
which I had in My hand? He said to the man who sinned: Go and enter Paradise by
My mercy. He said about the other: Take him to Hell. AbuHurayrah said: By Him
in Whose hand my soul is, he spoke a word by which this world and the next
world of his were destroyed.
Sunan Abu Dawud, Book41, 4883 - Sahih
✦ Jundub reported that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam stated
that a person said:
Allah would not forgive such and such (person). Thereupon Allah the Exalted
and Glorious, said: Who is he who adjures about Me that I would not grant
pardon to so and so; I have granted pardon to so and so and blotted out his
deeds (who took an oath that I would not grant pardon to him).
Sahih Muslim, Book 32, Hadith 6350
No comments:
Post a Comment