Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, December 22, 2020

✦ Aise Momeen ke liye dua jisko humne kabhi bura kaha ho ya takleef di ho

  













Bismillahirahmanirraheem

✦ Aise Momeen ke liye dua jisko humne kabhi bura kaha ho ya takleef di ho
------------
✦ Abu Huraira Radi Alalhu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne is tarah dua farmayee

اللَّهُمَّ فَأَيُّمَا مُؤْمِنٍ سَبَبْتُهُ فَاجْعَلْ ذَلِكَ لَهُ قُرْبَةً إِلَيْكَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
Allahumma Fa-Ayyuma Mumineen Sabbatuhu Faj'al Zalika Lahu Qurbatan ilaika Yaum-Al-Qayamah.
✦ Eh Allah maine jis momeen ko bhi bura kaha ho (ya taklif di ho)  tu us baat ko uske liye Qayamat ke din apne qareeb hone ka  jariya bana de
Sahih Bukhari, Jild 7, Hadith 6361
------------
 ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس طرح دعا فرمائی 

اللَّهُمَّ فَأَيُّمَا مُؤْمِنٍ سَبَبْتُهُ فَاجْعَلْ ذَلِكَ لَهُ قُرْبَةً إِلَيْكَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
 اے اللہ میں نے جس مومن کو بھی برا کہا ہو  (یا تکلیف دی ہو) تو اس بات کو اس  کے لیے قیامت کے دن اپنے قریب ہونے  کا ذریعہ بنا دے۔ 
صحیح بخاری جلد ٧ حدیث  ٦٣٦١ 
------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इस तरह दुआ फरमाई 

اللَّهُمَّ فَأَيُّمَا مُؤْمِنٍ سَبَبْتُهُ فَاجْعَلْ ذَلِكَ لَهُ قُرْبَةً إِلَيْكَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
अल्लहुम्मा फाअय्युमा मुमीनीन सबबताहू फाज़'अल ज़ालीका लहू क़ुरबतन इलयका यौम-अल-क़ियामाह
 
एह अल्लाह मैने जिस मोमीन को भी बुरा कहा हो (या तकलीफ दी हो)  तू उस बात को उसके लिए क़यामत के दिन अपने क़रीब होने का ज़रिया बना दे
सही बुखारी, जिल्द 7, हदीस 6361
---
✦ Narrated Abu Huraira Radi Alalhu Anhu that he heard the Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said this supplication

اللَّهُمَّ فَأَيُّمَا مُؤْمِنٍ سَبَبْتُهُ فَاجْعَلْ ذَلِكَ لَهُ قُرْبَةً إِلَيْكَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
Allahumma fa Ayyuma Mumineen Sabbatuhu Faj'al Zalika Lahu Qurbatan ilaika Yaum-Al-Qayamah.
✦ O Allah  If I should ever abuse (or hurt) a believer, please let that be a means of bringing him near to You on the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari,, Hadith 6361



Sunday, December 20, 2020

✦: Gunaho ko khatam karne ki dua

 





Bismillahirrahmanirrahim




✦: Gunaho se dur hone ki dua

----------

اللَّهُمَّ بَاعِدْ بَيْنِي وَبَيْنَ خَطَايَاىَ كَمَا بَاعَدْتَ بَيْنَ الْمَشْرِقِ وَالْمَغْرِبِ

----------

اے اللہ  مجھ میں اور میرے گناہوں میں اتنی دوری کر دے جتنی مشرق اورمغرب میں دوری ہے 

----------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam is tarah dua maanga karte they

 Eh Allah mujh mein aur mere gunahon mein itni duri kar de jitni Mashriq aur Maghrib mein duri hai

----------

✦: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam Used to say O Allah let there be a long distance between me and my sins, as You made East and West far from each other

----------

Sahih Bukhari 6368

Thursday, December 17, 2020

Mix Four Azkar 40

 



Bismillahirrahmanirraheem

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
✦: La Ilaha IlAllah
✦: Allah ke Siwa koi Maabood nahi
✦: There is no God Except Allah 
==========================
 اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ‌‏
Allahumma Aainni Ala Zikrika Wa Shukrika Wa Husni ibadatika 
✦:  Eh Allah , meri madad kar tera zikr karne mein , aur tera shukar ada karne mein aur teri achchi ibadat karne mein
✦: O Allah, Help me in remembering You, in giving You thanks, and worshipping You well.
==========================
يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ
✦: Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak
✦:Eh dilo ko phenrne wale mere dil ko tere deen par qayam rakh
✦:O Changer of the hearts, make my heart firm upon Your religion
==========================
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
✦: Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah
✦:Eh Allah main tujhse duniya aur aakhirat mein magfirat aur aafiyat maangta hun.
✦: O Allah, I ask You for forgiveness and Al-Aafiyah (well-being) in this world and in the Hereafter.


 

✦: Gunaho ko khatam karne ki dua

 





Bismillahirrahmanirraheem

✦: Gunaho ko khatam karne ki dua
----------
اللَّهُمَّ اغْسِلْ عَنِّي خَطَايَاىَ بِمَاءِ الثَّلْجِ وَالْبَرَدِ
-----------
✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam is tarah dua maanga karte they 
Eh Allah mere Gunahon ko Burf aur Oley ke paani se dho de 
-------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم اس طرح دعا مانگا کرتے تھے 
اے اللہ ! میرے گناہوں کو برف اور اولے کے پانی سے دھودے 
-----------
✦: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam used to say 
O Allah  Wash away my sins with the water of snow and hail
----------
Sahih Bukhari 6368



Kisi ko rukhsat (see off) karne ki dua

 














Bismillahirrahmanirraheem

Kisi ko rukhsat (see off) karne ki dua
--------------
✦ Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam jab Kisi ko rukhsat farmate to is tarah kahte

أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ
Astawdiullaha Deenaka Wa Amanataka Wa khawatima Amalika
Mein tumare din tumari amanat aur tumare anjam ko Allah Subhanahu Ke supurd karta hu
Sunan Abu Dawud,2601 Sahih
--------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم  جب کسی کو رخصت کرتے تو اس طرح فرماتے 
* أستودع الله دينك وأمانتك وخواتيم عملك*
میں تمہارے دین، تمہاری امانت اور تمہارے انجام  کو اللہ کے سپرد کرتا ہوں ۔ 
سنن ابو داوود  ٢٦٠١ صحیح 
---------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  जब किसी को रुखसत करते तो इस तरह फरमाते 
أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ
मैं तुम्हारे  दिन तुम्हारी अमानत और तुम्हारे अंजाम को अल्लाह सुबहानहु के सुपुर्द करता हूँ 
सुनन अबू दाऊद, 2601-सही 
----
✦ When RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam see off to somebody he used to say 
أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ
Astawdiullaha Deenaka Wa Amanataka Wa khawatima Amalika
✦ I entrust to Allah your religion and your trusts and your final deeds. 
Sunan Abu Dawud 2601-Sahih











Tuesday, December 8, 2020

Mix Four Azkar - 39

  




Bismillahirrahmanirraheem


لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ المُلكُ وَ لَهُ الحَمدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيءٍ قَدِيرٌ

✦:  La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir

✦: Allah ke siwa koi sachcha mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi , usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai aur wo har cheez par qadir hai

✦: There is no Lord except Allah , Alone with no partner, to Him belongs the dominion, and to Him is all the praise, and He has power over all things

---------

‎سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ  عَدَدَ خَلْـقِه وَ رِضـا نَفْسِـه وَزِنَـةَ عَـرْشِـه وَ مِـدادَ كَلِمـاتِـه

✦ SubhanAllaahi wa bihamdihi Adada khalqihi ,Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi  Wa Midaada Kalimaatihi

✦ Main Allah subhanahu ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur uski khushi ke barabar, Aur uske Arsh ke wazan ke barabar, aur uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar.

✦ Glory is to Allaah and praise is to Him, according to the number of His creation and according to the pleasure of His Self and according to the weight of His Throne and according to the ink (used in recording) words (for His Praise)

---------

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ 

✦:Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 

✦: Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu 

✦: I seek the forgiveness of Allah the Almighty whom there is no god except him , The Living , The Eternal and I repent unto him

---------

أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu

✦: Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam)Allah ke bande aur Rasool hain

✦: I Bear witness that there is no God except Allah, and I bear witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah

✦: Maal aur Aulad mein barkat ki dua

 





Bismillahirrahmanirrahim

✦: Maal aur Aulad mein barkat ki dua
---------
اللَّهُمَّ أَكْثِرْ مَالَى وَوَلَدَى، وَبَارِكْ لَى فِيمَا أَعْطَيْتَى
---------
Allahummakthir Maalee Wa Waladee wa Bariklee Feema Aatayat
---------
✦: Eh Allah mere Maal aur Aulad mein barkat ata farma , aur jo kuch tune mujhe ata kiya hai usmein barkat ata farma
---------
✦: O Allah Increase my wealth and children, and grant your  Blessing on whatever You give me
---------
Sahih Bukhari 6344



Wednesday, November 18, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1275❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1275*❗

Sawal : Wo kya hai jisko log sabse pahle islam mein halal bana lenge ? 

A. Zina

B. Sood 

C. Sharab

D. Zulm

E. Bidat

F. Amanat

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1275*❗

Sawal : What is that impermissiblething  , the people will take make it permissiblein Islam? 

A. Zina (illegal intercourse)

B. Riba ( usuary)

C. Drinking Wine

D. Oppression

E. Innovation 

F. Amanah (Security)

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅ Sahih Jawab : C 💐✅*
-----
Aisha Radi Allahu Anha Se Riwayat Hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Pahli Cheez Jise Islam (ke hukmo) se nikal diya jayega woh Sharab hai (Yani iske Bare mein Islam ke Hukum ki Parwah nahi Ki Jayegi aur isko halal bana diya jayega) 

Kaha Gaya: Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ye kaise Hoga ? Halanke Allah Taala ne Puri Wazahat Farma Di hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Woh Iska Naam Tabdeel kar denge (Aur phir isko pine lag jayenge)
Al Silsila Shaiha -2543


*💐✅ Answer : C 💐✅*
-----
Narretd by Aisha Radi Allahu Anha  Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said the first thing which will be removed from the restriction of islam is drinking wine , ( It means people will make it permissible in Islam) , it was asked Oh Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam how could it be possible , Even Allah subhanahu has cleared everything for it, , Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said people will change its name (and start drinking)
Al Silsila Shaiha -2543

Tuesday, November 17, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1274❗

  

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1274*❗

*Sawal 1 : Wo kaunse sahabi hain jinke bete ke sir par haath pher kar Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne unke bete ka naam ek Nabee ke naam ki tarah rakha ?*


A. Abdullah ibn Umar

B. Abdullah ibn Masood

C. Abdullah ibn Zubair

D. Abdullah ibn Dinar

E. Abdullah ibn Umar

F. Abdullah ibn Salam

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Sawal 2 : Kaunse Nabee ke naam par unka naam rakha ?*

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Idris Alaihi Salam

D. Yahya Alaihi Salam

E. Ayyub Alaihi Salam

F. Yunus Alaihi Salam

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1274*❗


*Once Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam took a child on his lap and stroke his head and give him a name of a Prophet name ?*


Quiz 1 : What is the father name of that Sahabi ?

A. Abdullah ibn Umar

B. Abdullah ibn Masood

C. Abdullah ibn Zubair

D. Abdullah ibn Dinar

E. Abdullah ibn Umar

F. Abdullah ibn Salam

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


Sawal 2 : His name was kept like a prophet name , what was it ?

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Idris Alaihi Salam

D. Yahya Alaihi Salam

E. Ayyub Alaihi Salam

F. Yunus Alaihi Salam

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅ Sahih Jawab : FG 💐✅*

-----

Yusuf bin Abdullah ibn salam Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe apni Godd mein bithaya aur mere sir par haath phera aur mera naam Yusuf rakha

Musnad Ahmed 11899-Sahih


*💐✅ Answer: FG 💐✅*

-----

Yusuf ibn Abdullah ibn Salam Radi Allahu anhu said Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam named me Yusuf and let me sit in his lapand stroked my head

Musnad Ahmed 11899-Sahih


Monday, November 16, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1273❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1273*❗


*Sawal : Jab Allah subhanahu ne Saat aasmano ko banaya to us se pahle wo aasman kya tha ?*


A. Pani

B. Dukhan

C. Ret ka zarra

D. Jannat ka dhuaan

E. Samundar

F. Dozakh ka dhuuan

G. inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1273*❗

*Quiz: Before creating the seven heavens , what was that heaven ?*


A. Water

B. Dukhan

C. An Atom o sand

D. Smoke of paradise

E. Sea

F. Smoke of Hell

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅ Sahih Jawab : B 💐✅*

-----

Al Quran : Phir wo (Allah) aasman ki taraf mutwajja huye aur wo dukhan (uani dhuaan) tha to us ne us se aur zameen se farmaya ki dono khushi se aao ya na khushi se , unhone kaha ki hum khushi se aate hain, phir unhe do din mein saat aasman bana diya aur usne har ek aasman mein uske kaam ka hukm bheja aur hamne pahle aasman ko chirogon se zeenat di hai aur hifazat  ke liye bhi ye zabardast har cheez ke janne wale ka andaza hai

Surah Fussilat 41: 11-12


*💐✅Answer : B 💐✅*

-----

Al Quran : Then He directed Himself to the heaven while it was smoke (Dukhan) and said to it and to the earth, "Come [into being], willingly or by compulsion." They said, "We have come willingly.And He completed them as seven heavens within two days and inspired in each heaven its command. And We adorned the nearest heaven with lamps and as protection. That is the determination of the Exalted in Might, the Knowing. 

Surah Fussilat 41: 11-12


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1272❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1272*❗

Sawal 1 :  Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki kunnyat kya hai ?

A. Abu Zindan

B. Khairul Bashar

C. Abul Qasim

D. Abu Hashim

E. Abdul Mutallib

F. Hashmi

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Sawal 2 : Wo kaunse sahabi hain jinko wo kunniyat rakhne ki khas ejazat mili ?

A. Abu Bakr Radi allahu anhu

B. Umar Radi allahu anhu

C. Uthman Radi allahu anhu

D. Ali Radi allahu anhu

E. Abdullah bin Masood Radi allahu anhu

F. Owais Qarni Radi allahu anhu

G. inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1272*❗

*Quiz 1 :  What is the kunnya of Prophet Muhammed Sallallahu Alahih Wasallam ?*

A. Abu Zindan

B. Khairul Bashar

C. Abul Qasim

D. Abu Hashim

E. Abdul Mutallib

F. Hashmi

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*Quiz 2 :  Which Sahabi has got the special permission to keep the same kunnya as  Prophet Sallallahu Alahih Wasallam ?*

A. Abu Bakr Radi allahu anhu

B. Umar Radi allahu anhu

C. Uthman Radi allahu anhu

D. Ali Radi allahu anhu

E. Abdullah bin Masood Radi allahu anhu

F. Owais Qarni Radi allahu anhu

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅Sahih Jawab : CD 💐✅*

-----

Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ek martaba Bazaar me they ke Ek Shaqsh ne pukara Ya Abal Qasim! Aap Sallallahu Alahihi Wasallam ne uski taraf dekha. (Kyunke aapki kuniyat Abul Qasim hi thi) uspar us Shakhs ne kaha ke maine toh usko bulaya tha. (Yani ek dusre shakhs ko jo Abul Qasim hi kuniyat rakhta tha) Aap Sallallahu Alahihi Wasallam ne farmaya ke tum log mere naam par naam rakha karo lekin meri Kuniyat tum apne liye na rakho

Sahih Bukhari 2120


Ali Radi Allahu Anhu ne farmaya  Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Is  Bare Mein Aapka Kya Khayaal Hai ke agar Aapke baad Mera beta ho to mein iska bhi Aap wala naam rakhu Aur Kuniyat bhi Aap wali hi rakhu? to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam  ne Farmaya: Ji Theekh hai Rawi kahta hai : Yeh Nabi ki Taraf se Ali Radi Allahu Anhu ko khas Rukhsat Thi

Musnad Ahmed-4758


*💐✅Answer : CD 💐✅*

-----

✦: Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu  While the Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam was in the market, somebody, called, "O Abul-Qasim." Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam turned to him. The man said, "I have called to this (i.e. another man)." Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Name yourselves by my name but not by my Kunya (name)." (In Arabic world it is the custom to call the man as the father of his eldest son, e.g. Abul-Qasim.) 

Sahih Bukhari Book 34, Hadith 331


✦: Once Ali Radi Allahu Anhu Said Oh Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam what you think , If I had a son after you and I keep his name same like you and also the kunya ? Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam said , Ok You can, Narrater said that this was the special permisison to the Ali Radi Allahu Anhu  from the Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam 

Musnad Ahmed-4758

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1271❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1271*❗


*Quran ke in lafzo ko unke mayno se milan kijiye - Match the following (Refer : Surah Baqarah)*


A. الْحَجَرَ -Al-Hajar

B. الْعِجْلَ - Al-ijla

C. الصَّاعِقَةُ - As-Saiqatu

D. مَوْتِكُمْ - Mawtikum

E. الْغَمَامَ - Al-Ghamama

F. الْقَرْيَةَ - Al-Qaryat

G. رِجْزًا - Rijzan

H. Rabbi zidni ilman

----------

1. Badal

2. Qayamat

3. Bijli

4. Azab

5. Paththar

6. Shahar

7. Hamari Maut

8. Bachda

9. Inmein se koi nahi


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1271*❗


*Match the following Quranic words with their meanings (Refer : Surah Baqarah)*


A. الْحَجَرَ -Al-Hajar

B. الْعِجْلَ - Al-ijla

C. الصَّاعِقَةُ - As-Saiqatu

D. مَوْتِكُمْ - Mawtikum

E. الْغَمَامَ - Al-Ghamama

F. الْقَرْيَةَ - Al-Qaryat

G. رِجْزًا - Rijzan

H. Rabbi zidni ilman

----------

1. Cloud

2. Qayamat

3. Thunderbolt

4. Punishment

5. Stone

6. City

7. Your death

8. Calf

9. None of the above


*💐✅Sahih Jawaab : 5839164💐✅*

-----

وَإِذِ اسْتَسْقَىٰ مُوسَىٰ لِقَوْمِهِ فَقُلْنَا اضْرِب بِّعَصَاكَ *الْحَجَرَ*

Phir Jab Moosa ne Apni Qaum ke liye paani maanga toh Humne kaha Apne Asa ko *Paththar* par Maar

*Surah Al-Baqrah - 02:60*

-----

قَالَ مُوسَىٰ لِقَوْمِهِ يَا قَوْمِ إِنَّكُمْ ظَلَمْتُمْ أَنفُسَكُم بِاتِّخَاذِكُمُ *الْعِجْلَ*

Aur jab Moosa Alaihi salam ne Apni Qaum se kaha:  Eh Meri Qaum beshak tumne *Bachda* banakar apni Jaanon par zulm kiya

*Surah Al-Baqrah - 02:54*

-----

وَإِذْ قُلْتُمْ يَا مُوسَىٰ لَن نُّؤْمِنَ لَكَ حَتَّىٰ نَرَى اللَّـهَ جَهْرَةً فَأَخَذَتْكُمُ *الصَّاعِقَةُ* وَأَنتُمْ تَنظُرُونَ

Aur jab tumne kaha Eh Musa Alaihi salam hum hargiz tera Yaqeen nahi karenge jab tak ke Roobaroo Allah ko Dekh na lein tab tumhe *Bijli* ne dekhte hi dekhte Aa liyaa

*Surah Al-Baqrah - 02:55*

-----

ثُمَّ بَعَثْنَاكُم مِّن بَعْدِ *مَوْتِكُمْ* لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

Phir humne tumhe *Tumhaari Maut* ke baad Zinda kar uthaya taake tum Shukr karo

*Surah Al-Baqrah - 02:56*

-----

وَظَلَّلْنَا عَلَيْكُمُ *الْغَمَامَ* وَأَنزَلْنَا عَلَيْكُمُ الْمَنَّ وَالسَّلْوَىٰ ۖ

Aur Humne tum par *Badal* ka Saaya kiya aur tum par Mann o Salva utara

*Surah Al-Baqrah - 02:57*

-----

وَإِذْ قُلْنَا ادْخُلُوا هَـٰذِهِ *الْقَرْيَةَ*

Aur jab Humne kaha Iss *Shahar* me dakhil ho jao

*Surah Al-Baqrah - 02:58*

-----

فَأَنزَلْنَا عَلَى الَّذِينَ ظَلَمُوا *رِجْزًا* مِّنَ السَّمَاءِ بِمَا كَانُوا يَفْسُقُونَ

سو ہم نے ان ظالموں پر ان کی نافرمانی کی وجہ سے آسمان سے عذاب نازل کیا

So Humne un Zaalimon par unki Nafarmaani ki wajeh se Aasmaan se *Azaab* Nazil kiya

*Surah Al-Baqrah - 02:59*


*💐✅ Correct Answer : 5839164 💐✅*

-----

وَإِذِ اسْتَسْقَىٰ مُوسَىٰ لِقَوْمِهِ فَقُلْنَا اضْرِب بِّعَصَاكَ *الْحَجَرَ*

And [recall] when Moses prayed for water for his people, so We said, "Strike with your staff the *Stone*

*Surah Al-Baqrah - 02:60*

-----

قَالَ مُوسَىٰ لِقَوْمِهِ يَا قَوْمِ إِنَّكُمْ ظَلَمْتُمْ أَنفُسَكُم بِاتِّخَاذِكُمُ *الْعِجْلَ*

And [recall] when Moses said to his people, "O my people, indeed you have wronged yourselves by your taking of the *Calf* [for worship]

*Surah Al-Baqrah - 02:54*

-----

وَإِذْ قُلْتُمْ يَا مُوسَىٰ لَن نُّؤْمِنَ لَكَ حَتَّىٰ نَرَى اللَّـهَ جَهْرَةً فَأَخَذَتْكُمُ *الصَّاعِقَةُ* وَأَنتُمْ تَنظُرُونَ

And [recall] when you said, "O Moses, we will never believe you until we see Allah outright"; so the *Thunderbolt* took you while you were looking on

*Surah Al-Baqrah - 02:55*

-----

ثُمَّ بَعَثْنَاكُم مِّن بَعْدِ *مَوْتِكُمْ* لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

Then We revived you after *Your death* that perhaps you would be grateful.

*Surah Al-Baqrah - 02:56*

-----

وَظَلَّلْنَا عَلَيْكُمُ *الْغَمَامَ* وَأَنزَلْنَا عَلَيْكُمُ الْمَنَّ وَالسَّلْوَىٰ ۖ

And We shaded you with *Clouds* and sent down to you Manna and Quails

*Surah Al-Baqrah - 02:57*

-----

وَإِذْ قُلْنَا ادْخُلُوا هَـٰذِهِ *الْقَرْيَةَ*

And [recall] when We said, "Enter this *City*

*Surah Al-Baqrah - 02:58*

-----

فَأَنزَلْنَا عَلَى الَّذِينَ ظَلَمُوا *رِجْزًا* مِّنَ السَّمَاءِ بِمَا كَانُوا يَفْسُقُونَ

سو ہم نے ان ظالموں پر ان کی نافرمانی کی وجہ سے آسمان سے عذاب نازل کیا

so We sent down upon those who wronged a *Punishment* from the sky because they were defiantly disobeying.

*Surah Al-Baqrah - 02:59*


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1270❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1270*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Rasool Allah Sallallahu Alahih wasallam Namaz ke baad kaun kaun seee cheezo se panah maangte they ?*

A. Maal se

B. Dozakh ke azab se

C. Qabr ke azab se 

D. Zindagi aur maut ke fitne se 

E. Duniya ke fitno se

F. Dajjal ke fitno se

G. Buzdili se

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1270*❗


*Answer are more than one*


*Quiz : From which things Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam used to seek refuge after prayer?*


A. Wealth

B. Punishments of Hell

C. Punishments in the grave

D. Trials of the life and death

E. Afflictions of the world

F. Trials of the Dajjal

G. Cowardice

H. Rabbi Zidni ilma 


 ✅ *Sahi Jawab CEG* 💐

--------

Saad Radi Allahu Anhu apne beton ko ye kalimat iss tarha seekhate they jis tarha ustad bachon ko sabaq yaad karwate wo farmate they ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam har Namaz ke baad inn kalmat ke saath Allah subhanahu ki panah manga karte they 

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ ، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ*

Eh Allah main  buzdili se teri panaha mangta hu, aur panaha chahata hu us se ke mujhe zalil tareen umar mein pauchaya jaye 

aur main duniya ke fitnon aur Qabr ke azab se teri panah mein aata hu

Sahih Bhukari - 2822


 ✅ *Answer CEG* * 💐

--------

Narrated `Amr bin Maimun Al-Audi:

Sad used to teach his sons the following words as a teacher teaches his students the skill of writing and used to say that Allah's Messenger (ﷺ) used to seek Refuge with Allah from them (i.e. the evils) at the end of every prayer. The words are:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ

 'O Allah! I seek refuge with You from cowardice, and seek refuge with You from being brought back to a bad stage of old life and seek refuge with You from the Afflictions of the world, and seek refuge with You from the punishments in the grave.'

Sahih Bukhari-2822

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1269❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1269*❗


*Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek baar do burey logo ka zikr kiya jismein se ek to Saleh Alaihi salam ki quam se tha aur dusra is ummat mein*


*Sawal : Jo dusra bura shaksh tha uska kya gunah tha ?*


A. Uski wajah se ek sahabi shaheed huye they

B. Uski wajah se do qabeelo mein jung huyee thi

C. usne Nabuwat  ka dawa kiya tha

D. Usne Musalmano mein fitna daalne ke liye Masjid Al zirar ki tameer karwayee thi

E. Wo bahut bada munafiq tha

F. Usne Aap SallAllahu Alaihi wasallam par oont ki gandagi phenki thi

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1269*❗

*Once Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mentioned two worse person, one of them was belong to the people of saleh Alaihi salam and other was among this ummah*


*Quiz :  What was the sin of the second person ?*


A. A Sahabi got killed because of him

B. He caused a war between two tribes

C. He falsely claimed that he is a propet

D. He built Masjid Al zirar to create the fitna among the believers

E. He was a big Hypocrite

F. He Thrown the intestine of camel on prophet Sallallahu Alaihi Wasallam

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)





 ✅ *Sahi Jawab A* 💐

--------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya pehle logo mein sabse bada bad bakht wo tha jisne ( Saleh Alaihi Salam ke mojaze)ki Oonthni ki tange kaat di thi aur Eh Ali (Radi Allahu Anhu) Agle logo mein bada bakht tareen wo hoga jo tum par Neze ka war karega phir Aap Sallallahu Alahih wasallam ne Neze wali jagah ki taraf ishara bhi kiya

Al-Silsila As-Sahiha-3093


✦: Note : Ali Radi Allahu Anhu par neze se war karne wala Abd al-Rahman ibn Muljam naam ka ek Kharji tha,  kufe mein jab  Ali radi Allahu anhu fajr ki namaz padh rahe they aur sajde mein they us waqt us kharji ne un par war kiya tha , jiski wajah se kuch din baad Ali radi Allahu anhu Shaheed ho gaye 


 ✅ *Answer A* 💐

--------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said the worse person among the previous nations was the one who cut the legs of the Camel of Saleh Alaihi salam and then said Oh Ali (Radi Allahu Anhu) from this nation that will be the worse who will attack on you by his spear (kind of sword) and then he showed the place where he will attack with the spear 

Al-Silsila As-Sahiha-3093


✦: Note : The one who attacked on Ali radi Allahu anhu was  Abd al-Rahman ibn Muljam and he was Khwarij, while  Ali radi Allahu anhu was praing in fajr and he was in prostration that time he attacked on him with his spear deeped with poison and laterAli radi Allahu Anhu got martyr


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1268❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1268*❗

*Sawal 1 : Wo kaunsa Rahib tha jisne sabse pahle Rasool-Allah Sal-Allaahu alaihi Wasallam ko pahchan liya ki Aap Nabee hain ?*

*Sawal 2 : Inmein se wo kaun hai Jiske liye RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne jannat mein ek ya do baag dekhe they ?*


A. Abu Talib

B. Naufal

C. Ibn Seena

D. Abu Hisham

E. Ibn Saad

F. Warqa

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1268*❗


*Quiz 1 : Who was that monk who identified the Rasool-Allah Sal-Allaahu alaihi Wasallam as a Prophet ?*


*Quiz 2 : For whom RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam saw one or two garden in paradise ?*


A. Abu Talib

B. Naufal

C. Ibn Seena

D. Abu Hisham

E. Ibn Saad

F. Warqa

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


 ✅ *Sahi Jawab GF* 💐

--------

✦: Abu Talib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko saath lekar mulk e sham rawana huye aur basra ke muqam par muqam kiya to waha ek Bahira naam ka rahib uski khnqah mein raha karta tha , ye nasraniyo ka bada aalim tha , usne dekha ki us kafile mein tamam logo ko chorh kar sirf Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam par ek badal saya kiye huye chala ja raha hai , jab wo kafila ek darakht ke kareeb gaya to us darakht ki shakhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam par saaya karne lagi ye dekh kar wo rahib apni khanqah se utra aur sare qafile walo ko apne paas bula liya aur un nishaniyo ko gaur se dekhne laga jo usko pahle se malum thi ono shano ke beech mein Muhar e Nabuwat nazar aayee Hisham bin Muhammad rivayat karte hain ki jab Abu talib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko lekar mulk e sham aaye to us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki umar 9 baras thi. Abu Musa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki rahib (bahira) Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke kareeb aaya aur unka haath pakada aur kahne laga ye sare aalam ke sardar hain ye Rabbul Alameen ke Rasool hain, inko Allah subhanahu sare jahan ke liye rahmat bana kar mabuus farmayega Quraish ke sheikh ne us rahib se pucha tumko ye bata kaise malum huyee to usne kaha ki jab tum ghati mein aaye to koi darakht ya paththar aisa na tha jo saze mein gir padha ho aur jamadat aur nabatat sirf Nabeeyo ke samne sazda karte hain aur maine unki muhr e nabuwat bhi dkehi jo saib (apple) ke barabar thi jo unke dono shano ke darmiyan hain

Tarikh At Tabri Jild 2, Page 47-48-Hasan

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Warqa Radi Allahu Anhu ko bura mat kaho kyunki maine uske liye ek ya do baag dekhe hain

Al-Silsila As-Sahiha-3626


 ✅ *Answer GF* 💐

--------

Abu talib took prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam to the Syria with him on a trading expedition, The caravan halted at Busra in Syria, where there was a learned Christian monk named Bahira in his cell. Ehile he was in his cell he had seen the Messenger of God shaded by a cloud which marked him out from among the company. Then they hadcome near, and, when they halted in the shade of a tree close to him, he observed the cloud covering the tree and bending down its branches over the Messenger of God until he was in the shade beneath it. When Bahira saw this, he descended from his cell and sent the caravan a message inviting them all. When he saw the Messenger of God, he observed him very intently, noting features of his person whose description he had found in his book After the company had finished the meal and dispersed, he asked the Messenger of God about certain matters which had taken place both when he was awake and 

when he was asleep. The Messenger of God told him, and he found that these things corresponded to the description which he had found in his book. Finally he looked at Muhammad's back, and saw the seal of prophethood between his shoulders.

Tarikh At Tabri Jild 2, Page 47-48-Hasan


✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said dont say evil to Warqa Radi Allahu Anhu beause I saw one or two gardens in the paradise for him

Al-Silsila As-Sahiha3626

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1267❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1267*❗

*Sawal : Wo kaunsa amal hai jisko karne se pet iman se bhar jata hai ?*

A. Apne Gusse ko pi jana

B. Fajr ke waqt Quran ki tilawat karna

C. Allah ki raah mein pet par zakhm khana

D. Logo ke aibo ko apne andar chupa lena

E. Allah ke liye roza rakhna

F. khud bhukhe rahkar miskeen ko khana khila dena

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1267*❗


*Quiz: What is that deed if a believers perform Allah fills his stomach with faith ?*

A. Controlling the anger

B. Reading Quran in fajr 

C. Getting wound in stomach in the way of Allah 

D. Concel the faults of believers 

E. Fasting for the sake of Allah

F. Instead of being hungry, feed the poor 

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


 ✅ *Sahi Jawab A* 💐

--------

RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya koi ghoont aisa nahi hai, jo Allah Subhanahu ke paas ghusse ke us ghoont se zyada pasandeedah ho, jisko banda pi hata hai, jab banda Allah Subhanahu ke liye gusse ke ghoont ko pita hai toh Allah Subhanahu uske pet ko imaan se bhar deta hai
Musnad Ahmed-9169 Sahih


 ✅ *Answer A* 💐

--------

RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said there is no sip most liked by Allah , as he likes the sip of anger, which his slave drinks

(means control the anger) , When any slave drink the sip of anger for the sake of Allah , Allah fills his stomach with faith

Musnad Ahmed-9169 Sahih

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1266❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1266*❗

*Sawal : Allah Subhanahu ne duniya mein logo ko ek dusre par darje kyu buland kiye huye hain  ?*


A. Kufr aur iman mein farq malum karne ke liye

B. Ek dusre se khidmat lene ke liye

C. Taaki Ye malum ho jaye ki kaun achche amal karta hai

D. Logo ka jannat mein darja badhane ke liye

E. Taaki log Allah subhanahu ko bahut zyada yaad karey

F. Haq aur batil mein farq alum karne ke liye 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1266*❗

*Sawal : Why Allah has raised some of people above others in ranks  ?*

A. To diffrentiate between the belief and disbelief 

B. Some may employ others in their work

C. To know who perform good deeds 

D. To rise their ranks in paradise

E. So that people may remember Allah a lot

F. To diffrentiate between the truth and flasehood

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


 ✅ *Sahi Jawab B* 💐

--------

أَهُمْ يَقْسِمُونَ رَحْمَتَ رَبِّكَ ۚ نَحْنُ قَسَمْنَا بَيْنَهُم مَّعِيشَتَهُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا

وَرَفَعْنَا بَعْضَهُمْ فَوْقَ بَعْضٍ دَرَجَاتٍ لِّيَتَّخِذَ بَعْضُهُم بَعْضًا سُخْرِيًّا ۗ وَرَحْمَتُ رَبِّكَ خَيْرٌ مِّمَّا يَجْمَعُونَ

--------

Al Quran : Kya wo Aapke Rabb ki rahmat taqseem karte hain, unki Rozi to hamne unke darmiyan duniya ki zindagi mein taqseem ki hai aur aur hamne ek ke dusre per darje buland kiye  taaki ek dusre se khidmat le, aur jo kuch yeh jama karte hain aapke Rabb ki rahmat  is se kahin bahtar hai.
Surah Zukhruf 43:32


 ✅ *Answer B* 💐

--------

أَهُمْ يَقْسِمُونَ رَحْمَتَ رَبِّكَ ۚ نَحْنُ قَسَمْنَا بَيْنَهُم مَّعِيشَتَهُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا

وَرَفَعْنَا بَعْضَهُمْ فَوْقَ بَعْضٍ دَرَجَاتٍ لِّيَتَّخِذَ بَعْضُهُم بَعْضًا سُخْرِيًّا ۗ وَرَحْمَتُ رَبِّكَ خَيْرٌ مِّمَّا يَجْمَعُونَ

--------

Is it they who would portion out the Mercy of your Lord? It is We Who portion out between them their livelihood in this world, and We raised some of them above others in ranks, so that some may employ others in their work. But the Mercy (Paradise) of your Lord  is better than the (wealth of this world) which they accumulate 
Surah Zukhruf 43:32