Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, February 19, 2018

♥ Azkar Al Masah- Evening Azkar - Sham ko padhne ke Azkar in Roman ♥


بسم الله الرحمن الرحيم
In Azkar ko roz shaam aap padhne ki aadat bana lijiye, in sha Allah aapki duniya aur aakhirat behatreen ho jayegi aur aap bahut sari museebato, pareshaniyo, hadso se mehfooz rahoge aur aapke rizq mein bhi barkat hogi




1.   Ayat Al Kursi ki Fazilat
--------------------
Hadith 1:  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi isko
 (Ayat Al kursi ko) subha padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega
Al-Hakim, Al Targeeb wa Al Tarheeb
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ
مَن ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِندَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ
وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِّنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ
وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ
Allahu La ilaha illa huwa, Alhayyul Qayyum
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum,
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard)
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih,
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum,
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa,
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard)
Wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma), wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
Al Quran Surah Al Baqara (2), Verse 255

Tarjuma: ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi, Zinda hamesha rahne wala,use na ungh aati hai na neend, jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai, kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,jo kuch logo ke
ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe, uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai
 


2 Hadith:  Ye teen surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi
Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas ,
Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain)
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ، اللَّـهُ الصَّمَدُ، لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ، وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam
Yakul-lahu Kufuwan Ahad
---------------
: Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
AL Quran, Surah Al-ikhlas (112)


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ‌ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ‌ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ،

 وَمِن شَرِّ‌ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ‌ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ


Qul Aaoodhu (aaoozu) BiRabbil falaq
Min sharri ma khalaq
Wa min sharri ghasiqin iza waqab
wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad
wa min sharri Haseedin iza hasad
-------------
Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se jab wo hasad kare
Al Quran Surah Al-Falaq (113)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ‌ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ،
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ‌ النَّاسِ، مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Qul Aaoodhu (aaoozu) BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas, Min Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi (lazi) Yuwaswaso fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas
Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.
Al Quran, Surah An-Nas (114)
3. Shaam Ka Azkar

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Jab Shaam Karte to Ye dua farmate


أَمْسَيْنَا وَأَمْسَى الْمُلْكُ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ،
لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
رَبِّ أَسْأَلُكَ خَيْرَ مَا فِي هَذِهِ اللَّيْلَةِ  وَخَيْرَ مَا بَعْدَهَا 
وَأَعُوْذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا فِي هَذِهِ اللَّيْلَةِ وَشَرِّ مَا بَعْدَهَا 
رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنَ الْكَسَلِ، وَسُوءِ الْكِبَرِ
رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنْ عَذَابٍ فِيْ النَّارِ وَعَذَابٍ فِيْ الْقَبْرِ

--------------
✦ Amsayna wa Amsahal-mulku Lillah, Wal-hamdullilah,
wa la ilaha illallah, wahdahu la sharika lahu
Lahul-mulku wa lahul-hamdu,
wa huwa `ala kulli shai'in qadir.
Rabbi Asa'luka khaira ma fi hadhihil-Laila,
wa khaira ma ba`daha,
wa Audhubika min sharri hadhihil-Laila,
wa sharri ma ba`daha,
wa a`udhu bika minal-kasali wa sueel-kibar,
wa a`udhu bika min Adhabin-naar, wa Adhabil-qabr


Ham aur Sara Mulk Shaam Ke Waqt Allah Subhanahu Ka hua, Sari Hamd Allah Ke liye hai, Allah Ke Siwa Koi Ibadat ke layaq nahi Wo akela hai Uska koi Sharik nahi sari badshahat ussi ki hai , sari tarif bhi usee ke liye hai aur wo har Cheez par puri qudrat rakahne wala hai
Eh Mere RABB Mein tujhse us bhalayi Ka talabgar hu Jo iss Raat Mai hai aur Jo iss ke baad hai aur Mein tujhse panah mangta hu  us burayee se Jo iss Raat Mai hai aur Jo iss ke baad hai Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu susti se aur budhape ki kharabi se
Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu Jahannam ke azab se aur Qabr ke azab se
Sahih Muslim, Jild 6, 6907

 

4 Shaam ke waqt padhne ki dua

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab sham ho to ye dua padha kijiye

اللَّهُمَّ بِكَ أَمْسَيْنَا وَبِكَ أَصْبَحْنَا وَبِكَ نَحْيَى وَبِكَ نَمُوتُ وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

Allahumma bika Amsayna wa bika Asbahna wa bika nahya wa bika namutu wa ilaik Al Mashir
Ya Allah humne tere hi naam se shaam ki aur tere hi naam se subah ki aur teri hi naam se jeete hain aur tere hi naam par marenge aur teri hi taraf luat kar jana hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 749-Sahih

Video : https://youtu.be/Tm-RK0ZcZac

5Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa )
Ki Fazilat

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai.


اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، 
وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، 
أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ،
 أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي،
 فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ

Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya,wa Abu'u Laka bizambi,
 fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.

Tarjuma : Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki  burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
Sahih Bukhari, Vol 7, 6306



6Hadith : Jis shakhs ne 3 baar ye kaha to Allah usko puri tarah aag se aazad farma dete hain
Salman Farsi Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis shakhs ne 1 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu uska ek tihayee (1/3) hissa aag se aazad farama dete hai, jis shakhs ne 2 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu uska do tihayee (2/3) hissa aag se aazad farama dete hai, jis shakhs ne 3 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu usko puri tarah aag se aazad farma dete hain

اللَّهُمَّ إِنِّي أُشْهِدُكَ وَأُشْهِدُ مَلَائِكَتَكَ وَحَمَلَةَ عَرْشِكَ 
وَأُشْهِدُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَمَنْ فِي الْأَرْضِ
أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ وَحْدَكَ لَا شَرِيكَ لَكَ 
وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُكَ وَرَسُولُكَ

Allahumma inni Ushhiduka Wa Ushhidu Malaeekataka
wa Hamalata Arshik,
Wa Ushhidu man fis-samawati Wa man fil-Ard,
Annaka AntAllah, La ilaha illa Ant,
Wahdaka La sharika lak, Wa Ashhadu Anna,
Muhammadan Abduka Wa Rasooluk

Eh Allah main tujhe gawah banata hun,Aur tere farishto aur tera arsh uthane walo ko gawah banata hu aur aasman aur zameen mein mojud makhluq ko gawah banata hu ki tu hi Allah hai aur tere siwa koi sachcha mabud nahi , tu akela hai , tera koi sharik nahi aur main gawahi deta hun ki
Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam tere bande aur Rasool hai
Al Silsila As Sahiha, 2966-Sahih
Al-Daawat Al-Kabir, Bahiqi, 184-Hasan
 

7✦ Hadith: Jis ne Shaam Ke Waqt Ye dua padhi to usne us shaam ka shukr
 adaa Kar diya
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaye Jis ne Shaam ke Waqt Ye dua padhi to usne us raat ka shukr adaa Kar diya

اللَّهُمَّ مَا أمسى بِي مِنْ نِعْمَةٍ ، أَوْ بِأَحَدٍ مِنْ خَلْقِكَ ، فَمِنْكَ وَحْدَكَ لا شَرِيكَ لَكَ ، فَلَكَ الْحَمْدُ وَلَكَ الشُّكْرُ

Allahumma Ma Amsa bi min ni’matin Aw bi-ahadin min khalqika fa minka
Wahdaka la shareeka laka, Falakal-Hamd, walakash-shukr
Tarjuma: Ya Allah Shaam ko jo naimat mere paas hai ya teri kisi makhluq ke pass hai wo teri hi di huyee hai, Tu Akela hai tera koi Sharik nahi , tere hi liye sari tarifen hain aur tere hi liye shukr hai.
Sahih Ibn Hibban, 868-Hasan, Shuab-ul-Iman, Al Baihiqi 4053-Sahih
Al-Sunan Al-Kubra, An-Nasaii, 9447-Sahih


8
Badan ke aafiyat (salamati) ki dua
Abdul rahman bin Abu bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone apne walid se pucha ki Abbu jaan main aapko har subah aur sham ko teen martaba ye dua padhte huye sunta hu

اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta.
Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma, Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma, Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi
to unhone kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko yahi dua isee tarah padhte huye suna hai aur mujhe pasand hai ki main unki sunnat par amal karta rahu
Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan

 

9 Duniya aur aakhirat mein aafiyat aur kaamyabi ki dua
Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne subah aur shaam ko
inn duao ko padhna kabhi nahi chorha

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِي وَمَالِي
اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي ‏‏ وَآمِنْ رَوْعَاتِي  اللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَىَّ وَمِنْ خَلْفِي
وَعَنْ يَمِينِي وَعَنْ شِمَالِي وَمِنْ فَوْقِي  وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي

Allahumma inni As'alukal-'afwa wal-'afiyah Fid-dunya wal-akhirah.
Allahumma inni as'alukal-'afwa wal-'afiyah fi dini wa dunyayee, wa Ahli wa maali. Allahum-mastur 'awrati, wa amin raw'ati, wahfazni min bayni yadayya, wa min khalfi, wa 'an yamini wa 'an shimali, wa min fawqi, wa 'audhu bi azmatika
 an ughtala min tahti
Eh Allah Mein tujhse duniya aur akhirat mai aafiyat ka sawal karta hu, Eh Allah Mein tujhse apne Deen aur duniya aur apne gharwalo mein aur apne maal mein maafi aur aafiyat ka sawal karta hu Eh Allah mere aib Chupa de, mere dil ko mutmayeen kar de aur mere aage aur peeche aur daayein aur baayein aur upar se meri hifazat farma aur main teri panah chahta hu teri azmat ke saath , ki neeche se halak kiya jauu yani zameen mein dhansa diya jauu
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1637-Sahih
10Apne Nafs aur Shaitan ki burayee se bachane ki dua
Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe subah aur sham ko koi dua padhne ka hukm de dijiye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasalam ne farmaya is dua ko tum subah ko sham ko aur sote waqt padh liya karo

اللَّهُمَّ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي وَمِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ

Allahumma Aalimal-ghaibi wash-shahadati fairas-samawati wal-ar, Rabba kulli shai’in wa malikahu, Ash-hadu an la ilaha illa anta, Audhu bika min sharri nafsi wa min sharrish-shaiāni washirkihi


Tarjuma : Eh Allah Eh gaib aur khuli baato ko janne wale , Aasman aur zameen ko palne wale , har cheez ke RABB aur malik ,main gawahi deta hu ki tere siwa koi mabud nahi aur main tujhse apne nafs ki burayee aur shaitan ki burayee aur uske shrik se panah maangta hu
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1316-Sahih
 

11Nagahani museebat yani achanak aane wali musaeebat se bachne ki dua

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.
Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunne wala aur janne wala hai

Aban bin uthman radi allahu anhu se rivayat hai ki maine Uthman Radi allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisne (shaam ko) 3 martaba ye dua parhi  usey subah tak koi nagahani Museebat nahi pahuchegi aur jisne subah ko 3 martaba ye dua parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi Raavi (Hadith rivayat karney wale) kahte hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij(laqwa) ho gaya tha to wo shaksh jisney unse ye hadith rivayat ki thi wo unhe dekhne laga to Aban ne unse farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf dekhta hai, Allah ki kasam maine na to Uthman radi allahu anhu par aur na Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz mujhe ye Falij (laqwa) hua us roz main gusse mein tha aur ye Dua parhna bhul gaya
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1647-Sahih


12 Jo is dua ko subah sham padhega to Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi musalman ya insaan (ya banda) subah sham ye kalimat kahe

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ ﷺ نَبِيًّا


Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
To Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge.
Tarjumah: main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Nabee hone par
Sunan Ibn Majah, Jild 3, 751-Hasan
Sahih Ibn Hibban, 870-Hasan

 


13 Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua
Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Fatima Radi Allahu Anha se farmaya Jab tum Subah ya shaam mein dakhil ho to is tarah kaha karo

يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي  إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا

Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith, Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda
Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale Teri rahmat ke zariye se faryad karta hu, mere tamam halat durust kar de aur kabhi bhi palak jhapakne ke barabar bhi
mujhe mere nafs ke hawale na kar
Al Silsila As sahiha, 2942


14 Subhan-Allahil-Azeem wa biHamdihi
----------
Allah ki zaat paak hai aur wo bada azmat wala hai aur usee ki hamd hai
----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs subah ke waqt 100 baar
سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ
Subhan Allahil Azim Wa Bihamdehi
padhega aur usee tarah sham ko bhi  (  100 baar) padhega to uske barabar makhluq mein se kisi ka darja nahi hoga
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1650-Hasan
 

15 Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis ne ye kalma Din mein 10 martaba Parh liya usko itna sawab hoga jaise Hazrat ismaeel Aaihi salam ki aulad mein se 4 shakhson ko aazad karwaya.

لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir

Allah ke siwa koi mabud nahi hai, Wo tanha hai uska koi sharik nahi hai, usee ke liye baadshahi hai aur usee ke liye tarifein hainAur wo har cheez par kudrat rakhne wala hai
Sahih Muslim, Jild 6, 6844


16Tauba Astagfar ki Fazilat
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne ye kalimat kahe to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
Tarjuma: Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi, Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1504-Sahih

 

17✦ Zahreele Jaanwaroh aur Cheezoh se Hifazat

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam   ne farmaya jo shakhs sham ko 3 martaba ye dua padhega to usko us raat koi bhi zahreeli cheez nuqsan nahi pahuchayegi 

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq

Panah mangta hu main Allah ki,Pure kalmat ke jariye,Har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai 
Jamia Tirimizi, Jild 2, 1528-Sahih


18Jahannam ki aag se aazadi dilane wali dua
Harith bin Muslim Al-Tamimi Radi Allahu Anhu apne walid se se rivayat karte haiin ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab tum subah ki namaz se farig ho jao to 7 baar ye dua padho
اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ
Allahumma Ajirni Minan Naar
Eh Allah mujhe Jahanam ki aag se bacha
Agar tumne ye dua padh li aur us din tumhari wafat ho gayee to tumhare liye Jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi aur jab magrib ki namaz se farig ho jao tab bhi 7 baar ye hi dua padh liya karo, agar tumne ye dua padh li aur raat mein tumhari wafat ho gayee to tumhare liye jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi
Al-Mu'jam Al-Kabeer, Tabrani, 16425, Hasan
Nata'ij Al-Afkar, 1/162, Hafiz Ibn hajar -Hasan
 

19Subah aur Sham ko RasoolAllah par 10 baar durud bhejne ki fazilat

Abu Darda Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo shaksh mujh par subah 10 baar aur sham ko 10 baar durud bhejega to usko Qayamat ke din meri shafaat hasil hogi.
Sahi Al Jame - 6357-Hasan
Sahih Al Targeeb Wa Al tarheeb, 659-Hasan
Allahumma Salli Ala Muhammed
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ
Eh Allah Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par Rahmat nazil farma




Complete Azkar Video: https://youtu.be/0AKWg9umn6w

Visit below Pages for More Authenticated Islamic Posts

No comments:

Post a Comment