✦ Hadith : (Dajjal se) jung ke waqt musalmano Ghouta mein jama honge
---------------
✦ Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya (Dajjal se) jung ke waqt musalmano Ghouta mein jama honge , jo is shahar ke ek janib mein hai jisko damishk kaha jata hai , jo ki Mulk-e-sham (Syria) ke behatreen shahro mein se hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3,893-Sahih
----------
✦ अबू दर्दा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया (दज्जाल से) जंग के वक़्त मुसलमान गौता में जमा होंगे , जो इस शहर के एक जानिब में है जिसको दमिश्क कहा जाता है , जो की मुल्क-ए-शाम
(सीरीया) के बेहतरीन शहरो में से है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3,893-सही
-----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ( دجال سے ) جنگ کے روز مسلمان غوطہٰ میں جما ہونگے جو اس شہر کے ایک جانب میں ہے جسے دمشق کہا جاتا ہے، جو شام کے بہترین شہروں میں سے ہے ۔
سنن ابو داوود جلد ٣، حدیث ٨٩٣-صحیح
-----------
✦ Narrated Abu Darda Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam said: The place of assembly of the Muslims at the time of the war (With Dajjal) will be in Ghouta near a city called Damascus, one of the best cities in Syria.
Museebat , pareshani aur aazmayeesh ke waqt padhne ki Duaien
-----------------
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kya main tumhe aise kalimat na sikhauu jinko tum museebat ( ya pareshani) ke waqt padha karo
(Wo kalimat ye hain)
*اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا*
Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta)
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1512-Sahih
-------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam par jab koi sakhti ya pareshani pesh aa jati to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ye dua farmate
*يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ*
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale tere rahmat ke waseele se faryad karta hu
Jamia Tirmizi, Jild2,1451-Hasan
-------------
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya kya main tumko aisee dua na sikhauu jisko koi ranj aur gam aur aazmayeesh mein mubtala aadmi padhe to uski takleef dur ho jaye , wo Dua Zun-Noon (machli wale yani Yunus Alaihi Salam ) ki hai
✦ La ilaha illAllahu Rabbus-samawati wa Rabbul ard
✦ Wa Rabbul Arsh-il-kareem
Tarjuma : Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo badi azmat wala burdbar hai, Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo bade arsh ka malik hai ,Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo malik hai aasman ka aur malik hai zameen ka Aur malik hai arsh ka jo ezzat wala hai.
Sahih Muslim, Jild 6, 6921
------------
*مصیبت ، پریشانی اور آزمائش کے وقت پڑھنے کی دعائیں*
---------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کی کیا میں تمہیں ایسے کلمات نہ سیکھاوں جن کو تم مصیبت یا پریشانی کے وقت پڑھا کروں
*الله الله ربي لا أشرك به شيئًا*
یعنی اللہ ہی میرا رب ہے، میں اس کے ساتھ کسی کو شریک نہیں کرتی
سنن ابی داؤد جلد ۱ حدیث ۱۵۱۲ صحیح
---------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم پر جب کوئی سختی یا پریشانی پیش آجاتی تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم اس دعا کو ارشاد فرماتے
*يا حي يا قيوم برحمتك أستغيث*
”اے زندہ اور ہمیشہ رہنے والے! تیری رحمت کے وسیلے سے تیری مدد چاہتا ہوں۔
جامع الترمذي-٣٥٢٤ / حسن
-----------
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کسی شخص کو کوئی تکلیف یا دنیا کی کوئی آزمائش پہنچے اور وہ یہ دعا کرے تو اس کی پریشانی دور ہو جائے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:
اللہ کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں جو بڑھی عظمت والا بردبار ہے عرش عظیم کے پروردگار کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں آسمانوں کے رب زمین کے رب اور عزت والے عرش کے رب اللہ کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں، پڑھتے۔
صحیح مسلم - جلد ٦-٦٩٢١
------------
✦ मुसीबत, परेशानी या आज़माईश के वक़्त पढने की दुआ
-----------
रसूल्लल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया की क्या मैं तुम्हे ऐसे कलिमात न सिखाऊ जिनको तुम मुसीबत ( या परेशानी) के वक़्त पढ़ा करो
(अल्लाह , अल्लाह मेरा रब्ब है और मैं उसके साथ किसी को शरीक नही करता)
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1, 1512-सही
-----------
रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम पर जब कोई सख्ती या परेशानी पेश आ जाती तो आप साल-अल्लाहु अलैहि वसल्लम ये दुआ फरमाते
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيث*ُ*
या हय्यू या क़य्यूम, बी-रहमतिका अस्तगीस
एह ज़िंदा हमेशा क़ायम रहने वाले तेरे रहमत के वसीले से फ़रियाद करता हूँ
जामिया तिरमिज़ी , जिल्द 2,1451-हसन
--------
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया क्या मैं तुमको ऐसी दुआ न सिखाऊ जिसको कोई रंज और गम और आज़माईश में मुब्तला आदमी पढ़े तो उसकी तकलीफ दूर हो जाये , वो दुआ ज़ून-नून
(Allah , Allah is my Lord, I do not associate anything as partner with Him.)
Sunan Abu Dawud, Book 8, 1520-Sahih
----------
Whenever a matter would distress , the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam would say:
*يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ*
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Oh Alive and everlasting one , I beseech You by your mercy.
Jamia Tirmizi, Book 45, 3524-Hasan
-----------
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said anybody recite in any distress, difficulties or calamities it will be removed it is the dua of Dhun-Nun (Yunus Alaihi salam)
✦ La ilaha illAllahu Rabbus-Samawati Wa Rabbul Ard
✦ Wa Rabbul Arsh-il-kareem
✦ There is no god but Allah, the Great, The Tolerant,
✦ There is no god but Allah, the Lord of the Magnificent Throne ✦ There is no god but Allah, the Lord of the Heaven and the earth, ✦ The Lord of the Edifying Throne.
✦ Jamat ke saath padhni jane wali namaz ki fazilat
-------------
✦ Qabas bin Ashim Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Do Aadmeeyoh ki Namaz ke un Mai ek imamat karwaye Allah Subhanahu Ke Nazdik tanha padhi jaane wali aanth(8) Namazoh se Behtar Hain aur Chaar Admeeyoh ki Namaz ke Innmai se ek Shaks imamat karwaye Allah Subhanahu Ke Nazdik un Sao (100) Namazoh se Behtar Hain Jo tanha padhi Jaye
Al Silsila As Sahiha-629
-------------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا دو آدمیوں کی نماز كہ ان میں سے ایك امامت كروائے، اللہ كے نزدیك تنہا پڑھی جانے والی آٹھ نمازوں سے بہتر ہے۔
اور چار آدمیوں كی نماز كہ ان میں سے ایك شخص امامت كروائے اللہ كے نزدیك ان سو نمازوں سے بہتر ہے جو کے تنہا پڑھی جائیں
السلسلہ صحیحہ - ٦٢٩
-------------
✦ रसूल अल्लाह सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया दो आदमीयो की नमाज़ उन में एक ईमामत करवाए अल्लाह सुबहानहु के नज़दीक तन्हा पढ़ी जाने वाली आंठ (8)नमाज़ों से बेहतर हैं और चार आदमीयो की नमाज़ के उन में एक शख्स ईमामत करवाए अल्लाह सुबहानहु के नज़दीक उन सौ (100) नमाज़ों से बेहतर हैं जो तन्हा पढ़ी जाए
अल सिलसिला अस सहीहा - 629
-------------
✦ RasoolAllah Sallallhu Alaihi Wasallam said The prayer of two men (in congregation) , one of them leading the other, is better before Allaah than the prayer of eight praying separately, and the prayer of four men, one of them leading the others, is better before Allaah than the prayer of one hundred praying separately Al Silsila As Sahiha-629
Bismillahi Yubrika, Wa min Kulli Daa-in Yushfiika,
Wa min Sharri Hasidin Eeza hasad, Wa min Sharre kulli Zee Ayneen
✦ Allah ke naam ke saath jo aapko har beemari se shifa de, har hasad karne wale ki burayee se jab wo hasad kare, aur har nazar lagane wale ki burayee se
Sahih Muslim , Jild 5, 5699
-------------------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab koi shakhs kisi aise mareez ki ayadat kare jiski maut ka waqt qareeb nahi aaya ho to uske paas jakar 7 martaba ye dua padhe to Allah usko us marz se shifa ata farma dega
As'alullah Al-'Azeem Rabbal Arshil Azeem an Yashfik
Main Azmat wale Allah , jo Arsh azeem ka malik hai se dua karta hu ki wo aapko shifa ata farmaye
Sunan Abu Dawud, Jild 2,1329-Sahih
-----------------------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ek Arabi ki Ayadat ke liye tashrif le gaye to us se farmaya
لاَ بَأْسَ طَهُورٌ، إِنْ شَاءَ اللَّهُ
La Basa Tahuran In Sha Allah
Koi Harj nahi, ye beemari tumare liye Paaki Ka sabab hai ( yani tumhe gunaho se paak kar degi)
Sahih bukhari, Jild 8, 7470
---------------
✦ Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam apne ghar ke kuch (beemar) logo par apna dahina haath pherte aur ye farmate
Allahumma Rabbin Nasi, Adhabal basa, Ashfihi Wa Anta shafee, La shifaaa illa shifauuka, shifa'an La Yugadiru Saqama
Eh ALLAH logon ke RABB , Takleef ko dur kar de, isko (mareez ko) Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai,aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahe.
Sahih Bukhari,Jild 7, 5743
مریض کی عیادت اور شفاء کے لیے دعا
---------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم جب بیمار ہوتے تو جبریل علیھ سلام آپ كو ( ان الفاظ سے ) دم كرتے
میں عظمت والے اللہ جو عرش عظیم کا مالک ہے سے دعا کرتا ہوں کہ وہ تم کو شفاء دے تو اللہ اسے اس مرض سے شفاء دے گا ۔
سنن ابو داؤد جلد ۲، ۱۳۲۹صحیح
---------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ایک اعرابی کی عیادت کے لئے تشریف لے گئے اور اس سے فرمایا کہ
لاَ بَأْسَ طَهُورٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
کوئی حرج نہیں انشاءاللہ یہ ( بیماری ) تمہارے لیے پاکی کا سبب ہے
( یعنی تمہے گناہوں سے پاک کر دیگی )
صحیح بخاری ، جلد ٨ ، ٧٤٧٠
---------------
عائشہ رضی اللہ عنہا نے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم اپنے گھر کے بعض ( بیماروں ) پر یہ دعا پڑھ کر دم کرتے اور اپنا داہنا ہاتھ پھیر تے اور یہ دعا پڑھتے
اے اللہ ! لوگوں کے پالنے والے ! تکلیف کو دور کر دے اس کو (مریض کو ) شفاء عطا فرما تو ہی شفاء دینے والا ہے ۔ تیری شفاء کے سوا کوئی شفاء نہیں ۔ ایسی شفاء ( دے ) کہ کسی قسم کی بیماری باقی نہ رہ جائے
صحیح بخاری جلد ٧ حدیث ٥٧٤٣
---------------
✦ मरीज़ की अयादत और शिफा के लिए दुआ
--------------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम जब बीमार होते तो जिबरील अलैही सलाम आपको (इन अल्फ़ाज़ से) दम करते
बिस्मिल्लाही युबरिका , वा मीन कुल्ली दा-इन युशफ़ीका, वा मीन शर्री हासिदीन ईज़ा हसद, वा मीन शर्री कुल्ली ज़ी अयनीन
✦ अल्लाह के नाम के साथ जो आपको हर बीमारी से शिफा दे, हर हसद करने वाले की बुराई से जब वो हसद करे, और हर नज़र लगाने वाले की बुराई से
सही मुस्लिम , जिल्द 5, 5699
--------------------
✦ इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब कोई शख्स किसी ऐसे मरीज़ की अयादत करे जिसकी मौत का वक़्त क़रीब नही आया हो तो उसके
पास जाकर 7 मर्तबा ये दुआ पढ़े तो अल्लाह उसको उस मर्ज़ से शिफा अता फरमा देगा
(अल्लहुम्मा रब्बिन नास , अजहीबिल बासा , अश्फिही वा अन्ता शाफी , ला शिफ़ाआ इल्ला शिफ़ाऊका, शिफ़ाअन ला युगादिरू सक़मा)
एह अल्लाह लोगों के रब्ब , तकलीफ़ को दूर कर दे , इस को (मरीज़ को) शिफा अता फरमा, तू ही शिफा देने वाला है , तेरे शिफा के सिवा कोई शिफ़ा नहीं ,ऐसी शिफा अता फरमा की बीमारी बिल्कुल बाक़ी ना रहे.
सही बुखारी, जिल्द 7,5743
------------
✦ Dua to visit patient and to cure patient
-------------------
✦ When RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam fell ill, Jibril Alaihi Salam used to recite this:
Bismillahi Yubrika, Wa min Kulli Daa-in Yushfiika,
Wa min Sharri Hasidin Eeza hasad, Wa min Sharri kulli Zee Ayneen
In the name of Allah, may He cure you from all kinds of illnesses and safeguard you from the evil of a jealous one when he feels jealous and from the evil influence of
eye.
Sahih Muslim, Book 26, 5424
-------------------
✦ RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam said: If anyone visits a sick whose time (of death) has not come, and says these with him seven times Allah will cure him from
As'alullah Al-'Azeem, Rabbal Arshil Azeem An Yashfik
I ask Allah, the Mighty, the Lord of the mighty Throne, to cure you.
Sunan Abu Dawud, Book 20, Hadith 3100-Sahih
-------------------
✦ Once RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam entered upon a sick bedouin in whom he went to visit and said to him
لاَ بَأْسَ طَهُورٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
La Basa Tahuran In Sha Allah
Your illness will be a means of cleansing of your sins if Allah Will
Sahih Bukhari Book 93, 562
-------------------
✦ Narrated Aisha Radhi allahu anha The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam used to treat some of his family members by passing his right hand over the place of ailment and used to say,
Allahumma Rabbin Nasi, Adhabal basa, Ashfihi Wa Anta shafee, La shifaaa illa shifauuka, shifa'an La Yugadiru Saqama
O Allah, the Lord of the people! Remove the trouble and heal him (heal the patient), for You are the Healer. No healing is of any avail but Yours; healing that will leave behind no ailment.
In Azkar ko
roz shaam aap padhne ki aadat bana lijiye, in sha Allah aapki duniya aur
aakhirat behatreen ho jayegi aur aap bahut sari museebato, pareshaniyo, hadso
se mehfooz rahoge aur aapke rizq mein bhi barkat hogi
1.Ayat Al Kursi ki Fazilat
--------------------
✦ Hadith 1: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne
farmaya Jo koi isko
(Ayat Al kursi ko) subha padh lega to
sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak
shaitan se mehfooz rahega
Al-Hakim, Al Targeeb wa Al Tarheeb
Tarjuma: ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi, Zinda
hamesha rahne wala,use na ungh aati hai na neend, jo kuch Aasmano aur jo kuch
zameen mein hai sab usi ka hai, kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey
sifarish kar sake,jo kuch logo ke
ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum
hai aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte
magar jitna ke wo chahe, uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai aur
use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr
hai
2✦ Hadith: Ye teen surah tumhe har cheez ke liye kaafi
ho jayegi
✦ Abdullah bin khubayb
Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne
farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas ,
Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye
kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain)
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se
jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad
Karne wale ki burayee se jab wo hasad kare
✦ Amsayna wa Amsahal-mulku Lillah,
Wal-hamdullilah,
wa la ilaha illallah, wahdahu la
sharika lahu
Lahul-mulku wa lahul-hamdu,
wa huwa `ala kulli shai'in qadir.
Rabbi Asa'luka khaira ma fi
hadhihil-Laila,
wa khaira ma ba`daha,
wa Audhubika min sharri
hadhihil-Laila,
wa sharri ma ba`daha,
wa a`udhu bika minal-kasali wa
sueel-kibar,
wa a`udhu bika min Adhabin-naar, wa
Adhabil-qabr
✦ Ham aur Sara Mulk
Shaam Ke Waqt Allah Subhanahu Ka hua, Sari Hamd Allah Ke liye hai, Allah Ke
Siwa Koi Ibadat ke layaq nahi Wo akela hai Uska koi Sharik nahi sari badshahat
ussi ki hai , sari tarif bhi usee ke liye hai aur wo har Cheez par puri qudrat
rakahne wala hai
Eh Mere RABB Mein tujhse us bhalayi Ka talabgar hu Jo iss Raat
Mai hai aur Jo iss ke baad hai aur Mein tujhse panah mangta hu us burayee se Jo iss Raat Mai hai aur Jo iss
ke baad hai Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu susti se aur budhape ki
kharabi se
Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu Jahannam ke azab
se aur Qabr ke azab se
Allahumma bika Amsayna wa bika Asbahna wa bika nahya wa
bika namutu wa ilaik Al Mashir
✦ Ya Allah humne tere
hi naam se shaam ki aur tere hi naam se subah ki aur teri hi naam se jeete hain
aur tere hi naam par marenge aur teri hi taraf luat kar jana hai
5✦ Sayyad-Al-Astigfar
(Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa )
Ki Fazilat
✦
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah se
maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par
yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski
maut ho gayee to wo jannati hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte
huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho
gayee to wo jannati hai.
✦
Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala
ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka
bini'matika 'alaiya,wa Abu'u Laka bizambi,
fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba
illa anta.
✦ Tarjuma
: Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida
kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye
Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya
,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee,
Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak
tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
6✦ Hadith : Jis shakhs ne 3 baar ye kaha to Allah usko puri
tarah aag se aazad farma dete hain
✦ Salman Farsi Radi
Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shakhs ne 1 baar ye kalimat
kahe to Allah subhanhu uska ek tihayee (1/3) hissa aag se aazad farama dete
hai, jis shakhs ne 2 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu uska do tihayee
(2/3) hissa aag se aazad farama dete hai, jis shakhs ne 3 baar ye kalimat kahe
to Allah subhanhu usko puri tarah aag se aazad farma dete hain
✦ Allahumma inni
Ushhiduka Wa Ushhidu Malaeekataka wa Hamalata Arshik,
Wa Ushhidu man fis-samawati Wa man fil-Ard, Annaka
AntAllah, La ilaha illa Ant,
Wahdaka La sharika lak, Wa Ashhadu Anna, Muhammadan Abduka
Wa Rasooluk
✦ Eh Allah main tujhe gawah banata hun,Aur tere farishto aur
tera arsh uthane walo ko gawah banata hu aur aasman aur zameen mein mojud
makhluq ko gawah banata hu ki tu hi Allah hai aur tere siwa koi sachcha mabud
nahi , tu akela hai , tera koi sharik nahi aur main gawahi deta hun ki
Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam tere bande aur Rasool
hai
Allahumma Ma Amsa bi min ni’matin Aw bi-ahadin min khalqika
fa minka
Wahdaka la shareeka laka, Falakal-Hamd, walakash-shukr
✦ Tarjuma: Ya Allah
Shaam ko jo naimat mere paas hai ya teri kisi makhluq ke pass hai wo teri hi di
huyee hai, Tu Akela hai tera koi Sharik nahi , tere hi liye sari tarifen hain
aur tere hi liye shukr hai.
Sahih Ibn Hibban, 868-Hasan, Shuab-ul-Iman, Al Baihiqi
4053-Sahih
✦ Abdul rahman bin Abu
bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone apne walid se pucha ki Abbu jaan
main aapko har subah aur sham ko teen martaba ye dua padhte huye sunta hu
✦ Allahumma Aafini fi
badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa
Anta.
✦ Ya Allah tu mere
badan mein aafiyat ata farma, Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma, Ya
Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi
to unhone kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi
Wasallam ko yahi dua isee tarah padhte huye suna hai aur mujhe pasand hai ki
main unki sunnat par amal karta rahu
9✦ Duniya
aur aakhirat mein aafiyat aur kaamyabi ki dua
✦
Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne subah aur shaam ko
inn duao ko padhna kabhi nahi chorha اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي
الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
✦
Allahumma inni As'alukal-'afwa wal-'afiyah Fid-dunya wal-akhirah.
Allahumma inni as'alukal-'afwa wal-'afiyah fi dini wa dunyayee, wa Ahli wa
maali. Allahum-mastur 'awrati, wa amin raw'ati, wahfazni min bayni yadayya, wa
min khalfi, wa 'an yamini wa 'an shimali, wa min fawqi, wa 'audhu bi azmatika
an ughtala min tahti
✦ Eh
Allah Mein tujhse duniya aur akhirat mai aafiyat ka sawal karta hu, Eh Allah
Mein tujhse apne Deen aur duniya aur apne gharwalo mein aur apne maal mein
maafi aur aafiyat ka sawal karta hu Eh Allah mere aib Chupa de, mere dil ko
mutmayeen kar de aur mere aage aur peeche aur daayein aur baayein aur upar se
meri hifazat farma aur main teri panah chahta hu teri azmat ke saath , ki
neeche se halak kiya jauu yani zameen mein dhansa diya jauu
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1637-Sahih
10✦ Apne Nafs aur Shaitan ki burayee se bachane ki dua
✦ Abu Bakr Radi Allahu
Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe subah aur sham
ko koi dua padhne ka hukm de dijiye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasalam ne farmaya
is dua ko tum subah ko sham ko aur sote waqt padh liya karo
✦ Allahumma
Aalimal-ghaibi wash-shahadati faṭiras-samawati
wal-arḍ, Rabba kulli shai’in wa malikahu, Ash-hadu an la ilaha
illa anta, Audhu bika min sharri nafsi wa min sharrish-shaiṭāni washirkihi
✦ Tarjuma : Eh Allah Eh
gaib aur khuli baato ko janne wale , Aasman aur zameen ko palne wale , har
cheez ke RABB aur malik ,main gawahi deta hu ki tere siwa koi mabud nahi aur
main tujhse apne nafs ki burayee aur shaitan ki burayee aur uske shrik se panah
maangta hu
✦ Bismillahillazi La
yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.
✦ Allah ke naam se
shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan
nahi pahucha sakti aur wahi sunne wala aur janne wala hai
✦ Aban bin uthman radi
allahu anhu se rivayat hai ki maine Uthman Radi allahu anhu se suna ki
Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisne (shaam ko) 3 martaba
ye dua parhi usey subah tak koi nagahani
Museebat nahi pahuchegi aur jisne subah ko 3 martaba ye dua parhi to Shaam tak
usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi Raavi (Hadith rivayat
karney wale) kahte hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij(laqwa)
ho gaya tha to wo shaksh jisney unse ye hadith rivayat ki thi wo unhe dekhne
laga to Aban ne unse farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf
dekhta hai, Allah ki kasam maine na to Uthman radi allahu anhu par aur na
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz
mujhe ye Falij (laqwa) hua us roz main gusse mein tha aur ye Dua parhna bhul
gaya
13 ✦ Subah aur
Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua
Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se
rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Fatima Radi Allahu Anha
se farmaya Jab tum Subah ya shaam mein dakhil ho to is tarah kaha karo
✦ Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith,
Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda
✦ Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale Teri rahmat
ke zariye se faryad karta hu, mere tamam halat durust kar de aur kabhi bhi
palak jhapakne ke barabar bhi
mujhe mere nafs ke hawale na kar
Al Silsila As sahiha, 2942
15 ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis ne
ye kalma Din mein 10 martaba Parh liya usko itna sawab hoga jaise Hazrat
ismaeel Aaihi salam ki aulad mein se 4 shakhson ko aazad karwaya.
لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ
الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
✦ La ilaha illal-lah
wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in
qadir
Allah ke siwa koi mabud nahi hai, Wo tanha hai uska koi
sharik nahi hai, usee ke liye baadshahi hai aur usee ke liye tarifein hainAur
wo har cheez par kudrat rakhne wala hai
Sahih Muslim, Jild 6, 6844
Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum
wa atubu ilaih
✦ Tarjuma: Main ALLAH
se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi, Jo
zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu
17✦ Zahreele Jaanwaroh aur Cheezoh se Hifazat ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs sham ko 3 martaba ye dua padhega to usko us raat koi bhi zahreeli cheez nuqsan nahi pahuchayegi أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq Panah mangta hu main Allah ki,Pure kalmat ke jariye,Har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai Jamia Tirimizi, Jild 2, 1528-Sahih
18✦ Jahannam ki aag se aazadi dilane wali dua
✦ Harith bin Muslim Al-Tamimi
Radi Allahu Anhu apne walid se se rivayat karte haiin ki Rasool-Allah
Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab tum subah ki namaz se farig ho jao to
7 baar ye dua padho
اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ
Allahumma Ajirni Minan Naar
Eh Allah mujhe Jahanam ki aag se bacha
Agar tumne ye dua padh li aur us din tumhari wafat ho gayee
to tumhare liye Jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi aur jab magrib ki
namaz se farig ho jao tab bhi 7 baar ye hi dua padh liya karo, agar tumne ye
dua padh li aur raat mein tumhari wafat ho gayee to tumhare liye jahannam ki
aag se aazadi likh di jayegi
19✦ Subah
aur Sham ko RasoolAllah ﷺ par 10 baar
durud bhejne ki fazilat
Abu Darda Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi
Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par
subah 10 baar aur sham ko 10 baar durud bhejega to usko Qayamat ke din meri
shafaat hasil hogi.
Sahi Al Jame - 6357-Hasan
Sahih Al Targeeb Wa Al tarheeb, 659-Hasan
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ
✦ Eh Allah Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam
par Rahmat nazil farma