Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, July 15, 2016

✦ Islamic Quiz-13 ✦


Islamic Quiz-13

Sawal: Wo kaunsa azkar ya aayat hai jisko raat ko padhne se Allah subhanahu ki taraf se subah tak ek farishta hifazat ke liye muqarrar kar diya jata hai jiski wajah se sari raat shaitan nazdeek nahi aa sakta?

A. Durud e Ibrahim
B. Surah fatiha
C. Aayat Al-Kursi
D. Sayyadual Astigfar

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------------------
Islamic Quiz - There is a azkar or verse  ,   if a muslim recite in the night , Allah will appoint a guard (angel) ,  who stay whole night with the reciter, and no satan come near till morning  what is the name of that verse or azkar ?
A. Durud e Ibrahim
B. Surah fatiha
C. Aayat Al-Kursi
D. Sayyadual Astigfar

E. None of the above

F. I want to know

Answer C. Aayat Al-Kursi

Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Aayat-Al-Kursi ki Fazilat
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe Ramazan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. (raat mein) ek shakhs achanak mere paas aaya aur galley mein se uthane laga mein ne usko pakad liya aur kaha ke Allah ki kasam main tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein le chaloon ga, is par usne kaha ke Allah ki qasam mein bahu mohtaaj hon. mere bachce hain aur mein sakht zaroorat mand hun.
Hazrat Abu hurairah radi allahu anhu ne kaha maine ( uske izhaar muaazrat par ) usko chorh diya subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujh se pucha, eh Abu Hurairah guzishta raat tumhare qaidi neh kya kya tha? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam is neh sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya, is liye mujhe is par reham aa gaya. aur mein neh usko chorh diya. Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai. aur woh phir aeye ga.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke is farmane ki wajah se mujh ko yaqeen tha ke wo phir zaroor aeyega. is liye mein is ki taak mein laga raha. 
aur jab woh doosri raat aa ke phir galla uthane laga to mein ne usko phir pakda aur kaha ke tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir karoon ga, lekin ab bhi is ki wohi iltija thi ke mujhe chorhe de, main mohtaaj hon. baal bachon ka boojh mere sir par hai. ab mein kabhi nahi aaunga. 
mujhe reham aa gaya aur mein neh usko phir chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya eh Abu Hurairah tumare qaidi ne kya kiya? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne phir iski sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya. jis par mujhe reham aa gaya. is liye mein neh usay chorhe diya.

Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi yahi farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai aur woh phir aeye ga. teesri martaba mein phir is ke intzaar mein tha ke isne phir teesri raat aa kar galla uthana shuru kya, to maine usko pakad liya, aur kaha ki tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pahunchana ab zurori ho gaya hai. ye teesra mauqa hai. har martaba tum yaqeen dilate rahe ke phir nahi aaoge. lekin tum baz nahi aeye. isne kaha ke is martaba mujhe chorhe to main tumhe aise chand kalimaat sikha dunga jis se Allah taala tumhe faida pahuchayega.
Maine poocha woh kalimaat kya hain? usne kaha, jab tum apne bistar par letnay lago to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori parh liya karo. ek nigran farishta Allah taala ki taraf se barabar tumhari hifazat karta rahega. aur subah tak shaitan tumare paas kabhi nahi aa sakega. is martaba bhi phir mein neh usko chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya, guzishta raat tumare qaidi ne tumse kya muaamla kiya? maine arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne mujhe chand kalimaat sikhaye aur yaqeen dilaya ki Allah Subhanhu mujhe is se faayda pahunchayega. isliye maine usko chorh diya. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki woh kalimaat kya hain? maine arz kiya ki usne bataya tha ki jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. Sahaba Radi allahu anhu khair ko sab se aage badh kar lene wale they.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ( unki ye baat sun kar ) farmaya ke agarche woh jhoota tha lekin tum se ye baat sach keh gaya hai Eh Abu hurairah tum ko ye bhi maloom hai ke teen raton se tumhara muaamla kis se tha? unhone kaha nahi. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke woh Shaitan tha .
Sahih Bukhari, Vol 3, 2311

---------------------------------------------


Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam deputed me to keep Sadaqat (al-Fitr) of Ramadan. A comer came and started taking handfuls of the foodstuff (of the Sadaqa) (stealthily). I took hold of him and said, "By Allah, I will take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ." He said, "I am needy and have many dependents, and I am in great need." I released him, and in the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do yesterday?" I said, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam! The person complained of being needy and of having many dependents, so, I pitied him and let him go." 


Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Indeed, he told you a lie and he will be coming again." I believed that he would show up again as Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam had told me that he would return. So, I waited for him watchfully. When he (showed up and) started stealing handfuls of foodstuff, I caught hold of him again and said, "I will definitely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam. He said, "Leave me, for I am very needy and have many dependents. I promise I will not come back again." I pitied him and let him go.


In the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do." I replied, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! He complained of his great need and of too many dependents, so I took pity on him and set him free." Allah's Apostle said, "Verily, he told you a lie and he will return."

I waited for him attentively for the third time, and when he (came and) started stealing handfuls of the foodstuff, I caught hold of him and said, "I will surely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam as it is the third time you promise not to return, yet you break your promise and come." He said, "(Forgive me and) I will teach you some words with which Allah will benefit you." I asked, "What are they?" He replied, "Whenever you go to bed, recite "Ayat-al-Kursi"-- 'Allahu la ilaha illa huwa-l-Haiy-ul Qaiyum' till you finish the whole verse. (If you do so), Allah will appoint a guard (Angel) for you who will stay with you and no satan will come near you till morning. " So, I released him. In the morning, 

Allah's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What did your prisoner do yesterday?" I replied, "He claimed that he would teach me some words by which Allah will benefit me, so I let him go." Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What are they?" I replied, "He said to me, 'Whenever you go to bed, recite Ayat-al-Kursi from the beginning to the end ---- Allahu la ilaha illa huwa-lHaiy-ul-Qaiyum----.' He further said to me, '(If you do so), Allah will appoint a guard for you who will stay with you, and no satan will come near you till morning.'

(Abu Huraira or another sub-narrator) added that they (the companions) were very keen to do good deeds. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "He really spoke the truth, although he is an absolute liar. Do you know whom you were talking to, these three nights, O Abu Huraira?" Abu Huraira said, "No." He said, "It was Satan."


Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 38, 505

No comments:

Post a Comment