Bismillahirrahmanirrahim
Al Quran : Jo Imaan wale hain wo ALLAH ki raah mein ladte hain aur jo kafir
hain wo shaitan ki raah mein ladte hain isliye tum shaitan ke saathiyo se lado
beshak shaitan
ka fareb kamzor hai, kya tumne un logo ko nahi dekha jinhe kaha gaya tha ki
apne haath roke rakho aur namaz qayam karo aur zakat do phir jab unhe ladne ka
hukm diya gaya us waqt unme se ek jamat logo se aise darne lagi jaisa ALLAH ka
darr ho ya us se bhi zyada darr aur kahne lage eh hamare RAB tune hum par ladna
kyu farz
kar diya , humein thodi muddat aur mohlat kyu na di , unse kah do ki duniya
ka fayda thoda hai aur aakhirat parhaizgaro ke liye behtar hai aur tumhare
saath ek dhaage ke barabar bhi na-insafi nahi ki jayegi
Surah An-Nisa (4) Verse 76 -77
---------------------------------------------
अल-कुरान: जो ईमान वाले हैं वो अल्लाह की राह में
लड़ते हैं और जो काफ़िर हैं वो शैतान की राह में लड़ते हैं , इसलिए तुम शैतान के
साथियों से लड़ो बेशक शैतान का फरेब कमज़ोर है, क्या तुमने उन लोगों को नहीं देखा
जिन्हें कहा गया था की अपने हाथ रोके रखो और नमाज़ क़ायम करो और ज़कात दो, फिर जब
उन्हें लड़ने का हुक्म दिया गया उस वक़्त उनमें से एक जमात लोगों से ऐसे डरने लगी
जैसे अल्लाह का डर हो या उस से भी ज्यादा , और कहने लगे एह हमारे रब तूने हम पर
लड़ना क्यों फ़र्ज़ कर दिया , हमें थोड़ी मुद्दत और मोहलत क्यों न दी , उनसे कह दो की
दुनिया का फायदा थोडा है और आखिरत परहेज़गारों के लिए बेहतर है और तुम्हारे साथ एक धागे के बराबर भी नाइंसाफी नहीं की जाएगी
सुरह अन-निसा (4) , आयत 76-77
Al Quran : Those who believe, fight in the Cause of Allah, and those who
disbelieve, fight in the cause of Taghut (Satan). So fight you against the
friends of Shaitan (Satan). Ever feeble indeed is the plot of Shaitan (Satan).
Have you not seen those who were
told to hold back their hands (from fighting) and perform As-Salat
(Iqamat-as-Salat), and give Zakat but when the fighting was ordained for them,
behold ! a section of them fear men as they fear Allah or even more. They say:
"Our Lord! Why have you ordained for us fighting? Would that You had
granted us respite for a short period?" Say: "Short is the enjoyment
of this world. The Hereafter is (far) better for him who fears Allah, and you
shall not be dealt with unjustly even equal to a scalish thread in the long
slit of a date-stone.
Surah An-Nisa (4) Verse 76 -77
No comments:
Post a Comment