Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, October 29, 2014

* Jo Log Gareebi ki wajah se Haj nahi kar paye unke liye sawab kamane ka ek aasan amal *


Bismillahirrahmanirrahim




* Jo Log Gareebi ki wajah se Haj nahi kar paye unke liye sawab kamane ka ek aasan amal *
--------------------------------------------------------

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne farmaya nadar (gareeb) log Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur kaha ki Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahne wali jannat hasil kar chuke halanki jis tarah hum namaz parhte hain wo bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin maal wa Daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte hain Jihad karte hain aur sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paate is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki main tumhe ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karoge to jo log tumse aage bad chuke hain tum un tak pahunch jaoge aur tuhare martabe tak phir koi nahi pahunch sakta aur tum sabse achche ho jaoge siwa unke jo yahi amal shuru kar de 
Har namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh ( Subhanallah) aur Tamheed ( Alhamdulillah) aur Takbeer ( Allahu Akbar) kaha karo phir hum main Ikhtilaf ho gaya kisi ne kaha ki hum tasbeeh 33 martaba , tamheed 33 martaba aur takbeer 34 martaba kahe . Maine is par Aap Sallallaho Alaihe wasallam se dobara malum kiya to Aap Sallallaho Alaihe wasallam ne farmaya Subhanallah aur Alhamdulillah aur Allahu akbar kaho taki har ek unmein se 33 martaba ho jaye . 
Sahih Bukhari, Vol 2, #843

------------------------------------------------------------

حضرت ابوھریرہ رضی اللہ عنہ نےفرمایا  نادار لوگ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوئے اور کہا کہ امیر و رئیس لوگ بلند درجات اور ہمیشہ رہنے والی جنت حاصل کر چکے حالانکہ جس طرح ہم نماز پڑھتے ہیں وہ بھی پڑھتے ہیں اور جیسے ہم روزے رکھتے ہیں وہ بھی رکھتے ہیں لیکن مال و دولت کی وجہ سے انہیں ہم پر فوقیت حاصل ہے کہ اس کی وجہ سے وہ حج کرتے ہیں۔ عمرہ کرتے ہیں۔ جہاد کرتے ہیں اور صدقے دیتے ہیں ( اور ہم محتاجی کی وجہ سے ان کاموں کو نہیں کر پاتے ) اس پر آپ نے فرمایا کہ لو میں تمہیں ایک ایسا عمل بتاتا ہوں کہ اگر تم اس کی پابندی کرو گے تو جو لوگ تم سے آگے بڑھ چکے ہیں انہیں تم پالو گے اور تمہارے مرتبہ تک پھر کوئی نہیں پہنچ سکتا اور تم سب سے اچھے ہو جاؤ گے سوا ان کے جو یہی عمل شروع کر دیں ہر نماز کے بعد تینتیس تینتیس مرتبہ تسبیح «سبحان الله»،‏‏‏‏ تحمید «الحمد لله»،‏‏‏‏ تکبیر «الله أكبر» کہا کرو۔ پھر ہم میں اختلاف ہو گیا کسی نے کہا کہ ہم تسبیح «سبحان الله» تینتیس مرتبہ، تحمید «الحمد لله» تینتیس مرتبہ اور تکبیر «الله أكبر» چونتیس مرتبہ کہیں گے۔ میں نے اس پر آپ صلی اللہ علیہ وسلم سے دوبارہ معلوم کیا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ «سبحان الله»،‏‏‏‏ «الحمد لله» اور «الله أكبر» کہو تاآنکہ ہر ایک ان میں سے تینتیس مرتبہ ہو جائے۔


صحیح بخاری جلد ۲  ۷۴۳

----------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Some poor people came to the Prophet Peace be upon him and said, The wealthy people will get higher grades and will have permanent enjoyment and they pray like us and fast as we do. They have more money by which they perform the hajj, and 'Umra; fight and struggle in Allah's Cause and give in charity. The Prophet Peace be upon him said, Shall I not tell you a thing upon which if you acted you would catch up with those who have surpassed you? Nobody would overtake you and you would be better than the people amongst whom you live except those who would do the same. Say Subhanallah, Alhamdulillah and Allahu Akbar thirty three times each after every (compulsory) prayer. We differed and some of us said that we should say, Subhanallah thirty times and Alhamdulillah thirty times and Allahu Akbar thirty four times. I went to the Prophet Peace be upon him who said, Say, Subhanallah and Alhamdulillah and Allahu Akbar all together for 33 times. 
Sahih Bukhari, Book 12, Hadith 804

No comments:

Post a Comment