Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, August 27, 2014

Al Quran : Aur usmein se kharch karo jo humney tumhey Rozi di hai is sey pahley ki kisi ko tum mein se maut aa jaye



Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Jo log Apne Maal ALLAH ki Raah mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan rakhte hain na takleef dete hain , unke liye Apne RAB ke yahan sawab hai aur unko na koi darr hai aur na wo gamgeen honge.
Surah Al-Baqara (2), 262

Al Quran : Aur usmein se kharch karo jo humne tumhe rozi di hai is sey pahle ki kisi ko tum mein se maut aa jaye to kahey ki Eh mere Rab tuney mujhe thodi muddat ke liye Dheel kyun na di ki main khairat karta aur naik logon mein ho jata.
Surah Al-Munafiqoon (63), verse 10 

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kharch kiya kar, gina na kar taki tumhe bhi gin ke na mile aur jod ke(chupa ke) na rakho taki tumse bhi ALLAH taala (Apni naimaton ko) na chupa le. 
Sahih Bukhari, Vol 4, 2591

Hadith: Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya koi din aisa nahi jata ki jab bande subah ko uthtey hain to do farishte aasman se na utarte ho, ( yani har roz do farishtey subah ko aasman se utartey hain) unmein se ek farishta ye kahta hai ki Eh ALLAH kharch karne wale ko iska badla de aur dusra kahta hai ki eh ALLAH bakhil (kanjus) ko tabah kar de
Sahih Bukhari, Vol2, 1442

---------------------------------------------

English Translation: 

Al Quran : Those who spend their wealth in the Cause of ALLAH, and do not follow up their gifts with reminders of their generosity or with injury, their reward is with their Lord. On them shall be no fear, nor shall they grieve.
Surah Al-Baqara (2), 262

AL Quran : And spend of that with which We have provided you before death comes to one of you, and he says: "My Lord! If only You would give me respite for a little while , then I should give Sadaqah of my wealth, and be among the righteous . 
Al Quran , Surah Al-Munafiqoon (63), verse 10 

Hadith: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "Give (in charity) and do not give reluctantly lest ALLAH should give you in a limited amount; and do not withhold your money lest ALLAH should withhold it from you." 
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 47, No. 764: 

Hadith: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, There is no day on which people get up in the morning and two angels does not come down from heaven (means Every day two angels come down from Heaven in the morning ) and one of them says, O Allah! Compensate every person who spends in Your Cause,' and the other (angel) says, 'O Allah! Destroy every miser.
Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 24, 522

No comments:

Post a Comment