Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, August 27, 2014

Al Quran : Aur jo log imaan laye aur apne ghar chodhe aur Allah ki raah mein jung ki aur jin logo ne unhe jagah di aur unki madad ki wo sachche musalmnan hain




Bismillahirrahmanirrahim 

Al Quran : Jin logo ne ( meri raah mein) watan chodha aur apne gharo se nikale gaye aur meri raah mein sataye gaye aur jung ki aur qatl kar diye gaye main unke gunah dur karunga aur unhe jannato mein dakhil karunga jinke neeche nahrein bah rahi hain ye Allah ke pass badla hai aur Allah ke pass sabse achcha badla hai
Surah Aal-e-Imran, (3), Verse #195

Al Quran : Aur jo log imaan laye aur apne ghar chodhe aur Allah ki raah mein jung ki aur jin logo ne unhe jagah di aur unki madad ki wo sachche musalmnan hain unke liye bakhshish aur ezzat ki rozi hai
Al Quran, Surah Al-Anfal (8) #74

Al Quran : Kya tumne hajiyo ko pani pilana aur masjid Al-haram ko aabad karna unke barabar jaisa khayal kar liya hai jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhte hai aur Allah ki raah mein ladte hai , ye log Allah ke nazdeek barabar nahi hai , aur Allah zalim logon ko hidayat nahi deta

jo log imaan laye aur watan chorh gaye aur Allah ki raah mein maal aur jaan se jihad karte rahe , Allah ke wahan unke darje bahut bade hain aur wo hi log murad ko pahuchne wale hain
unhe unka RAB apni taraf se meharbani aur razamandi aur baagon ki khushkhabri deta hai jinmein unhe hamesha aaram milega ( aur wo) unmein hamesha rahenge beshak Allah ke waha bada sawab hai
Al Quran , At-Taubah (9), Verse 19-22
-----------------------------------------------
Al Quran : Those who emigrated and were driven out from their homes, and suffered harm in My Cause, and who fought, and were killed (in My Cause), verily, I will expiate from them their evil deeds and admit them into Gardens under which rivers flow (in Paradise); a reward from Allah, and with Allah is the best of rewards." 
Surah Aal-e-Imran, (3), Verse #195

Al Quran : And those who believed, and emigrated and strove hard in the Cause of Allah (Al-Jihad), as well as those who gave (them) asylum and aid - these are the believers in truth, for them is forgiveness and Rizqun Karim (a generous provision i.e. Paradise). 
Al Quran,Surah Al-Anfal (8) #74

Al Quran : Do you consider the providing of drinking water to the pilgrims and the maintenance of Al-Masjidal-Haram (at Makkah) as equal to the worth of those who believe in Allah and the Last Day, and strive hard and fight in the Cause of Allah? They are not equal before Allah. And Allah guides not those people who are the Zalimun (polytheists and wrong-doers). 
Those who believed (in the Oneness of Allah) and emigrated and strove hard and fought in Allah's Cause with their wealth and their lives are far higher in degree with Allah. They are the successful. 
Their Lord gives them glad tidings of Mercy from Him, and His being pleased (with them), and of Gardens (Paradise) for them wherein are everlasting delights. 
They will dwell therein forever. Verily, with Allah is a great reward.
Al Quran , At-Taubah (9), Verse 19-22

No comments:

Post a Comment