Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, August 27, 2014

Hadith: unhe mere samne se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere RAB ye to meri ummat ke log hain




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: unhe mere samne se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain

Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main Hauj-e-kausar par tum logo ka paish khaima (predecessor) hunga aur tum mein se kuch log meri taraf aayengey jab main unhey hauj ka pani deney ke liye jhukunga to unhey mere samney se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain. ALLAH taala farmayega Aapko maaluum nahi, ke unhone aapke baad deen mein kya nayee batein nikal li thi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 7049

Al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne wa’az (speech) farmaya jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey, humney arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ye to rukhsat karney waley ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aapney farmaya main tumko aisee hamwar zameen par chorh ja raha hu jiske din aur raat barabar hain is se wo hatega jo Halaq honey wala hoga
jo tum mein se zinda rahega wo bahut zyada ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena. aur tum par Itaat (ameer) lazim hai chahe wo (ameer) habshi ghulam ho, kyunki momeen nakel daale huye oont ki tarah hota hai jaise chalaya jata hai itaat karta hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 -Sahih

Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne hamare Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #14 -Sahih

---------------------
عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہما نے بیان کیا کہ نبی کریم  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا حوض کوثر پر تم لوگوں کا پیش خیمہ ہوں گا اور تم میں سے کچھ لوگ میری طرف آئیں گے جب میں انہیں ( حوض کا پانی ) دینے کے لیے جھکوں گا تو انہیں میرے سامنے سے کھینچ لیا جائے گا ۔ میں کہوں گا اے میرے رب ! یہ تو میری امت کے لوگ ہیں ۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا آپ کو معلوم نہیں کہ انہوں نے آپ کے بعد دین میں کیا کیا نئی باتیں نکال لی تھیں ۔

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ہمیں ایسی نصیحت فرمائی جس سے ہماری آنکھیں ڈبدبا گئیں، اور دل لرز گئے، ہم نے کہا: اللہ کے رسول! یہ تو رخصت ہونے والے کی نصیحت معلوم ہوتی ہے، تو آپ ہمیں کیا نصیحت کرتے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں نے تم کو ایک ایسے صاف اور روشن راستہ پر چھوڑا ہے جس کی رات بھی دن کی طرح روشن ہے، اس راستہ سے میرے بعد صرف ہلاک ہونے والا ہی انحراف کرے گا، تم میں سے جو شخص میرے بعد زندہ رہے گا وہ بہت سارے اختلافات دیکھے گا، لہٰذا میری اور میرے ہدایت یافتہ خلفاء راشدین ۱؎ کی سنت سے جو کچھ تمہیں معلوم ہے اس کی پابندی کرنا، اس کو اپنے دانتوں سے مضبوطی سے تھامے رکھنا، اور امیر کی اطاعت کرنا، چاہے وہ کوئی حبشی غلام ہی کیوں نہ ہو، اس لیے کہ مومن نکیل لگے ہوئے اونٹ کی طرح ہے، جدھر اسے لے جایا جائے ادھر ہی چل پڑتا ہے ۔

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے ہمارے اس دین میں کوئی ایسی نئی چیز ایجاد کی جو اس میں سے نہیں ہے، تو وہ قابل رد ہے

-----------------------------------------
Narrated 'Abdullah Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "I am your predecessor at the Lake-Fount (Kauthar) and some men amongst you will be brought to me, and when I will try to hand them some water, they will be pulled away from me by force whereupon I will say, 'O Lord, my companions!' Then the Almighty will say, 'You do not know what they did after you left, they introduced new things into the religion after you.'"
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 88, No. 173:

Narrated Abdur Rahman bin Amr As-Sulami that he heard Al-Irbad bin Sariyah say: “The Messenger of ALLAH Peace be upon him delivered a moving speech to us which made our eyes overflow with tears and made our hearts melt. We said: 'O Messenger of ALLAH, this is a speech of farewell. What do you enjoin upon us?' He said: 'I am leaving you upon a (path of) brightness whose night is like its day. No one will deviate from it after I am gone but one who is doomed. Whoever among you lives will see great conflict. I urge you to adhere to what you know of my Sunnah and the path of the Rightly-Guided Caliphs, and cling stubbornly to it.
And you must obey (your leader), even if (your leader is) an Abyssinian slave. For the true believer is like a camel with a ring in its nose; wherever it is driven, it complies.”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 -Sahih

Narrated Aisha may ALLAH be pleased with her that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: “Whoever innovates something in this matter of ours (i.e., Islam) that is not part of it, will have it rejected.-Sahih
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 14-sahih

Al Quran : Aur jo log imaan laye aur apne ghar chodhe aur Allah ki raah mein jung ki aur jin logo ne unhe jagah di aur unki madad ki wo sachche musalmnan hain




Bismillahirrahmanirrahim 

Al Quran : Jin logo ne ( meri raah mein) watan chodha aur apne gharo se nikale gaye aur meri raah mein sataye gaye aur jung ki aur qatl kar diye gaye main unke gunah dur karunga aur unhe jannato mein dakhil karunga jinke neeche nahrein bah rahi hain ye Allah ke pass badla hai aur Allah ke pass sabse achcha badla hai
Surah Aal-e-Imran, (3), Verse #195

Al Quran : Aur jo log imaan laye aur apne ghar chodhe aur Allah ki raah mein jung ki aur jin logo ne unhe jagah di aur unki madad ki wo sachche musalmnan hain unke liye bakhshish aur ezzat ki rozi hai
Al Quran, Surah Al-Anfal (8) #74

Al Quran : Kya tumne hajiyo ko pani pilana aur masjid Al-haram ko aabad karna unke barabar jaisa khayal kar liya hai jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhte hai aur Allah ki raah mein ladte hai , ye log Allah ke nazdeek barabar nahi hai , aur Allah zalim logon ko hidayat nahi deta

jo log imaan laye aur watan chorh gaye aur Allah ki raah mein maal aur jaan se jihad karte rahe , Allah ke wahan unke darje bahut bade hain aur wo hi log murad ko pahuchne wale hain
unhe unka RAB apni taraf se meharbani aur razamandi aur baagon ki khushkhabri deta hai jinmein unhe hamesha aaram milega ( aur wo) unmein hamesha rahenge beshak Allah ke waha bada sawab hai
Al Quran , At-Taubah (9), Verse 19-22
-----------------------------------------------
Al Quran : Those who emigrated and were driven out from their homes, and suffered harm in My Cause, and who fought, and were killed (in My Cause), verily, I will expiate from them their evil deeds and admit them into Gardens under which rivers flow (in Paradise); a reward from Allah, and with Allah is the best of rewards." 
Surah Aal-e-Imran, (3), Verse #195

Al Quran : And those who believed, and emigrated and strove hard in the Cause of Allah (Al-Jihad), as well as those who gave (them) asylum and aid - these are the believers in truth, for them is forgiveness and Rizqun Karim (a generous provision i.e. Paradise). 
Al Quran,Surah Al-Anfal (8) #74

Al Quran : Do you consider the providing of drinking water to the pilgrims and the maintenance of Al-Masjidal-Haram (at Makkah) as equal to the worth of those who believe in Allah and the Last Day, and strive hard and fight in the Cause of Allah? They are not equal before Allah. And Allah guides not those people who are the Zalimun (polytheists and wrong-doers). 
Those who believed (in the Oneness of Allah) and emigrated and strove hard and fought in Allah's Cause with their wealth and their lives are far higher in degree with Allah. They are the successful. 
Their Lord gives them glad tidings of Mercy from Him, and His being pleased (with them), and of Gardens (Paradise) for them wherein are everlasting delights. 
They will dwell therein forever. Verily, with Allah is a great reward.
Al Quran , At-Taubah (9), Verse 19-22

Al Quran : Aur usmein se kharch karo jo humney tumhey Rozi di hai is sey pahley ki kisi ko tum mein se maut aa jaye



Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Jo log Apne Maal ALLAH ki Raah mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan rakhte hain na takleef dete hain , unke liye Apne RAB ke yahan sawab hai aur unko na koi darr hai aur na wo gamgeen honge.
Surah Al-Baqara (2), 262

Al Quran : Aur usmein se kharch karo jo humne tumhe rozi di hai is sey pahle ki kisi ko tum mein se maut aa jaye to kahey ki Eh mere Rab tuney mujhe thodi muddat ke liye Dheel kyun na di ki main khairat karta aur naik logon mein ho jata.
Surah Al-Munafiqoon (63), verse 10 

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kharch kiya kar, gina na kar taki tumhe bhi gin ke na mile aur jod ke(chupa ke) na rakho taki tumse bhi ALLAH taala (Apni naimaton ko) na chupa le. 
Sahih Bukhari, Vol 4, 2591

Hadith: Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya koi din aisa nahi jata ki jab bande subah ko uthtey hain to do farishte aasman se na utarte ho, ( yani har roz do farishtey subah ko aasman se utartey hain) unmein se ek farishta ye kahta hai ki Eh ALLAH kharch karne wale ko iska badla de aur dusra kahta hai ki eh ALLAH bakhil (kanjus) ko tabah kar de
Sahih Bukhari, Vol2, 1442

---------------------------------------------

English Translation: 

Al Quran : Those who spend their wealth in the Cause of ALLAH, and do not follow up their gifts with reminders of their generosity or with injury, their reward is with their Lord. On them shall be no fear, nor shall they grieve.
Surah Al-Baqara (2), 262

AL Quran : And spend of that with which We have provided you before death comes to one of you, and he says: "My Lord! If only You would give me respite for a little while , then I should give Sadaqah of my wealth, and be among the righteous . 
Al Quran , Surah Al-Munafiqoon (63), verse 10 

Hadith: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "Give (in charity) and do not give reluctantly lest ALLAH should give you in a limited amount; and do not withhold your money lest ALLAH should withhold it from you." 
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 47, No. 764: 

Hadith: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, There is no day on which people get up in the morning and two angels does not come down from heaven (means Every day two angels come down from Heaven in the morning ) and one of them says, O Allah! Compensate every person who spends in Your Cause,' and the other (angel) says, 'O Allah! Destroy every miser.
Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 24, 522

Hadith: Aadmi ke jhoota hone ke liye ye baat kaafi hai ki wo jo bhi baate sune usko (bina tasdeeq) aage bayan kar de



Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Aadmi ke jhoota hone ke liye ye baat kaafi hai ki wo jo bhi baate sune usko (bina tasdeeq) aage bayan kar de

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aadmi ke jhoota hone ke liye ye baat kaafi hai ki wo jo bhi baate sune usko (bina tasdeeq) aage bayan kar de
Sahih Muslim, Vol 1, Hadith 7

Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya jismein 4 khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga aur ismein se ek aadat bhi ho to usmein nifaq hoga jab tak ki wo ye chodh na de
1. Jab baat karey to jhoot bole,
2. Jab wada karey to pura na kare,
3. jab mua’ahida (ahad) kare to be wafaii kare
4. Aur jab ladaii kare to bad-zubani par utar aaye.
Sahih Bukhari, Vol3, 2459

-----------------------



رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا: ’’آدمی کے جھوٹا ہونے کے لیے یہی کافی ہے کہ وہ ہر سنی ہوئی بات بیان کر دے۔‘‘



رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ چار عادتیں جس کسی میں ہوں تو وہ خالص منافق ہے اور جس کسی میں ان چاروں میں سے ایک عادت ہو تو وہ ( بھی ) نفاق ہی ہے، جب تک اسے نہ چھوڑ دے۔ ( وہ یہ ہیں ) جب اسے

 امین بنایا جائے تو ( امانت میں ) خیانت کرے اور 

بات کرتے وقت جھوٹ بولے اور جب 

عہد کرے تو اسے پورا نہ کرے اور جب

 لڑے تو گالیوں پر اتر آئے
-------------------------------------------------------

Narrated by Abu hurairah radi allahu anhu the Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said:
‘It is enough of a lie for a man (without verifying) to narrate everything he hears.
Sahih Muslim, Book of Introduction , Hadith 5

Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has (the following) four characters will be a hypocrite, and whoever has one of the following four characteristics will have one characteristic of hypocrisy until he gives it up. These are:
1. Whenever he talks, he tells a lie;
2. Whenever he makes a promise, he breaks it;
3. Whenever he makes a covenant he proves treacherous;
4. Whenever he quarrels, he behaves impudently in an evil insulting manner."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 43, No. 639

✦ Al Quran : ALLAH subhanahu tauba karne walon se Muhabbat karta hai


Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Al Quran : ALLAH subhanahu tauba karne  walon se Muhabbat karta hai 
Surah Al-Baqara (2), # 222

✦ Hadith: Ibn Umar Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh  logo Allah subahanhu se tauba karo, main din mein 100 martaba  Allah subhanahu se tauba karta hu
Sahih Muslim, Vol 6,6859

✦ Hazrat abu musa Radi allahuanhu se rivayat hai ki  Rasool-Allah SallallahuAlaihi  wasallam ne farmaya  beshaq Allah izzat aur buzurgi wala raat ko apna haath phailata hai taki din ke gunaahgar tauba karey aur haath phailata hai din ko taki raat ke gunaahgartawba karey , (Allah isi tarah tawba qubul karega) yahan tak ki afatab nikley paschim se.(yani Qayamat tak)
Sahih Muslim , V ol6, 6989
------------
✦ अल क़ुरान : अल्लाह सुबहानहु तौबा करने  वालों से मुहब्बत करता है 
सुराह अल-बक़रा (2), # 222

✦ हदीस : इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया एह  लोगो अल्लाह सुबहानहु  से तौबा करो, मैं दिन में 100 मर्तबा  अल्लाह सुबहानहु से तौबा करता हू
सही मुस्लिम, जिल्द 6,68

✦ हज़रत अबु मूसा  रदी अल्लाहु  अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया बेशक अल्लाह इज़्ज़त और बुज़ुर्गी वाला रात को अपना हाथ फैलाता है ताकि दिन के गुनहगार तौबा करे और दिन को हाथ फैलाता है ताकि रात के गुनहगार तौबा करे ,
 (अल्लाह इसी तरह तौबा क़बूल करेगा ) यहाँ तक की आफताब निकले पश्चिम से (यानि क़यामत तक )
सही मुस्लिम  , जिल्द 6   ,हदीस 6989
------------
اﷲ بہت توبہ کرنے والوں سے محبت فرماتا ہے

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا لوگو اللہ سے توبہ کرو کیونکہ میں دن میں سو مرتبہ اس (اللہ عزَّوجَلّ) سے توبہ کرتا ہوں۔

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  اللہ رب العزت رات کے وقت اپنا ہاتھ پھیلاتا رہتا ہے تاکہ دن کے گناہ گار کی توبہ قبول کرے اور اپنا ہاتھ دن کو پھیلاتا رہتا ہے تاکہ رات کے گناہ گار کی توبہ قبول کرے یہاں تک کہ سورج مغرب سے طلوع ہو
-------------------

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ
Astaghfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwal-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 
I seek the forgiveness of ALLAH the Mighty, Whom there is none worthy except Him, the Living, The Eternal, and I repent unto Him
-------------

✦ AL Quran :  ALLAH loves those who turn unto Him in repentance and loves those who purify themselves
Surah Al-Baqara (2), # 222

✦ Hadith: Narrated by Ibn Umar stated Radi allahu anhuma that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said O people, seek repentance from Allah. Verily, I seek repentance from Him a hundred times a day.
Sahih Muslim, Book 35, 6523

✦ Abu Mu'sa Radi allahuanhu reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying that Allah, the Exalted and Glorious, Stretches out His Hand during the night so that the people repent for the fault committed from dawn till dusk and He stretches out His Hand daring the day so that the people may repent for the fault committed from dusk to dawn. (He would accept repentance) before the sun rises in the west (before the Day of Resurrection). 
Sahih Muslim Book 037, 6644

Hadith: Allah ki kasam maryam ke bete (Isa alaihi salam) aasman se utrenge aur wo insaf karne wale hakim honge aur saleeb ko tod dalenge



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Allah ki kasam maryam ke bete (Isa alaihi salam) aasman se utrenge aur wo insaf karne wale hakim honge aur saleeb ko tod dalenge
----------------

✦ Abu Hurairah Radiallahuanhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak nahi aayegi jab tak mariyam ke bete (Isa Alaihi salam) ka nuzul ek aadil hukmaran ki hesiyat se tum mein na ho, wo saleeb ko todenge , suwaron (pigs) ko qatl karenge aur jaziya qubul nahi karenge (us daur mein) maal aur daulat ki itni kasrat ho jayegi ki koi usey qubul nahi karega
Sahih Bukhari, Vol 3, 2476

✦ Jabir bin Abdullah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein se ek giroh hamesha haq ke liye ladta rahega aur Qayamat ke din tak ghalib rahega , jab Isa Alaihi salam utrenge to us giroh ka imam kahega aaeeye Namaz padhaeeye, wo kahenge nahi , tum mein se ek dusre par hakim rahe. ye wo buzurgi hai jo Allah subhanahu is ummat ko inayat farmayenge
Sahih Muslim, Vol 1, 395

✦ Muawiya Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meri Ummat mein se ek giroh hamesha Allah ke hukmo (Quran aur Hadith) par qayam rahega Usey jhootlane wale aur mukhalefeen koi nuksaan nahi pahucha sakenge yahan tak ki Allah ka Amr ( yani Qayamat) aa jaye aur wo isi haal mein honge, is par Malik Radi Allahu Anhu ne kaha ki Muadh Radi Allahu Anhu ne kaha hai wo giron mulk-e-sham mein hoga
Sahih Bukhari, Vol8, 7460
----------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، قیامت اس وقت تک قائم نہ ہو گی جب تک ابن مریم کا نزول ایک عادل حکمران کی حیثیت سے تم میں نہ ہو جائے۔ وہ صلیب کو توڑ دیں گے، سوروں کو قتل کر دیں گے اور جزیہ قبول نہیں کریں گے۔ ( اس دور میں ) مال و دولت کی اتنی کثرت ہو جائے گی کہ کوئی قبول نہیں کرے گا۔
صحیح بخاری جلد ۳  ۲۴۷۶


حضرت جابر بن عبد اللہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ ‌ بیان کرتے ہیں ، میں نے رسول اللہ ﷺ کو فرماتے ہوئے سنا : ’’ میری امت کا ایک گروہ مسلسل حق پر ( قائم رہتے ہوئے ) لڑتا رہے گا ، وہ قیامت کے دن تک ( جس بھی معرکے میں ہو ں گے ) غالب رہیں گے ، کہا : پھر عیسیٰ ابن مریم ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ ‌ اتریں گے تو اس طائفہ ( گروہ ) کا امیر کہے گا : آئیں ہمیں نماز پڑھائیں ، اس پر عیسیٰ ‌علیہ ‌السلام ‌ جواب دیں گے : نہیں ، اللہ کی طرف سے اس امت کو بخشی گئی عزت و شرف کی بنا پر تم ہی ایک دوسرے پر امیر ہو ۔ ‘ ‘
صحیح مسلم جلد ۱ ۳۹۵


آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میری امت میں سے ایک گروہ ہمیشہ قرآن و حدیث پر قائم رہے گا، اسے جھٹلانے والے اور مخالفین کوئی نقصان نہیں پہنچا سکیں گے، یہاں تک کہ «أمر الله» ( قیامت ) آ جائے گی اور وہ اسی حال میں ہوں گے۔ اس پر مالک بن یخامر نے کہا کہ میں نے معاذ رضی اللہ عنہ سے سنا، وہ کہتے تھے کہ یہ گروہ شام میں ہو گا۔ اس پر معاویہ رضی اللہ عنہ نے کہا کہ یہ مالک رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ معاذ رضی اللہ عنہ نے کہا تھا کہ یہ گروہ شام میں ہو گا۔
صحیح بخاری جلد ۸ ۷۴۶۰
-----------------

✦ अबू हुरैरा  रदी अल्लाहू अन्हु रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया क़यामत उस वक़्त तक नही आएगी जब तक मरियम के बेटे (ईसा अलैही सलाम) का नुज़ूल एक आदिल हुकमरान की हेसियत से तुम में ना हो, वो सलीब को तोड़ेंगे , सुअरों  को क़त्ल करेंगे और जाज़िया क़ुबूल नही करेंगे (उस दौर में) माल और दौलत की इतनी कसरत हो जाएगी की कोई उसे क़ुबूल नही करेगा
सही बुखारी, जिल्द  3, 2476

✦ जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया मेरी उम्मत में से एक गिरोह हमेशा हक़ के लिए लड़ता रहेगा और क़यामत के दिन तक गालिब  रहेगा , जब ईसा अलैहि सलाम उतरेंगे तो उस गिरोह का इमाम कहेगा आईए नमाज़ पढ़ाईए, वो कहेंगे नही , तुम में से एक दूसरे पर हाकीम रहे ये वो बुज़ुर्ग है जो अल्लाह सुबहानहु  इस उम्मत को इनायत फरमाएँगे
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 395

✦ मुआवीया रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया मेरी उम्मत में से एक गिरोह हमेशा अल्लाह के हुकमो (क़ुरान और हदीस) पर क़ायम रहेगा उसे झूठलाने वाले और मुखालिफीन कोई नुकसान नही पहुचा सकेंगे यहाँ तक की अल्लाह का अम्र  ( यानी क़यामत) आ जाए और वो इसी हाल में होंगे, इस पर मलिक रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की मुआध रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा है वो गिरोह  मुल्क-ए-शाम में होगा
सही बुखारी, जिल्द 8, 7460

--------------------------------------------------------

✦ Narrated Abu Huraira Radiallahuanhu :ALLAH's Apostle SallallahuAlaihi Wasallam said, "The Hour will not be established until the son of Mary (Isa Alihi Salam) descends amongst you as a just ruler, he will break the cross, kill the pigs, and abolish the Jaziya tax. Money will be in abundance so that nobody will accept it (as charitable gifts).

Sahih Bukhari, Vol 3, Book 43, No. 656


✦  Jabir bin Abdullah Radi allahu anhu reported:
I heard the Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam say: A section of my people will not cease fighting for the Truth and will prevail till the Day of Resurrection. He said: Jesus son of Mary would then descend and their (Muslims') commander would invite him to come and lead them in prayer, but he would say: No, some amongst you are commanders over some (amongst you). This is the honour from Allah for this Ummah.
Sahih Muslim, Book 1, Hadith 293

✦  Narrated Muawiya Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "A group of my followers will keep on following Allah's Laws (Quran and Hadith) strictly and they will not be harmed by those who will disbelieve them or stand against them till Allah's Order (The Hour) will come while they will be in that state." malik Radi allahu anhu said that Muadh Radi allahu anhu said that group will be in mulk e sham
Sahih Bukhari, Book #93, 552

Hadith Qudsi: jab mera banda neki karne ka irada karta hai magar usko karta nahi to bhi main uske liye ek neki likh deta hu



Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith Qudsi: jab mera banda neki karne ka irada karta hai magar usko karta nahi to bhi main uske liye ek neki likh deta hu

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai jab mera banda neki karne ka irada karta hai magar usko karta nahi to bhi main uske liye ek neki likh deta hu (kyunki usne neki irada kar liya tha) aur agar wo us neki ko kar leta hai to main us ek ke badle 10 se lekar 700 nekiya likh deta hu
aur jab kisi burayee ka irada karta hai aur agar wo usey nahi karta to main koi burayee uske liye nahi likhta aur agar karta hai to ek burayee hi likhta hu

Sahih Muslim, Vol 1, 335

-----------------------------



ابوہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا جو کوئی نیکی کا ارادہ کرے مگر اس پر عمل نہ کرے تو اس کے لئے اس کے نامہ اعمال میں ایک نیکی لکھی جاتی ہے اور جو نیکی کا ارادہ کرنے کے ساتھ اس پر عمل بھی کرے تو اس کے لئے اس کے نامہ اعمال میں سات سو نیکیوں تک لکھی جاتی ہیں اور جس نے برائی کا ارادہ کیا مگر اس پر عمل نہ کیا تو اس کا گناہ نہیں لکھا جاتا اور اگر اس گناہ پر عمل کرلے تو ایک ہی گناہ لکھا جاتا ہے۔


-------------------
It is narrated on the authority of Abu Huraira that the Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said
Allah, the Great and Glorious, said: Whenever my bondsman intends to do good, but does not do it, I write one good act for him, but if he puts it into practice I wrote from ten to seven hundred good deeds in favour of him.
When he intends to commit an evil, but does not actually do it, do not record it. But if he does it, I write only one evil.
Sahih Muslim, Book 1, Hadith 234

Hadith: us 360 jodo (joints) ki ginti ke barabar wo us din is tarah chalega ki usne apne aapko dozakh ki aag se bacha liya




Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: us 360 jodo (joints) ki ginti ke barabar wo us din is tarah chalega ki usne apne aapko dozakh ki aag se bacha liya 

Aisha Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Har Bani Adam ke badan mein 360 jode ( joints) hain, jisne Allahu Akbar kaha aur Alhamdulillah kaha aur la ilaha illAllah kaha aur subhanAllah kaha aur Astagfirullah kaha aur paththar logo ki raah se hataya ya koi kaanta ya haddi raah se hata diya aur koi achchi baat sikhayee ya buri baat se roka to us 360 jodo (joints) ki ginti ke barabar wo us din is tarah chalega ki usne apne aapko dozakh ki aag se bacha liya
Sahih Muslim, Vol 3, 2330

Abu Hurairah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya Insaan ke badan ke har jod (joints) par har us din ka sadqa wajib hai jismein suraj Tulu hota hai aur logon ke darmiyan insaaf karna bhi ek sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,2707

Abu Hurairah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya Rozana insaan ke har jod (joint) par sadqa lazim hai agar koi shaksh kisi ki sawari mein madad kare ki usko sahara dekar sawari par sawar kara de ya uska saman us par utha kar rakh de to ye bhi sadqa hai, achcha aur paak lafz bhi sadqa hai har qadam jo namaz ke liye uthtaa hai wo bhi sadqa hai aur (kisi musafir ko) raasta bata dena bhi sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,2891

-----------------------------------------------------


حضرت عائشہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا کو فرماتے ہوئے سنا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : "" بنی آدم میں سے ہر انسان کو تین سو ساٹھ مفاصل ( جوڑوں ) پر پیدا کیاگیا ہے تو جس نے تکبیر کہی ، اللہ کی حمد کہی ، اللہ کی وحدانیت کا اقرار کیا ، اللہ کی تسبیح کہی ، اللہ سے مغفرت مانگی ، لوگوں کے راستے سے کوئی پتھر ہٹایا لوگوں کے راستے سے کانٹا یا ہڈی ( ہٹائی ) ، نیکی کا حکم دیا یا برائی سے روکا ، ان تین سو ساٹھ جوڑوں کی تعداد ے برابر تو وہ اس دن اس طرح چلے گا کہ وہ اپنے آپ کو دوزخ کی آگ سے دور کرچکا ہوگا ۔
صحیح مسلم جلد ۳ ۲۳۳۰

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”انسان کے بدن کے ( تین سو ساٹھ جوڑوں میں سے ) ہر جوڑ پر ہر اس دن کا صدقہ واجب ہے جس میں سورج طلوع ہوتا ہے اور لوگوں کے درمیان انصاف کرنا بھی ایک صدقہ ہے۔“ 
صحیح بخاری جلد ۴ ۲۷۰۷

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”روزانہ انسان کے ہر ایک جوڑ پر صدقہ لازم ہے اور اگر کوئی شخص کسی کی سواری میں مدد کرے کہ اس کو سہارا دے کر اس کی سواری پر سوار کرا دے یا اس کا سامان اس پر اٹھا کر رکھ دے تو یہ بھی صدقہ ہے۔ اچھا اور پاک لفظ بھی ( زبان سے نکالنا ) صدقہ ہے۔ ہر قدم جو نماز کے لیے اٹھتا ہے وہ بھی صدقہ ہے اور ( کسی مسافر کو ) راستہ بتا دینا بھی صدقہ ہے۔“ 

صحیح بخاری جلد ۴ ۲۸۹۱
------------------------------

Aisha Radi allahu anhu reported The Prophet sallallahu alaihi Said Every one of the children of Adam has been created with three hundred and sixty joints; so he who declares the Glory of Allah, praises Allah, declares Allah to be One, Glorifies Allah, and seeks forgiveness from Allah, and removes stone, or thorn, or bone from people's path, and enjoins what is good and forbids from evil, to the number of those three hundred and sixty, will walk that day having removed himself from Hell.
Sahih Muslim, Book 005, # 2199

Narrated Abu Huraira Radiallahuanhu:ALLAH's Apostle SallallahuAlaihi Wasallam said, "There is a Sadaqa to be given for every joint of the human body for every day on which the sun rises, there is a reward of a Sadaqa for the one who establishes justice among people."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 49, No. 870:

Narrated Abu Huraira Radiallahuanhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Charity is obligatory everyday on every joint of a human being. If one helps a person in matters concerning his riding animal by helping him to ride it or by lifting his luggage on to it, all this will be regarded charity. A good word, and every step one takes to offer the compulsory Congregational prayer, is regarded as charity; and guiding somebody on the road is regarded as charity."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 141

Hadith: kisi bhi kuwari ladki ka nikah us waqt tak na kiya jaye jab tak us se ejazat na le li jaye



Bismillahirrahmanirrahim



Hadith: kisi kuwari ladki ka nikah us waqt tak na kiya jaye jab tak us se ejazat na le li jaye
-------------------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya kisi bhi kuwari ladki ka nikah us waqt tak na kiya jaye jab tak us se ejazat na le li jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 6968
-------------------------------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”کسی کنواری لڑکی کا نکاح اس وقت تک نہ کیا جائے جب تک اس کی اجازت نہ لے لی جائے
صحیح بخاری جلد ۸ ۶۹۶۸
---------------------------------

अबू हुरैरा  रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया किसी भी कुंवारी  लड़की का निकाह उस वक़्त तक ना किया जाए जब तक उस से ईजाज़त  ना ले ली जाए
सही बुखारी, जिल्द  8, 6968
------------
Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu The Prophet sallallahu alaihi wasallam said, "A virgin should not be married till she is asked for her consent
Sahih Bukhari, Book 86, Hadith 98

Hadith: Sabse behtar mera zamana hai uske baad un logo ka jo uske baad aayenge…..



Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Sabse behtar mera zamana hai uske baad un logo ka jo uske baad aayenge…..

Abdullah hin masood Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Sabse behtar mera zamana hai uske baad un logo ka jo uske baad aayenge aur phir (unka) jo uske baad aayenge aur uske ke baad aise log paida ho jayenge jo qasasm se pahle gawahi denge aur kabhi gawahi se pahle qasam khayenge
Sahih Bukhari, Vol 7, 6429

-----------------------------------
Narrated Abdullah bin masood Radi allahu anhu
The Prophet sallallahu alaihi wasallam said, "The best people are those of my generation, and then those who will come after them (the next generation), and then those who will come after them (i.e. the next generation), and then after them, there will come people whose witness will precede their oaths, and whose oaths will precede their witness."
Sahih Bukhari, Book 76, # 437

Hadith: Imaan madine mein simat kar is tarah aa jayega jaise saanp simat kar apne bill mein aa jata hai



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Imaan madine mein simat kar is tarah aa jayega jaise saanp simat kar apne bill mein aa jata hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ( Qayamat ke kareeb) Imaan madine mein simat kar is tarah aa jayega jaise saanp simat kar apne bill mein aa jata hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 1876

-----------------------------------------

ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ( قیامت کے قریب ) ایمان مدینہ میں اس طرح سمٹ آئے گا جیسے سانپ سمٹ کر اپنے بل میں آ جایا کرتا ہے۔ 

صحیح بخاری جلد ۳ ۱۸۷


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet sallallahu alaihi wasallam said Verily Belief returns and goes back to Medina as a snake returns and goes back to its hole (when in danger).
Sahih Bukhari, Book 30, No. 100



Mafhum-e-hadith: Aankho ke baal (Eyebrows) ko ukhadne waliyon par lanat ki gayee hai



Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-hadith: Aankho ke baal (Eyebrows) ko ukhadne waliyon par lanat ki gayee hai 
------------------------------------
Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya sir ke kudrati balon mein nakli baal laganey waliyon par aur lagwane waliyon par aur godne wali ( tattoo lagane ) par aur gudwane waliyon (tattoo lagwane) par ALLAH ne laanat bheji hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5933-Sahih

Abdullah bin masood Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne lanat ki hai (tatoo) godne waliyo aur gudwane waliyo par aur aankho ke baal ukhadne aur daanto ko husn ke liye kushda karne waliyon par aur Allah ki khalqat ko badlne waliyon par
Sunan Ibn majah, Vol 2, 146-Sahih

Abdullah ibn Masud Radi allahu anhu ne farmaya Allah subhanahu ne (tatoo) godne waliyon par aur gudwane waliyon par aur chehre ke baal ukhadne waliyon par aur khubsurti paida karne ke liye daanto ke darmiyan kushadgi karne walo par jo Allah ki khalqat mein tabdili karti hain un par lanat bheji hai
Sahih al-Bukhari Vol 7, 5943

------------------------------------------------


نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”سر کے قدرتی بالوں میں مصنوعی بال لگانے والیوں پر اور لگوانے والیوں پر اور گودنے والیوں پر اور گدوانے والیوں پر اللہ نے لعنت بھیجی ہے۔“ 

صحیح بخاری جلد ۷ ۵۹۳۳


رسولِ الله صلی اللہ علیہ وسلم نے لعنت فرمائی گودنے والیوں پر اور گدوانے والیوں پر، بال اکھاڑنے والیوں پر اور خوبصورتی کے لیے دانتوں کے درمیان کشادگی کرنے والیوں پر جو اللہ کی پیدائش میں تبدیلی کرتی ہیں

صحیح بخاری جلد ۷  ۵۹۴۸


اللہ تعالیٰ نے گودنے والیوں پر اور گدوانے والیوں پر اور چہرے کے بال اکھاڑنے والیوں پر اور خوبصورتی پیدا کرنے کے لیے سامنے کے دانتوں کے درمیان کشادگی کرنے والیوں پر جو اللہ کی پیدائش میں تبدیلی کرتی ہیں، لعنت بھیجی ہے

صحیح بخاری جلد ۷ ۵۹۴۳
_______________________

It was narrated that Abdullah bin masood Radi allahu anhu said:
"The prophet sallallahu alaihi wasallam cursed the woman who does tattoos and the one who has them done, and those who pluck their eyebrows and file their teeth for the purpose of beautification, and those who change the creation of Allah."
Sunan Ibn majah, Vol. 3, Book 9, # 1989-Sahih

Narrated Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ALLAH's Apostle SallallahuAlaihi wasallam said, "ALLAH has cursed such a lady as lengthens (her or someone else's) hair artificially or gets it lengthened, and also a lady who tattoos (herself or someone else) or gets herself tattooed.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, 820

Narrated Ibn Masud Radi allahu anhu Allah has cursed those women who practise tattooing or get it done for themselves, and those who remove hair from their faces, and those who create spaces between their teeth artificially to look beautiful, such ladies as change the features created by Allah.
Sahih Bukhari, Vol. 7, Book 72, #826

Hadith: Meri ummat mein se ek giroh hamesha haq ki khatir ladta rahega




Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Meri ummat mein se ek giroh hamesha haq ki khatir ladta rahega

Imran ibn Husayn Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat mein se ek giroh hamesha haq ki khatir ladta rahega , yahan tak ki unmein se aakhir mein ek giroh Dajjal se Qital ( jung) karega.
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 712 -Sahih
----------------------------

عمران بن حصین رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” میری امت کا ایک گروہ ۱؎ ہمیشہ حق کے لیے لڑتا رہے گا اور ان لوگوں پر غالب رہے گا جو ان سے دشمنی کریں گے یہاں تک کہ ان کے آخری لوگ مسیح الدجال سے قتال کریں گے ۲؎ 

----------
Narrated Imran ibn Husayn Radi Allahu Anhu The Prophet sallallahu alaihi wasallam said: A section of my community will continue to fight for the right till the last of them fights with the Antichrist
Sunan Abu Dawud, Book 14, 2478-Sahih