Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, May 30, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1344*❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1344*❗

Ek baar ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se kaha ki apane mujhe takleef di mujhe uska qasas (badla) lena hai 


Sawal 1 : Unhone Qasas mein kya kiya (ya kya maanga) ?

A. Jannat mein ek ghar

B. Jannat mein Rasool-Allah ﷺ ka pados

C. Rasool-Allah ﷺ ki khidmat 

D. Rasool-Allah ﷺ ki peshani ka bosa liya

E. Qayamt ke din Rasool-Allah ﷺ ke saath hashr ki dua

F. Rasool-Allah ﷺ ke pet ka bosa liya

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Sawal 2 : Wo sahabi kaun they ?


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Sawad bin Ghaziyyah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F. Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1344*❗


Once a companion Said to  Rasool saws  you have hurt me , I need to take revenge for this

Quiz 1 : What he did (or asked) in the revenge ?  


A. A house in paradise

B. To be a neighbour of Rasool-Allah ﷺ in paradise

C. To be servent of of Rasool-Allah ﷺ 

D. He kissed the forehead of Rasool-Allah ﷺ 

E. He asked to make dua that he should be with  Rasool-Allah ﷺ on the day of judgement 

F. He kissed the abdomen of Rasool-Allah ﷺ 

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Quiz 2 : Who was that sahabi  ?


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Sawad bin Ghaziyyah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F. Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Note : If your answer is option G please mention the correct answer to be declared a winner.


💐 *Sahih jawab : FD* 💐✅

--------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ne Badr ke din apne Sahaba ki saffein durust ki, aapke haath mein ek teer tha jiske zariye logo ko Seedha kar rahe they, jab Sawad bin Ghaziyyah Radi Allahu Anhu ke pass se guzrey jo Saff se aage Nikle huye they to App Sallallahu Alaihih Wasallam ne inke pet mein dheere se teer chu kar farmaya Sawad Seedhe Ho Jao, inhone kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihih Wasallam! Aapne mujhe Takhlif di hai Allah Subhanahu ne aapko Haq o Insaaf de kar bhejha hai, mujhe bhi Badla Dijiye, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Pet  Mubarak se kapda Uthaya aur Farmaya: Badla le lo,  Sawad Radi Allahu Anhu aapse Chimat Gaye aur aapke pet ka Bosa le liya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Eh Sawad ! Tumhein yeh kaam karne par kis baat ne Majboor kiya? Sawad Radi Allahu Anhu ne kaha: Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aap dekh rahe hain ke Maut samne hai, maine chaha k Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Mera aakhri Mua'amila Yeh ho ki mera jism aapkejism ke saath Mil jaye, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sawad Radi Allahu Anhu ke liye Dua ki aur unse kaha: Sawad ab seedhe khade ho Jao
As-Silsila-As-Sahiha-3356


💐 *Answer : FD* 💐✅
--------

During the Battle of Badr, Prophet Muhammad SallAllahu Alaihi wasallam was walking between the lines of soldiers, straightening them with an arrow in his hand, he came to one Sawad ibn Ghaziyah, may Allah be pleased with him. Sawad was standing too far out of line. The Prophet SallAllahu Alaihi wasallam said, gently pricking him in the stomach with his arrow: Stand in line, O Sawad. He said You have hurt me, O Messenger of Allah! Allow me to take retaliation, Sawad cried out, with an exaggerated expression of pain. Promptly, the Messenger of AllahSallAllahu Alaihi wasallam uncovered his own stomach and said Take your retaliation. At this, Sawad Radi Allahu Anhu kissed the Stomach of him and embraced him, and said, O Messenger of Allah SallAllahu Alaihi wasallam you see what is before us, and I may not survive the battle, and as this is my last time with you I want my skin to touch yours.” The Prophet SallAllahu Alaihi wasallam then blessed him and supplicated for him and said Now Stand in line.

As-Silsila-As-Sahiha-3356


No comments:

Post a Comment