Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, May 30, 2021

*Only-Quran-Hadith Quiz 1352*❗

 


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1352*❗


Sawal : Inmein se wo kaun hai jisko Aadhi raat ibadat karne ka sawab milta hai ?


A. Raat ko 10 aayat padh kar sone wala

B. Raat ko 100 aayat padh kar sone wala

C. Miskeen ki madad karne wala 

D. Raat ko wuzu karke sone wala

E. Isha ki Namaz jamat se padhne wala 

F. Allah ki raah mein raat ko pahra dene wala

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)



*Only-Quran-Hadith Quiz 1352*❗


Quiz : Who gets the rewards to pray up to midnight ?


A. One who recites 10 verses before sleeping

B. One who prays 100 rakats before sleeping

C. One who keep helping the poor

D. One who performs wudu before going to sleep

E. One who prays isha in congregation 

F. One who  patrol in the way of Allah

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


💐 *Sahih Jawab : E* 💐✅

----------

✦ Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne Isha ki namaz jamaat se ada ki to wo aisa hai jaise ki aadhi raat tak 

namaz padhta raha aur jisne subah ki namaz jamaat se ada ki to wo aisa hai jaisa ki usne sari raat namaz padhi

Sahih Muslim 1491


💐 *Answer : E* 💐✅

----------

✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said  He who observed the Isha prayer in congregation, it was as if he prayed up to midnight, and he who prayed the morning prayer in congregation, it was as if he prayed the whole night.

Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1379

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1351*❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1351*❗


*Quran ke in lafzo ko unke mayno se milan kijiye - Match the following (Refer : Surah At-Teen, Al-Bayyinah, Al-Zalzalah)*


A. أَثْقَالَهَا -Athqalaha

B. تُحَدِّثُ - Tuhaddis

C. الْبَيِّنَةُ -Al Bayyinah

D. التِّينِ- At-Teen

E. مُخْلِصِينَ - Mukhlisina

F. الْبَرِيَّةِ - Al-Bariyah

G. غَيْرُ مَمْنُونٍ- Ghayru Mamnun

H. Rabbi zidni ilman

----------

1. Khalis

2. Apni Khabarein

3. Khuli Dalil

4. Be inteha

5. Apne bojh

6. Makhluqat

7. Zaitun 

8. Bayan karegi

9. Inmein se koi nahi


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1351*❗


* Match the following Quranic Words with their meanings (Refer : Surah At-Teen, Al-Bayyinah, Al-Zalzalah)*


A. أَثْقَالَهَا -Athqalaha

B. تُحَدِّثُ - Tuhaddis

C. الْبَيِّنَةُ -Al Bayyinah

D. التِّينِ- At-Teen

E. مُخْلِصِينَ - Mukhlisina

F. الْبَرِيَّةِ - Al-Bariyah

G. غَيْرُ مَمْنُونٍ- Ghayru Mamnun

H. Rabbi zidni ilman

----------

1. (Being) Sincere

2. Its News

3. Clear Evidence

4. Never Ending

5. Its burdens

6. Creatures

7. Olive

8. It will report

9. None of the above



💐 *Sahih Jawab :5839164* 💐✅

----------

وَ اَخۡرَجَتِ الۡاَرۡضُ أَثْقَالَهَا

Aur apna bojh bahar nikal phenkegi

Surah Al Zilzaal - 99:2

----------

یَوۡمَئِذٍ تُحَدِّثُ اَخۡبَارَهَا

Is din zameen apni sab khabrein bayaan kar degi

Surah Al Zilzaal - 99:4

----------

لَمۡ  یَکُنِ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا مِنۡ اَہۡلِ الۡکِتٰبِ وَ الۡمُشۡرِکِیۡنَ مُنۡفَکِّیۡنَ حَتّٰی تَاۡتِیَہُمُ الْبَيِّنَةُ 

Ahle kitab ke Kafir aur Mushrik log jab tak inke pass zahir Daleel (khuli daleel) na aajaye baaz rahne wale na they 

Surah Al Bayyina -  98:1

----------

وَ التِّیۡنِ وَ الزَّیۡتُوۡنِ ۙ

Kasam hai Anjeer ki aur Zaitun kiSurat ut Teen - 95:1

----------

وَ مَاۤ اُمِرُوۡۤا اِلَّا لِیَعۡبُدُوا اللّٰہَ مُخۡلِصِیۡنَ لَہُ الدِّیۡنَ   ۬ ۙ 

Inhein iske siwa koi hukum nahi diya gaya ke sirf Allah ki ibadat kare isi ke liye deen ko Khalis rakhein

Surah Al Bayyina - 98:5

----------

اِنَّ  الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا مِنۡ اَہۡلِ الۡکِتٰبِ وَ الۡمُشۡرِکِیۡنَ فِیۡ  نَارِ جَہَنَّمَ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَا ؕ اُولٰئِکَ ہُمۡ شَرُّ الْبَرِيَّةِ 

Beshak jo log Ahle kitab mein se kafir huye aur  Mushrikeen sab Dozakh ki aag mein jayenge wahan woh  hamesha hamesha rahe 


ge yeh log badtareen Makhulqat hain

Surah Al Bayyina - 98:6

----------

اِلَّا  الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ فَلَہُمۡ اَجۡرٌ غَیۡرُ مَمۡنُوۡنٍ 

Leikn jo log imaan laye aur (phir) neik amal kiye to inke liye be inteha Ajar hai (yani kabhi na khatam hone wala)

Surah At Teen - 95:6

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1350*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1350*❗


Ek baar ek Sahabi ko Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ne farmaya tum Al-Asrain ki hifazat karte rahna

Sawal : Al-Asrain kya hai  ?


A. Mulk e Sham

B. Masjid e Haram

C. Asr ki namaz

D. Ansar aur Muhajireen

E. Baitul Muqaddas

F. Masjid e Nabwi aur Masjid e Haram

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1350*❗


Once Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam said to a companion guard Al-Asrain

Quiz : What is Al-Asrain ?


A. Mulk e Sham

B. Masjid e Haram

C. Asr ki namaz

D. Ansar aur Muhajireen

E. Baitul Muqaddas

F. Masjid e Nabwi aur Masjid e Haram

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my Knowledge)


💐 Sahih Jawab : G 💐✅

---------

Fudalah Radi Allahu Anhu kahte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ne mujhe jo batein seekhaye inmein yeh baat thi ke Pancho namazo ki hifazaat karna, maine Aapse kaha ki ye aise waqt hain jinmein mujhe bahut kaam hote hain, Aap mujhe aisa jame kaam karne ka hukm dijiye ke main isko karu to woh mujhe kafi ho jaye, Aap Sallallahu Alaihih Wasallam ne farmaya: Asrain ki hifazaat karo, Asrain ka lafz hamari zuban mein aam nahi tha is liye meine pucha Al-Asrain kya hai? Aap Sallallahu Alaihih Wasallam ne farmaya Do namaz ek suraj nikalne se pahle (Fajr), aur ek suraj Doobne se pahle (Asr) (yani in dono ko waqt par ada karte raho)

Sunan Abu Dawood#428-Sahih


💐 Answer : G 💐✅

---------

Narrated Fudalah Radi Allahu Anhu The Messenger of Allah (ﷺ) taught me and what he taught me is this: Observe the five prayers regularly. He said: I told (him): I have many works at these times; so give me a comprehensive advice which, if I follow, should be enough for me. He said: guard the two afternoon prayers (Al-asrayn). But the term al-asrayn (two afternoon prayers) was not used in our language. Hence I said: What is Al-asrayn? He said: A prayer before the sunrise and a prayer before the sunset (i.e. the dawn and the afternoon prayers).

Sunan Abu Dawood#428-Sahih


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1349*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1349*❗

*Sawal 1 : Inmein se kaunse Azkar ko Kalma e Shukr kaha gaya hai ?*

*Sawal 2 : Inmein se kaunse Azkar ko Kalma e Ikhlas kaha gaya hai ?*


A. SubhanAllah

B. Alhamdulillah

C. Huwallahu Ahad

D. Allahu Akbar

E. SubhanAllahi wa biHamdihi

F. Astaghfirullah wa atubu ilaihi 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1349*❗

Quiz 1 : Which Azkar is called Kalma e Shukr (The word of thanks) ?*

Quiz 1 : Which Azkar is called Kalma e ikhlas (The word of sincerity)?*


A. SubhanAllah

B. Alhamdulillah

C. Huwallahu Ahad

D. Allahu Akbar

E. SubhanAllahi wa biHamdihi

F. Astaghfirullah wa atubu ilaihi 

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my Knowledge)


💐 *Sahih Jawab : BG* 💐

--------

.✦ Ibn Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai SubhanAllah Salatul Khalaeeq (صَلَاةُ الْخَلَائِقِ) hai yani makhluq ki ibadat hai,  Alhamdulillah kalma e shukar hai Laa illaha IllAllah  kalma e ikhlas hai aur Allah hu Akbar  zameen aur asman ke khala ko bhar deta hai 
Mishkat ul Masabeeh- 2322-Sahih


💐 *Answer : BG* 💐

--------
.✦ Narrated by Ibn Umar Radi Allahu Anhu that  SubhanAllah is the Salatul Khalaeeq (صَلَاةُ الْخَلَائِقِ) it means its a worship of creations, and saying Alhamdulillah is the word of thanks and  Laa illaha illAllah is the word of sincerity and Allahu Akabr fill the gap between earth 

Mishkat ul Masabeeh- 2322-Sahih

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1348*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1348*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal  : Allah Subhanahu ne kaunse farishto ka naam lekar ye farmaya ki jo unka dushman uska Allah bhi dushman ?*


A. Jibril Alaihi Salam

B. Israfil Alaihi Salam

C. Izraeel Alaihi Salam

D. Mikaeel Alaihi Salam

E. Rizwan  Alaihi Salam

F. Malik Alaihi Salam

G. Raqib Alaihi Salam

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1348*❗

*Answers are more than one*

*Sawal  : By mentioning the name of Angels in Quran Allah said that Whoever is an enemy to them, Allah is also an enemy to him , in this verse the name of which Angels are mentioned?*


A. Jibril Alaihi Salam

B. Israfil Alaihi Salam

C. Izraeel Alaihi Salam

D. Mikaeel Alaihi Salam

E. Rizwan  Alaihi Salam

F. Malik Alaihi Salam

G. Raqib Alaihi Salam

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my Knowledge)



💐 *Sahih Jawab : AD* 💐

--------

مَن كَانَ عَدُوًّا لِّلَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَرُسُلِهِ وَجِبْرِيلَ وَمِيكَالَ فَإِنَّ اللَّهَ عَدُوٌّ لِّلْكَافِرِينَ

Jo shaksh Allah ka aur uske farishto ka aur uske Rasoolo ka aur jibril aur meekaeel ka dushman ho to aise kafiro ka Allah bhi dushman hai

Al-Baqara (2), Verse #98


💐 *Answer : AD* 💐

--------

مَن كَانَ عَدُوًّا لِّلَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَرُسُلِهِ وَجِبْرِيلَ وَمِيكَالَ فَإِنَّ اللَّهَ عَدُوٌّ لِّلْكَافِرِينَ

Whoever is an enemy to Allah, His Angels, His Messengers, Jibril (Gabriel) and Mika'il (Michael), then verily, Allah is an enemy to the disbelievers."

Al-Baqara (2), Verse #98


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1347*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1347*❗

*Sawal 1 : Yajuj Majuj ke aane se pahle Allah Subhanahu Musalmano ko kaunsi jagah le jane ka hukm denge ?*


A. Uhad Pahad par

B. Baab-e-Lood 

C. Makka mein

D. Madina mein

E. Koh e tur par

F. Judi Pahad par

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Sawal 2 : Ye hukm kisko diya jayega ?*


A. Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Mahdil Alaihi Salam

D. Musa Alaihi Salam

E. Isa Alaihi Salam

F. Zulqarnain Alaihi Salam

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1347*❗

Before the coming of Yajuj Majuj,  Allah will command to take the believers on a safe place.

*Quiz 1 :  What will be that safe place ?*


A. On the Uhud Mountain

B. The door of a Lood 

C. In Makka 

D. In Madina

E. On the Tur Mountian 

F. On the Judi Mountain

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*Quiz 2 : Who will be commanded to take believers on that safe place?*

A. Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Mahdil Alaihi Salam

D. Musa Alaihi Salam

E. Isa Alaihi Salam

F. Zulqarnain Alaihi Salam

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


💐 *Sahih jawab : EE* 💐

--------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Isa Alaihi salam par wahi  bhejega ki mainhe apne aise bande nikale hain ki kisi ko un se ladne ki taqat nahi ,  tum mere musalman bandoh ko tur (Koh e tur) ki taraf panah main le jao aur phir Allah Subhanahu Yajooj aur majooj ko bhejega.

Sahih Muslim - 7373 (part)


💐 Answer : EE 💐
--------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam  Said Allah would reveal to Isa Alaihi salam these words: I have brought forth from amongst My servants such people against whom none would be able to fight; you take these people (believers) safely to Tur, and then Allah would send Gog and Magog and they would swarm down from every slope.

Sahih Muslim 7015


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1346*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1346*❗

*Sawal : Kaunse farishte ke liye ye farmaya gaya ki wo ek Azeem farishta hai jo jihad mein aata hai aur safon mein shamil ho jata hai ?*


A. Malik Al Maut

B. Israfil Alaihi Salam

C. Israeel Alaihi Salam

D. Mikaeel Alaihi Salam

E. Rizwan  Alaihi Salam

F. Malik Alaihi Salam

G. Raqib Alaihi Salam

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1346*❗

*Quiz : For which angel it has been said that He is a great angel who comes to attend Jihad and enter in the rows of Muslims?*


A. The Angel of death

B. Israfil Alaihi Salam

C. Israeel Alaihi Salam

D. Mikaeel Alaihi Salam

E. Rizwan  Alaihi Salam

F. Malik Alaihi Salam

G. Raqib Alaihi Salam

H. Rabbi Zidni ilma 

(og Allah increase my knowledge)


💐 *Sahih jawab :  B * 💐✅

-------

Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki badr wale din Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mujhe aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu se farmaya tha ki tum mein se ek ke saath Jibril Alaihi salam aur dusre ke saath Mikaeel Alaihi salam hain aur Israfil Alaihi Salam ek Azeem farishta hai jo jihad mein aata hai aur (musalmano ki) safon mein shamil ho jata hai*

عن علي - رضي الله عنه - قال : قال رسول الله - صلى الله عليه وآله وسلم - يوم بدر لي ولأبي بكر  عن يمين أحدكما جبريل ، والآخر ميكائيل ، وإسرافيل ملك عظيم يشهد القتال ويكون في الصف  .

Mustadrak Al Sahihain(Al Hakim) Jild 44430-Sahih


💐 *Answer : B * 💐✅

-------

Narrated by Ali Radi Allahu Anhu on the day of  badr Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said to me and Abu Bakr Radi Allahu Anhu that with one of you is Jibril Alaihi salam and with another Mikaeel Alaihi salam and Israfil Alaihi Salam is a great angel who comes to attend the Jihad and enter in the rows of Muslims

Mustadrak Al Sahihain (Al Hakim) Jild 44430-Sahih

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1345*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1345*❗

Ek baar Ek Aurat ne ek mannat mani thi aur usne ye mannat Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ke samne pesh ki Aapne usko pura karne ki ejazat de di jab wo nazar pura kar rahi thi to Ek sahabi ke khuff se wo ruk gayee


Sawal 1 : Wo Nazar kya thi ?


A. Paidal Hajj karne ki

B. Duff bajane ki

C. Masjid e Nabwi mein Qurbani ki

D. Aap Sallallahu Alaihih Wasallam ke saath jung mein jane ki

E. Apne Bachcho ke sare baal katwane ki

F. Uski walida ki Qabr par jaane ki

G. Qabristan mein Qurbani karne ki


Sawal 2 : Wo sahabi kaun they ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Umar Radi Allahu Anhu

C. Ali Radi allahu anhu

D. Abu Talha Radi allahu anhu

E. Sad bin Muadh Radi allahu anhu

F. Khalid bin walid Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Note : Agar jawab G yani inmein se koi nahi ho to sahi jawab bhi dijiye*


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1345*❗

Ek baar Ek Aurat ne ek mannat mani thi aur usne ye mannat Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ke samne pesh ki Aapne usko pura karne ki ejazat de di jab wo nazar pura kar rahi thi to Ek sahabi ke khuff se wo ruk gayee


Sawal 1 : What was that Vow ?


A. Performing Hajj by walk

B. Beating duff

C. Sacrifice in Masjid e Nabwi

D. Join the battle with Prophet SallAllahu Alaihi Wasallam

E. Removing All hair of her children

F. Visiting the grave of her mother

G. Sacrifice in Graveyard


Sawal 2 : Who was that Sahabi ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Umar Radi Allahu Anhu

C. Ali Radi allahu anhu

D. Abu Talha Radi allahu anhu

E. Sad bin Muadh Radi allahu anhu

F. Khalid bin walid Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. oh Allah increase my knowledge


*Note : Agar jawab G yani inmein se koi nahi ho to sahi jawab bhi dijiye*


💐 Sahih jawab : BB 💐

-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ke kisi Gazweh se wapasi par ek Ghulam Aurat Aap Sallallahu Alaihih Wasallam ke pass aayi aur kahne lagi Maine Nazar (mannat) maani thi ke Agar Allah Subhanahu Aapko Sahi Salamaat Wapas le aaye to main aapke pass Daff Bajaongi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Agar tumne yeh Nazar mani hai to isko puri kar lo, Aur agar nahi to na karo, Woh aurat  Daff Bajane lagi, Abu bakr Radi Allahu Anhu Andar aaye woh Daff Bajati rahi, Phir koi aur aaya woh Daff Bajati rahi, phir Umar Radi Allahu Anhu Andar aaye to usne Daff ko apne peeche Chupa liya, Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ne 

farmaya Umar! Shaitaan tumse Darta hai, mein Yahan baitha hoon Ye log dakhil huye to yeh Daff Bajati rahi jab tum Dakhil huye to Dekh rahe ho isne kaisa kaam kiya.

As-Silsila-tus-Sahiha-3421

*Note : Ek aur rivayat mein Daff ke saath Ghazal gaane  ka bhi zikr hai  - Mishkat ul Masabeeh-6048*


💐 Answer : BB 💐

--------

The Messenger of Allah (ﷺ) went out for one of his expeditions, then when he came back, a black slave girl came to him and said: 'O Messenger of Allah! I took an oath that if Allah returned you safely, I would beat the Duff before you and sing.' So the Messenger of Allah (ﷺ) said to her: 'If you have taken an oath, then beat it, and if you have not then do not.' So she started to beat the Duff, and Abu Bakr Radi Allahu Anhu entered while she was beating it. Then 'Ali  Radi Allahu Anhu entered while she was beating it, then 'Uthman  Radi Allahu Anhu entered while she was beating it. Then 'Umar  Radi Allahu Anhu entered, so she put the Duff under her, and sat upon it. So the Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Indeed Ash-Shaitan is afraid of you O 'Umar ! I was sitting while she beat it, and then Abu Bakr entered while she was beating it, then 'Ali entered while she was beating it, then 'Uthman entered while she was beating it, then when you entered O 'Umar and she put away the Duff.'

As-Silsila-tus-Sahiha-3421

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1344*❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1344*❗

Ek baar ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se kaha ki apane mujhe takleef di mujhe uska qasas (badla) lena hai 


Sawal 1 : Unhone Qasas mein kya kiya (ya kya maanga) ?

A. Jannat mein ek ghar

B. Jannat mein Rasool-Allah ﷺ ka pados

C. Rasool-Allah ﷺ ki khidmat 

D. Rasool-Allah ﷺ ki peshani ka bosa liya

E. Qayamt ke din Rasool-Allah ﷺ ke saath hashr ki dua

F. Rasool-Allah ﷺ ke pet ka bosa liya

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Sawal 2 : Wo sahabi kaun they ?


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Sawad bin Ghaziyyah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F. Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1344*❗


Once a companion Said to  Rasool saws  you have hurt me , I need to take revenge for this

Quiz 1 : What he did (or asked) in the revenge ?  


A. A house in paradise

B. To be a neighbour of Rasool-Allah ﷺ in paradise

C. To be servent of of Rasool-Allah ﷺ 

D. He kissed the forehead of Rasool-Allah ﷺ 

E. He asked to make dua that he should be with  Rasool-Allah ﷺ on the day of judgement 

F. He kissed the abdomen of Rasool-Allah ﷺ 

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Quiz 2 : Who was that sahabi  ?


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Sawad bin Ghaziyyah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F. Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Note : If your answer is option G please mention the correct answer to be declared a winner.


💐 *Sahih jawab : FD* 💐✅

--------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam ne Badr ke din apne Sahaba ki saffein durust ki, aapke haath mein ek teer tha jiske zariye logo ko Seedha kar rahe they, jab Sawad bin Ghaziyyah Radi Allahu Anhu ke pass se guzrey jo Saff se aage Nikle huye they to App Sallallahu Alaihih Wasallam ne inke pet mein dheere se teer chu kar farmaya Sawad Seedhe Ho Jao, inhone kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihih Wasallam! Aapne mujhe Takhlif di hai Allah Subhanahu ne aapko Haq o Insaaf de kar bhejha hai, mujhe bhi Badla Dijiye, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Pet  Mubarak se kapda Uthaya aur Farmaya: Badla le lo,  Sawad Radi Allahu Anhu aapse Chimat Gaye aur aapke pet ka Bosa le liya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Eh Sawad ! Tumhein yeh kaam karne par kis baat ne Majboor kiya? Sawad Radi Allahu Anhu ne kaha: Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aap dekh rahe hain ke Maut samne hai, maine chaha k Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Mera aakhri Mua'amila Yeh ho ki mera jism aapkejism ke saath Mil jaye, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sawad Radi Allahu Anhu ke liye Dua ki aur unse kaha: Sawad ab seedhe khade ho Jao
As-Silsila-As-Sahiha-3356


💐 *Answer : FD* 💐✅
--------

During the Battle of Badr, Prophet Muhammad SallAllahu Alaihi wasallam was walking between the lines of soldiers, straightening them with an arrow in his hand, he came to one Sawad ibn Ghaziyah, may Allah be pleased with him. Sawad was standing too far out of line. The Prophet SallAllahu Alaihi wasallam said, gently pricking him in the stomach with his arrow: Stand in line, O Sawad. He said You have hurt me, O Messenger of Allah! Allow me to take retaliation, Sawad cried out, with an exaggerated expression of pain. Promptly, the Messenger of AllahSallAllahu Alaihi wasallam uncovered his own stomach and said Take your retaliation. At this, Sawad Radi Allahu Anhu kissed the Stomach of him and embraced him, and said, O Messenger of Allah SallAllahu Alaihi wasallam you see what is before us, and I may not survive the battle, and as this is my last time with you I want my skin to touch yours.” The Prophet SallAllahu Alaihi wasallam then blessed him and supplicated for him and said Now Stand in line.

As-Silsila-As-Sahiha-3356


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1343*❗

 


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1343*❗


EK baar ek jung ke waqt Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  ne 3 baar sahaba se farmaya ki kaun hai jo dushman ki khabar 


lekar aaye to har baar ek hi sahabi sabse pahle aage aaye, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne khush hokar unko ek laqab diya 


Sawal 1 : Wo laqab kaunsa diya tha ?


A. Asadullah

B. SaifAllah

C. Ameen

D. Hawari

E. Siddiq

F. Abu Turab

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Sawal 2 : Wo Sahabi kaun they ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Saad bin maaz radi allahu anhu

C. Khalid bin waleed radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Zubair radi allahu anhu

F. Talha Radi Allahu Anhu 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Sawal 3 : Wo Jung kaunsi thi ?


A. Ghzwa e Hunain

B. Fateh Makka

C. Ghzwa e Khandaq

D. Ghazwa e Badr

E. Ghzwa e Uhad

F. Ghzwa e Tabuk

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Note : Agar jawab G yani inmein se koi nahi ho to sahi jawab bhi dijiye*

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1343*❗

Once during a battle Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam asked the sahabas 3 times who will bring me the information about theenemy and every time  only one sahabi came forward, after seeing this Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam got pleased and give him a special title 


Sawal 1 : After that Day What title was given to him  ?


A. Asadullah (Lion of Allah)

B. SaifAllah (Sword of Allah)

C. Ameen (Trustworthy)

D. Hawari (Helper)

E. Siddiq  (Truthful)

F. Abu Turab (Father of Dust)

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Sawal 2 : Who was that Sahabi  ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Saad bin maaz radi allahu anhu

C. Khalid bin waleed radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Zubair radi allahu anhu

F. Talha Radi Allahu Anhu 

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Sawal 3 : Which battle it was ?


A. Ghazwa e Hunain

B. Fateh Makka

C. Ghazwa e Khandaq

D. Ghazwa e Badr

E. Ghazwa e Uhad

F. Ghazwa e Tabuk

G. None of the above 

H.O Allah increase my knowledge 

Note :If your answer is option G please give the correct answer to be declared a winner

💐 *Sahih Jawab :DEC* 💐✅

-------

Ghzwa e Khandaq ke din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  ne  dushman ki khabar laane ke liye sahab radi Allahu Anhuma se kaha , to Zubair Radi allahu anhu tayyar ho gaye , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne phir se kaha to phir Zubair Radi allahu anhu tayyar ho gaye , uske baad teesri baar kaha tab bhi Zubair Radi allahu anhu hi aage aaye uske baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya har Nabee ke hawari (madadgar) hote hain aur mera hawari Zubair Radi allahu anhu hain

Sahih al-Bukhari 7261


💐 *Answer : DEC* 💐✅

-------

Narrated Jabir bin `Abdullah:

On the day of (the battle of) the Trench, the Prophet (ﷺ) called the people (to bring news about the enemy). Az-Zubair responded to his call. He called them again and Az-Zubair responded to his call again; then he called them for the third time and again Az-Zubair responded to his call whereupon the Prophet said, "Every prophet has his Hawairi (helper), and Az-Zubair is my Hawari."

Sahih al-Bukhari 7261

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1342*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1342*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Azan dene wale ki kya fazilatein hai ?*


A. 7 Saal Azan dene par jannat wajib ho jati hai

B. Qayamat ke din uski gardan sabse unchi hogi

C. Wo uske gharwalo mein se 10 logo ki shafat karwayega

D. Jo cheez uski Azan sunti wo uske liye gawahi deti hai

E. Aane wale Namaziyon ki namaz ka sawab muazzin ko bhi milta hai

F. Azan ke har kalme ke badle 10 nekiya milti hai

G. Jaha tak uski aawaz jati hai usko bakhs diya jata hai

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1342*❗

*Answers are more than one*

Sawal : What are the rewards for the person who pronounce the Adhan?*

A. Paradise will be obligatory for him who pronounce the Adhan for 7 year

B. He Will have the longest necks on the Day of Qayamah

C. He will intercede 10 people from his family

D. Whatever hears him will confirm what he says

E. He will have a reward like that of those who pray with him

F. He gets 10 good deeds for each words of Athan

G. He will be forgiven as far as his voice reaches

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


💐 *Sahih Jawab : BDEG* 💐✅

-------

✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah subhanahu pahli saff par khas rahamtein nazil farmata hai aur uske farishte rahamt ki dua karte hain aur Muazzin ko uski awaz pauchne ki jagak tak ke gunah maaf kar diye jate hai aur uski azan sunne wali har jandar aur be jan cheez uske imaan ki tasdik karegi (yani uske liye gawahi degi) aur usko uske sath mil kar namaz padhne walo ke barabar sawab milega
Sunan Nasaii - 647-Sahih

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne 12 saal azan kahi uske liye  jannat wajib ho gayee aur har baar uski azan ki wajah se 60 nekiyan likhi jati hain aur uski aqamat ki wajah se 30 nekiyan likhi jati hain
Al SilSila Sahiha - 727

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din muazzin (azan dene walon) ki gardane(neck) sabse lambi (unchi) hongi 

Sahih Muslim, Jild 1,852


💐 *Answer : BDEG* 💐✅
-------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said "Allah and His angels say salah upon the from rows, and the Mu'adhdhin will be forgiven as far as his voice reaches, and whatever hears him, wet or dry, will confirm what he says, and he will have a reward like that of those who pray with him.

Sunan Nasaii - 647-Sahih

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said Whoever calls the Adhan for twelve years, he will be guaranteed Paradise, and for each day sixty Hasanat (good deeds) will be recorded for him by virtue of his Adhan, and thirty Hasanat by virtue of his Iqamah.
Al SilSila Sahiha - 727

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said The Mu'adhdhins (The one who proclaims the call to prayer) will have the longest necks on the Day of Qayamah

Sahih Muslim, Book 4, Hadith 750


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1341*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1341*❗

*jawab ek se zyada hai*

*Sawal  : Inmein se kaun kaun se farishte Jihad mein shamil hote hain ?*


A. Jibril Alaihi Salam

B. Israfil Alaihi Salam

C. Israeel Alaihi Salam

D. Mikaeel Alaihi Salam

E. Rizwan  Alaihi Salam

F. Malik Alaihi Salam

G. Raqib Alaihi Salam

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1341*❗

*Quiz has more than one answer*

*Quiz : Which Angels attend the Jihad ?*


A. Jibril Alaihi Salam

B. Israfil Alaihi Salam

C. Israeel Alaihi Salam

D. Mikaeel Alaihi Salam

E. Rizwan  Alaihi Salam

F. Malik Alaihi Salam

G. Raqib Alaihi Salam

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


💐 *Sahih jawab : ABD * 💐✅

-------

Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki badr wale din Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mujhe aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu se farmaya tha ki tum mein se ek ke saath Jibril Alaihi salam aur dusre ke saath Mikaeel Alaihi salam hain aur Israfil Alaihi Salam ek Azeem farishta hai jo jihad mein aata hai aur (musalmano ki) safon mein shamil ho jata hai*

-------

عن علي - رضي الله عنه - قال : قال رسول الله - صلى الله عليه وآله وسلم - يوم بدر لي ولأبي بكر  عن يمين أحدكما جبريل ، والآخر ميكائيل ، وإسرافيل ملك عظيم يشهد القتال ويكون في الصف  .

Mustadrak Al Sahihain(Al Hakim) Jild 44430-Sahih


💐 *Answer : ABD * 💐✅

-------

Narrated by Ali Radi Allahu Anhu on the day of  badr Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said to me and Abu Bakr Radi Allahu Anhu that with one of you is Jibril Alaihi salam and with another Mikaeel Alaihi salam and Israfil Alaihi Salam is a great angel who comes to attend the Jihad and enter in the rows of Muslims

Mustadrak Al Sahihain (Al Hakim) Jild 44430-Sahih

Wednesday, May 26, 2021

✦: Raat ko bistar par jakar padhne ki dua

 













Bismillahirahmanirraheem

✦: Raat ko bistar par jakar padhne ki dua
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab bistar par jate to farmate 

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لَا كَافِيَ لَهُ وَلَا مُؤْوِيَ
✦: Alhamdu lillahil-ladhi At'amana wa Saqana, wa Kafana, wa Aawanaa, fakam-mimman La Kafiya lahu wa la mu'wiy

✦: Tamam taarifein Allah ke liye hai jisne hame khilaya peelaya ( haar taraha se)  kafi hua aur hame thikana diya kitne log hain jinka na koi kifayat karne wala hai na thikana dene wala
------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم جب بستر پر جاتے تو فرماتے

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لَا كَافِيَ لَهُ وَلَا مُؤْوِيَ
تمام تعریفیں اللہ کے لیے ہیں جس نے ہم کو کھلایا اور پلایا، ( ہر طرح سے ) کافی ہوا اور ہمیں ٹھکانا دیا ۔ کتنے لوگ ہیں جن کا نہ کوئی کفایت کرنے والا ہے نہ ٹھکانہ دینے والا  
صحیح مسلم - ٦٨٩٤ 
------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम जब बिस्तर पर जाते तो ये फरमाते 

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لَا كَافِيَ لَهُ وَلَا مُؤْوِيَ
✦: अल्हम्दुलिल्लाहिललज़ी अत़ाअमना  वा सक़ाना वा कफ़ाना वा आवाना फाकम मिम्मन ला काफ़िया लहू वा ला मुअव़ी 
तमाम तारीफें अल्लाह के लिए है जिसने हमें खिलाया,  पिलाया और काफी हुआ और हमें ठिकाना दिया , कितने लोग हैं जिनको न कोई किफ़ायत करने वाला है न ठिकाना देने वाला 
सही मुस्लिम - 6894 
------
When the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  went to his bed, he would say:

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لَا كَافِيَ لَهُ وَلَا مُؤْوِيَ
✦: Alhamdu lillahil-ladhi At'amana wa Saqana, wa Kafana, wa Aawanaa, fakam-mimman La Kafiya lahu wa la mu'wiy

Praise is due to Allah Who fed us, provided us drink, sufficed us and provided us with shelter, for many a people there is none to suffice and none to provide shelter.
Sahih Muslim  - 6894












✦: Quran ke baad chaar kalimat Afzal kalam hain - SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar

 











Bismillahirrahmanirraheem

✦:  Quran ke baad chaar kalimat Afzal kalam hain - SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar
---------
✦:  RasoollAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Quran majid ke baad chaar kalimat Afzal kalam hain aur ye bhi Quran kareem se hi hain wo char kalimat ye hain 
SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar 
(Allah ki zaat paak hai aur tamam tarifein Allah ke liye hai aur Allah ke siwa koi mabud nahi, aur Allah sabse bada hai)
Musnad Ahmed-5455-Sahih
---------
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا قرآن مجید کے بعد چار کلمات افضل کلام ہیں اور یہ بھی قرآن کریم سے ہی ہیں وہ چار کلمات یہ ہیں 
سُبْحَانَ اللهِ، وَالْحَمْدُ لِلهِ، وَلا إِلَهَ إِلا اللهُ، وَاللهُ أَكْبَرُ
مسند احمد - ٥٤٥٥-صحیح 
---------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया  कुरान मजिद के  बाद चार कलिमात अफज़ल कलाम हैं और ये भी कुं करीम से ही हैं वो चार कलिमात ये हैं 
सुबहानअल्लाह वा अल्हम्दुलिल्लाह वा ला ईलाहा इलअल्लाह वा अल्लाहू अकबर
अल्लाह की ज़ात पाक है और तमाम तारीफें अल्लाह के लिए हैं और अल्लाह के सिवा कोई माबूद नहीं और अल्लाह सबसे बड़ा है 
मसनद अहमद 5455-सही 
----------
✦: RasoollAllah Sallallahu Alaihi wasallam said after the Quran these four words are the best and these are from the Quran also, 
SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar , (Glory be to Allah and Praise be to Allah and there is no God Except Allah and Allah is Greatest)
Masnad Ahmed-5455-Sahih








 

✦: Hadith : Bait ul Muqaddas (Masjid e Aqsa) aur uske qareeb ka giroh Qayamat tak deen par sabit qadam aur dushman par galib rahega

 





Bismillahirrahmanirraheem

✦: Hadith : Bait ul Muqaddas (Masjid e Aqsa) aur uske qareeb ka giroh Qayamat tak deen par sabit qadam aur dushman par galib rahega
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ka ek giroh Qayamat tak deen par sabit qadam aur dushman par galib rahega unse ikhtalaf karne wale unka kuch na bigad sakenge siwaye uske ke unhein kuch maashi tangdasti (Rizq aur maal ki kami) ka samna karna padhe, aur wo usee halat par honge yaha tak ke Allah subhanahu ka hukm aa jayega   Sahaba Radi Allahu Anhuma ne kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam wo kaha honge Aap Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya wo Bait ul muqaddas  (Masjid e Aqsa) aur uske aas paas honge
Masnad Ahmed - 12494
-----
رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: میری امت کا ایک گروہ قیامت تک دین پر ثابت قدم  اور دشمن پر غالب رہے گا، ان سے اختلاف کرنے والے ان کا کچھ نہ بگاڑ سکیں گے، سوائے اس کے کہ انہیں کچھ معاشی تنگدستی کا سامنا کرنا پڑے،  اوروہ اسی حالت پر ہوں گے یہاں تک کہ اللہ تعالیٰ کا حکم آجائے گا۔  صحابہ نے کہا: اے اللہ کے رسول! وہ کہاں ہوں گے؟ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: وہ بیت المقدس اور اس کے آس پاس  ہوں گے۔
مسند احمد ١٢٤٩٤ 
----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मेरी उम्मत का एक गिरोह क़यामत तक दीन पर साबित क़दम और दुश्मन पर ग़ालिब रहेगा , उनसे इख्तालाफ़ करने वाला उनका कुछ भी बिगाड़ नहीं सकेंगे सिवाए उसके की उन्हें कुछ माशी तंगदस्ती ( रिजक और माल की कमी ) का सामना करना पढ़े , और वो उसी हालत पर होंगे यहाँ तक की अल्लाह सुबहानहु का हुक्म आ जाएगा  , सहाबा रदी अल्लाहु अन्हुमा ने कहा या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम वो कहाँ होंगे आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया वो बैत अल-मुक़द्दस और उसके आस पास होंगे 
मसनद अहमद - 12494
----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said A group among my Ummah will continue to follow the truth and will prevail (will be powerful) and those who oppose them will not be able to harm them except that they may face some Economic hardship and they will be in such condition till Allah's Order (The Hour) will come , Sahaba Radi Allahu Anhuma asked Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam where will they be? He Sallallahu Alaihi wasallam said they will be near Bait ul muqaddas (Masjid e Aqsa) and around it
Masnad Ahmed - 12494



Monday, May 17, 2021

Hadith : Darakht ya pattar kahega Eh Musalman mere peeche ye ek yahudi hai issko qatl kar de



 

 

 

*Bismillahirrahmanirraheem*

✦: *Hadith : Darakht ya pattarkahega Eh Musalman  mere peeche ye ek yahudi hai issko qatl kar de*
----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat qayam nahi hogi yaha tak ke muslman yahudiyon ke khilaf jung ladenge aur muslman unko qatl karenge yaha tak ke yahudi darakht ya patthar ke peeche chupega aur patthar ya darakht kahega Eh Musalman Eh Allah ke bande mere peeche ye ek yahudi hai idhar aa issko qatl kar de siwaye Gharqad ke darakht ke ( wo nahi kahega) kyu ke wo yahud ka darakht hai
Sahih Muslim - 2922
----
رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  نے فرمایا قیامت قائم نہیں ہوگی ، یہاں تک کہ مسلمان یہودیوں کے خلاف جنگ لڑیں گے اور مسلمان ان کو قتل کریں گے حتیٰ کہ یہودی درخت یا پتھر کے  پیچھے چھپے گا اور پتھر یا درخت کہے گا : اے مسلمان!اے اللہ کے بندے!میرے پیچھے یہ ایک یہودی ہے ادھر آ  اس کوقتل کردے ، سوائے غرقد کے درخت کے ( وہ نہیں کہے گا )  کیونکہ وہ یہود کا درخت ہے ۔

صحیح مسلم - ٢٩٢٢
----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया क़यामत उस वक़्त तक कायम नहीं होगी जब तक की मुसलमान यहूदियों के ख़िलाफ़ जंग लड़ेंगे और मुसलमान उनको क़त्ल करेंगे यहाँ तक की यहूदी दरख़्त या पत्थर के पीछे छुपेगा और  दरख़्त या पत्थर कहेगा एह मुस्लमान एह अल्लाह के बन्दे मेरे पीछे एक यहूदी है इधर आ और इसको क़त्ल कर दे , सिवाए ग़रक़द के दरख़्त के (वो नहीं कहेगा) क्यूंकि वो यहूदियों का दरख़्त है
सही मुसलिम - 2922

----
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said The last hour would not come unless the Muslims will fight against the Jews and the Muslims would kill them until the Jews would hide themselves behind a stone or a tree and a stone or a tree would say: Muslim, or the servant of Allah, there is a Jew behind me; come and kill him; but the tree Gharqad would not say, for it is the tree of the Jews.
Sahih Muslim - 2922
----
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said The last hour would not come unless the Muslims will fight against the Jews and the Muslims would kill them until the Jews would hide themselves behind a stone or a tree and a stone or a tree would say: Muslim, or the servant of Allah, there is a Jew behind me; come and kill him; but the tree Gharqad would not say, for it is the tree of the Jews.
Sahih Muslim - 2922