Bismillahirrahmanirrahim
✦ Yahudiyo aur nasarao ko deen ki dawat dene ka tareeqa
-------------
✦ Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Muadh Radi Allahu Anhu ko yemen bheja to farmaya ki main tumko ek aisee qaum ki janib bhej raha hu jo ahl e kitab hain (yani yahud aur nasara) aur jab tum unke paas pahucho to unko bula kar kahna ki wo gawahi de de ki Allah ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain, agar wo tumhara hukm tasleem kar le to phir unse kahna ki Allah subhanahu ne un par din raat mein paanch waqt ki namazein farz ki hain agar wo isko bhi maan le to unse kahna ki Allah subhanahu ne un par zakat bhi farz kiya hai jo ki unke ameero se liya jayega aur gareebo mein taqseem kiya jayega.
Agar wo isko bhi qubul kar le to unke achche maal lene se bacho aur mazlum ki baddua se bachte rahna kyunki us ke aur Allah ke darmiyan koi rukawat nahi hoti
Sahih Bukhari, Jild 2, 1496
-------------
✦ इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने मुआज़ रदी अल्लाहू अन्हु को यमन भेजा तो फरमाया की मैं तुमको एक ऐसी क़ौम की जानिब भेज रहा हू जो अहल ए किताब हैं (यानी यहूद और ईसाई ) और जब तुम उनके पास पहुँचो तो उनको बुला कर कहना की वो गवाही दे दे की अल्लाह के सिवा कोई भी इबादत के लायक़ नही और मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम अल्लाह के रसूल हैं, अगर वो तुम्हारा हुक्म तसलीम कर ले तो फिर उनसे कहना की अल्लाह सुबहानहु ने उन पर दिन रात में पाँच वक़्त की नमाजें फ़र्ज़ की हैं अगर वो इसको भी मान ले तो उनसे कहाँ की अल्लाह सुबहानहु ने उन पर ज़कात भी फ़र्ज़ किया है जो की उनके अमीरो से लिया जाएगा और ग़रीबो में तक़सीम किया जाएगा अगर वो इसको भी क़ुबूल कर ले तो उनके अच्छे माल लेने से बचो और मज़लूम की बद्दुआ से बचते रहना क्यूंकी उस के और अल्लाह के दरमियाँ कोई रुकावट नही होती
सही बुखारी, जिल्द 2, 1496
-------------
---------------------
✦ Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said to Muadh when he sent him to Yemen, "You will go to the people of the Scripture ( Jews and christians) . So, when you reach there,
invite them to testify that none has the right to be worshipped but Allah,
and that Muhammad is His Apostle. And if they obey you in that,
tell them that Allah has enjoined on them five prayers in each day and night.
And if they obey you in that tell them that Allah has made it obligatory on them to pay the Zakat which will be taken from the rich among them and given to the poor among them.
If they obey you in that, then avoid taking the best of their possessions, and be afraid of the curse of an oppressed person because there is no screen between his invocation and Allah.
Sahih Bukhari, Book 24, Hadith 573
No comments:
Post a Comment