Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, February 5, 2016

*Aapas mein firqon mein na banto aur sabhi musalman bankar raho*




Bismillhirrahmanirrahim
*Aapas mein firqon mein na banto aur sabhi musalman bankar raho*
--------
✦ Huzaifah bin Yaman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kuch log jahannam ke darwaze ki taraf bulane wale honge jo un ki baat manega usko dozakh mein daal denge maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe unki pahchan bata dijiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge maine kaha ki agar maine wo zamana paya to Aap mujhe kya hukm dete hain farmaya ki Musalmano ki jamaat aur unke Imam ke saath rahna maine kaha ki agar Musalmano ki jamaat na ho aur unka koi Imam na ho? farmaya ki phir un tamam logon se alag ho jana chahe tumhe jungal mein jakar Darakhton ki jade (trunk of a tree ) chabani padhe yahan tak ki is halat mein tumahari maut aa jaye
Sunan ibn Majah, Vol 3, 860-Sahih
✦ Arfajah bin Shuraih Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere baad fitney aur fasad ka zamana aaayega , to aise shaksh ko dekho jo (musalmano ki) jamaat ko chodh de aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki ummat mein foot (division) daale to usko qatl kar do kyunki Allah ka haath (yani madad) jamaat par hai aur Shaitan uske saath ho jata hai jo jamaat se alag ho jata hai , aur usko hankta rahta hai.
Sunan Nasaii, Vol 3, 322 - Sahih
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jo shaksh itaa'at se bahar ho jaye aur (musalmano ki) jamaat ka saath chorh de aur phir wo mar jaye to uski maut jahiliyat ki maut hogi.
Sahih Muslim, Vol5, 4786
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bani israeel ke 71 firqe huye aur meri ummat ke 72 firqe honge, sab ke sab dozakhi honge siwaye ek ke aur wo Al-Jamaat hai
Sunan ibn Majah, Vol 3, 874-Sahih
Al Quran : Sab milkar ALLAH ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto
Surah Aal-e-Imran (3), Verse #103
✦ AL Quran : Jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur kayee jamatain ban gaye tumhara unse koi ta’alluq nahi uska kaam ALLAH hi ke hawale hai phir wohi unhey batlayega jo kuch wo karte they
Surah Al Anaam (6) , 159
✦ Al Quran : Usee (Allah) ki taraf ruju kiye raho aur us se darte raho aur mushriko mein se na hona , (aur na ) un logo mein jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur (khud) firqe firqe ho gaye , har firqa usee se khush hai jo unke pass hai
Surah Ar-Room (30), 31-32
--------
✦ comments : Aajkal aksar log musalmano ko aur gair muslimo ko unke firqe ki taraf bulate hain aur unka firqa join karne ki dawat dete hain ki ye firqa achcha hai yahi jannati hai and all this things ,hadd to ye ho gayee hai ki ab jaha ek masjid hua karti thi wo ab firqaparasti ki wajah se har firqe ne apni alag masjid bana li hai ek hi elaqe mein ab teen teen masjid ban gayee hain aur kahi to dusre firqe ke liye no entry ke board bhi lag gaye hain , magar Rasool-Allah sal-alalahu alaihi wasallm ne saaf farma diya hai ki musalmano ki jmaaat ka saath nahi chorhna hai chahe kuch bhi ho jaye aur Quran bhi hujjat kar chuka hai ki firqo mein na bant jana aur ye hadith bhi hujjat hai ki jo bhi ummat mein foot daale usko qatl kar do itni sari ahadith ke baad bhi agar koi na samjhe aur firqaparasti kare to usko Qayamat mein iska jawab dena hoga, agar aap apne aapko musalman kahte ho aur Quran aur sahi Hadith follow karte ho to yakeen maaniye aap safe side ho kyunki aap par kisi firqe ka label nahi.bas yahi aap sabse guzarish hai ki ek ummat ki tarah sabhi aapas mein musalman bhai ban kar raho aur Quran mein bhi humko yahi dua Allah ne sikhayee hai ki agar marna to musalman hi marna.
--------
إِنَّ اللَّهَ اصْطَفَىٰ لَكُمُ الدِّينَ فَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ
✦ Beshak ALLAH ne tumhare liye yahi deen pasand farmaya hai , isliye mrna hai to Musalman hi mrna.
Al Quran , Surah Al-baqara (2), 132
رَبَّنَا أَفْرِغْ عَلَيْنَا صَبْرًا وَتَوَفَّنَا مُسْلِمِينَ
✦ Oh ALLAH hum par Sabr daal aur humein Musalman karke maut de.
Surah Al-Araf (7) verse 126
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ
✦ Al Quran : Eh imaan walo ALLAH se darte raho jaisa us se darne ka haq hai aur mrna to Musalman hi mrna.
Surah Aal-e-imran (3) , 102
فَاطِرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ أَنتَ وَلِيِّي فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ ۖ تَوَفَّنِي مُسْلِمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ
✦ Eh aasmano aur zameen ko paid karne wale tu hi mera wali (kaarsaz) hai , tu mujhe is haal mein maut de ki main musalman hu, aur mujhe Neik logon mein shamil kar.
Surah Yusuf (12) , 101

---------------------------------------------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جہنم کے دروازوں کی طرف بلانے والے پیدا ہوں گے، جو ان کے بلاوے پر ادھر جائے گا وہ انہیں جہنم میں ڈال دیں گے ، میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم سے ان کے کچھ اوصاف بتائیے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ لوگ ہم ہی میں سے ہوں گے، ہماری زبان بولیں گے ، میں نے عرض کیا: اگر یہ وقت آئے تو آپ مجھے کیا حکم فرماتے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم مسلمانوں کی جماعت اور امام کو لازم پکڑو، اور اگر اس وقت کوئی جماعت اور امام نہ ہو تو ان تمام فرقوں سے علیحدگی اختیار کرو، اگرچہ تمہیں کسی درخت کی جڑ چبانی پڑے حتیٰ کہ تمہیں اسی حالت میں موت آ جائے ا؎۔

آپ نے فرمایا:  میرے بعد فتنہ و فساد ہو گا، تو تم جسے دیکھو کہ وہ جماعت سے الگ ہو گیا ہے یا امت محمدیہ میں افتراق و اختلاف ڈالنا چاہتا ہے، تو خواہ وہ کوئی بھی ہو اسے قتل کر دو، اس لیے کہ اللہ تعالیٰ کا ہاتھ جماعت پر ہے اور جو جماعت سے الگ ہوا اس کے ساتھ شیطان دوڑتا ہے ۔

 نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو اطاعت سے نکل گیا اور جماعت سے علیحدہ ہوگیا تو وہ جاہلیت کی موت مرا

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: بنی اسرائیل اکہتر فرقوں میں بٹ گئے، اور میری امت بہتر فرقوں میں بٹ جائے گی، سوائے ایک کے سب جہنمی ہوں گے، اور وہ «الجماعة» ہے، (وہ جماعت جو میری اور میرے صحابہ کی روش اور طریقے پر ہو) ۱؎۔

اور تم سب مل کر اللہ کی رسی کو مضبوطی سے تھام لو اور تفرقہ مت ڈالو،



جن لوگوں نے (جدا جدا راہیں نکال کر) اپنے دین کو پارہ پارہ کر دیا اور وہ (مختلف) فرقوں میں بٹ گئے، آپ کسی چیز میں ان کے (تعلق دار اور ذمہ دار) نہیں ہیں، بس ان کا معاملہ اﷲ ہی کے حوالے ہے پھر وہ انہیں ان کاموں سے آگاہ فرما دے گا جو وہ کیا کرتے تھے

اسی کی طرف رجوع و اِنابت کا حال رکھو اور اس کا تقوٰی اختیار کرو اور نماز قائم کرو اور مشرکوں میں سے مت ہو جاؤ ,ان (یہود و نصارٰی) میں سے (بھی نہ ہونا) جنہوں نے اپنے دین کو ٹکڑے ٹکڑے کر ڈالا اور وہ گروہ در گروہ ہو گئے، ہر گروہ اسی (ٹکڑے) پر اِتراتا ہے جو اس کے پاس ہے


--------------------------

إِنَّ اللَّهَ اصْطَفَىٰ لَكُمُ الدِّينَ فَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ

بیشک اللہ نے تمہارے لئے (یہی) دین (اسلام) پسند فرمایا ہے سو تم (بہرصورت) مسلمان رہتے ہوئے ہی مرنا

رَبَّنَا أَفْرِغْ عَلَيْنَا صَبْرًا وَتَوَفَّنَا مُسْلِمِينَ

اے ہمارے رب! تو ہم پر صبر کے سرچشمے کھول دے اور ہم کو (ثابت قدمی سے) مسلمان رہتے ہوئے (دنیا سے) اٹھالے


يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ

اے ایمان والو! اللہ سے ڈرا کرو جیسے اس سے ڈرنے کا حق ہے اور تمہاری موت صرف اسی حال پر آئے کہ تم مسلمان ہو


فَاطِرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ أَنتَ وَلِيِّي فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ ۖ تَوَفَّنِي مُسْلِمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ

اے آسمانوں اور زمین کے پیدا فرمانے والے! تو دنیا میں (بھی) میرا کارساز ہے اور آخرت میں (بھی)، مجھے حالتِ اسلام پر موت دینا اور مجھے صالح لوگوں کے ساتھ ملا دے


--------------------------------

✦ Be united As A Muslim ummah and live as a muslim and die as muslim*
---------
✦ It was narrated from Hudhaifah bin Yaman that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said There will be callers at the gates of Hell, whoever responds to them 
they throw them into it. I said: O Messenger of Allah, describe them to us. He said: They will be from our people, speaking our language. (Arabic) I said: What do you command me to do, if I live to see that? He said: hold to the main body of the Muslims and their imam. If there is no such body and no imam , then withdraw from all their groups, even if you bite onto the trunk of a tree until death finds you in that state.
Sunan ibn Majah, Book 36, 3979-Sahih

✦ It was narrated that Arfajah bin Shuraih Radi Allahu Anhu he said: "I saw the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam on the Minbar addressing the people. He Sallallahu Alaihi Wasallam said: After me there will be many calamities and much evil behavior. Whoever you see splitting away from the Jamaah (The main body) or trying to create division among the Ummah of Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam , then kill him, for the Hand (support) of ALLAh is with the Jamaah, and the Shaitan is with the one who splits away from the Ummah, running with him.
Sunan Nasaii, Vol 5, 4025 - Sahih

✦ It has been narrated on the authority of Abu Huraira that the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:
One who defected from obedience and separated from the main body of the Muslims - if he died in that state-would die thedeath of one belonging to the days of Jahiliyya.
Sahih Muslim, Book 20, Hadith 4557

✦ It was narrated from Anas bin Malik that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: The Children of Israel split into seventy-one sects, and my nation will split into seventy-two, all of which will be in Hell apart from one, which is Al Jamaat (The main body)
Sunan ibn Majah, Book 36, 3993-Sahih

✦ And hold fast, all of you together, to the rope of ALLAH Quran), and be not divided among yourselves.
Surah Aal-e-Imran (3), 103

✦ (And remain always) turning in repentance to Him (only), and be afraid and dutiful to Him; and perform As-Salat (Iqamat-as-Salat) and be not of Al-Mushrikun (and be not of) Of those who split up their religion and became sects, each sect rejoicing in that which is with it.
Surah Ar-Room (30), 31-32

✦ Verily, those who divide their religion and break up into sects , you have no concern in them in the least. Their affair is only with ALLAH, Who then will tell them what they used to do.
Surah Al Anaam (6) , 159

-----------------
إِنَّ اللَّهَ اصْطَفَىٰ لَكُمُ الدِّينَ فَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ
Indeed Allah has chosen for you this religion, so do not die except while you are Muslims."
Al Quran , Surah Al-baqara (2), 132

رَبَّنَا أَفْرِغْ عَلَيْنَا صَبْرًا وَتَوَفَّنَا مُسْلِمِينَ
Our Lord, pour upon us patience and let us die as Muslims."
Surah Al-Araf (7) verse 126

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ
O you who have believed, fear Allah as He should be feared and do not die except as Muslims [in submission to Him].
Surah Aal-e-imran (3) , 102

فَاطِرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ أَنتَ وَلِيِّي فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ ۖ تَوَفَّنِي مُسْلِمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ
Oh Creator of the heavens and earth, You are my protector in this world and in the Hereafter. Cause me to die a Muslim and join me with the righteous.
Surah Yusuf (12) , 101

No comments:

Post a Comment