Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, October 21, 2013

Al Quran: Allah tumhara Madadgaar hai to tum par koi Ghalib Nahi Aa Sakta


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim
  
Al Quran: Allah tumhara Madadgaar hai to tum par koi Ghalib Nahi Aa Sakta aur agar wo tumhey chorh de to phir kaun hai ki tumhari Madad karey ? Aur Momeeno ko chahiye ki Allah hi par bharosa rakhey
AL Quran Surah Aal-e-Imaran , Verse 160

_____________

اللہ تمہاری مدد فرمائے تو تم پر کوئی غالب نہیں آسکتا ، اور اگر وہ تمہیں بے سہارا چھوڑ دے تو پھر کون ایسا ہے جو اس کے بعد تمہاری مدد کر سکے ، اور مؤمنوں کو اللہ ہی پر بھروسہ رکھنا چاہئے 
سورة آل عمران (۳) ۱۶۰
__________

If Allah helps you, none can overcome you; and if He forsakes you, who is there after Him that can help you? And in Allah (Alone) let believers put their trust. Al Quran ,
 Aal-e-Imran, Chapter 3, Verse 160


Mafhum-e- Quran : Apney maa baap ko uff bhi na kaho (say not to parents a word of disrespect)






Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e- Quran : Apne maa baap ko uff bhi na kaho (say not to parents a word of disrespect)
✦ Al Quran : Aur tumharey RAB ne farmaya hai ki uskey siwa kisi ki ibadat na karo aur Maa baap (parents) ke saath bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo aur unkey samney shafqat se aajazi ke saath jhukey raho aur kaho ki Eh Mere Rab jaisey unhoney ( mere maan baap ne) mujhe bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par raham farma
Surah Al-Isra (17), Verse 23-24 ✦ Hadith: Abu Abdur-Rahman As-Sulami rivayat kartey hain Abu Darda Radi Allahu Anhuma se ki unhoney kaha RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai , isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh. Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959 ( Hasan)
1. Allah ke saath kisi ko Sharik karna,
✦ Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu ki raza walid ( ya waldein) ki khushi mein hai aur Allah subhanahu ka gussa Walid ( ya waldein) ki narazgi mein hai Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960 ( Hasan) ✦ Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se badey (kabira ) gunahon ke baarey mein pucha gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
2. Waaldein ki nafarmani karna,
3. Kisi ki jaan lena ,
4. aur Jhooti gawahi dena. (ye sab kabira gunah hain)
Sahih Bukhari, Vol 4, 2653 -------
القرآن : تمہارے رب نے فیصلہ کر دیا ہے کہ تم لوگ کسی کی عبادت نہ کرو گے مگر صرف اس کی اور والدین کے ساتھ نیک سلوک کرو
اگر تمہارے پاس ان میں سے کوئی ایک یا دونوں بوڑھے ہو کر رہیں تو انہیں اف تک نہ کہو نہ انہیں جھڑک کر جواب دو بلکہ ان سے احترام کے ساتھ بات کرو
اور نرمی و رحم کے ساتھ ان کے سامنے جھک کر رہو اور دعا کیا کرو کہ پروردگار ان پر رحم فرما جس طرح انہوں نے رحمت و شفقت کے ساتھ مجھے بچپن میں پالا تھا
القرآن ، سورۃ بنی اسرائیل (۱۷) آیت ٢٣-٢٤


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”باپ جنت کا درمیانی دروازہ ہے، اگر تم چاہو تو اس دروازہ کو ضائع کر دو اور چاہو تو اس کی حفاظت کرو“
جامع ترمذی جلد ۱ ۱۹۵۹


حدیث : نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: رب کی رضا والد کی رضا میں ہے اور رب کی ناراضگی والد (والدین) کی ناراضگی میں ہے۔
جامع ترمذی جلد ۱ / ١٩٥٩ حسن
حدیث : رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے کبیرہ گناہوں کے متعلق پوچھا گیا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اللہ کے ساتھ کسی کو شریک ٹھہرانا، ماں باپ کی نافرمانی کرنا، کسی کی جان لینا اور جھوٹی گواہی دینا۔
صحیح بخاری جلد ٤ / ٢٥٦٣
-------
✦ अल कुरान : और तुम्हारे रब ने फ़रमाया है की उसके सिवा किसी की ईबादत ना करो और अपने माँ बाप के साथ भलाई करते रहो और अगर तुम्हारे सामने उनमें से एक या दोनों बुढ़ापे को पहुँच जाये तो उन्हे उफ़ भी न कहो और ना उन्हें झिड़को और उनसे अदब से बात करो और उनके सामने शफ़कत से आजज़ी के साथ झुके रहो और कहो की एह मेरे रब जैसे उन्होंने मुझे बचपन से पाला है इसी तरह तू भी उन पर रहम फरमा
अल कुरान, सुरह बनी इसराईल (17), आयत 23-24 ✦ हदीस : रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया वालिद (father) जन्नत का दरमियाना(बीच का)दरवाज़ा है इसलिए तेरी मर्ज़ी उसे जाया कर या मेहफ़ूज़ रख . जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 1, 1959 ( हसन )

✦ हदीस : रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया अल्लाह सुब्हानहु की रजा वालिद ( या वाल्दैन ) की ख़ुशी में है और अल्लाह सुब्हानहु का गुस्सा वालिद(या वाल्दैन)की नाराज़गी में है
जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 1, 1960 ( हसन ) ✦ हदीस : रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लमस से बड़े (कबीरा) गुनाहों के बारे में पूछा गया तो आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया
सही बुखारी , जिल्द 4, 2653
1.अल्लाह के साथ किसी को शरीक करना 2. वाल्दैन (माँ बाप) की नाफरमानी करना 3. किसी की जान लेना
4.और झूठी गवाही देना (ये सब कबीरा गुनाह हैं )
---------------------------------
English Translation:
Al Quran : And your Lord has decreed that you worship none but Him. And that you be dutiful to your parents. If one of them or both of them attain old age in your life, say not to them a word of disrespect, nor shout at them but address them in terms of honour.  And lower unto them the wing of submission and humility through mercy, and say: "My Lord! Bestow on them ( parents) Your Mercy as they did bring me up when I was young."
Al Quran , Surah Al-Isra (17),  Verse 23-24


Hadith: Abdullah ibn 'Umar Radi Allahu Anhu said, "The pleasure of the Lord lies in the pleasure of the father (or parent). The anger of the Lord lies in the anger of the father (or parent)"

Jami At-Tirmidhi,  Vol 4, Book 1, Hadith 1899 (Hasan)

Abu 'Abdur-Rahman As-Sulami narrated from Abu Ad Darda Radi Allahu Anhuma that he said: " I heard the Messenger of Allah Peace be upon him saying: 'The father is the middle gate to Paradise. So if you wish, then neglect that door, or protect it.'
Jami At-Tirmidhi, Vol. 4, Book 1, Hadith 1900 (Hasan)

Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was asked about the great sins He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "
1.They areTo join others in worship with Allah, 2.To be undutiful to one's parents. 

3.To kill a person , 4.and to give a false witness." ( These are the great sins)


Al Quran : Eh mere RAB tu meri taraf jo naimat Nazil karey Main uska Mohtaj hu

Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  

Dua from Quran

 رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيرٌ

Al Quran : Eh mere RAB tu meri taraf jo naimat Nazil karey Main uska Mohtaj hu
-----------------------------------------
My Lord! truly, I am in need of whatever good that You bestow on me
Al Quran , Surah Al-Qasas (28)-24

hadith: wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (padosi) uskey makar-o-fasad (burey kaamo) se mehfooz na ho.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Rasoollallah  Sallallahu Alaihi  wasallam ne farmaya jo shaksh Allah aur uskey Qayamat ke din par Imaan rakhta ho wo apney padosi ko takleef na pahuchaye.
Sahih Bukhari, 5185

Rasoollallah  Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (padosi) uskey makar-o-fasad (burey kaamo)  se mehfooz na ho.
Sahih Muslim, 172
---------------------------------------------------
The Prophet Sallallahu Alaihi  wasallam said, "Whoever believes in Allah and the Last Day should not hurt (trouble) his neighbor.
Sahih Bukhari,Book 62, No.114:

The Prophet Sallallahu Alaihi  wasallam said, : He will not enter Paradise whose neighbour is not secure from his wrongful conduct.
Sahih Muslim, Book 001, Hadith #0074

Al Quran : La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu minaz zalimeen ( Dua –e-Yunus Alaihi salam)



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Dua–e-Yunus Alaihi salam
✦ La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen 
------------------
✦ Al Quran : Phir Machli ne unko ( Yunus Alaihi salam ko) nigal liya , aur wo malamat karney waley they phir agar wo ( ALLAH k) tasbeeh bayan nahi karte, to us roz tak jab log dobara uthaye jayange ( Yani Qayamat tak) uske pet mein hi rahte
Surah As-Saaffat (37)  , 142-144

✦ Al Quran : Aur Zun-Noon (Yunus Alaihi Salam ko yaad karo ) jab wo (apni qaum se naraz hokar) gusse ki halat mein chal diye aur khayal kiya ki hum un par qabu nahi pa sakenge aakhir andhere mein pukarne lage ki 
لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
(Ya ALLAH) tere siwa koi ibadat ke layaq nahi , tu paak hai (aur) beshak mein Qusurwar hu.
to humne unki Dua Qubul kar li aur unko gam se nijat bakhshi aur imaan walo ko hum usee tarah nijat dete hain
Surah Al-Anbiya (21), verse 87-88
------------------
✦ अल क़ुरान : फिर मछली ने उनको ( यूनुस अलैही सलाम) को निगल लिया , और वो मलामत करने वाले थे फिर अगर वो ( अल्लाह की) तसबीह बयान नही करते, तो उस रोज़ तक जब लोग दोबारा उठाए जयांगे ( यानी क़यामत तक) उसके पेट में ही रहते
सुरह साफ्फात   (37) , 142-144

✦ अल क़ुरान : और ज़ुन-नून (यूनुस अलैही सलाम को याद करो ) जब वो (अपनी क़ौम से नाराज़ होकर) गुस्से की हालत में चल दिए और ख़याल किया की हम उन पर क़ाबू नही पा सकेंगे 
आख़िर अंधेरे में (अल्लाह को) पुकारने लगे की 
لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
ला इलाहा इल्ला अन्ता सुबहानका इन्नी कुन्तु मिन अज़ ज़ालिमिन 
(या अल्लाह) तेरे सिवा कोई इबादत के लायक़ नही , तू पाक है (और) बेशक में क़ुसूरवार हूँ 
तो हमने उनकी दुआ क़ुबूल कर ली और उनको गम से निजात बख़्शी और ईमान वालों को हम इसी तरह निजात देते हैं
सुरह अल-अन्बिया  (21), आयत  87


✦ The Supplication of Yunus Alaihi salam
✦ La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen 
------------------
✦ Al Quran : Then a (big) fish swallowed him (yunus Alaihi Salam) as he had done an act worthy of blame., Had he not been of them who glorify ALLAH, He would have indeed remained inside its belly (the fish) till the Day of Resurrection.
Al Quran (37) As-Saaffat , 142-144

✦ Al Quran : And (remember) Dhun-Nun (Yunus Alaihi salam), when he went off in anger, and imagined that We shall not punish him (i.e. the calamities which had befallen him)! But he cried through the darkness (saying): 
لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
(None has the right to be worshipped but You , Glorified  be You ! Truly, I have been of the wrong-doers.)
So We answered his call, and delivered him from the distress. And thus We do deliver the believers 
Surah Al-Anbiya (21), Verse 87-88

Al Quran : Eh imaan walo ALLAH se daro aur agar tum imaan rakhtey ho to jo kuch sood baqi rah gaya hai usey chorh do


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  

Al Quran :  Jo log sood khatey hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthengey Jinhey shaitan  ne lipat kar deewana bana liya ho ye haalat unki is wajah se hogi ki unhoney kaha tha ki kharid wa farokht bhi sood ki tarah hai jabki Allah taala ne kharid aur farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram phir jisko uskey rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahle le chuka hai wo usi ka hai aur uska muaamla Allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hai ye ismein hamesha rahanergey:
Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275

Al Quran : Eh imaan walo ALLAH se daro aur agar tum imaan rakhtey ho to  jo kuch sood baqi rah gaya hai usey chorh do
Al Quran , Surah Al-Baqarah(2), 278

English Translation:
Those who devour usury will not stand except as stand one whom the Evil one by his touch Hath driven to madness. That is because they say: "Trade is like usury," but Allah hath permitted trade and forbidden usury. Those who after receiving direction from their Lord, desist, shall be pardoned for the past; their case is for Allah (to judge); but those who repeat (The offence) are companions of the Fire: They will abide therein (for ever). 
Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275
 
O you who believe! Be afraid of Allah and give up what remains (due to you) from Riba (usury) (from now onward), if you are (really) believers.
Al Quran , Surah Al-Baqarah(2), 278

Mafhum-e-Hadith: Corrupt Haakim ( Ruler) jannat ki khushbu bhi nahi payega

Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith: Corrupt Haakim ( Ruler) jannat ki khushbu bhi nahi payega

Maqil Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah kisi bandey ko kisi jagah ke logon ka  ka haakim(ruler)  banata hai aur wo Imandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.
Sahih Bukhari,  Vol 8, 7150

Maqil Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
agar koi shaksh musalmano ka hakim banaya gaya aur usney unkey muaamley mein khayanat ki aur usi haalat mein mar gaya to Allah taala us par jannat haram kar deta hai.
Sahih Bukhari,  Vol 8, 7151

Narrated Ma'qil Radiallahu anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Any man whom Allah has given the authority of ruling some people and he does not look after them in an honest manner, will never feel even the smell of Paradise."
Sahih Bukhari,  Vol 9, Book 89, No. 264:

Narrated Ma'qil Radiallahu anhu : Allah's Apostle said, "If any ruler having the authority to rule Muslim subjects dies while he is deceiving them, Allah will forbid Paradise for him." 
Sahih Bukhari,  Vol 9, Book 89, No. 265:

Al Quran : Ye (Quran majid) wo kitab hai jismein koi bhi shaq nahi


Bismillahirahmannirrahim

Al Quran : Ye (Quran majid) wo kitab hai jismein koi bhi  shaq nahi parhaizgaron ( Allah se darney walon) ke liye Hidayat hai
Al Quran, Surah Al-Baqara (2),verse 2
________________

( یہ ) وہ عظیم کتاب ہے جس میں کسی شک کی گنجائش نہیں ، ( یہ ) پرہیزگاروں کے لئے ہدایت ہے
سورة البقرہ (۲) ۲
________________

This is the Book (the Qur'an), whereof there is no doubt, a guidance to those who are Al-Muttaqun (the pious believers of Islamic Monotheism who fear Allah much and love Allah much)
Al Quran, Surah Al-Baqara (2),verse 2

Hadith: Jab koi chori karta hai to chori kartey waqt wo momeen nahi rahta .


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jab koi chori karta hai to chori kartey waqt wo momeen nahi rahta .


Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab koi shaksh Zina karta hai to wo Zina kartey waqt momeen nahi rahta, isi tarah jab koi sharab peeta hai to wo sharab peetey waqt momeen nahi rahta aur isi tarah jab koi chori karta hai to chori kartey waqt wo momeen nahi rahta .
Sahih Bukhari, Vol 6, 5578

_____________

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ کوئی شخص جب زنا کرتا ہے تو عین زنا کرتے وقت وہ مومن نہیں ہوتا۔ اسی طرح جب وہ شراب پیتا ہے تو عین شراب پیتے وقت وہ مومن نہیں ہوتا۔ اسی طرح جب چور چوری کرتا ہے تو اس وقت وہ مومن نہیں ہوتا

صحیح بخاری جلد ۶  ۵۵۷۸
_____________

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "An adulterer, at the time he is committing illegal sexual intercourse is not a believer; and a person, at the time of drinking an alcoholic drink is not a believer; and a thief, at the time of stealing, is not a believer."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 69, No. 484:

AL Quran: Maal aur Aulad to Duniya ki zindagi ki ronaq hain


AL Quran: Maal aur Aulad to Duniya ki zindagi ki ronaq hain aur tere RAB ke yahan baqi rahney wali nekiyan sawab aur aakhirat ki ummeed ke lihaz se behtar haiAl Quran , Surah Al Kahf (18), 46

Wealth and children are the adornment of the life of this world. But the good righteous deeds, that last, are better with your Lord for rewards and better in respect of hope.Al Quran , Surah Al Kahf (18), 46


Wednesday, October 2, 2013

Hadith: jisney Allah ki khatir Muhabbat ki, Allah ki khatir nafrat ki, aur Allah ki khatir (maal) diya aur Allah ki khatir roka to beshaq usney apna imaan mukammal kar liya


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisney Allah ki khatir Muhabbat ki, Allah ki khatir nafrat ki, aur Allah ki khatir (maal) diya aur Allah ki khatir roka to beshaq usney apna imaan mukammal kar liya

Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney Allah ki khatir Muhabbat ki, Allah ki khatir nafrat ki, aur Allah ki khatir (maal) diya aur Allah ki khatir roka to beshaq usney apna imaan mukammal kar liya
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1254 -Sahih

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے اللہ ہی کے رضا کے لیے محبت کی، اللہ ہی کے رضا کے لیے دشمنی کی، اللہ ہی کے رضا کے لیے دیا، اللہ ہی کے رضا کے لیے منع کر دیا تو اس نے اپنا ایمان مکمل کر لیا
سنن ابو داوود جلد ٣ حدیث ١٢٥٤ - صحیح
-----------------------

अबू उमामा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की  रसूलल्लाह  सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फ़रमाया जिसने अल्लाह की खातिर मुहब्बत की, अल्लाह की खातिर नफरत की, और अल्लाह की खातिर (माल) दिया और अल्लाह की खातिर रोका तो बेशक उसने अपना ईमान
 मुकम्मल कर लिया
सुनन अबू दावूद, जिल्द 3, 1254
-------------------
Narrated Abu Umama Radi Allahu Anhu  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said: If anyone loves for Allah's sake, hates for Allah's sake, gives for Allah's sake and withholds for Allah's sake, he will have perfect faith.

Sunan Abu Dawud, Book 41, Hadith 4664-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Buzurg logon ki taraf se Hajj or Umrah



Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Buzurg  logon ki taraf se Hajj or Umrah





AbuRazin Radiallahu anhu se rivayat hai ki Banu amir ke ek shaksh ne Kaha , Ya Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam mere walid bahut umar daraz hain wo apney aap na to hajj kar saktey hain na umrah aur na hi wo jabal (mount) par ja saktey hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya apney Walid ki taraf se Hajj aur umrah karo
Sunan Abu Dawud,  Vol2, 46  - Sahih

------------------------------------------

حضرت ابی رذین رضی الله عنہ سے روایت ہے بنو عامر بن اوس کے ایک شخص نے میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! میرے والد بہت بوڑھے ہیں جو نہ حج کی طاقت رکھتے ہیں نہ عمرہ کرنے کی اور نہ سواری پر سوار ہونے کی، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اپنے والد کی جانب سے حج اور عمرہ کرو ۔

سنن ابی داؤد جلد  ۲ حدیث ۴۶
---------------------
Narrated AbuRazin Radiallahu anhu : A man of Banu Amir said: Oh Apostle of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam , my father is very old, he cannot perform hajj and umrah himself nor can be ride on a mount. He Sallallahu Alaihi wasallam said: Perform hajj and umrah on behalf of your father. 
Sunan Abu Dawud, Book #10, Hadith #1806-Sahih


Hadith: Allah subhanahu us baligh aurat ki Namaz qubul nahi karta jab tak wo Hijab na pahne



Bismillahirrahmanirrahim

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Allah subhanahu us baligh aurat  ki Namaz  qubul nahi karta jab tak wo Hijab na pahne
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 638-Sahih
________________

نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: بالغہ عورت کی نماز بغیر اوڑھنی کے اللہ تعالیٰ قبول نہیں کرتا ۔
سنن ابی داؤد جلد ۱  ۶۳۸
_________________

Narrated Aisha Radi allahu anha The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said:
Allah does not accept the prayer of a woman who has reached puberty unless she wears a veil.
Sunan Abu Dawud, Book 2, Hadith 641-Sahih



Mafhum-e-hadith: Jumaa ka din musalmano ke liye Eid ka din hai






Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-hadith: Jumaa ka din musalmano ke liye Eid ka din hai
---------------
✦ IBn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam   Ne farmaya ye din (jumaa ) eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo jumaaa ke liye aaye  to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi  hai  
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1098-Hasan

✦ Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke zamaney mein dono Eidein ek hi din aa gayee ( ek to eid aur dusra jumaa)  to aapney eid ki namaz ada karkey farmaya jo jumaa ki namaz ke liye aana chahey aa jaye aur jo na aana chahe na aaye
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1312-Hasan
---------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یہ عید کا دن ہے، اللہ تعالیٰ نے مسلمانوں کے لیے اسے عید کا دن قرار دیا ہے، لہٰذا جو کوئی جمعہ کے لیے آئے تو غسل کر کے آئے، اور اگر خوشبو میسر ہو تو لگا لے، اور تم لوگ اپنے اوپر مسواک کو لازم کر لو ۱؎۔
سنن ابن ماجہ جلد ۱ ۱۰۹۸ حسن

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے زمانہ میں دو عیدیں ( عید اور جمعہ ) اکٹھا ہو گئیں، تو آپ نے لوگوں کو عید پڑھائی، پھر فرمایا جو جمعہ کے لیے آنا چاہے آئے، اور جو نہ چاہے نہ آئے ۔ 

سنن ابن ماجہ جلد ۱ ۱۳۱۲ حسن
-----------------
✦ ईब्न  अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम    ने फरमाया ये दिन (ज़ूमा ) ईद का दिन है जो अल्लाह ने मुसलमानो को ता फरमाया है, इसलिए जो ज़ूमा के लिए आए  तो गुसल कर ले और खुश्बू मिल जाए तो लगा ले और तुम पर मिस्वाक भी  है  
सुनन इब्न माजा , जिल्द  1, 1098-हसन

ईब्न  अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की ररसूल्लअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम    के ज़माने में दोनो ईदें एक ही दिन आ गयी ( एक तो ईद और दूसरा ज़ूमा)  तो आपने ईद की नमाज़ अदा करके फरमाया जो ज़ूमा की नमाज़ के लिए आना चाहे आ जाए और जो ना आना चाहे ना आए
सुनन इब्न माजा , जिल्द 1, 1312-हसन
---------------

✦ It was narrated that Ibn Abbas Radi Allahu Anhu The Messenger of Allah (peace be upon him) said: This day ( Friday)  is an Eid  which Allah has ordained for the Muslims. Whoever comes to Friday (prayer), let him take a bath and if he has perfume then let him put some on. And upon you (I urge to use) is the tooth stick.”
sunan ibn majah , Vol. 1, Book 5, Hadith 1098 – Hasan

✦ It was narrated that Ibn Umar said: Two Eid came together at the time of the Messenger of Allah peace be upon him , so he led the people in prayer, then he said: Whoever wishes to come to Friday (prayer), let him come, and whoever wishes to stay behind, let him stay behind.’” 
Sunan Ibn Majah , Vol. 1, Book 5, Hadith 1312 – Hasan


Mafhum-e-Hadith: Jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahey to apney baal aur nakhun na kaatey


Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith: Jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahey to apney baal aur nakhun na kaatey

Umm Salam Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahey to apney baal aur nakhun yuhi rahne de ( yani na kaatey) Sahih Muslim , Vol 5, #5119

 
Umm Salam Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jiskey paas janwar ho zabah karne ke liye aur Zil Hijja ka chand aa jaye ( ya jab Dhu'l-Hijja ka mahina aa jaye) to apney Baal na katwaye aur na Nakhun tarashey jab tak qurbani na kar le.
Sahih Muslim , Vol 5, 5121--------------------------------------------------------

ام سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا سے روایت کی کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : " جب تم ذوالحجہ کا چاند دیکھو اور تم میں سے کوئی شخص قربانی کاا رادہ رکھتا ہو ، وہ اپنے بالوں اور ناخنوں کو ( نہ کاٹے ) اپنے حال پر رہنے دے ۔ "
صحیح مسلم جلد ۵  ۵۱۱۹


حضرت ام سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا سے سنا ، وہ کہہ رہی تھیں : رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : " جس شخص کے پاس ذ بح کرنے کے لئے کوئی ذبیحہ ہوتو جب ذوالحجہ کا چاند نظر آجائے ، وہ ہرگز اپنے بال اور ناخن نہ کاٹے ، یہاں تک کہ قربانی کرلے ( پھر بال اور ناخن کاٹے ۔ ) " 

صحیح مسلم جلد ۵ ۵۱۲۱
--------------------------

-Umm Salama reported Allah's Messenger may peace be upon him having said this: When any one of you intending to sacrifice the animal enters in the month (of Dhu'l-Hijja) he should not get his hair or nails touched (cut).Sahih Muslim, Book 022, Number 4869

Umm Salama, the wife of Allah's Apostle may peace be upon him reported Allah's Messenger may peace be upon him have said: He who has a sacrificial animal with him whom (he intends) to offer as sacrifice, and he enters the month of Dhu'I-Hijja, he should not get his hair cut or nails trimmed until he has sacrificed the animal.Sahih Muslim, Book 022, Number 4873



Hadith: Ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai




 Hadith: Ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai


Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya HAJJ mabrur ka jannat ke siwa koi sila nahi hai aur ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai

Sunan Nasaii, Vol 2, 533 – Sahih
-----------------



رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”مبرور و مقبول حج کا بدلہ جنت کے سوا اور کچھ نہیں اور ایک عمرہ دوسرے عمرہ کے درمیان تک کے گناہوں کا کفارہ ہے“۔
سنن نسائی جلد۲ ۵۳۳
------------------
It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: "The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said
Hajj al-Mabrur brings no reward other than Paradise, and from one 'Umrah to another is expiation for what came in between.

Sunan Nasaii , Book 24, #2623-Sahih



Hadith: ALLAH ke mehmaan 3 ( tarah ke log ) hain Ghazi,Hajj karney wala aur umrah karney wala


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain Ghazi , Hajj karney wala aur umrah karney wala


Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain
Ghazi ( Allah ki raah mein ladney wala),  Hajj karney wala aur umrah karney wala

Sunan Nasaii, Vol 2, 536 – Sahih

-------------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے وفد میں تین لوگ ہیں: ایک غازی، دوسرا حاجی اور تیسرا عمرہ کرنے والا“۔
سنن نسائی جلد ۲ حدیث ۵۳۶
---------------------

It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam: The guests of Allah are three:  The ghazi, the Haaj 

(The one who go to perform Hajj)  and the Mutamir ( The one who go to perform Umrah ) Sunan Nasaii , Vol. 3, Book 24, #2620-Sahih


Mafhum-e-Hadith: Bachchey ka Hajj aur us par sawab


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Bachchey ka Hajj aur us par sawab

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne ek bachche ko Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke samne pesh kiya aur arz kiya ki kya isko zimmey bhi hajj karna lazim hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN aur tumko iska sawab milega 
Sunan Nasaii, Vol 2, 558 – Sahih



It was narrated that Ibn Abbas Radi Allahu Anhu said A woman lifted a child up to the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam and said: 'Is there Hajj for this one?'
He Sallallahu Alaihi Wasallam said: Yes, and you will be rewarded.
Sunan Nasaii, Vol. 3, Book 24, Hadith 2648


Hadith: Yateem ki khabargiri karney wala aur main Jannat mein saath honge


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Yateem ki khabargiri karney wala aur main Jannat mein saath hongey


Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah  Sallallahu Alaihi  wasallam ne farmaya Yateem ki khabargiri karney wala (yani yateem ka kafeel) chahey uska azeez ho ya gair ho,main aur wo  jannat mein saath hongey ( jaisey ye
do ungliyan) aur Malik ne ishaara kiya kalmey ki ungli aur beech ki ungli se

Sahih Muslim, 7469
------------------------------

حضرت ابوہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ فرماتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کسی یتیم بچے کی کفالت کرنے والا اس کا کوئی قریبی رشتہ دار یا اس کے علاوہ اور جو کوئی بھی ہو اور وہ جنت میں اس طرح ہوں گے حضرت مالک رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے شہادت کی اور درمیانی انگلی سے اشارہ کرکے بتایا۔
----------------------------



Abu Huraira Radi Allahu Anhu  reported that Allah's Messenger may peace be upon him said: One who looks after the orphan whether he is his relative or not, I and he would be together in Paradise (like this two fingers), and Malik (explained it) with the gesture by drawing his index finger and middle finger close together