Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, January 2, 2013

Hadith: Tumhey har jaandar (living being) par Neki karney ka sawab milta hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith:  tumhey har  jaandar  (living being) ke saath Neki karney ka sawab milta hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ek shaksh raastey mein chal raha tha ki usey Shiddat ki pyas lagi usey ek kuwa (well) mila aur usney usmein utar kar pani piya jab bahar nikla to wahan ek kutta dekha jo haanph (panting) raha tha pyas ki wajah se aur tari ya Geeli Mitti  (mud) ko chaat raha tha us shaksh ne kaha ki ye kutta bhi utna hi pyasa dikh raha hai jitna ki main , isliye wo phir kuwey (well) mein utra aur apney jutey mein pani bhara aur munh se pakad kar upar laya aur kuttey ko pani pilaya Allah taala ne uskey is amal ko pasand farmaya aur uski maghfirat kar di.

Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  kya humein janwaron ke saath neki karney ka bhi sawab milta hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tumhey har  jaandar  (living being) ke saath Neki karney ka sawab milta hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6009
------------------------------------------------------------ 
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "While a man was walking on a road. he became very thirsty. Then he came across a well, got down into it, drank (of its water) and then came out. Meanwhile he saw a dog panting and licking mud because of excessive thirst. The man said to himself "This dog is suffering from the same state of thirst as I did." So he went down the well (again) and filled his shoe (with water) and held it in his mouth and watered the dog. Allah thanked him for that deed and forgave him.

The Companion Radi Allahu Anhuma
of
asked, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam ! Is there a reward for us in serving the animals?" He Sallallahu Alaihi wasallam said, "(Yes) There is a reward for serving any animate (living being) ."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 38 


No comments:

Post a Comment