Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, January 2, 2013

Hadith: Tumhey har jaandar (living being) par Neki karney ka sawab milta hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith:  tumhey har  jaandar  (living being) ke saath Neki karney ka sawab milta hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ek shaksh raastey mein chal raha tha ki usey Shiddat ki pyas lagi usey ek kuwa (well) mila aur usney usmein utar kar pani piya jab bahar nikla to wahan ek kutta dekha jo haanph (panting) raha tha pyas ki wajah se aur tari ya Geeli Mitti  (mud) ko chaat raha tha us shaksh ne kaha ki ye kutta bhi utna hi pyasa dikh raha hai jitna ki main , isliye wo phir kuwey (well) mein utra aur apney jutey mein pani bhara aur munh se pakad kar upar laya aur kuttey ko pani pilaya Allah taala ne uskey is amal ko pasand farmaya aur uski maghfirat kar di.

Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  kya humein janwaron ke saath neki karney ka bhi sawab milta hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tumhey har  jaandar  (living being) ke saath Neki karney ka sawab milta hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6009
------------------------------------------------------------ 
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "While a man was walking on a road. he became very thirsty. Then he came across a well, got down into it, drank (of its water) and then came out. Meanwhile he saw a dog panting and licking mud because of excessive thirst. The man said to himself "This dog is suffering from the same state of thirst as I did." So he went down the well (again) and filled his shoe (with water) and held it in his mouth and watered the dog. Allah thanked him for that deed and forgave him.

The Companion Radi Allahu Anhuma
of
asked, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam ! Is there a reward for us in serving the animals?" He Sallallahu Alaihi wasallam said, "(Yes) There is a reward for serving any animate (living being) ."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 38 


Mafhum-e-Hadith:Shaitan aur Nazar-E-bad se bachney ki Dua


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith:Shaitan aur Nazar-E-bad se bachney ki Dua

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye panaah talab kiya kartey they aur farmatey they ki tumharey buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi kalamat ke jariye Allah ki panaah maanga kartey they.


أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
A'oodhu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin
(Main Panaah maangta hun Allah ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)
Sahih Bukhari,Vol4,3371


---------------------------------------------------------

Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to seek Refuge with Allah for Al-Hasan and Al-Husain and say: "Your forefather (Abraham Alaihi Salam) used to seek Refuge with Allah for Ishmael and Isaac (Alaihi salam) by reciting the following:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
( O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.)




Mafhum-e-Hadith: Tamam logon se zyada Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Muhabbat karo


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith:  Tamam logon se zyada Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Muhabbat karo

Hazart Anas Radiallahu anhu se riyayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak uskey walid aur uski aulad aur tamam logo se zyada uskey dil mein meri mohabbat na ho jaye 
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan , 14
------------------------------------------------
Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "None of you will have faith till he loves me more than his father, his children and all mankind."
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No. 14



Hadith : Insaan usi ke saath hoga jis se wo mohabbat karta hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith : Insaan usi ke saath hoga jis se wo mohabbat karta hai

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Bedouin Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke pass aaya aur kaha ki Qayamat kab aayegi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Afsos ! tumney us Qayamat ke liye kya tayyyari ki hai, usney kaha mainey uskey liye to koi tayyari nahi ki hai lekin main Allah aur uskey Rasool se mohabbat rakhta hun, to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya phir tum Qayamat ke din unkey saath rahogey jin se mohabbat kartey ho
Sahih Bukhari, 6167

Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne  farmaya insaan uskey saath rahega jis sey wo Mohabbat karta hai.
Sahih Bukhari,  Vol7 ,6168


Hadith: Everyone will be with those whom he loves.

Narrated Anas Radi Allahu Anhu : A bedouin came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said, "O Allah's Apostle! When will The Hour be established?" The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Wailaka (Woe to you), What have you prepared for it?" The bedouin said, "I have not prepared anything for it, except that I love Allah and His Apostle." The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "You will be with those whom you love."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 188

Narrated 'Abdullah Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Everyone will be with those whom he loves."
Sahih Bukhari,  Vol 8, Book 73, No. 189

Mafhum-e-Hadith: Khairat na deney se Rizq rok diya jata hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Khairat na deney se Rizq rok diya jata hai

Asma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Khairat ko mat Roko warna tumhara Rizq bhi Rok diya jayega
Sahih Bukhari, Vol2,1433
---------------------------------------------------

حضرت اسماء رضی اللہ عنہ سے روایت ہے مجھ سے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ خیرات کو مت روک ورنہ تیرا رزق بھی روک دیا جائے گا۔ 

صحیح بخاری جلد ۲ حدیث ۱۴۳۳


------------------------------------------------------
Narrated Asma Radi Allahu Anha: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said to me,
"Do not withhold your money, (for if you did so) Allah would with-hold His blessings from you."
Sahih Bukhari, Vol2, Book 24, Number 513