Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, February 14, 2021

✦: Hadith : insan usee ke sath hoga jis se muhabbat rakhta hai

 






Bismillahirrahmanirraheem

✦: Hadith : insan usee ke sath hoga jis se muhabbat rakhta hai
-------
✦: Ek Shaks Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam aap ka us shaks ke bare mein kya irshad hai jo kuch logon se muhabbat rakhta hai lakin unse mil nahi saka ? to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ki insan usee ke sath hoga jis se muhabbat rakhta hai
-------
 ایک شخص رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوا اور عرض کیا یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم آپ کا اس شخص کے بارے میں کیا ارشاد ہے جو کچھ لوگوں  سے محبت رکھتا ہے لیکن ان سے میل نہیں سکا ؟ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کی انسان اس کے ساتھ ہے جس سے وہ محبت رکھتاہے ۔
صحیح بخاری  ٦١٦٩ 
------
✦: एक शख्स रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की खिदमत में हाज़िर हुआ और अर्ज़ की या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम आपका उस शख्स के बारे क्या इरशाद है जो कुछ लोगों से मुहब्बत करता है मगर लेकिन उनसे मिल नहीं सका , आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया की इन्सान उसी के साथ होगा जिस से वो मुहब्बत रखता है
सही बुखारी, 6169
-----
✦: A man came to Allah's Messenger (ﷺ) and said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! What do you say about a man who loves some people but could not met with them ?" Allah's Messenger (ﷺ) said, "Everyone will be with those whom he loves."
-----
Sahih Bukhari 6169



❗Only-Quran-Hadith Quiz 1294 ❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1294* ❗

*Sawal  : Allah subhanahu kis waqt farishto se farmata hai ki ye jo Afzal aamal kiya karta tha wo uske nama e aamal mein likhte jao ?*

A. Jab banda Allah ki raah mein shaheed ho jata hai

B. Jab banda Beemar ho jata hai

C. Jab banda Maidan e Jung mein jata hai

D. Jab banda Allah ke liye HIjrat karta hai

E. Jab banda Allah ke liye safar karta hai

F. Jab banda Allah ka zikr karte huye so jata hai

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz* ❗

*Quiz : When does Allah Subhanahu says to an Angel for his deeds, Keep writing his good deeds which my slave used to do ?*

A. When he is martryed in the  way of Allah 

B.  When he got sick

C. When he goes in the battlefield 

D. When he migrates for the sake of Allah 

E. When he travels for (the cause of )Allah

F. When he sleeps while remembering Allah

G. None of the above .

H. O Allah increase my knowledge 


*💐✅ Sahi Jawab: B💐✅*

-------

 RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jab Musalman banda beemar Hota hai to Allah Subhanahu Iske (Amal ke liye Farishte se) kahta hai, Jab tak mein ise tandurust na kar doon Iske liye sehat mandi ki Halat mein iske Afzal Amal ke mutabiq amal likhte jao
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2283


*💐✅ Answer: B💐✅*
-------
Narrated by Umar Radiallahu Anhuma that Rasool-Allah sallallahu Aaihi wasallam said When a believer Slava  got sick , Allah Subhanahu says (to an Angel for his deeds ),  Keep writing his good deeds which he used to do while he was healthy , untill I grant him health again
Al Silsilat sahiha 2283

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1293 ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1293* ❗


*Sawal  1 : Umar Radi Allahu Anhu ko jab Namaz ki halat mein zakhmi kiya gaya to us waqt wo Namaz kaunse Sahabi ne Imamat karwa kar Mukammal ki ?*


A. Abdullah Bin Abbas Radi Allahu anhu

B. Khalid bin walid Radi allahu anhu

C. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

D. Abudl Rahman bin Awf  Radi Allahu Anhu

E. Abdullah Bin Zubair Radi Allahu anhu

F. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Sawal 2 : Jab Umar Radi Allahu Anhu par hamla hua tha us waqt inmein se kaunse sahabi Shaheed ho gaye they ?*


A. Kulayb Radi Allahu Anhu

B. Suraqa Radi Allahu Anhu

C. Safwan Radi allahu anhu

D. Osama Radi allahu anhu

E. Suhaib Radi allahu anhu

F. Ubaydah  Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Note : Agar Inmein se koi bhi sahi nahi to phir sahi jawab bhi send kijiyega tabhi winner count kiya jayega


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1293* ❗


*Quiz 1 : When Umar Radi Allahu Anhu was attacked while leadning a prayer, who led that remaning prayer  ?*


A. Abdullah Bin Abbas Radi Allahu anhu

B. Khalid bin walid Radi allahu anhu

C. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

D. Abudl Rahman bin Awf  Radi Allahu Anhu

E. Abdullah Bin Zubair Radi Allahu anhu

F. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*Quiz 2 : While Umar Radi Allahu Anhu was attakced that time which sahabi got martyred in same incident ?*


A. Kulayb Radi Allahu Anhu

B. Suraqa Radi Allahu Anhu

C. Safwan Radi allahu anhu

D. Osama Radi allahu anhu

E. Suhaib Radi allahu anhu

F. Ubaydah  Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*Note : If answer is G None of the above than please give the correct answer*


*💐✅ Sahi Jawab: DA💐✅*

-------

Umar Radi Allahu Anhu ek din Subah ki namaz ko nikle aap Saff Bandi ke liye Aadmi Muqarar kar rakhe they Jis waqt Saff Bandi ho gayi to Aapne Takbir kah kar Namaz Shuru Kar di , thik Isi waqt Abu Lulu  Namaziyo Ki Saffo mein Ghuss Gaya Jiske haath mein Khanjar tha Iske dono Taraf tezz dharo ke phal they (yani nukila tha) Iska dastaa Darmiyan mein tha , Isne Aap par  6 baar hamla kiya Iska Ek War Aapki Naaf Ke neechein laga Jo Jaan lewa Sabit Hua Isi waqt Usne Kulayb bin Abi Bukayr  Radi Allahu Anhu bhi ko Shaheed kar diya Jo Aapke peeche they , Jab aapne ne Hatiyar ki tapish aur Iska Asar Mehsoos kiya to Aap gir gaye Aur Farmaya:Kya Namazio mein Abdul Rahman Bin Awf Radi Allahu Anhu Hain ? Logo Ne kaha Haan hain Umar Radi Allahu Anhu ne Farmaya Tum aage aakar Logo ko Namaz Padhao , Chunache Abdul Rahman Bin Awf Radi Allahu Anhu ne Namaz Padhayi Jabke Umar Radi Allahu Anhu Gir Gaye The

Tarikh At Tabri Jild 3, Page 215



*💐✅ Answer: DA💐✅*

-------

That morning 'Umar went out to prayers; he used to assign certain men to )see to] thelines (of those praying) and when they were straight, he would come and proclaim "God is great!" Abu Lu'lu'ah slipped in among the people, carrying in his hand a dagger with-two blades and its haft in the middle. He struck 'Umar six blows, one of which was below his navel, and this was the one which killed him. (Abu Lulu'ah) also killed Kulayb bin Abi Bukayr al-who was behind ('Umar). When ('Umar) felt the heat of the weapon, he fell and said, "Is 'Abd al-Rahman b. 'Awf among the crowd?" They said, "Yes, Commander of the Faithful,he is here." ('Umar) said [to 'Abd al-Rahman], "Come forward and lead the people in prayer." So 'Abd al-Rahman led the people in prayer, while 'Umar lay prostrate. Then he was carried away and brought into his house.

Tarikh At Tabri Volume 14, page 115


Friday, February 12, 2021

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1292 ❗

 

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1292 ❗


Sawal 1 : Wo kya hai jisko Suwar ke khoon se murad di gayee hai ?

Sawal 2 : Wo kaunsa gunah hai jiski taraf kisi ko bulane par bhi sadqa dena padhta hai ?


A. Sood 

B. Juaa 

C. Sharab 

D. Boot parasti

E. Gairullah ke naam ka zabeeha

F. Muta'a

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)

Note : Agar Inmein se koi bhi sahi nahi to phir sahi jawab bhi send kijiyega tabhi winner count kiya jayega


❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1292 ❗


*Quiz 1 : What is like the blood of pig  ?*


*Quiz2 : What is that sin if somebody call towords it , he has to pay charity as expiation ?*


A. Interest (Riba)

B. Gambling

C. Wine

D. Idol Worship

E. Saughtering with the name of other than Allah

F. Muta'a (Temporary Marrige)

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge

*Note : If answer is G None of the above than please give the correct answer*


*💐✅ Sahi Jawab: CB💐✅*

-------

Aisha Radi Allahu Anha ke pass mulk e sham se kuch aurat aayee unmein se ek ne kaha meri betiyan hain jinke baal sharab se dho kar kanghi karti hu Aisha  Radi Allahu Anha ne kaha kaha sharaab,  to Aisha Radi Allahu Anha kya tum unko Khinzeer (Suwar) ke khoon se dhona pasand karogi usne kaha nahi to Aisha Radi Allahu Anha ne kaha ki ye Sharab bhi Khinzeer ke khoon ki tarah hai

Al-Silsila As-Sahiha - 3028


✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Shakhs apne saathi se ye kahe ki aao Juaa khele to usko ( uske kaffare mein) sadqa dena chahiye

Sahih Bukhari 4860


*💐✅ Answer: CB💐✅*

-------

✦:  Some women came to the Aisha Radi Allahu Anha from the syria and one of them said I have daughters and I washed comb with the Wine and comb their hair, Aisha Radi Allahu Anha said  Would you like to wash their hair with the blood of pig ? she said No , Aisha Radi Allahu Anha said The wine is also like the pig of blood
Al-Silsila As-Sahiha - 3028

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Whoever says to his companion. Come along, let us gamble must give Chairty (as an expiation).

Sahih Bukhari,  Book 60, 383

✦ : Ye Azkar padhne par Uhad Pahad se bhi zyada sawab milta hai

 

















Bismillahirrahmanirraheem

✦ : Ye Azkar padhne par Uhad Pahad se bhi zyada sawab milta hai
---------
✦ :Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum mein se koi rozana Uhad pahad ke barabar aamal karne ki taqat rakhta hai ?  Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam rozana Uhad pahad ke barabar aamal karne ki taqat koun rakh sakta hai,  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se har ek Iss ki taqat rakhta hai , aarz kiya wo kaise Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya SubhanAllah kahne ka sawab Uhad pahad se zyada hai, Alhamdulillah ka sawab ka Uhad pahad se zyada hai, laa illaha IllAllah ka sawab Uhad pahad se zyada hai Allahu Akbar ka bhi sawab Uhad pahad se zyada hai
At-Tabarani 14324 -Sahih 
---------
عمران بن حصین رضی اللہ عنہ سے روایت ہے حضورِ اقدس ﷺ نے  ارشاد فرمایا کیا، تم میں سے کوئی  روزانہ احد پہاڑ  کے برابر عمل کرنے کی طاقت رکھتا ہے ۔صحابہ رضی اللہ عنہم نے عرض کیا یا رسول اللہ ﷺ اس کی کون طاقت رکھتا ہے (کہ اتنے بڑے پہاڑ کے برابر عمل کرے) حضور ﷺ نے ارشاد فرمایا: ہر شخص طاقت رکھتا ہے، صحابہ رضی اللہ عنہم نے عرض کیا وہ کیسے  ۔ارشاد فرمایا کہ سبحان اللہ کا ثواب احد سے زیادہ ہے ،لا الہ الا اللہ کا احد سے زیادہ ہے،الحمد للہ کا احد سے زیادہ ہے،اللہ اکبر کا احد سے زیادہ ہے
طبرانی ١٤٣٢٤-صحیح 
---------
✦ : रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया क्या तुम में से कोई रोज़ाना उहद पहाड़ के बराबर आमाल करने की ताक़त रखता है ? सहाबा रदी अल्लाहु अन्हुमा ने अर्ज़ किया की या रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम रोज़ाना उहद पहाड़ के बराबर आमाल करने की ताक़त कौन रख सकता है ? आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया तुम में से हर एक इसकी ताक़त रखता है , अर्ज़ किया वो कैसे तो आप  सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया सुबहानअल्लाह कहने का सवाब उहद पहाड़ से ज़्यादा है , अल्हमदुलिल्लाह का सवाब उहद पहाड़ से ज़्यादा है , ला इलाहा  ईलअल्लाह का सवाब उहद पहाड़ से ज़्यादा है और अल्लाहु अकबर का का सवाब उहद पहाड़ से ज़्यादा है 
तबरानी 14324-सही 
---------
✦ :Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Can you perform the good deeds everyday which is equal to the mountain of Uhud? They (the Companions) said: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said , who can perform these much deeds that is equal to the mountain of Uhud ? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said All of you can do so. They said: How can we do it ? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Saying Subhan Allah is greater than Uhud, Al Hamdullilah (Praise be to Allah) is greater than Uhud, La Ilaha Illa Allah  is greater than Uhud and Allahu Akbar is greater than Uhud.
At-Tabarani 14324 -Sahih 
---------






Thursday, February 11, 2021

✦ : *Hadith : Jab kisi insan ke liye kisi ilaqe mein maut ka faisla kar liya jata hai to us jagah ko us insan ki pasandeeda jagah bana di jati hai

 




Bismillahirrahmanirraheem

✦ : *Hadith : Jab kisi insan ke liye kisi ilaqe mein maut ka faisla kar liya jata hai  to us jagah ko us insan ki pasandeeda jagah bana di jati hai
-------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab kisi insan ke liye kisi jagah mein maut ka faisla kar liya jata hai (yani uske maut ka waqt qareeb aa jata hai) to us jagah ko us insan ki pasandeeda jagah bana di jati hai , aur usko uski taraf koi zarurat pesh aa jati hai
Musnad Ahmed-3024-Sahih
-------
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا جب کسی انسان کے لیے کسی جگہ میں موت کا فیصلہ کر لیا جاتا ہے(یعنی اس کی موت کا وقت قریب آ جاتا ہے ) تو اس کو اس انسان کی  پسندیدہ جگہ بنا دیا جاتا ہے اور اسے اس کی طرف کوئی ضرورت پیش آ جاتی ہے۔  
مسند احمد ٣٠٢٤-صحیح 
-------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब किसी इन्सान के लिए किसी जगह में मौत का फैसला कर लिया जाता है (यानि उसकी मौत का वक़्त करीब आ जाता है ) तो उस जगह को उसकी पसंदीदा जगह बना दिया जाता है और उसकी तरफ उसको कोई जरुरत पेश आ जाती है
मसनद अहमद-3024 सही 
-------
✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said when the place of the death decided for anybody ( time of death comes near for anybody) that place become favorite for that person and he gets some necessities towards that place 
Musnad Ahmed-3024-Sahih


Wednesday, February 10, 2021

✦: Al Quran : Us (Allah) ke siwa koi mabud nahi Zabardast Hikmat wala hai





Bismillahirrahmanirraheem
لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
------
✦: Al Quran : Us (Allah) ke siwa koi mabud nahi Zabardast Hikmat wala hai
-------
اس (اللہ) کے سوا اورکوئی معبود نہیں زبردست حکمت والا ہے
------
✦:उस (अल्लाह) के सिवा कोई माबूद नहीं ज़बरदस्त हिकमत वाला है
-----
✦: *There is no God except Him the Exalted in Might, the Wise
------
Surah Aal-e-Imran 3:18




 

Al Quran : Jo kuch mere RABB ne mujhe de rakha hai wo kaafi hai







Bismillahirrahmanirraheem

مَا مَكَّنِّى فِيهِ رَبِّى خَيْرٌۭ
----
Al Quran : Jo kuch mere RABB ne mujhe de rakha hai wo kaafi hai
----
جو کچھ میرے رب نے مجھے دے رکھا ہے وہ کافی ہے
----
जो कुछ मेरे रब ने मुझे दे रखा है, वो काफ़ी है
----
Whatever my Lord has granted me is good enough
----
Surah Al-Kahaf 18:95





 

Hadith : Shaitan se Allah ke zikr ke siwa aur kisi cheez se nahi bacha ja sakta

 





Bismillahirrahmanirraheem

Hadith : Shaitan se Allah ke zikr ke siwa aur kisi cheez se nahi bacha ja sakta
-------
✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki Yahya Alaihi salam ne Bani isareel se farmaya Main tumhe Allah ke zikr ki talqeen karta hu , Allah ke zikr ki misal aisee hai ki dushman kisi ka peecha kar raha ho aur wo bhag kar ek qile mein ghus jaye aur un logo se apni jaan bacha le isee tarah koi banda khud ko Shaitan se Allah ke zikr ke siwa aur kisi cheez se nahi bacha sakta
Jamia Tirmizi, 2863-Sahih(Part)
-------
رسول اللہ ﷺ نے فرمایا   یحییٰ بن زکریا علیہ السلام نے بنی اسرائیل سے فرمایا میں تمہیں اللہ کے ذکر کی تلقین کرتا ہوں  اللہ کے ذکر کی مثال اس آدمی کی مثال ہے جس کا پیچھا دشمن تیزی سے کرے اور وہ ایک مضبوط قلعہ میں پہنچ کر اپنی جان کو ان( دشمنوں)  سے بچا لے۔ ایسے ہی بندہ  ( انسان )  اپنے کو شیطان ( کے شر )  سے اللہ کے ذکر کے بغیر نہیں بچا سکتا
جامہ ترمیزی ٢٨٦٣-صحیح 
-------
✦:  रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की याहया अलैहि सलाम ने बनी इस्राईल से फ़रमाया मैं तुम्हे अल्लाह के ज़िक्र की तलकीन करता हूँ अल्लाह के ज़िक्र की मिसाल ऐसी है की दुश्मन किसी का पीछा कर रहा हो और वो भाग कर एक किले में घुस जाए और उन लोगों से अपनी जान बचा ले इसी तरह कोई बंदा खुद को शैतान से अल्लाह के ज़िक्र के सिवा और किसी चीज़ से नहीं बचा सकता 
जामेअ तिरमिज़ी 2863-सही 
-------
 ✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said: Yahya bin Zakariyya Alaihi salam said to the bani isareel that Remember Allah. For indeed the parable of that, is a man whose enemy quickly tracks him until he reaches an impermeable fortress in which he protects himself from them. This is how the worshiper is; he does not protect himself from  the Shaitan except by the remembrance of Allah.
Jamia Tirmizi 2863-Sahih(Part)


✦: Hadith : Ghar mein jao to Salam kiya karo is se ghar mein khair o barkat hogi





Bismillahirrahmanirraheem

✦: Hadith : Ghar mein jao to Salam kiya karo is se ghar mein khair o barkat hogi
-------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum apne ghar walo ke pas jao to unehin Salam kiya karo ye salam tumahare liye aur tumahare ghar walo ke liye khair barkat ka sabab hoga
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب تم اپنے گھر والوں کے پاس جاؤ تو انہیں سلام کیا کرو، یہ سلام تمہارے لیے اور تمہارے گھر والوں کے لیے خیر و برکت کا سبب بن جائےگا 
الترغيب والترهيب ١٦٠٨ - حسن 
-------
✦:  रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब तुम अपने घरवालों के पास जाओ तो उन्हें सलाम करो , ये सलाम तुम्हारे लिए और तुम्हारे घरवालों के लिए खैर और बरकत का सबब बन जायेगा 
-------
✦:  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said  when you enter upon your family Say salaam, it will be a blessing for you and the members of your family
-------
Al-Targheeb Wa Al tarheeb 1608-Hasan




❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1291 ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1291* ❗


✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne ek baar ek sahabi ko Azkar bataya aur farmaya ki isko padhne se tumhare gunah maaf kar diye jayenge aur wo sahabi ke gunah pahle se maaf kar diye gaye they


*Sawal 1 : Wo Azkar kaunsa tha ?*


A. Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor

B. SubhanAllah  Walhamdulillah  Wa lailaha illAllah  WallahuAkbar 

C. Astagfirullah Wa atubu ilaih

D. La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah

E. La ilaha illAllahu wahdahu La sharikalahu, lahul mulku wa lahul hamdu, wa huwa Ala kulli shayeen Qadeer

F. Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Sawal 2 :  Wo Khusnaseeb Sahabi kaun they ?*

A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Umar Radi Allahu Anhu

C. Ali Radi allahu anhu

D. Abu Talha Radi allahu anhu

E. Sad bin Muadh Radi allahu anhu

F. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Note : Agar Inmein se koi bhi sahi nahi to phir sahi jawab bhi send kijiyega tabhi winner count kiya jayega*


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1291* ❗

*✦ : Once Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said to a sahabi about an Azkar that if he will recite that azkar his sins will be forgiven and that sahabi was already forgiven*

*Quiz 1 : What was that Azkar ?*

A. Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor

B. SubhanAllah  Walhamdulillah  Wa lailaha illAllah  WallahuAkbar 

C. Astagfirullah Wa atubu ilaih

D. La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah

E. La ilaha illAllahu wahdahu La sharikalahu, lahul mulku wa lahul hamdu, wa huwa Ala kulli shayeen Qadeer

F. Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*Quiz 2 :  Who was that Sahabi  ?*

A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Umar Radi Allahu Anhu

C. Ali Radi allahu anhu

D. Abu Talha Radi allahu anhu

E. Sad bin Muadh Radi allahu anhu

F. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*Note : If answer is G None of the above than please give the correct answer*


*💐✅ Sahi Jawab: GC💐✅*

-------

Ali Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya  main tumhein aise kalmat ki taleem na du ke jab tum unko padhoge to umhare gunah maaf kar diye jayenge halake tumehin pehle hi baksha jaa chuka hai wo kalimat ye hai 

*لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْحَلِيمُ الْكَرِيمِ‏‏*

*لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ العَلِيُّ الْعَظِيمِ*

*سُبحَانَ الله , رَبِّ السَّمٰوَاتِ السَّبْعِ وَرَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِیمِ‏‏*

*الحَمدُ لِلَّهِ رَبِّ العَالَمِينَ*


✦La ilaha illAllah , Al Haleem-Ul-kareem ✦La ilaha illAllah , Al Alee-Ul-Adheem

✦Subhan Allah, Rabbis-Samawatis-Sab'i Wa Rabbil Arshil Adheem

✦ Alhamdulillahi Rabbil Aalameen

--

Allah ke siwa koi maabood nahi wo bardasht karne wala aur Karam karne wala hai

Allah ke siwa koi maabood nahi wo sabse uncha aur sabse buland hai,Allah ki zaat paak hai,  jo saato asmano aur Arsh e azeem ka Rabb hai ,Tammam tareefin Allah ke liye hai jo sare jahan ka palne wala hai

Musnad Ahmed - 5580-Sahih

https://www.islamweb.net/ar/fatwa/309331


*💐✅ Answer : GC💐✅*

-------

Narated by Ali Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said  Should I not teach you some words that if you say them, Allah will forgive you, even if you were already forgiven?’ He said: ‘Say

*لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْحَلِيمُ الْكَرِيمِ‏‏*

*لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ العَلِيُّ الْعَظِيمِ*

*سُبحَانَ الله , رَبِّ السَّمٰوَاتِ السَّبْعِ وَرَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِیمِ‏‏*

*الحَمدُ لِلَّهِ رَبِّ العَالَمِينَ*


✦ La ilaha illAllah , Al Haleem-Ul-kareem ✦La ilaha illAllah , Al Alee-Ul-Adheem

✦ Subhan Allah, Rabbis-Samawatis-Sab'i Wa Rabbil Arshil Adheem

✦ Alhamdulillahi Rabbil Aalameen

Musnad Ahmed - 5580-Sahih


https://www.islamweb.net/ar/fatwa/309331


Tuesday, February 9, 2021

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1290 ❗

 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1290* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Jab kisi insan ka kisi jagah mein maut ka faisla ho jata hai (yani uske maut ka waqt qareeb aa jata hai) to uske baad kya hota hai ?*


A. Us jagah ko us insan ke liye mehboob bana diya jata hai

B. Us jagah ki taraf usko koi jarurat pesh aa jati hai

C. Us ke aur us jagah ke darmiyan ka faasla ek haath kar diya jata hai

D. Uski Qabr wale hisse mein ek taraf baag aur ek taraf aag bana di jati hai

E. Maut ka Farishta us insan ko waha pahucha deta hai

F. Agar momeen ho to waha Allah ki rahmat barasne lagti hai

G. Wo us jagah ki taraf hijrat kar jata hai

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1290* ❗

*Answer are more than one*

*Quiz : When the place of the death decided for anybody, what happens after that ?*


A. That place become lovable for that person

B. He gets some necessities towards that place 

C. The distance between him and that place, become one hand

D. The one side become fire and other become garden on the palce where his grave will be

E. The Angel of the death took that person towords that place

F. If he is a believer than the Allah send his mercy on that place

G. He migrates towards that place

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅ Sahi Jawab: AB💐✅*

-------
✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jab kisi insan ke liye kisi ilaqe mein maut ka faisla kar liya jata hai (yani uske maut ka waqt qareeb aa jata hai) to us jagah ko us insan ki pasandeeda jagah bana di jati hai , aur usko uski taraf koi zarurat pesh aa jati hai

Musnad Ahmed-3024-Sahih
-------
قَالَ رَسُوْلُ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم : لَا یُقَدَّرُ لِأَحَدٍ یَمُوْتُ بِأَرْضِ إِلَّا حُبِّبَتْ إِلَیْہِ وَجُعِلَ لَہُ إِلَیْہَا حَاجَۃٌ۔


*💐✅ Answer : AB💐✅*
-------
✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said when the place of the death decided for anybody ( time of death comes near for anybody) that place become lovable for that person and he gets some necessities towards that place 

Musnad Ahmed-3024-Sahih

Al Quran : Beshak Allah ke nazdeek tum mein zyada ezzat wala wo hai jo zyada Parhezgar hai

 






Bismillahirrahmanirraheem

إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ
--------
بےشک  الله کے نزدیک تم میں زیادہ عزت والا وہ ہے جو زیادہ پرہیزگار ہے
--------
Al Quran : Beshak Allah ke nazdeek tum mein zyada ezzat wala wo hai jo zyada Parhezgar hai
--------
Indeed, the most noble of you in the sight of Allah is the most righteous of you
--------
Surah Hujrat 49:13






✦ Islam par khatme ki Qurani Dua / Yusuf Alaihi salam ki dua

  














Bismillahirrahmanirraheem

✦ Islam par khatme ki Qurani Dua /  Yusuf Alaihi salam ki dua

فَاطِرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ أَنتَ وَلِيِّي فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ تَوَفَّنِي مُسْلِمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ
--------
✦ : Fatiras-samawati wal-'ardi anta Waliyyi fid-dunya wal-akhirah, tawaffani musliman wa alhiqni bis-salihin
--------
✦ Al Quran : Eh Aasmano aur Zameen ke bananey wale Duniya aur Aakhirat mein tu hi mera Kaarsaaz hai tu mujhe Islam par Maut de aur mujhe Neik logon mein shamil kar.
--------
اے آسمانو ں اور زمین کے بنانے والے! دنیا اور آخرت میں تو ہی میرا کارساز ہے
تو مجھے اسلام پر موت دے اور مجھے نیک لوگوں میں شامل کر دے
سورة يوسف ١٢  : ١٠١ 
--------
✦ अल-कुरान: एह आसमानों और ज़मीन को बनाने वाले , दुनिया और आखिरत में तू ही मेरा कारसाज़ है , तू मुझे इस्लाम पर मौत दे और मुझे नेक लोगों में शामिल कर 
सुरह युसूफ (12) , आयत 101
--------
✦ Al Quran : O Creator of the heavens and the earth ! You are my Protector in this world and in the Hereafter. Cause me to die as a Muslim , and join me with the righteous.
Surah Yusuf (12), verse 101









✦ Apne aapko aur apne bachcho Ko Namazi banane Ki Qurani dua

 













Bismillahirrahmanirraheem

✦ Apne aapko aur apne bachcho Ko Namazi banane Ki Qurani dua

رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي ۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ
-------
✦ Rabbiajaalnee Muqeemaassalati Wa Min Dhurriyyatee Rabbana Wa Taqabbal duaa
------
✦ Eh Mere RAB mujhe aur meri aulad ko Namaz Qayam karne wala bana de, Eh hamare RAB aur meri Dua Qubul farma.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), 40
-----
اے میرے رب ! مجھے اور میری اولاد کو نماز قائم کرنے والا بنا دے اے ہمارے رب! اورمیری دعا قبول فرما
-----
✦ एह मेरे रब मुझे और मेरी औलाद को नमाज़ क़ायम करने वाला बना दे , एह हमारे रब और मेरी दुआ क़ुबूल फरमा
अल-क़ुरान , सूरह इब्राहिम (14) आयत 40
------
✦ O my Lord ! Make me one who performs As-Salaat (Iqaamat-as-Salaat), and (also) from my offspring (descendants), our Lord! And accept my invocation.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), Aayah 40





Monday, February 8, 2021

✦: Har raat Shab e Qadr ki Namaz ka sawab

 





Bismillahirrahmanirraheem

✦: Har raat Shab e Qadr ki Namaz ka sawab
-----
✦: Kaab Radi Allahu Anhu se riwayat hai Jo Shakhs Wuzu karen aur achchi tarah Wuzu karen phir isha ki namaz jamat ke sath  padhe phir uske baad chaar rakat padhe unmein ruku sajde pura pura karen aur jo kuch padhe soch samjh kar padhe to ye chaar rakat uske liye (sawab ke lihaz se) lailatul qadr ki tarah ban jayegi
Sunan Nasaii-4955 Hasan
---
کعب رضی اللہ عنہ نے فرمایا جو شخص وضو کرے اور اچھی طرح وضو کرے پھر عشاء کی نماز  باجماعت پڑھے ، پھر اس کے بعد چار رکعتیں پڑھے ان میں رکوع سجدہ پورا پورا کرے اور جو کچھ پڑھے ، سوچ سمجھ کر پڑھے تو یہ چار رکعات اس کے لیے ( ثواب کے لحاظ سے) لیلۃ القدر کی طرح بن جائیں گی۔ 
سنن نسائی - ٤٩٥٥  حسن 
----
✦: काब रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की जो शख्स वुज़ू करे और अच्छी तरह वुज़ू करे फिर ईशा की नमाज़ जमात के साथ पढ़े फिर उसके बाद चार रकात पढ़े उसमें रुकू और सजदा पूरा पूरा करे और जो कुछ पढ़े सोच समझ कर पढ़े तो ये चार रकात उसके लिए (सवाब के लिहाज़ से) लयलतुल कद्र की तरह बन जाएगी 
सुनन नसाई 4955 -हसन 
----
✦: It was narrated that Ka'b said Whoever performs Wudu and performs Wudu well, then attends Isha prayer in congregation, then prays four similar Rakahs after that, reciting therein and bowing and prostrating perfectly, that will bring him a reward like that of (praying) Lailat Al-Qadar
Sunan Nasaii-4958-Hasan


Details 



✦ : Qabr Aur Pul Sirat ke Andhero mein Noor ban kar aane wale Azkar

  












Bismillahirrahmanirraheem

✦ : Qabr  Aur Pul Sirat ke Andhero mein Noor ban kar aane wale Azkar
--------------
✦ : Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki jisne har namaz ke baad aur bistar par jaate huye ye kalimat 3 baar kahe to ye uske liye Qabr mein aur Pul sirat mein Noor ban jayenge yaha tak ki apne padhne wale ko jannat mein dakhil karwa denge 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ

✦ : Allahu Akbar Kabeera Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat
La ilaha illAllah Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Allah Sabse bada hai , Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke mukammal  Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar
✦ : Allah ke siwa koi mabud nahi,  Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke Mukammal , Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar

Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan
Imam Al Suyuti ne bhi Jamia Al-Hadith mein isko Hasan kaha hai
---------
عبد اللہ بن عمر﷠ فرماتے ہیں کہ جس نے ہر نماز کے بعد اور بستر پر جاتے ہوئے یہ دُعاء پڑھ لی تو یہ کلمات اُس کیلئے قبر میں اورپُل صراط میں نور بن جائیں گے یہاں تک کہ اپنے پڑھنے والے کو جنّت میں داخل کروا دیں گے۔
اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ

اللہ سب سے بڑا ہے جفت اور طاق اَعداد کے برابر، اور اللہ تعالیٰ کے مکمل،مبارک اور پاکیزہ کلمات کی تعداد کے برابر۔
اللہ کے سوا کوئی معبود نہیں ،(یہ کلمہ )جفت اور طاق اَعداد کے برابر، اور اللہ تعالیٰ کے مکمل،مبارک اور پاکیزہ کلمات کی تعداد کے برابر۔
فائدہ:حضرت عبد اللہ بن عمر﷠فرماتے ہیں کہ جس نے ہر نماز کے بعد اور بستر پر جاتے ہوئے یہ دُعاء پڑھ لی تو 

مصنف ابن ابی شیبہ:29256  - حسن 
امام سیوطی نے   بھی جامع حدیث  میں اس کو حسن کہا ہے 
---------
✦ : Ibn Umar RAdi Allahu Anhuma said Whoever says following Azkar 3 times after every prayer and when he goes to bed, they will be light for him in his grave and light on the pul siraat (bridge over Hell), until they enter him to Paradise

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ
✦ : Allahu Akbar Kabeera Adadash-Shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat
La ilaha illAllah Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Translation : Allah is Most Great, the number of the even and the odd, and the blessed, pure, perfect words of Allah
There is no god except Allah, the number of the even and the odd, and the blessed, pure, perfect words of Allah
----------
Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan
Imam Al Suyuti Said Hasan in Jamia Al-Hadith
----------