Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, June 27, 2017

Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab




Bismillahirrahmanirrahim


✦ Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab
-------------
✦ Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se riwayata hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya ek Allah ke ek bande ke bare mein Hukum diya gaya ke usko Qabr mein mein sau (100) kode maaray jayen. wo(is azab ko kam karne ki) ilteja aur duayen karta raha yaha tak ki ek koda rah gaya. Jab ye koda usko lagaya gaya to uski Qabr aag se bhar gayee, jab us saza ka asar khatam ho gaya aur usko hosh aa gaya to usne farishto se pucha tum ne kis wajah se mujhe koda mara hai? Farishton ne kaha tum ne ek namaz bina paaki (tahatart) ke padi thi, aur dusra ye ki tu ek mazloom ke paas se guzra tha lekin tune uski madad nahi ki thi
Al-Silsila-As-Sahiha Hadees # 554
-------------
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول الله ﷺ نے فرمایا: اللہ كے ایك بندے كے بارے میں حكم دیا گیا كہ اسے قبر میں سو كوڑے مارے جائیں۔ وہ التجاو دعائیں كرتا رہا حتی كہ ایك كوڑا بطور سزا رہ گیا۔ اسے ایك كوڑا مارا گیا، اس 
كی قبر آگ سے بھر گئی، جب آگ ختم ہوئی اور اسے كچھ افاقہ ہوا تو اس نے پوچھا : تم نے مجھے كس وجہ سے كوڑا مارا ہے؟ فرشتوں نے كہا: تم نے ایك نماز بغیر طہارت كے پڑھی تھی، اور تم ایك مظلوم كے پاس سے گزرے تھے لیكن تم نے اس كی مدد 
نہیں كی تھی۔
السلسلہ صحیحہ ٥٥٤ 
-------------
✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह ﷺ ने फरमाया एक अल्लाह के एक बंदे के बारे में हुक्म दिया गया के उसको क़ब्र में में सौ (100) कोडे मारे जाएँ. वो(इस अज़ाब को कम करने 
की) इलतेजा और दुआएँ करता रहा यहा तक की एक कोड़ा रह गया. जब ये कोड़ा उसको लगाया गया तो उसकी क़ब्र आग से भर गयी, जब उस सज़ा का असर ख़तम हो गया और उसको होश आ गया तो उसने फरिश्तो से पूछा तुम ने किस 
वजह से मुझे कोड़ा मारा है? फरिश्तों ने कहा तुम ने एक नमाज़ बिना पाकी ( यानि नापाकी की हालत में ) के पढ़ी थी, और दूसरा ये की तू एक मज़लूम के पास से गुज़रा था लेकिन तूने उसकी मदद नही की थी
अल-सिलसिला-अस-सहिहा हदीस # 554




The Punishment in Grave for praying without proper purification and....
-------------
Narrated by Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu The Prophet    saidA person was ordered to be lashed a  times in his grave he continuously asked Allah to decrease his punishment until only one lash remained , when he was lashed his grave was totally filled by fire when the fire was removed and he regain consciousness he asked Why was I lashed ? ( what is the reason behind this punishment) he was told You offered a prayer once without proper purification and you passed by an oppressed but you did not help him

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 554

Hadith : Sabse bada bohtan (jhooth)



Bismillahirrhamanirrahim

✦ Hadith : Sabse bada bohtan (jhooth)
-----------------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya sabse bada bohtan aur jhooth ye hai ki aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna baap kahe ya jo cheez 
usne khwab mein nahi dekhi usko dkehne ka dawa kare ya Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam ki taraf aisee hadith mansoob kare jo Aapne nahi farmayee
Sahih Bukhari, 3509
-----------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ، سب سے بڑا بہتان اور سخت جھوٹ یہ ہے کہ آدمی اپنے باپ کے سوا کسی اور کو اپنا باپ کہے یا جو چیز اس نے خواب میں نہیں دیکھی ۔ اس کے دیکھنے کا دعویٰ کرے ۔ یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی طرف ایسی حدیث منسوب کرے جو آپ نے نہ 
فرمائی ہو ۔
صحیح بخاری ٣٥٠٩ 
-----------------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सबसे बड़ा बोहतान और झूठ ये है की आदमी अपने बाप के सिवा किसी और को अपना बाप कहे या जो चीज़ उसने ख्वाब में नही देखी उसको देखने का दावा करे या रसूल-अल्लाह सल-अलालाहू अलैही वसल्लम की तरफ ऐसी हदीस मनसूब करे जो आपने नही फरमाई
सही बुखारी, 3509
-----------------------
Allah's Messenger (ﷺ) said, "Verily, one of the worst lies is to claim falsely to be the son of someone other than one's real father, or to claim to have had a dream one has not had, or to attribute to me what I have not said.
Sahih Bukhari,Book 56, 712


Mafhum-e-Hadith: Shab e Qadr ki nishaniyan





Bismillahirrahmanirrahim


✦ Mafhum-e-Hadith: Shab e Qadr ki nishaniyan
-----------
✦ Hazrat Ubada radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya shab e Qadr Ramazan ke mahine ke akahri ashremein hoti hai jo shakhs is ka sawab hasil karne ke liye un mein qiyam kere to Allah is ke agle pichle sare gunah maaf farma dega aur ye taaq raton mein hoti hai yani Aakhri ashre ki 9, 7, 5, 3, ya aakhri raat ( yani 29,27,25,23,21) aur farmaya ke shab e qader ki nishani ye hai ke wo raat roshan aur chamakdar hoti hai
is mein chand ki roshni bhi khoob ujli hoti hai, wo raat pur-sukun aur gehri (mautadil) hoti hai Ye raat na garm hoti hai na thandi hoti hai, is raat mein subah tak sitare tod kar nahi maare jate, is ki nishani ye bhi hai ke is ki subah ko jab Sooraj roshan hota hai to woh seedha barabar nikalta hai jaise chodwee ka chaand hota hai aur (subah ke waqt) is ki koi shuaa (kiran) nahi hoti aur is din shaitan ke liye Sooraj ke sath niklana mana hota hai.
Masnad Ahmad, 4022-Hasan
-----------------------
حضرت عبادہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی ﷺ نے فرمایا شب قدر ماہ رمضان کے آخری عشرے میں ہوتی ہے جو شخص اس کا ثواب حاصل کرنے کے لئے ان میں قیام کرے تو اللہ اس کے اگلے پچھلے سارے گناہ معاف فرما دے گا اور یہ طاق راتوں میں ہوتی ہے یعنی عشرہ اخیرہ کے نویں " ساتویں" پانچویں "تیسری یا آخری رات" نیز فرمایا کہ شب قدر کی علامت یہ ہے کہ وہ رات روشن اور چمکدار ہوتی ہے اس میں چاند کی روشنی بھی خوب اجلی ہوتی ہے وہ رات پرسکون اور گہری (معتدل) ہوتی ہے-نہ گرم نہ ٹهنڈی اس رات میں صبح تک ستارے توڑ کر نہیں مارے جاتے نیز اس کی علامت یہ ہے کہ اس کی صبح کو جب سورج روشن ہوتا ہے تو وہ سیدھا برابر نکلتا ہے جیسے چودھویں کا چاند ہوتا ہے اور اس کی کوئی شعاع نہیں ہوتی اور اس دن شیطان کے لئے سورج کے ساتھ نکلنا ممنوع ہوتا ہے۔
-------------------
✦ शब ए कद्र की निशानियाँ हदीस की रौशनी में 

---------------------
✦ हज़रत उबादा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की नबी (ﷺ) ने फरमाया शब ए क़द्र रमज़ान के महीने के आखरी अशरे में होती है जो शख्स इस का सवाब हासिल करने के लिए उसमें कियाम करे तो अल्लाह इस के अगले पिछले सारे गुनाह माफ़ फरमा देगा और ये ताक़ (odd) रातों में होती है यानी आखरी अशरे की 9, 7, 5, 3, या आखरी रात ( यानी 29, 27, 25, 23, 21) और फरमाया के शब ए क़दर की निशानी ये है के वो रात रोशन और चमकदार होती है इस में चाँद की रोशनी भी खूब उजली होती है, वो रात पूर-सुकून और गहरी होती है 
ये रात ना गर्म होती है ना ठंडी होती है, इस रात में सुबह तक सितारे तोड़ कर नही मारे जाते, इस की निशानी ये भी है के इस की सुबह को जब सूरज रोशन होता है तो वो सीधा बराबर निकलता है जैसे चोहदवी का चाँद होता है और (सुबह के वक़्त) इसकी कोई शुआ (किरण) नही होती और इस दिन शैतान के लिए सूरज के साथ निकलना मना होता है.
मसनद अहमद,  4022-हसन

---------------------

✦ The Sign of the Night of Al-Qadr

-----------
✦ Narrated Ubada Radi Allahu Anhu The Prophet ﷺ said
The Night of Al-Qadr occurs during the last ten (nights). Whoever stands for them (in prayer) seeking their reward, then indeed Allah will forgive his previous sins and his latter sins. It is an odd night: the ninth, or the seventh, or the fifth, or the third or the last night (of Ramadan).) The Messenger of Allah also said, Verily, the sign of the Night of Al-Qadr is that it is pure and glowing as if there were a bright, tranquil, calm moon during it. It is not cold, nor is it hot, and no shooting star is permitted until morning. Its sign is that the sun appears on the morning following it smooth having no rays on it, just like the moon on a full moon night. Shaytan is not allowed to come out with it (the sun) on that day.)
Masnad Ahmad,  4022-Hasan

Hadith: Momeen Apne Aala Akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai



Bismillahirrahmanirrhaim

✦ Hadith: Momeen Apne Aala Akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai
-----------
✦ Aisha radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya momeen Apne aala akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1370-sahih

✦ Abu Darda radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meezan e aamal mein achche Akhlaq se bhari koi cheez nahi
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1371-sahih

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye aala Jannat mein ek ghar ki zamanat deta hu jiska akhlaq aala (bahut achcha) ho
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alalhi wasallam ne farmaya Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain jinke Akhlaq behatreen hain
Sunan Abu Dawud, Jild 3 ,1257-Sahih
-----------
حضرت عائشہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا فرماتی ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ مومن آدمی اپنے اعلیٰ اخلاق سے سارے دن کے روزہ دار اور ساری رات کے تہجد گذار کا درجہ حاصل کرلیتا ہے۔
سنن ابو داوود جلد ٣-١٣٧٠ صحیح 

حضرت ابوالدرداء رضی اللہ تعالیٰ عنہ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے روایت کرتے ہیں کہ آپ نے فرمایا میزان اعمال میں حسن اخلاق سے زیادہ بھاری چیز کوئی نہیں
سنن ابو داوود جلد ٣-١٣٧١ صحیح 

حضرت ابوامامہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ فرماتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا میں اس شخص کے لئے اعلی جنت میں ایک گھر کی ضمانت دیتا ہوں جس کا اخلاق اعلی ہو ۔
سنن ابو داوود جلد ٣-١٣٧١ صحیح 

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا مومنوں میں سب سے کامل ایمان والا وہ ہے جو ان میں سب سے بہتر اخلاق والا ہے ۔
سنن ابو داوود جلد ٣-١٢٥٧ صحیح
----------------
✦ आयशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मोमीन अपने आला अख़लाक़ से सारे दिन के रोज़ेदार और सारी रात के तहज्जुदगुज़र का दर्जा हासिल कर लेता है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1370-सही

✦ अबू दर्दा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मीज़ान ए आमाल में अच्छे अख़लाक़ से भारी कोई चीज़ नही
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1371-सही

✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मैं उस शख्स के लिए आला जन्नत में एक घर की ज़मानत देता हूँ जिसका अख़लाक़ आला (बहुत अच्छा) हो
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1372-हसन

✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया ईमान के ऐतबार से कामिल मोमीन वो हैं जिनके अख़लाक़ बेहतरीन हैं
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3 ,1257-सही

-----------------------

✦ The Prophet ﷺ said By his good character a believer will attain the degree of one who prays during the night and fasts during the day.
Sunan Abu dawud,Book 42, 4780-sahih

✦ The Prophet ﷺ said There is nothing heavier than good character put in the scale of a believer on the Day of Resurrection.
Sunan Abu dawud,Book 42, 4781-sahih

✦ The Prophet ﷺ said I guarantee a house in the upper part of Paradise for a man who made his character good.
Sunan Abu Dawud,Book 41, 4782-Hasan

✦ The Prophet ﷺ said: The most perfect believer in respect of faith is he who is best of them in manners (character)
Sunan Abu Dawud,Book 40, 4665-Sahih

Jibril Alaihi Salam ki 3 baddua aur Rasool Allah ﷺ ka Aaameen








Bismilahirrahmanirrahim 


✦ Jibril Alaihi Salam ki 3 baddua aur Rasool Allah ﷺ ka Aaameen
------------
✦ Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ek din Rasool Allah ﷺ ne minbar laane Ka hukum diya

Jab Aap ﷺ ne pahli sidhi par qadam rakha to farmaye AAMEEN ! Phir dusri Sidhi par qadam rakha to farmaye: AAMEEN !
Phir teesri Sidhi per qadam rakha to farmaya : AAMEEN

✦ Khutba se farig hone ke bad jab Aap ﷺ Minbar se neeche tashrif laaye to Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya 
Aaj Aap ﷺ se aise baat suni Jo us se pehle nahi suni thi, Aap ﷺ ne farmaya 
Hazrat Jibrail Alaihi salam tashrif laye aur kahan 
Jis ne Ramazan Ka pura mahina paya aur wo (ibadat aur tauba ke jariye) apne gunah nahi bakhshwa saka to wo dozakh mein dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rehmat se dur ho Gaya 
Aap us per AAMEEN kahiye, Meine kahan AAMEEN.

✦ Phir jab maine dusri Sidhi per qadam rekha to Hazrat Jibrail Alaihi Salam ne kaha Jiske samne uske Maa Baap ya dono Mai se ek budhape ki Umar ko pahunch jaye aur wo unki khidmat ker ke Jannat hasil na keren to wo bhi dozakh mai dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rehmat se dur ho Gaya
Aap us per bhi AAMEEN kahiye ,Meine kahan AAMEEN. 

✦ Phir jab maine teesri Sidhi per qadam rakha to Hazrat Jibrail Alaihi Salam ne kaha Jiske samne Aap Sal-Allahu Alahai Wasallam Ka naam liya jaye aur wo Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam per Durud na bheje to wo dozakh mai dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rehmat se dur ho gaya 
Aap us per bhi AAMEEN kahiye maine kahan AAMEEN

Sahi Ibn Hibbaan, 915 Hasan
Saheeh al-Targheeb, 1679-Sahih
Shubbul Iman , Baihiqi 3343 Hasan


------------------------

جبریل علیہ السلام کی تین بد دعا اور رسول ﷺ کا اس پر آمین 

------------
حضرت ابو ھریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ کہتے ہیں کہ
ایک روز رسول ﷺ منبر لانے کا حکم دیا،
جب آپ ﷺ نے پہلی سیڑھی پر قدم رکھا تو فرمایا آمین ! 
پھر دوسری سیڑھی پر قدم رکھا
تو فرمایا : آمین ! پھر تیسری سیڑھی پر قدم رکھا تو فرمایا : آمین !
خطبہ سے فارغ ہونے کے
بعدجب آپ ﷺ منبر سے نیچے تشریف لائے تو صحابہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے عرض کیا
آج آپ ﷺسے ایسی بات سنی جو اس سے پہلے نہیں سنی تھی۔رسول اللہ ﷺ نے فرمایا
جبریل علیہ السلام تشریف لائے اور کہا

جس نے رمضان کا پورا مہینہ پایا اور وہ اپنے 
گناہ نہ بخشوا سکا تو وہ دوزخ میں داخل ہوا  اور الله کی رحمت سے دور ہو گیا 
آپ اس پر آمین کہئے ۔میں نے کہا آمین۔پ

پھر جب میں نے دوسری سیڑھی پر قدم رکھا تو
جبریل علیہ السلام نے کہا : جس کے سامنے اس کے ماں باپ یا دونوں میں
سے ایک بڑھاپے کی عمر کو پہنچے اور وہ ان کی خدمت کرکے جنت حاصل نہ کرے 
تو وہ بھی دوزخ میں داخل ہوا اور الله کی رحمت سے دور ہو گیا 
آپ اس پر بھی آمین کہئے ۔میں نے کہا آمین 

پھر جب میں نے تیسری سیڑھی پر قدم رکھا 
 تو جبریل علیہ السلام نے کہا : جس کے سامنے آپ ﷺ کا نام لیا جائے اور وہ آپ ﷺ پر 
درود شریف نہ بھیجے تو وہ دوزخ میں داخل ہوا اور الله کی رحمت سے دور ہو گیا 
آپ اس پر بھی آمین کہئے ۔میں نے کہا آمین 
صحيح ابن حبان ٩١٥ - حسن 
صحیح الترغیب ١٦٧٩ - صحیح 
شعب الإيمان للبيهقي ٣٣٤٣٣ حسن
---------------------

✦ जिब्रील अलैहि सलाम की तीन बद्दुआ और रसूल अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम का उस पर आमीन कहना 
------------
✦ हज़रत अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है एक दिन रसूल अल्लाह ने मिंबर लाने का हुकुम दिया जब आप ने पहली सीढ़ी पर क़दम सीढ़ी तो फरमाया आमीन ! 

फिर दूसरी सीढ़ी पर क़दम रखा तो फरमाये: आमीन ! फिर तीसरी सीढ़ी पर क़दम रेखें तो फरमाया : आमीन

ख़ुतबा से फारिग होने के बाद जब आप 
सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम मिंबर से नीचे तशरीफ़ लाए तो सहाबा रदी अल्लाहू अन्हुमा ने अर्ज़ किया आज आप सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम से ऐसे बात सुनी जो उस से पहले नही सुनी थी, 
आप सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया हज़रत जिब्रील अलैहि सलाम तशरीफ़ लाए और कहाँ 

✦ जिस ने रमज़ान का पूरा महीना पाया और वो (इबादत और तौबा के ज़रिए) अपने गुनाह नही बख़्शवा सका तो वो दोज़ख में दाखिल हुआ और अल्लाह सुबहानहु की रहमत से दूर हो गया आप उस पर आमीन कहिए, मैंने कहाँ आमीन.

✦ फिर जब मैने दूसरी सीढ़ी पर क़दम रखा तो हज़रत जिबराल अलैही सलाम ने कहा जिसके सामने उसके माँ बाप या दोनो में से एक बुढ़ापे की उमर को पहुँच जाए और वो उनकी खिदमत कर के जन्नत हासिल ना करे तो वो दोज़ख में दाखिल हुआ और अल्लाह सुबहानहु की रहमत से दूर हो गया आप उस पर आमीन कहिए, मैंने कहाँ आमीन.

✦ फिर जब मैने तीसरी सीढ़ी पर क़दम रखा तो हज़रत जिबराल अलैही सलाम ने कहा जिसके सामने आप 
सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम का नाम लिया जाए और वो आप पर दुरुद ना भेजे तो वो भी दोज़ख में दाखिल हुआ और अल्लाह सुबहानहु की रहमत से दूर हो गया आप उस पर आमीन कहिए, मैंने कहाँ आमीन

सही इब्न हिब्बान, 915 हसन
सही अल-तरगीब, 1679-सही
शुब्बुल ईमान , बैहिक़ी 3343 हसन

-----------------------

✦ The Three Supplication of Jibril Alaihi Salam Against three kind of person
---------------
It was narrated that Abu Hurayrah (may Allaah be pleased with him) said: 

The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) ascended the minbar and said: “Ameen, ameen, ameen.” 
It was said: ‘O Messenger of Allah ﷺ, you ascended the minbar and said, ‘Ameen, ameen, ameen.” 
He ﷺ said: “Jibreel (peace be upon him) came to me and said: 
✦ If Ramadaan comes and a person is not forgiven, he will enter Hell and Allah will send him out of his mercy. Say Ameen. So I said Ameen. 

✦ Then Jibril Alaihi Salam said: ‘O Muhammad ﷺ, if both or one of a person’s parents are alive and he does not honour them and he dies, he will enter Hell and Allah will send him out of his mercy . Say Ameen.’ So I said Ameen. 

✦ Then Jibril Alaihi Salam said: said: ‘If you are mentioned in a person’s presence and he does not send blessings upon you and he dies, he will enter Hell and he will enter Hell and Allah will send him out of his mercy . Say Ameen.’ So I said Ameen.”

Sahi Ibn Hibbaan, 915 Hasan
Saheeh al-Targheeb, 1679-Sahih
Shubbul Iman , Baihiqi 3343 Hasan

Tez hawa ya aandhi ke waqt padhne ki dua



Bismilahirrahmanirrahim

Tez hawa ya aandhi ke waqt padhne ki dua
--------------
Aisha Radi Alahu Anha se Rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab aandhi ya tez hawa dekhte to farmate
 Allahumma inni Asaluka min khairiha wa khairi ma fiha, wa khairi ma ursilat bihi, Wa Awuzubika min sharrih wa sharri ma fiha, wa sharri ma ursilat bih.
 Ya Allah main tujhse iske khair ka sawal karta hu aur us khair ka jo ismein hai aur us khair ka bhi sawal karta hu jo iske saath bheji gayee hai, aur Ya Allah main tujhse iski burayee se panah chahta hu, aur us burayee se jo ismein hai aur us burayee se bhi
jo uske saath bheji gayee hai
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1374-sahih

--------------
आईशा रदी अल्लाहु अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम जब आँधी या तेज़ हवा देखते तो फरमाते
अल्लाहुम्मा इन्नी असअलुका मीन खैरिहा वा खैरी मा फीहा वा खैरी मा उरसिलत  बीहि
वा आऊज़ुबिका मीन  शर्रीहा वा शर्री मा फीहा  वा शर्री मा उरसिलत  बीहि
या अल्लाह मैं तुझसे इस के खैर (भलाई) का सवाल करता हूँ  और उस खैर का जो इसमें है और उस खैर का भी सवाल करता हू जो इसके साथ भेजी गयी है, और या अल्लाह मैं तुझसे इसकी बुराई से पनाह चाहता हूँ , और उस बुराई से जो इसमें है और उस बुराई से भी जो उसके साथ भेजी गयी है
जामिया तिरमिज़ी , जिल्द 2, 1374-सही
--------------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم جب ہوا چلتی ہوئی یا آندھی  دیکھتے تو فرماتے
‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهَا وَخَيْرِ مَا فِيهَا وَخَيْرِ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ مَا فِيهَا وَشَرِّ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ ‏
اے اللہ! میں تجھ سے اس کی خیر مانگتا ہوں، اور جو خیر اس میں ہے وہ چاہتا ہوں اور جو خیر اس کے ساتھ بھیجی گئی ہے اسے چاہتا ہوں،
اور میں اس کے شر سے تیری پناہ چاہتا ہوں اور جو شر اس میں چھپا ہوا ہے اس سے پناہ مانگتا ہوں اور جو شر اس کے ساتھ بھیجی گئی ہے اس سے پناہ مانگتا ہوں
جامے ترمیزی جلد ٢ ١٣٧٤- صحیح
--------------


 Dua While see the wind
------------
Aishah Radi Allahu anhu narrates, saying When the Prophet () would see the wind he would say:
‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهَا وَخَيْرِ مَا فِيهَا وَخَيْرِ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ
وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ مَا فِيهَا وَشَرِّ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ ‏
O Allah, indeed, I ask You for its good, the good of what is in it, and the good of what it has been sent with. And I seek refuge in You from its evil, the evil of what is in it, and the evil of what it has been sent with
  Allahumma inni Asaluka min khairiha wa khairi ma fiha, wa khairi ma ursilat bihi, Wa Awuzubika min sharrih wa sharri ma fiha, wa sharri ma ursilat bih.

Jamia Tirmizdi,Book 45, 3449-Sahih

Saturday, June 17, 2017

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-175 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz-175 

Sawal: Ek baar ek Sahabi ek surah padh rahe they, to upar se ek baadal unke kareeb aata gaya aur unka ghoda uski wajah se bidakne laga ( jump karne laga) jab ye sara waqiya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya gaya to aapne farmaya wo (badal ka tukda) sakeena tha jo Quran ki tilawat ki wajah se utra tha ?
Wo sahabi us waqt kaunsi surah padh rahe they ?
A. Suarh Al-Baqara
B. Surah Aal-e-Imran
C. Surah Ar-Rahman
D. Surah Al-Kahaf
E. Sahi jawab ka intezar hai
---------------
Quiz : Once A man was reciting A Surah , A cloud came down and spread over that man, and keep coming closer and closer to him till his horse started jumping (as if afraid of something). when he described all this matter to The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said That was As-Sakina (tranquility) which descended because of (the recitation of) the Qur'an.
Which surah that sahabi was reciting that time ?
A. Suarh Al-Baqara
B. Surah Aal-e-Imran
C. Surah Ar-Rahman
D. Surah Al-Kahaf
E. I want to know



Sahi jawab D - Surah Al-kahaf

عَنِ الْبَرَاءِ، قَالَ كَانَ رَجُلٌ يَقْرَأُ سُورَةَ الْكَهْفِ وَإِلَى جَانِبِهِ حِصَانٌ مَرْبُوطٌ بِشَطَنَيْنِ فَتَغَشَّتْهُ سَحَابَةٌ فَجَعَلَتْ تَدْنُو وَتَدْنُو وَجَعَلَ فَرَسُهُ يَنْفِرُ
فَلَمَّا أَصْبَحَ أَتَى النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم فَذَكَرَ ذَلِكَ لَهُ فَقَالَ " تِلْكَ السَّكِينَةُ تَنَزَّلَتْ بِالْقُرْآنِ
---------------
Hazrat Bara Radi allahu anhu se rivayat hai ki Ek baar ek Sahabi surah AL-kahaf padh rahe they, to upar se ek badal unke kareeb aata gaya aur unka ghoda uski wajah se bidakne laga ( jump karne laga) jab subah huyee to wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huye aur ye sara waqiya arz kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se farmaya wo (badal ka tukda) sakeena tha jo Quran ki tilawat ki wajah se utra tha 
Sahih Al-Bukhari, Jild 6, 5011
---------------
Narrated Al-Bara':
A man was reciting Surat Al-Kahf and his horse was tied with two ropes beside him. A cloud came down and spread over that man, and it kept on coming closer and closer to him till his horse started jumping (as if afraid of something). When it was morning, the man came to the Prophet, and told him of that experience. The Prophet (
) said, "That was As-Sakina (tranquility) which descended because of (the recitation of) the Qur'an."
Sahih bukhari, Book 61, Hadith 531

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-174 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz-174 

Sawal: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab ghar mein tashrif laate to (Salam ke baad) sabse pahle kya karte ?
A. Wuzu kiya karte
B. Quran padha karte
C. Miswak kiya karte
D. 2 rakaat Namaz padha karte
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------
Quiz : When the prophet Sal-Allahu alaihi wasallam enter his house (After salam) what he used to do ?
A. Used to perform Ablution (Wudhu)
B. Used to read Quran
C. Used tooth-stick (miswak)
D. Used to pray 2 rakah
E. None of the above
F. I want to know


 Sahi Jawab : C. Miswak kiya karte

Aisha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab ghar mein tashreef late to (Salam ke baad) sabse pahle Miswak kiya karte
Sahih Muslim, Vol 1, 591
-----------------
Correct Ans is C. Used tooth-stick (miswak)

Aisha Radi allahu anha reported: Whenever Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam entered his house, (After salam) he used tooth-stick (miswak) first of all.
Sahih Muslim, Book 2, #489

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-173 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz-173 

Sawal: Wo kaunse Nabee hain jo Qayamat ke din logo ko shafaat ke liye Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam ke pass jaane ko kahenge ?

A. Ibrahim Alihi salam
B. Eesa alaihi salam
C. Musa alaihi salam
D. Nooh Alaihi salam
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------
What is the name of that Prophet who will send to the people for intercede to the prophet Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam on the day of Qayamah ?

A. Ibrahim Alihi salam
B. Eesa alaihi salam
C. Musa alaihi salam
D. Nooh Alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know



Sahi jawab A
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
----------
            وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِدْرِيسَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَّبِيًّا     
            وَرَفَعْنَاهُ مَكَانًا عَلِيًّا
(Tarjuma: Aur kitab (Quran) mein idris alaihi salam ka bhi zikr kijiye, wo bhi sachche nabee they aur humne unko unche muqam par utha liya tha -(Surah Maryam (19), Aayat 56-57))
Ibn Jarir Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Ibn Abbas Radi Allahu Anhu  ne Kaab Radi Allahu Anhu  se sawal kiya ki is aayat(Surah Maryam, Aayat 56-57) ka matlab kya hai to unhone farmaya ki Hazrat idris alaihi salam ke pass wahi aayee thi ki jitni aadam alaihi salam aulad hain un sabke neik aamal ke barabar sirf aapke akele ke neik aamal main roz apni taraf chadhata hu, is par aapko khayal aaya ki Aap aamal mein aur sabqat kar le, jab aapke paas aapka dost farishta aaya to aapne us se zikr kiya ki mere paas is tarah wahi aayee hai isliye tum malik al maut se kaho ki wo meri maut mein takhair kare taaki main neik aamal mein aur badh jauu is farishte ne aapko apne paro par bithaya aur aasmano ki taraf le gaya , jab chothey aasman par aap pahuche to Malik Al maut ko dekha , waha farishte ne unse sifarish ki , to malik Al maut ne farmaya wo kaha hain to farishte ne kaha ye mere paro mein baithey huye hain, malik al maut ne kaha subhanAllah mujhe chothey aasman par unki rooh qabr karne ka hukm hua tha ,aur mujhe hairat ho rahi thi ki chothey aasman par unki rooh mein kaise qabrz karunga jabki wo to zameen par rahte hain , aur  phir usee waqt unki rooh qabz kar li gayee , ibn abbas Radi Allahu Anhu  ne farmaya ki idris alaihi salam darji they aur suyee (needle) ke har ek taanke par SubhanAllah kahte isliye sham ko unse zyada neik aamal aasmano mein kisi ke nahi chadhte they
Tafseer ibn kathir, Surah Maryam, Aayat 56-57, Page 366
Qasas Al Ambiya ,
Ibn Kathir , Ad-Damishqi 700-774H
-------------------------


أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
----------
            وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِدْرِيسَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَّبِيًّا     
            وَرَفَعْنَاهُ مَكَانًا عَلِيًّا

Al Quran : And mention in the Book (the Quran) Idris (Alaihi salam).Verily he was a man of truth, (and) a Prophet. And We raised him to a high station         
Surah Maryam (19), Aayat 56-57
Ibn Jarir Radi Allahu Anhu narrated from Hilal bin Yasaf, saying: Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhu  asked Ka'b Radi Allahu Anhu   while I was present there: "What it meant when Allah said: 'And We raised him high in the heaven'?  Kaab Radi Allahu Anhu replied: "Allah revealed to IDRIS Alaihi salam 'I would raise for you every day the same amount of the deeds as of all Adam's children' - perhaps meaning of his time only.  So IDRIS Alaihi salam wanted to increase his deeds and devotion. A friend of him from angels visited him and IDRIS Alaihi salam said to him: 'Allah has revealed to me such and such, so could you please speak to the angel of death, so I could increase my deeds.'  The angel carried him on his wings and went up into the heaven.  When it was the fourth heaven, they met the angel of death, who was descending down to the earth.  The angel spoke to him, about what IDRIS Alaihi salam had spoken to him before.  The angel of death said: 'But where is IDRIS alaihi salam?' He replied" 'He is upon my back.' The angel of death said: 'How astonishing! I was sent and told to seize his soul in the fourth heaven.  I kept thinking how I could seize it in the fourth heaven when he was on the earth?'  Then he took his soul there out of his body, and that is what is meant in this Verse: 'And We raised him high in the heaven'."

Source: The Book Stories of the Prophets - Ibn Kathir Ad-Damishqi 700-774H