Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, February 9, 2021

✦ Islam par khatme ki Qurani Dua / Yusuf Alaihi salam ki dua

  














Bismillahirrahmanirraheem

✦ Islam par khatme ki Qurani Dua /  Yusuf Alaihi salam ki dua

فَاطِرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ أَنتَ وَلِيِّي فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ تَوَفَّنِي مُسْلِمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ
--------
✦ : Fatiras-samawati wal-'ardi anta Waliyyi fid-dunya wal-akhirah, tawaffani musliman wa alhiqni bis-salihin
--------
✦ Al Quran : Eh Aasmano aur Zameen ke bananey wale Duniya aur Aakhirat mein tu hi mera Kaarsaaz hai tu mujhe Islam par Maut de aur mujhe Neik logon mein shamil kar.
--------
اے آسمانو ں اور زمین کے بنانے والے! دنیا اور آخرت میں تو ہی میرا کارساز ہے
تو مجھے اسلام پر موت دے اور مجھے نیک لوگوں میں شامل کر دے
سورة يوسف ١٢  : ١٠١ 
--------
✦ अल-कुरान: एह आसमानों और ज़मीन को बनाने वाले , दुनिया और आखिरत में तू ही मेरा कारसाज़ है , तू मुझे इस्लाम पर मौत दे और मुझे नेक लोगों में शामिल कर 
सुरह युसूफ (12) , आयत 101
--------
✦ Al Quran : O Creator of the heavens and the earth ! You are my Protector in this world and in the Hereafter. Cause me to die as a Muslim , and join me with the righteous.
Surah Yusuf (12), verse 101









✦ Apne aapko aur apne bachcho Ko Namazi banane Ki Qurani dua

 













Bismillahirrahmanirraheem

✦ Apne aapko aur apne bachcho Ko Namazi banane Ki Qurani dua

رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي ۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ
-------
✦ Rabbiajaalnee Muqeemaassalati Wa Min Dhurriyyatee Rabbana Wa Taqabbal duaa
------
✦ Eh Mere RAB mujhe aur meri aulad ko Namaz Qayam karne wala bana de, Eh hamare RAB aur meri Dua Qubul farma.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), 40
-----
اے میرے رب ! مجھے اور میری اولاد کو نماز قائم کرنے والا بنا دے اے ہمارے رب! اورمیری دعا قبول فرما
-----
✦ एह मेरे रब मुझे और मेरी औलाद को नमाज़ क़ायम करने वाला बना दे , एह हमारे रब और मेरी दुआ क़ुबूल फरमा
अल-क़ुरान , सूरह इब्राहिम (14) आयत 40
------
✦ O my Lord ! Make me one who performs As-Salaat (Iqaamat-as-Salaat), and (also) from my offspring (descendants), our Lord! And accept my invocation.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), Aayah 40





Monday, February 8, 2021

✦: Har raat Shab e Qadr ki Namaz ka sawab

 





Bismillahirrahmanirraheem

✦: Har raat Shab e Qadr ki Namaz ka sawab
-----
✦: Kaab Radi Allahu Anhu se riwayat hai Jo Shakhs Wuzu karen aur achchi tarah Wuzu karen phir isha ki namaz jamat ke sath  padhe phir uske baad chaar rakat padhe unmein ruku sajde pura pura karen aur jo kuch padhe soch samjh kar padhe to ye chaar rakat uske liye (sawab ke lihaz se) lailatul qadr ki tarah ban jayegi
Sunan Nasaii-4955 Hasan
---
کعب رضی اللہ عنہ نے فرمایا جو شخص وضو کرے اور اچھی طرح وضو کرے پھر عشاء کی نماز  باجماعت پڑھے ، پھر اس کے بعد چار رکعتیں پڑھے ان میں رکوع سجدہ پورا پورا کرے اور جو کچھ پڑھے ، سوچ سمجھ کر پڑھے تو یہ چار رکعات اس کے لیے ( ثواب کے لحاظ سے) لیلۃ القدر کی طرح بن جائیں گی۔ 
سنن نسائی - ٤٩٥٥  حسن 
----
✦: काब रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की जो शख्स वुज़ू करे और अच्छी तरह वुज़ू करे फिर ईशा की नमाज़ जमात के साथ पढ़े फिर उसके बाद चार रकात पढ़े उसमें रुकू और सजदा पूरा पूरा करे और जो कुछ पढ़े सोच समझ कर पढ़े तो ये चार रकात उसके लिए (सवाब के लिहाज़ से) लयलतुल कद्र की तरह बन जाएगी 
सुनन नसाई 4955 -हसन 
----
✦: It was narrated that Ka'b said Whoever performs Wudu and performs Wudu well, then attends Isha prayer in congregation, then prays four similar Rakahs after that, reciting therein and bowing and prostrating perfectly, that will bring him a reward like that of (praying) Lailat Al-Qadar
Sunan Nasaii-4958-Hasan


Details 



✦ : Qabr Aur Pul Sirat ke Andhero mein Noor ban kar aane wale Azkar

  












Bismillahirrahmanirraheem

✦ : Qabr  Aur Pul Sirat ke Andhero mein Noor ban kar aane wale Azkar
--------------
✦ : Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki jisne har namaz ke baad aur bistar par jaate huye ye kalimat 3 baar kahe to ye uske liye Qabr mein aur Pul sirat mein Noor ban jayenge yaha tak ki apne padhne wale ko jannat mein dakhil karwa denge 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ

✦ : Allahu Akbar Kabeera Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat
La ilaha illAllah Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Allah Sabse bada hai , Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke mukammal  Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar
✦ : Allah ke siwa koi mabud nahi,  Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke Mukammal , Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar

Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan
Imam Al Suyuti ne bhi Jamia Al-Hadith mein isko Hasan kaha hai
---------
عبد اللہ بن عمر﷠ فرماتے ہیں کہ جس نے ہر نماز کے بعد اور بستر پر جاتے ہوئے یہ دُعاء پڑھ لی تو یہ کلمات اُس کیلئے قبر میں اورپُل صراط میں نور بن جائیں گے یہاں تک کہ اپنے پڑھنے والے کو جنّت میں داخل کروا دیں گے۔
اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ

اللہ سب سے بڑا ہے جفت اور طاق اَعداد کے برابر، اور اللہ تعالیٰ کے مکمل،مبارک اور پاکیزہ کلمات کی تعداد کے برابر۔
اللہ کے سوا کوئی معبود نہیں ،(یہ کلمہ )جفت اور طاق اَعداد کے برابر، اور اللہ تعالیٰ کے مکمل،مبارک اور پاکیزہ کلمات کی تعداد کے برابر۔
فائدہ:حضرت عبد اللہ بن عمر﷠فرماتے ہیں کہ جس نے ہر نماز کے بعد اور بستر پر جاتے ہوئے یہ دُعاء پڑھ لی تو 

مصنف ابن ابی شیبہ:29256  - حسن 
امام سیوطی نے   بھی جامع حدیث  میں اس کو حسن کہا ہے 
---------
✦ : Ibn Umar RAdi Allahu Anhuma said Whoever says following Azkar 3 times after every prayer and when he goes to bed, they will be light for him in his grave and light on the pul siraat (bridge over Hell), until they enter him to Paradise

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ
✦ : Allahu Akbar Kabeera Adadash-Shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat
La ilaha illAllah Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Translation : Allah is Most Great, the number of the even and the odd, and the blessed, pure, perfect words of Allah
There is no god except Allah, the number of the even and the odd, and the blessed, pure, perfect words of Allah
----------
Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan
Imam Al Suyuti Said Hasan in Jamia Al-Hadith
----------
















✦ : Sone aur chandi ke pahad kharch karne se bhi zyada afzal Azkar

 



'image.png' failed to upload.











Bismillahirrahmanirraheem

✦ : Sone aur chandi ke pahad kharch karne se bhi zyada afzal Azkar
--------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis Shaks ko raat ki ibadat (yani Tahajud ki namaz) mushkil ho aur wo maal ke kharch karne mein bakhil ho ya 
dushman se qital karne mein buzdil ho usay cahahaye ke SubhanAllahi wa bihamdehi bahut zyada se zyada padha karen kyunki ye kalmat Allah Subhanahu ke nazdik 
sone aur chandi ke pahad kharch karne se bhi zyada mehboob aur pasandeeda hain
--------
 رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا جو شخص رات کی (عبادت کی) مشقت جھیلنے سے ڈرتا ہو اور مال کے خرچ کرنے میں بخیل ہو اور دُشمن سے قتال کرنے میں بُزدل ہو اُسے 
چاہیئے کہ”سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ“کثرت سے پڑھا کرے اِس لئے کہ یہ کلمات اللہ تعالیٰ کے نزدیک سونے اور چاندی کے پہاڑ خرچ کرنے سے بھی زیادہ محبوب اور پسندیدہ ہیں
الطبرانى (8/194 رقم 7795 - صحیح  
 صحيح الترغيب والترهيب ، 1541​
--------
✦ : रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जिस शख्स को रात की इबादत (यानि तहज्जुद की नमाज़) मुश्किल हो और वो माल के खर्च करने में बखील हो या दुश्मन से क़िताल (जिहाद) करने में 
बुजदिल हो तो उसको चाहिए की सुबहानअल्लाहि वा बिहाम्दिही ज़्यादा से ज़्यादा पढ़ा करे क्यूंकि ये कलिमात अल्लाह सुभानाहू के नज़दीक सोने और चांदी के पहाड़ खर्च करने से भी ज़्यादा महबूब और पसंदीदा है 
तबरानी अल-कबीर -7795 - सही 
सहि अल तरगीब वा तरहीब - 1541 सही 
--------
✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: the One who is unable to pray during the night or if he is too miser to spend money or if he is too coward to take part 
in Jihad, then he should recite “SubhanAllahi Wa Bihamdihi” frequently ,  because this azkar is more valuable to Allah,  then spending in his path, a mountain of gold and 
silver 
--------
Tabrani Al-Kabeer -7795 - Sahih
Sahih Al Targeeb wa tarheeb - 1541 -Sahih
'image.png' failed to upload.









❗Only-Quran-Hadith Quiz-1289 ❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1289* ❗

*Sawal  : Wo kya hai jiske jariye Allah subhanahu Musalman bande ke gunah aise dur kar deta hai jaise aag sone aur chandi ke mail ko ?*


A. Wuzu

B. Jihad

C. Tauba Astagfar

D. Allah ka zikr

E. Beemari

F. Hijrat

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Note : Agar Inmein se koi bhi sahi nahi to phir sahi jawab bhi send kijiyega tabhi winner count kiya jayega*


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1289* ❗

*Quiz  : What is that, by which  Allah Subhanahu removes the sins of a Muslim as fire removes the dross of gold and silver ?*

A. Ablution

B. Jihad

C. Astagfar

D. Rememberance of Allah

E. illness 

F. Migration

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)

*Note : If answer is G None of the above than please give the correct answer*


*💐✅ Sahi Jawab: E💐✅*

-------

Umm Al-Ala Radi Allahu Anha se rivayat hai ki  jab mein Beemar Thi to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne meri Ayadat ki  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Khush ho jao Eh Umm Al-Ala  Beshak Beemari ke zariye Allah Subhanahu Bande ke gunaho ko aise door kar deta hai jaise Aag Sone aur Chandi ke mail ko door kar Deti hai
Sunan Abi Dawud 3092-Sahih


*💐✅ Answer : E💐✅*

-------
Narrated Umm Al Ala Radi Allahu Anha Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam visited me while I was sick. He said: Be glad, Umm al-Ala' for Allah removes the sins of a Muslim for his illness as fire removes the dross of gold and silver.
Sunan Abi Dawud Book 20, 3086-Sahih


Sunday, February 7, 2021

❗Only-Quran-Hadith Quiz-1288 ❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1288* ❗


*Sawal : Wo kaun hai jiske liye 50 hazar se zyada farishte subah tak magfirat ki dua karte hain ?*


A. Jo Raat ko Astagfiruallah wa atubu ilaih padhkar sota hai

B. Jo Sham ko kisi mareez ki Ayadat karta hai

C. Jo Raat ko Aayat Al kursi padhkar sota hai

D. Jo Shab e Qadr mein 2 rakat nawafil padhta hai

E. Jo Allah ke liye raat ko pahra deta hai

F. Jo Raat ko Allahummaghfirli Warhamni padhkar sota hai

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Note : Agar Inmein se koi bhi sahi nahi to phir sahi jawab bhi send kijiyega tabhi winner count kiya jayega


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1288* ❗


*Quiz : For whom,  more than 50,000 Angel ask forgiveness till the morning?*


A. The one who sleep after reciting Astagfiruallah wa atubu ilaih in night

B. The one who visit Any sick in the evening 

C. The one who sleep after reciting Aayat Al kursi in night

D. The one who pray 2 rakaha in the night of Qadr

E. The one who patrol any border for the sake of Allah

F. The one who sleep after reciting Allahummaghfirli Warhamni 

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


Note : If answer is G None of the above than please give the correct answer



*💐✅ Sahi Jawab: B💐✅*

Sawal ye tha ki 50,000 se zyada aur 70,000 us se zyada hi hote

-------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shaks sham ko kisi beemar ki ayadat karta hai uske Sath 70,000 farishte hai aur Subah tak Uske liye magfirat ki dua karte hai aur uske liye jannat mai ek baag hota hai aur jo shaks Subah kisi mareez ki ayadat ke liye nikalta hai Usk Sath 70,000 farishte nikalte hai aur shaam tak Uske liye dua e magfirat Karte hai aur Uske liye Jannat mai ek baag hai

Sunan Abu Dawud- 3098 - Sahih



*💐✅ Answer : B💐✅*

-------

Narrated 'Ali Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said If a man visits a patient in the evening, seventy thousand angels come along with him seeking forgiveness from Allah for him till the morning, and he will have a garden in the Paradise. If a man visits a patient in the Morning seventy thousand angels come along with him seeking forgiveness from Allah for him till the Evening and he will have a garden in the Paradise.

Sunan Abu Dawud, Book 20, 3092-Sahih

❗Only-Quran-Hadith Quiz-1287 ❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1287* ❗


*Sawal 1 :  Wo kaun hai jinki aankhon ko Chamakte huye taaro (Shining Stars) ki tarah kaha gaya hai Quran ya Hadith ki roshni mein jawab dijiye ?*


*Sawal 2 : Wo kya hai jisko Al-Marjan ki tarah (الْمَرْجَانُ) yani uski Misl kaha gaya hai ?*


A. Jibril Alaihi salam

B. Musalmano ke jo bachche shaheed ho gaye

C. Jannat ki Hoor

D. Qabr mein aane wale farishte

E. Israfeel Alaihi salam

F. Rooh Qabz karne wale farishta

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Note : Agar Option G sahi ho to phir sahi jawab bhi send kijiyega tabhi winner count kiya jayega


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1287* ❗


*Quiz 1 :  Whose eyes are like Shining Stars ?*


*Quiz 2 :  Who is like Al-Marjan (الْمَرْجَانُ) in Quran ?*


A. Jibril Alaihi salam

B. Children who got martyr

C. The Hoor of paradise

D. Angels who comes in grave

E. Israfeel Alaihi salam

F. Angels of death

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


Note : If answer is G None of the above than please give the correct answer


*💐✅ Sahi Jawab: EC💐✅*

-------

✦ : RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sahab e Soor (Israfeel) Ko Jab Se Zimmedari di gayi hai woh tayyar halat mein Arsh ki taraf dekh raha hai is darr se ke Kahih ise Aankh Jhapkane se pahle hi hukm na de diya jaye jaise ki iski Aankhein Chamakdaar Sitare Hon

Al-Silsila-As-Sahiha-3123


✦ : Unmein (jannat mein) Neechi Nigah wali Aurtein (Hoorein) hain, jinko Ahal-e-jannat se pahle na kisi insan ne haath lagaya aur na kisi Jinn ne to tum apne RABB ki kaun kaun see Naimato ko jhuthlaoge Jaise ki wo (Horrein) Al-Yaqut (Moti) Aur Al-Marjan (Mungo) ki tarah hain

Al Quran : 55: 56-58


*💐✅ Answer : EC 💐✅*

-------

✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam Said when The gaze of the one who will blow the Trumpet has been fixed since he was entrusted with it, looking towards the throne, ready (to blow it), in case he will be commanded to do so before he blinks, as if his eyes are two shining stars.” 

Al-Silsila-As-Sahiha-3123


✦ : In them (in paradise) are women (Hoor) limiting [their] glances, untouched before them by man or jinni So which of the favors of your Lord would you deny? -

As if they were rubies (Al-Yaqut) and coral (Al-Marjan)

Al Quran : 55: 56-58

Friday, February 5, 2021

❗Only-Quran-Hadith Quiz-1286 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1286* ❗


*Sawal  : Wo kaunsa azkar hai jiski wajah se Qabr mein aur Pul Sirat mein roshni ho jayegi ?*


A. SubhanAllah Walhamdulillah Wa la ilaha illAllah wallahu Akbar

B. SubhanAllahil Adheem  Wa bihamdihi

C. Subhan Al Malik Al Quddus, Rabbil-Arsh-il-Azeem , Wa Noor As Samawati Wal Ard

D. La ilaha illAllah

E. Allahu-Akbar-Kabira Walhamdulillahi kathira,Wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila

F. Allahumma Aja'al fi Qalbi Noora wa fi samee Noora Wa An Yamini Wa An Shimali Noora 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)



❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1286* ❗


*Sawal  : Name the Azkar which will be cuase of light (Noor) in the grave and the Pul Sirat (Bridge) ?*


A. SubhanAllah Walhamdulillah Wa la ilaha illAllah wallahu Akbar

B. SubhanAllahil Adheem  Wa bihamdihi

C. Subhan Al Malik Al Quddus, Rabbil-Arsh-il-Azeem , Wa Noor As Samawati Wal Ard

D. La ilaha illAllah

E. Allahu-Akbar-Kabira Walhamdulillahi kathira,Wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila

F. Allahumma Aja'al fi Qalbi Noora wa fi samee Noora Wa An Yamini Wa An Shimali Noora 

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)




*💐✅ Sahih Jawab : G💐✅*

-------

✦ : Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki jisne har namaz ke baad aur bistar par jaate huye ye kalimat 3 baar kahe to ye uske liye Qabr mein aur Pul sirat mein Noor ban jayenge yaha tak ki apne padhne wale ko jannat mein dakhil karwa denge 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 

لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ

✦ : Allahu Akbar Kabeera Adada Ash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-taammaat,  At-tayyibaatil-Mubaarakaat

La ilaha illAllah Adada Ash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-taammaat,  At-tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Allah Sabse bada hai , Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke mukammal  Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar

✦ : Allah ke siwa koi mabud nahi,  Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke Mukammal , Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar

*Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan*

*Imam Al Suyuti ne bhi Jamia Al-Hadith mein isko Hasan kaha hai*


*💐✅ Answer : G💐✅*

-------

✦ : Ibn Umar RAdi Allahu Anhuma said Whoever says following Azkar 3 times after every prayer and when he goes to bed, they will be light for him in his grave and light on the pul siraat (bridge over Hell), until they enter him to Paradise

✦ : Allahu Akbar Kabeera Adada Ash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-taammaat,  At-tayyibaatil-Mubaarakaat

La ilaha illAllah Adada Ash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-taammaat,  At-tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Translation : Allah is Most Great, the number of the even and the odd, and the blessed, pure, perfect words of Allah

There is no god except Allah, the number of the even and the odd, and the blessed, pure, perfect words of Allah

----------

*Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan*

*Imam Al Suyuti Said Hasan in Jamia Al-Hadith*


❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1285 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1285* ❗


*Ek bar ek sahabi ko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek cheez di aur farmaya ki ye Qayamat ke din unhe kaam mein aayegi isliye isko hifazat se rakhna un sahabi ne uski itni hifazat ki ke marte waqt us cheez ko unke saath hai Qabr mein rakh diya gaya*


A. Chandi ki Anguthi

B. Amama (Turban)

C. Muhar e Nabuwat ki Anguthi

D. Lakdi

E. Kurta

F. Talwar

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Sawal 2 : Wo sahabi kaun they ?*


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F.Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1285* ❗

*Once  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam gave some thing to a Sahabi and said Keep it safe with you it will be helpful on the day of Qayamah that sahabi kept that thing with him and after his death that thing was also buried with him in the grave*


*Quiz 1 : What was that thing ?*


A. SIlver Ring

B. Turban

C. Ring with Prophetic Stamp

D. Stick

E. A Kind of cloth to wear

F. Sword

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*Quiz 2 : Who was that sahabi ?*


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F.Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)




*💐✅ Sahih Jawab : DA💐✅*

-------

Syedna Abdullah bin Unais RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo kehte hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe bulwa kar farmaya mujhe ittila mili hai ke Khalid bin Sufyan mujh par hamla karne ke liye logon ko jama kar raha hai, wo is waqt  Arna waadi mein hai, tum ja kar usse qatal kar do. mein ne arz kiya : Eh Allah ke Rasool! aap mujhse is ka huliya bayan farmaye taake mein usse pehchan sakoo. Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum usse dekhoge to tum par kapkapi taari ho jayegi. phir mein ne apni talwar latkai aur chal pada, jab mein Arna mein is ke paas pahuncha to dekha ke is ke sath aurtain bhi theen aur wo un ke liye jagah tayyar kar raha tha, ye Asar ka waqt tha jab mein ne usse dekha to Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke bayan ke mutabiq mujh par kapkapi taari ho gayi, main is ki taraf badha, mujhe andesha huwa ke mumkin hain ke is ke aur mere darmiyan ladai shuru hojaye aur mein Namaz na padh sakoo, is liye mein ne is ki taraf chalte chalte namaz padh li aur ishare se ruku o sajda kar liye.


jab mein is ke paas pouncha to is ne poocha tum kaun ho? maine  kaha : mein ek arab hu, suna hain ke tum is yani Muhammad ( ‌Sallallahu Alaihi wasallam) ke muqable ke liye lashkar jama kar rahe ho, mein bhi isi maqsad ke liye aaya hu is ne kaha : haan haan isi mission par hu mein kuch durr tak is ke saath saath chala, jab mujhe mauqa mila to mein ne is par talwar se waar kar ke usse qatal kar diya aur wahan se nikal aaya, mein ne is ki aurton ko is haal mein wahan chorra ke wo is par jhuki huwi theen. jab mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas aaya, aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe dekh kar farmaya : chehra kamyaab ho gaya hain mein ne arz kiya : Allah ke Rasool! mein ne usse qatl kar diya hain Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne farmaya bilkul tum theek kahte ho is ke baad Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam mere saath uth kar chalay aur apne ghar tashreef le gaye, Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ek laathi (Lakdi) inayat ki aur farmaya : Abdul Rahman bin Unais ! usse apne paas mehfooz rakhna mein wo laathi le kar bahar logon mein aaya. unhon ne poocha : ye kaisi laathi hai? mein ne batlaya ke Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ye laathi inayat ki hain aur mujhe hukum diya hai ke mein usse mehfooz rakhon unhon ne kaha kya tum Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas ja kar aap se is ke barre mein mazeed wazahat nahi kara lete? 


phir mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein dobara gaya aur mein ne arz kiya Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌aap ne ye laathi mujhe kis maqsad ke liye di hain? Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din ye laathi mere aur tumahre darmiyan nishani hogi, Qayamat ke din bahut kam log aisse honge jin ke paas take lagane ke liye Asaa wagaira hoga phir Syedna Abdullah RadiAllahu Anhu ne is Asaa (Lakdi) ko apni talwar ke saath bandh liya aur wo hamesha unke paas raha, yahan tak ke jab un ka inteqaal huwa to is Asaa (lakdi) ko bhi un ke kafan ke saath rakh kar dono ko dafan kar diya gaya.

*Musnad Ahmed 11770*



*💐✅ Answer : DA💐✅*

-------

Narrated By Syedana Abdullah bin Unais Radiallahu Anhu he said, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam called me and told  I received a news that Khalid bin Sufiyan bin Nabeeh is gathering people to attack me , he is in  the place of Arna, go and kill him.

I Said Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam describe me how he look like, so that I can identify him . Rasool Allah Sallallahu alaih wasallam said when you look at  him you will got shivered, I took my sword and went to him

 When I reached at the place of Arna , I saw  women with him and he was  arranging the place at the time of Asr. 

When I looked at him, I got shivered As Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said, when I was about to walk towards him I got fear that war will begin between us and I won't be able to offer Salah, so meanwhile walking towards him I offered Salah, done ruku and sujud with gesture .

 When I reached to him he said , Who are you ? 

I said I am An Arab, I heard that you are gathering the people against prophet Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam to defeat him, and I too came for this purpose 

He said, Yes I came here with this intenton,  

I walked little with him, and when I got a chance to attack him I killed him with a sword and I left 

 his women there in the condition that they were bowed him.

When I came back to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam. 

Rasool-Allah Sallallahu Aaihi wasallam looked at me and said, face has got success , I said Oh messanger of Allah I killed him, 

 Rasool-Allah Sallallahu Aaihi wasallam said Obviously you  are saying truth.


After that Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam went to his house with me, and gave me a stick and told, Ya Abdur Rahman bin Unais keep this safe with you I came out  to the people holding stick.

They asked what is this stick? I said Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam gave me this stick and ordered me to keep this with me safely.

 They said go to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam and clarify more about it ? So I went to Rasool-Allah  Sallallahu Aaihi wasallam and asked, for which purpose have you given me this Stick ? 

Rasool-Allah Sallallahu Aaihi wasallam said  on the day of judgement this stick will be the trace between us.

On the day of judgement a very few people will have stick etc to shore up.

 After that Abdullah bin Unais Radi Allahu Anhu tied this Stick with his Sword and  always kept with him until  he died, After his death  that stick also buried with him in the grave

Musnad Ahmed 11770


Thursday, February 4, 2021

✦ : Hadith : Juma ke din Surah Al-Kahaf padhne wale ke liye uske Qadmon se aasman tak noor paida hota hai

 





Bismillahirrahmanirraheem

✦ : Hadith : Juma ke din Surah Al-Kahaf padhne wale ke liye uske Qadmon se aasman tak noor paida hota hai
------
 ✦ :Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jisne Juma ke din surah kahaf padhi uske qadmon ke neeche se le kar asman tak noor paida hota hai jo Qayamat ke din uske liye roshan hoga aur uske dono juma ke darmiyan wale gunah maaf kar diye jate hai
----
 ابن عمررضی اللہ تعالی بیان کرتے ہیں کہ رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا :جس نے جمعہ کے دن سورۃ الکھف پڑھی اس کے قدموں کے نیچے سے لیکر آسمان تک نور پیدا ہوتا ہے جو قیامت کے دن اس کے لیے روشن ہوگا اور اس دونوں جمعوں کے درمیان والے گناہ معاف کردیۓ جاتے ہیں ۔
---
✦ :रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया जिसने जुमा के दिन सुरह कहफ़ पढ़ी उसके क़दमों के नीचे से ले कर आसमान तक नूर पैदा हो जाता है जो क़यामत के दिन उसके लिए रोशन होगा और उसके दोनों जुमों के दरमियाँ वाले गुनाह माफ़ कर दिए जाते हैं 
---
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: Whoever reads Surah Al-Kahf on the day of Friday a light will shine for him from beneath his feet to the clouds of the sky, which will shine for him on the Day of Qayamah and his Sins between the two Fridays will be forgiven for him
Al-Targheeb wa’l-Tarheeb, 1/298-Hasan




Wednesday, February 3, 2021

❗Only-Quran-Hadith Quiz-1283 ❗

 

 

*Only-Quran-Hadith Quiz-1283*

 

*Sawal 1 : Wo kaunsa azkar hai jiska sawab Uhad pahad se bhi zyada hai ?*

 

*Sawal 2 : Wo kaunsa Azkar hai jo aadhe meezan ke barabar hai ?*

 

A. Allahu-Akbar-Kabira WalhamduLillahi kathira,Wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila

B. SubhanAllahi Wa bihamdihi

C. La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah

D. La hawla Wa la Quwwata illa Billah

E. Alhamdulillahi katheera

F. SubhanAllah

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)

 

 

*Only-Quran-Hadith Quiz-1283*

 

Quiz1 : What is that azkar which is greater than the mountain of Uhud in reward?

 

Quiz 2 : What is that azkar which is equal to half scale (meezan) ?

 

A. Allahu-Akbar-Kabira WalhamduLillahi kathira,Wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila

B. SubhanAllahi Wa bihamdihi

C. La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah

D. La hawla Wa la Quwwata illa Billah

E. Alhamdulillahi katheera

F. SubhanAllah

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma

(Oh Allah increase my knowledge)

 

 

*💐✅ Sahih Jawab : AF💐✅*

-------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum mein se koi rozana Uhad pahad ke barabar aamal karne ki taqat rakhta hai ? Sahaba Radi Allahu Anhuma

ne aarz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam rozana Uhad pahad ke barabar aamal karne ki taqat koun rakh sakta hai,  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne

farmaya tum mein se har ek Iss ki taqat rakhta hai , arz kiya wo kaise Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya SubhanAllah kahne ka sawab Uhad pahad se zyada

hai, Alhamdulillah ka sawab ka Uhad pahad se zyada hai, laa illaha IllAllah ka sawab Uhad pahad se zyada hai Allahu Akbar ka bhi sawab Uhad pahad se zyada hai

At-Tabarani, Majma` Az-Zwa'id 10/90 -Sahih

------

: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : أَيَعْجِزُ  أَحَدُكُمْ أَنْ يَعْمَلَ كُلَّ يَوْمٍ مِثْلَ أُحُدٍ ؟ قَالُوا : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، وَمَنْ يَسْتَطِيعُ أَنْ يَعْمَلَ ؟ قَالَ : كُلُّكُمْ يَسْتَطِيعُهُ قَالُوا : وَمَا ذَاكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ ؟

قَالَ : سُبْحَانَ اللَّهِ أَعْظَمُ مِنْ أُحُدٍ ، وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ أَعْظَمُ مِنْ أُحُدٍ ، وَالْحَمْدُ لِلَّهِ أَعْظَمُ مِنْ أُحُدٍ ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ أَعْظَمُ مِنْ أُحُدٍ

------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Subhan'Allaah Aadhe (Nisf) Meezan ke barabar hai, Alhmadulillah ka sawab tarazu ko bhar deta hai aur Allahu

Akbar Zameen aur Asman ke darmiyani hisse ko bhar deta hai, roza aadha Sabr hai aur wuzu Aadha Imaan hai

Masnad Ahmed-5444 Sahih

 

 

*💐✅ Answer : AF💐✅*

-------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said that SubhanAllah is equal to Half Scale (Meezan) and and the rewards of (saying) Alhamdulillah fill the meezan , and

(Saying) Allahu Akbar fills the gaps between heaven and the earth, fasting is half patience and the ablution is half faith

Masnad Ahmed-5444 Sahih

 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Can you perform the good deeds everyday which is equal to the mountain of Uhud? They (the Companions) said: Ya

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said , who can perform these much deeds that is equal to the mountain of Uhud ? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said

All of you can do so. They said: How can we do it ? He said: "Saying Subhan Allah  is greater than Uhud, Saying Al Hamdullilah (Praise be to Allah) is greater than Uhud,

Saying La Ilaha Illa Allah  is greater than Uhud and Saying  Allahu Akbar is greater than Uhud.

At-Tabarani, Majma` Az-Zwa'id 10/90 -Sahih