❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1469 : Kaunsi Namaz ke waqt par Farishto ki dutiyan badalti rahti hain ?
A. Fajr aur Zuhar
B. Asar aur Maghrib
C. Fajar aur Asar
D. Fajar aur Isha
✅ *Sahi Jawab C. Fajar aur Asar* 💐
-----------
RasoolAllah sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Raat aur din Farishton ki duty badlti rehti hai aur Fajr aur Asar ki Namazo mein (duty par aane walo aur rukhsat paane walo ka) ijtema hota hai phir tumhare paas rehne wale Farishtein jab upar chadte hain to Allah Subhanahu puchta hai halanki Wo unse bahut zyada apne bando ke mutalliq janta hai , ke mere bando ko tum kis haal mein chorha wo Jawab dete hain ke hamne jab unhein chorha to wo (Fajr ki Namaz) padh rahe the aur jab unke paas gaye tab wo Asar ki Namaz padh rahe the
Sahih Bukhari : 555
https://www.youtube.com/watch?v=VfzfICBPOTQ
No comments:
Post a Comment