Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, September 24, 2023

Sawal 1459 : Allah Subhanahu ka Dastarkhwan kisko kaha gaya hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1459 ❗ 

 




 Sawal 1459 : Allah Subhanahu ka Dastarkhwan kisko kaha gaya hai ?


A. Namaz 

B. Quran

C. Sehri

D. Iftar

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab B : Quran* 💐

-----

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Quran Majid Allah subhanahu ka dastarkhwan hai jaha tak mumkin ho isski dawat qubul karo

ye Quran majid Allah subhanahu ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai, 

ye jhukta nahi ke issko khada karna padhe, teda nahi hota ke seedha karna padhe, iske Ajaib kabhi khatam na honge aur baar baar kasrat se padhte rehne se bhi purana nahi hota (yani  iss se dil nahi bharta),

iski tilawat kiya karo kyunki Allah Subhanahu iski tilawat par tumhein har harf ke badle das neikiya ka ajar ata farmata hai 

yaad rakho main ye nahi kehta ke alif laam meem ek harf hai balke Alif ek harf hai laam ek harf hai meem ek harf hai ( sirf Alif laam meem padhne se 30 nekiya mil jati hai)

Mustadrak Al-Hakim, 1/741 Sahih



No comments:

Post a Comment