Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, September 26, 2023

Sawal 1471 : Inmein se wo kya hai jiski wajah se zyada tar log jannat mein jayenge ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 

 




 Sawal 1471 :  Inmein se wo kya hai jiski wajah se zyada tar log jannat mein jayenge ?


A. Achcha Akhlaq 

B. Sila Rahmi

C. Kasrat se Astagfar

D. Raham dili


✅ *Sahih Jawab A. Achcha Akhlaq * 💐

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam se  Sawal kiya gaya zyada tar log kis wajah se  jannat mein jaenge Aap Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya wo Husn e Akhlaq yani Achcha Akhlaq  hai

Musnad Ahmed - 6646 -Sahih

\

https://youtu.be/n7UwUv0nOyU


Sawal 1470 : Wo kaun log hain jin par Allah aur unke farishte Rahmat aur barkat bhejte hain ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 

 




Sawal 1470 : Wo kaun log hain jin par Allah aur unke farishte Rahmat aur barkat bhejte hain ?


A. Miskeen ko khilane wale

B. Zakat Ada karne wale

C. Namaz mein Safo ko milane wale

D. Inmein se koi nahi


✅ *Sahi Jawab C. Namaz mein Safo ko milane wale* 💐

-------------- 

 RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya yaqeenan Allah Subhanahu aur uske Farishte un logon par rehmat aur barkat bhejte hain jo (Namaz mein) Safon ko milate hain aur jis Shakhs ne khaali jagah ko pur kiya Allah Subhanahu uske badle ek darja buland kar dega 

Al Silsila tus Sahiha-563-Sahih


http://youtu.be/R9N_5T8vw_0

Sawal 1469 : Kaunsi Namaz ke waqt par Farishto ki dutiyan badalti rahti hain ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 

 




 Sawal 1469 :  Kaunsi Namaz ke waqt par  Farishto ki dutiyan badalti rahti hain ?


A. Fajr aur Zuhar

B. Asar aur Maghrib

C. Fajar aur Asar

D. Fajar aur Isha


✅ *Sahi Jawab C. Fajar aur Asar* 💐

-----------

RasoolAllah sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya  Raat aur din  Farishton ki duty badlti rehti hai aur Fajr aur Asar ki Namazo mein (duty par aane walo aur rukhsat paane walo ka) ijtema hota hai phir tumhare paas rehne wale Farishtein jab upar chadte hain to Allah Subhanahu puchta hai halanki  Wo unse bahut zyada apne bando ke mutalliq janta hai , ke mere bando ko tum kis haal mein chorha wo Jawab dete hain ke hamne jab unhein chorha to wo (Fajr ki Namaz) padh rahe the aur jab unke paas gaye tab wo Asar ki Namaz padh rahe the

Sahih Bukhari : 555


https://www.youtube.com/watch?v=VfzfICBPOTQ

Sawal 1468 : Shaitan kis waqt rota hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 

 





 Sawal 1468 : Shaitan kis waqt rota hai ?


A. Jab koi Gair mehram ko dekh kar Nazar jhuka leta hai

B. Jab koi Allah ki raah mein jihad karta hai

C. Jab koi ilm sikhne ke liye ghar se nikalta hai

D. Jab koi  Sajde wali aayat padh kar sajda karta hai


✅ *Sahih Jawab D. Jab koi  Sajde wali aayat padh kar sajda karta hai* 💐

---------

RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jab Insaan sajde wali aayat padh kar sajdah karta hai to Shaitan  rota hai aur kahta hai hayy afsos! Is Insaan ko sajdah karne ka hukum diya gaya isne sajdah kiya ,  iske liye Jannat hai aur mujhe sajdah karne ka hukum diya gaya lekin maine nafarmaani ki so mere liye aag hai

Masnad Ahmad  2010-Sahih


https://youtu.be/tbqaUNCxAco

Monday, September 25, 2023

Sawal 1467 :. Bhukhar ke ilaj mein kis cheez ka istemal karne ka hukm diya gaya hai ?






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 


Sawal 1467 :. Bhukhar ke ilaj mein kis cheez ka istemal karne ka hukm diya gaya hai ?


A. Anjeer

B. Pani

C. Kalonji

D. Zaitun 


✅ *Sahih Jawab B : Pani* 💐

-----------

RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya  Bukhar Jahannum ke josh maarne ke asar se hota hai isliye usey paani se thanda kar liya karo

Sahih Bukhari 3262-Sahih


https://youtu.be/ahFFpWIq2R8

Sawal 1466 : Musalaman ke Sare Aamalo mein se Afzal Aamal kaunsa hai ?





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗ 

 

Sawal 1466 : Musalaman ke Sare Aamalo mein se Afzal Aamal kaunsa hai ?


A. Namaz

B. Roza

C. Zakat

D. Hajj


✅ *Sahi Jawab A. Namaz* 💐

-----------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tumahare sare Aamal mein se  Afzal Amal namaz hai
Sunan Ibn Maja - 278 Sahih

Sawal 1465 : inmein se wo kaun hai jiske liye farishte ye dua karte hain | اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ | Eh Allah usko bakhsh de ?





❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  ❗ 

 

Sawal 1465 : inmein se wo kaun hai jiske liye farishte ye dua karte hain |  اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ  | Eh Allah usko bakhsh de ?


A. Wuzu karke Namaz ka intezar karne wala

B. Talwar lekar Allah ki raah mein nikalne wala

C. Beemari par sabr karne wala

D. Sila Rahmi karne wala


✅ *Sahi Jawab A. Wuzu karke Namaz ka intezar karne wala* 💐

-----------

RasoolAllah sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Tum mein se koi Shakhs jitni der Namaz ke intezar me baithta hai Namaz hi me rahta hai jab tak bewuzu na ho jaye Farishte uske liye Dua karte rahte hain

 اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ، اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ، اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ

Eh Allah usko bakhsh de ,  Eh Allah usko bakhsh de  Eh Allah usko bakhsh de

Sahih Muslim 1511-Sahih


https://youtu.be/zTMbrQRqC8I

Sunday, September 24, 2023

Sawal 1464 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Aksar kaunse din Safar ke liye nikalte they ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  ❗ 

 




Sawal 1464 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Aksar kaunse din Safar ke liye nikalte they ?

A.  Jumerat - Thursday  

B.  Peer - Monday 

C.  Aitwar  - Sunday

D.  Juma - Friday


✅ *Sahi Jawab : A.  Jumerat - Thursday * 💐

---------

Kaab bin Malik Radi Allahu ANhu kaha karte they ki bahut kam aisa hota tha ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam kisi safar mein Jumerat ke siwa aur kisi din nikle

(yani Aap aksar jumerat ko hi safar ke liye nikalte they)

Sahih Bukhari 2649


https://youtu.be/MInmQngZTls

Sawal 1463 : Allah Subhanahu ne Quran ki Kaunsi surah mein ye farmaya ki Maangne wale ko jhidki na dena yani uska bura na kahna ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗ 

 




Sawal 1463 : Allah Subhanahu ne Quran ki Kaunsi surah mein ye farmaya ki Maangne wale ko jhidki na dena yani uska bura na kahna ?


A. Surah Al Kauther

B. Surah Ad Duha

C. Surah Al Ma'uun

D. Surah Al Humazah


✅ *Sahi Jawab B. Surah Ad Dhuha* 💐

---------------

Allah Subhana ne Quran mein Surah Ad-Dhuha mein farmaya

 فَأَمَّا الْيَتِيمَ فَلَا تَقْهَرْ وَأَمَّا السَّائِلَ فَلَا تَنْهَرْ

Tum Yateem par sitam na karna aur  Maangne wale ko jhidki na dena yani uska bura na kahna

Surah Ad-Dhuha 93:10-11



Sawal 1462 : Allah Subhanahu ne Surah Baqarah mein Farishto se farmaya ki Mainz Zameen par apna Khalifa banane wala hu , Wo khalifa kaun they ?

 






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  ❗ 

 

 Sawal 1462 : Allah Subhanahu ne Surah Baqarah mein Farishto se farmaya ki Mainz Zameen par apna Khalifa banane wala hu , Wo khalifa kaun they ?


A. Muhammed SallAllahu Alaihi Wasallam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Nooh Alaihi Salam

D. Adam Alaihi Salam


✅ *Sahi Jawab D Adam Alaihi salam* 💐 

----------

Al Quran : Aur jab tumhare RABB ne farishto se farmaya

وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي جَاعِلٌ فِي الْأَرْضِ خَلِيفَةً 

main zameen mein (apna) khalifa banane wala hu , unhone kaha kya tu aise shakhs ko khalifa banana chahta hai jo fasad kare aur khoon kharaba karta rahe aur hum teri tarif ke saath tasbeeh aur taqdees karte rahte hain (Allah subhanahu) ne farmaya main wo baatein janta hu jo tum nahi jaante

Surah Baqarah , Aayat 30


https://youtu.be/1vNJYYYfXqA

Sawal 1461 : Inmein se kaunse waqt mein safar karne ka hukm diya gaya hai ?

  




❗ Only-Quran-Hadith Quiz -1461 ❗ 

 

 Sawal 1461 : Inmein se kaunse waqt mein safar karne ka hukm diya gaya hai ?


A. Fajr ke baad

B. Zuhar ke baad

C. Raat ke waqt

D. Asar ke baad

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab C. Raat ke waqt* 💐

---------

RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat ke waqt safar kiya karo kyunki Raat ke waqt zameen lapet li jati hai (Yani duri jaldi tay ho jati hai)

Sunan Abu Dawud 2571-Sahih


https://www.youtube.com/watch?v=SZebjjLhh-4


Sawal 1460 : Khadija radi Allahu Anha se nikah ke waqt RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki Umar mubarak kitni thi





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -1460 ❗ 


 Sawal 1460 : Khadija radi Allahu Anha se nikah ke waqt RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki Umar mubarak kitni thi


A. 25

B. 30

C. 35

D. 40

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)

✅ *Sahi Jawab A 25* 💐

---------

Ibn Hisham ne kaha ki jab RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka Nikah Khadija radi Allahu Anha se hua us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki umar 25 saal thi aur Khadija Radi Allahu Anha ki umar 40 saal thi , 

aur Ibrahim ke siwa sari Aulad Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko khadija Radi Allahu Anha se hi huyee aur jab tak wo zinda rahi Aapne kisi aur se nikah nahi farmaya 

Seerat-Un-Nabee , Ibn Hisham , 190

Sawal 1459 : Allah Subhanahu ka Dastarkhwan kisko kaha gaya hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1459 ❗ 

 




 Sawal 1459 : Allah Subhanahu ka Dastarkhwan kisko kaha gaya hai ?


A. Namaz 

B. Quran

C. Sehri

D. Iftar

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab B : Quran* 💐

-----

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Quran Majid Allah subhanahu ka dastarkhwan hai jaha tak mumkin ho isski dawat qubul karo

ye Quran majid Allah subhanahu ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai, 

ye jhukta nahi ke issko khada karna padhe, teda nahi hota ke seedha karna padhe, iske Ajaib kabhi khatam na honge aur baar baar kasrat se padhte rehne se bhi purana nahi hota (yani  iss se dil nahi bharta),

iski tilawat kiya karo kyunki Allah Subhanahu iski tilawat par tumhein har harf ke badle das neikiya ka ajar ata farmata hai 

yaad rakho main ye nahi kehta ke alif laam meem ek harf hai balke Alif ek harf hai laam ek harf hai meem ek harf hai ( sirf Alif laam meem padhne se 30 nekiya mil jati hai)

Mustadrak Al-Hakim, 1/741 Sahih



Sawal 1458 : Murde ko Qabr mein uska thikana yani Jannat ya Jahannam kab dikhaya jata hai ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz -  ❗ 

 




 Sawal 1458 : Murde ko Qabr mein  uska thikana yani Jannat ya Jahannam  kab dikhaya jata hai ?


A.  Peer aur Jumerat ko

B.  Juma ke din mein

C.  Subah aur Sham ho

D.  Juma ki raat ko

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab C Har Subah aur Sham ko* 💐

----------------

★ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne  farmaya tum mein se har Aadmee ko (Qabr mein) Subah aur Sham uska thikana dikhaya jata hai , agar wo jannati hai to Ahl e jannat ka aur agar wo 

jahannami hai to Ahl-e-Jahannam ka aur ye bhi kaha jata hai ki Qayamat ke roz jab tujhe uthaya jaega to ye tera thikana hoga

Musnad e Ahmed 3299-Sahih



Tuesday, September 12, 2023

Mafhum-e-Hadith : Kisi Momeen par Jhuth bolne ya jhutha ilzam lagane ki saza


 

*Bismilllahirrhamnirraheem*

✦ : *Mafhum-e-Hadith :  Kisi Momeen par Jhuth bolne ya jhutha ilzam lagane ki saza*
------
*قَالَ رَسُولَ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم مَنْ خَاصَمَ فِى بَاطِلٍ وَهُوَ يَعْلَمُ لَمْ يَزَلْ فِى سَخَطِ اللهِ حَتَّى يَنْزِعَ وَمَنْ قَالَ فِى مُؤْمِنٍ مَا لَيْسَ فِيهِ حُبِسَ في رَدْغَةِ الْخَبَالِ حَتَّى يَأتِي بِالْمَخْرَجَ مِمَّا *قَالَ
---------
✦: Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs  ilm hote huye bhi batil ki ladayee mein shamil hua to wo  tab tak Allah Subhanahu ki narazgi mein rahega jab tak wo us se baaz na aa jaye,  aur jis shakhs ne momeen ke baare mein aisee baat kahi jo usmein nahi hai to usko Jahannamiyo  ke peep mein tab tak fasa diya jayega jab tak wo apni baat se ruju na kar le
Al Silsilatus Sahiha : 1685
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص علم ہوتے ہوئے بھی باطل كی لڑائی میں شامل ہوا  تو وہ تب تک الله سبحانه کی ناراضگی میں رہیگا جب تک وہ اس سے باز  نہ آ جائے  اور جس شخص نے مومن كے بارے میں ایسی بات كہی جو اس میں نہیں تو اسے جہنمیوں  کے پیپ میں تب تک  پھنسا دیا جائے گا جب تک کہ اپنی بات سے رجوع نہ کرلے ۔
سلسلہ صحیحہ :  ١٦٨٥ 
---------
✦:  रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया जो शख्स इल्म हिये हुए भी बातिल की लड़ाई में शामिल हुआ तो वो तब तक अल्लाह सुबहानहु की नाराज़गी में रहेगा जब तक की वो उस से बाज़ न अअ जाए और जिस शख्स ने मोमीन के बारे में ऐसी बात काही जो उसमें नहीं है तो उसको जहन्नमियों के पीप में तब तक फस दिया जाएगा जब तक की अपनी बात से रुजू न कर ले 
अल सिलसिला साहिहा : 1685
---------
✦ : RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said  whoever disputes in a false matter knowingly will remain in the wrath of Allah until he refrains from it. And whoever says about a believer something that is not in him will be trapped in the puss of the people of Hell until he returns from his words
Al Silsilatus Sahiha : 1685

Monday, September 11, 2023

Hadith : Jis Shakhs ne Duniya mein Sharab pee aur taubah na kee Wo Aakhirat mein Sharab na pee sakega

 


*Bismilllahirrhamnirraheem*

✦ : Hadith :  Jis Shakhs ne Duniya mein Sharab pee aur taubah na kee Wo Aakhirat mein Sharab na pee sakega 

--------

*قَالَ رَسُولَ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم :  مَنْ شَرِبَ الْخَمْرَ فِى الدُّنْيَا وَلَمْ يَتُبْ لَمْ يَشْرَبْهَا فِى الآخِرَةِ و إِنْ أُدْخلَ الْجَنَّةَ*

--------

✦ : RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jis Shakhs ne Duniya mein Sharab pee aur taubah na kee Wo Aakhirat mein Sharab na pee sakega agarchey Jannat mein hi kyu na dakhil ho jaye 

Al Silsila-tus Sahiha-1689 : Sahih

--------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے دنیا میں شراب پی اور توبہ نہ كی ، وہ آخرت میں شراب نہ پی سكے گا اگرچہ جنت میں ہی كیوں نہ داخل ہو جائے

سلسلہ صحیحہ- ١٦٨٩ -صحیح

--------

✦ : रसूलअल्लाह सल्लाल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जिस शख़्स ने दुनिया में शराब पी और तौबा ना की वो आख़िरत में शराब ना पी सकेगा अगरचे जन्नत में ही क्यों ना दाखिल हो जाए 

सिलसिला सहीहा -1689-सहीह

--------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever drinks alcohol in this world and does not repent, he will not be able to drink alcohol in the Hereafter, even if he does not enter Paradise.

Al Silsila-tus Sahiha-1689 : Sahih

Monday, September 4, 2023

Hadith : Momeen ko takleef pahuchne par milne wala Ajar

 



*Bismilllahirrhamnirraheem*

✦ : Hadith :  Momeen ko takleef pahuchne par milne wala Ajar

---------

 قَالَ رَسُولَ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم لَا يَزَالُ الْبَلَاءُ بِالْمُؤْمِنِ وَالْمُؤْمِنَةِ، فِي جَسَدِهِ وَأَهْلِهِ وَمَالِهِ، حَتَّى يَلْقَى اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ وَمَا عَلَيْهِ خَطِيئَةٌ

---------

✦: Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Momeen mard aur momeen aurat ko takleef pahunchti rahti hai uske jism mein uske Ahl-e-Ayaal mein aur maal mein yahan tak ke wo Allah Subhanhu se milta hai to us par koi gunah nahi hota

---------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا مومن مرد اور مومن عورت کو تکلیف پہنچتی رہتی ہے، اس کے جسم میں، اس کے اہل و عیال میں اور مال میں یہاں تک کہ وہ اللہ تعالیٰ سے ملتا ہے تو اس پر کوئی گناہ نہیں ہوتا۔

---------

✦:  रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया मोमीन मर्द और मोमीन औरत को तकलीफ़ पहुँचती रहती है , उसके जिस्म में उसके अहल ओ अयाल में और माल में यहाँ तक के वो अल्लाह सुबहानहु से मिलता है तो उस पर कोई गुनाह नहीं होता 

आदाब अल मुफ़रद (ईमाम बुखारी) : 494

---------

✦ : RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Affliction will continue to trouble the believers, men and women, in their bodies, their families, and their property until they meet Allah Almighty purified of every wrong action

---------

Al-Adab Al-Mufrad ( Imam Bukhari) 494 -Sahih