Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, April 29, 2023

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1418 ❗ Ramadan Quiz # 32





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1418 ❗

Sawal : Shab e Qadr kis se behtar hai ?


A. 1000 saalo se

B. 1000 mahino se

C. 700 saal se

D. 70 Saal se

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab B. 1000 mahino se 💐

--------

لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍ 

Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai 

Al Quran : Surah Al-Qadr  97 : 3

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1417 ❗ Ramadan Quiz # 31

 





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1417 ❗


Sawal: Wo kaun log hain jinki peshani aur peetho ko jahannam mein garam sone chandi se daaga jayega ?


A. Sood khane wale

B. Zakat Ada nahi karne wale

C. Yateemo ka maal khane wale

D. Meeras ka maal khane wale

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab B. Zakat Ada nahi karne wale 💐

-----------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi sone aur chandi ka malik ho aur uski Zakat ada nahi karta ho to us sone aur chandi ke takhte (plates) banaye jayenge aur usko jahannam ki aag mein garam kiya jayega phir uski (zakat na dene wale ki) peshani aur karwatein (pahlu) aur peeth ko daga jayega, aur jab wo thande ho jayenge to phir se inko garam kiya jayega aur ye azab usko us din tak hota rahega jiski miqdar (duration) pachas hazar saal hai , phir Allah apne bando ke beech faisla farma dega aur wo jannat ya jahannam ki taraf apna rasta dekh lega

Sahih Muslim 2290

https://youtu.be/Mv1pYwh4B64



❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1416 ❗ Ramadan Quiz # 30







 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1416 ❗ 


Sawal: Ramzan ke roze ke baad kaunse roze rakhne se purey saal bhar ke roze ka sawab milta hai ?


A. 14,15,16 ke roze

B. Muharram ke 10 roze

C. Shawaal ke 6 roze

D. Arafa ke 2 roze

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab C. Shawwal ke 6 roze 💐

-----------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ramdan ke rozey rakhey aur uskey baad 6 (roze) shawwal ke bhi rakhe to usko hamesha ke rozo ka sawab hoga 

Sahih Muslim  2758


✦ Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo Eid ul Fitar ke baad 6 din roza rakhe to usko purey sal roza rakhne ka sawab milega, jo ek neki laayega usko iska 10 guna ajar milega

Sunan Ibn Maja 1715-Sahih


✦ Note : Ulma kahte hain ki agar koi eid ke foran baad na rakh saka ho to pure shawwal mahine mein kabhi bhi ek ek karke ya ek hi saath ye 6 rozey rakhe ja sakte hain


https://www.youtube.com/watch?v=YeMLeOGSH8E

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1415 ❗ Ramadan Quiz # 29

  






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1415 ❗ 


Sawal: Kis cheez ko dehk kar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Apni ek biwi se farmaya ye Aapko Jahhanum mein le jane ke liye kaafi hai agar app Zakat nahi dogi to ?


A. Chandi ke Kangan

B. Chandi ki Anguthiya

C. Chandi ke Bartan

D. Sone ke kangan

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab B. Chandi ki Anguthiya 💐

-----------

✦  Abdullah bin shaddad Radi allahu anhu se rivayat hai ki hum log Aisha Radi allahu anha ke paas gaye to wo kahne lagi mere paas Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam aaye Aapne mere haath mein chandi ki anguthiyan dekhi aur farmaya , Aisha ye kya hai ? maine arz kiya ki ye maine isliye banwayee hai ki aapke liye banao singar karu , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne pucha , kya aap inki zakat ada karti ho maine kaha nahi , ya jo Allah ko manzur tha kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ye aapko jahannam mein je jaane ke liye kaafi hai (agar aap zakat nahi dogi to)

Sunan Abu dawud 1565-Sahih


https://youtu.be/KdIvvJ8UHkU

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1414 ❗ Ramadan Quiz # 28






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1414 ❗


Sawal: Inmein se kab roza rakhna mana hai?


A. Shawaal ke mahine mein

B. Eid ul Fitr ke din

C. 9 Zil Hija ko 

D. Hajj ke mahine mein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab B. Eid al Fitr ke din 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do din ke roze se mana farmaya hai (ek) Eid Al-fitar aur (dusra) Eid Al-Adha 

Sahih Muslim 2676


https://youtu.be/0BbqfKsqk3I

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1413 ❗ Ramadan Quiz # 27

 







 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1413 ❗


Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al Fitr ki Namaz ko jaane se pahle kya karte they ?


A. Khajurein khate

B. 2 Rakaat padhte

C. Miskeen ko khana dete

D. inmein se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab A. Khajurein khate 💐

------------

Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al Fitr ke din tab tak (Namaz ke liye) nahi nikalte jab tak khuch Khajurein na kha lete aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Taaq  yani 1, 3, 5, 7.....  khajurein khaya karte they

Sahih Bukhari 953 


https://youtube.com/shorts/JfxAH7TmKrU


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1412 ❗ Ramadan Quiz # 26






  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1412 ❗


Sawal:  Inmein se Zakat ul Fitr kis par farz nahi hai ?


A. Ghulam par

B. Beemar par

C. Bachche par

D. Inmein se sab par farz hai

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab D. Inmein se sab par farz hai 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Zakat-ul-Fitra ek sa khajur ya ek sa jou (barley ) (One Sa' = 3 Kilograms approx) farz qarar di hai jo Ghulam, Aazad, Mard, Aurat, chotey aur badey tamam musalmano par farz hai aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Eid ki Namaz ko jane se pahle ye Ada kar diya jaye 

Sahih Bukhari 1503

https://youtu.be/ZDF4CYIaRHM

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1411 ❗ Ramadan Quiz # 25

 






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1411 ❗


Sawal : Ummat ke logon mein kis waqt tak khair baki rahegi ?


A. Jab tak wo roza rakhte rahenge

B. Jab tak wo sehari mein jaldi karenge

C. Jab tak wo iftaar mein jaldi karenge

D. Jab tak wo taraweeh padhte rahege

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab C. Jab tak wo iftaar mein jaldi karenge 💐

------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi karte rahenge

Sahih Bukhari 1957


https://youtube.com/shorts/O09N97ILYbw

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1410 ❗ Ramadan Quiz # 24






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1410 ❗ 


Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazan mein kis waqt Eitkaf  karte they ?


A. Sirf Shab e Qadr ki raat

B. Aakhri 3 dino mein

C. Aakhri 7 dino mein

D. Aakhri 10 dino mein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab D. Aakhri 10 dino mein 💐

------------

Abdullah bin Umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazan ke Aakhri Ashre yani Aakhri 10 dino mein Eitkaaf karte they 

Sahih Bukhari  2025

https://youtube.com/shorts/aokosgkK0a0

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1409 ❗ Ramadan Quiz # 23





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1409 ❗


Sawal  : Kis waqt Farishto ki tadad Zameen par Kankariyo se bhi zyada ho jati hai ?


A. Shab e Qadr ko

B. Arafa ke din

C. Eid ke din

D. Ramzan ke Aakhri Ashre mein


✅ Sahih Jawab A. Shab e Qadr ko 💐

----------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shab e Qadr 27 ya 29 ki raat hai iss raat mein zameen par farishton ki tadad kankariyon ki tadad se zyada hoti hai

Al-Silsila tus Sahiha - 2262


https://youtu.be/wSv8rLKsNEc


Sunday, April 16, 2023

✦ : Naye chand ko dekhkar padhne Ki dua

 








Bismillahirrahmanirraheem


✦ : Naye chand ko dekhkar padhne Ki dua

--------------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab chand dekhte to ye dua padhte

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-imaan, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah

Tarjuma: Eh Allah hum par is chand ko khair, imaan, salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur tera RABB ALLAH hi hai

Jamia Tirmidhi-3451-Hasan

------------

رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم جب چاند دیکھتے تو یہ دعا پڑھتے 

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ،رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

اے اللہ ہم پر اِس چاند کو خیر ، ایمان ، سلامتی اور اسلام كے ساتھ طلوع فرما ( اے چاند) میرا اور تیرا رب اللہ ہی ہے 

 ٣٤٥١ -  جامع ترمذی 

--------------

✦ : रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम जब चाँद देखते तो ये दुआ पढ़ते 

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

अल्लहुम्मा अहिल्लाहू अलैना बिल-अमनि वल-ईमान, वस-सलामती 

वल-इस्लाम, रब्बी वा रब्बुक-अल्लाह

तर्जुमा : एह अल्लाह हम पर इस चाँद को खैर , ईमान , सलामती और इस्लाम के साथ तुलु फरमा, (एह चाँद) मेरा और तेरा रब अल्लाह ही है,

जामी तिरमिज़ी 3451-हसन

--------------

✦ : ✦ : RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam used to supplicate at the sight of the new moon with these words

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah,

O Allah, let this moon appear on us with security and Iman; with safety and Islam. (O moon!) Your RABB and mine is ALLAH,

Jamia Tirmidhi -3451-Hasan

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1408 ❗ Ramadan Quiz # 22

 



 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1408 ❗


Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Shab e Qadr ki ye dua kisko sikhayee thi ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Ali Radi Allahu Anhu

C. Aisha Radi Allahu Anha

D. Fatima Radi Allahu Anha

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih jawab C. Aisha Radi Allahu Anha 💐

--------

✦ Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam agar 

Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, faafu anni

Tarjumah: Eh  Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma

Sunan ibn Majah 731-Sahih


https://youtu.be/bZe3bcpYkLw

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1407 ❗ Ramadan Quiz # 21

 





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1407 ❗


Sawal : Wo kaunsa khas waqt hai jis ke liye farmaya gaya ke us waqt Rozedaar ki dua radd nahi hoti hai ?


A. Sehri ke waqt

B. Iftar ke waqt

C. Taraweeh ke waqt

D. Asar ke waqt

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab B. Iftar ke waqt 💐

---------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti

Sunan ibn Majah 1753-Hasan


https://youtu.be/CQcF6a9CXr4

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1406 ❗ Ramadan Quiz # 20

  






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1406 ❗ 


Sawal: Kis waqt Roza rakhna Neki nahi hai?


A. Beemari mein

B. Safar mein

C. Jung mein

D. Ramazan ke baad 

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ B. Safar mein 💐

---------------

✦ RasoollAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Safar mein Roza rakhna koi Neki nahi 

Sunan Ibn Majah 1664–Sahih


https://youtu.be/y1Q5j2cPGG4

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1405 ❗ Ramadan Quiz # 19

 





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1405 ❗


Sawal : Ye kaunse Rozedaar ke liye farmaya gaya ke Allah Subhanahu ko uski koi zaroorat nahi ke wo apna khana peena chorhe de ?


A. Jo iftar mein deri karen

B. Jo bina sehari ke roza rakhe

C. Jo roze mein jhoot bolna na chorhe 

D. Jo roza rakh kar Quran na padhe

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ C. Jo Roze mein jhoot bolna na chorhe 💐

---------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya agar koi shakhs (roza rakhkar bhi) jhoot bolna aur dagabazi karna na chorhe to Allah subhanahu ko uski koi jarurat nahi ki wo apna khana peena chorh de 

Sahih Bukhari 1903


https://youtu.be/mXJNNCE9FhA


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1404 ❗ Ramadan Quiz # 18







 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1404 ❗


 Sawal  : Ramadan ke mahine ki aakhri 10 raaton mein qayam karne par kya sawab milega ?


A. Agle aur pichle tamam gunah maaf honge

B. 1000 Saal ki ibadat ka sawab milega

C. Jannat mein Ek ghar milega

D. Ek saal ke saare gunah maaf honge

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab A. Agle aur pichle tamam gunah maaf honge 💐

---------------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Shab e Qadr Ramzan ke mahine ke aakhri 10 raato mein hai jo shaksh Ajar aur Sawab ke liye in 10 raato mein Qayam karega to Allah Subhanhu uske Agle aur pichle tamam gunah maaf farma denge

Masnad Ahmed 4022-Hasan


https://youtu.be/AtgyvQGRit0

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1403 ❗ Ramadan Quiz # 17






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1403 ❗


 Sawal : Jis ne Ramazan Ka pura mahina paya aur wo ibadat aur tauba ke zariye apne gunah nahi bakhshwa saka to uska kya hoga ?


A. Wo Dozakh mein dakhil hoga

B. Uske Aamal zaya ho jayenge

C. Usko 7 miskeen ko khilana hoga

D. Usko ek mahine ke roze rakhne honge 

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab A. Wo Dozakh mein dakhil hoga 💐

---------------

✦  Rasool Allah ﷺ ne farmaya  Jibril Alaihi salam tashrif laye aur kaha Jis ne Ramazan Ka pura mahina paya aur wo (ibadat aur tauba ke zariye) apne gunah nahi bakhshwa saka to wo dozakh mein dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rahmat se dur ho Gaya 

Aap us per Aameen kahiye to Maine kahan Aameen


Sahi Ibn Hibbaan 915 Hasan

Saheeh al-Targheeb 1679-Sahih


https://youtu.be/BZ3gTSKcfuI


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1402 ❗ Ramadan Quiz # 16






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1402 ❗


 Sawal : Agar koi Shakhs Rozedaar se ladey ya usay gaali de to usko kya kahna chahiye?


A. Astagfirullah-wa atubu ilaih

B. Main Parhezgaar hu

C. Main Rozedaar hu

D. Main Allah ka mehmaan hu

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab C. Mein Rozedaar hu 💐

-----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Roza dozakh se bachne ke liye ek dhaal hai isliye ( jo rozedar ho) wo na to biwi se hambistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh us sey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main rozedar hun do baar (kahe) 

Sahih  Bukhari 1894


https://youtu.be/TxL9NjlME_A


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1401 ❗ Ramadan Quiz # 15






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1401 ❗ 


 Sawal : Wo kaunsa kaam hai jiska sawab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Hajj karne ke barabar hai ?


A. Yateem ko iftari karwana

B. Miskeen ko zakat dena

C. Miskeen ko fitra dena

D. Ramadan mein umrah karna 

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahi Jawab D. Ramadan mein Umrah karna 💐

---------

 ✦ Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Ramzan mein Umrah kar lena kyunki ye mere saath Hajj karne ke barabar hai.

Sahih Bukhari 1863

https://youtu.be/qq2PWq42Ipo


Sunday, April 9, 2023

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1400 ❗ Ramadan Quiz # 14






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1400 ❗


Sawal : Quran ke ek harf padhne ke badle kitni nekiya milti hain ?


A. 5

B. 7

C. 10

D. 70


✅ *Sahi Jawab C. 10* 💐

---------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Quran Majid ki tilawat kiya karo kyunki Allah Subhanahu iski tilawat par tumhein har ek harf ke badle 10 Neikiyo ka ajar ata farmata hai yaad rakho main ye nahi kahta ke alif laam meem ek harf hai balke Alif ek harf hai laam ek harf hai meem ek harf hai ( sirf Alif laam meem padhne se 30 Nekiya mil jati hai)

Mustadrak Al-Hakim 1/741 Sahih

https://youtu.be/IqjicZ7QiyE


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1399 ❗ Ramadan Quiz # 13

  





❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1399 ❗


Sawal  : Rozedar ke munh ki Bu Allah Subhanahu ke nazdeek kaunsi khushbu se bhi zyada pasandeeda aur pakeeza hai ?


A. Zanjabeel

B. Musk

C. Amber

D. Zafran

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahih jawab B. Musk* 💐

---------

✦ Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya us zaat ki kasam jiske haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah Subhanahu ke nazdeek musk ki khushbu se bhi zyada pasandeeda aur pakeeza hai 

Sahih Bukhari 1894

https://youtube.com/shorts/wpf3BJphQr0

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1398 ❗ Ramadan Quiz # 12

 



 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1398 ❗


Sawal :  Jisne Ramadan ki raato mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath Namaz padi to uske kitne gunah maaf honge ?


A. Pichle tamam gunah

B. Agle Ramadan tak ke tamam gunah

C. Pichle Ramadan tak ke tamam gunah

D. Pichle aur Agle tamam gunah

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab A. Pichle tamam gunah* 💐

---------

✦ Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisne Ramadan ki raato mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath namaz padi uskey pichley tamam gunaah maaf ho jayenge

Sahih Bukhari : 2009


https://youtube.com/shorts/O1zNx0uAZNc


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1397 ❗ Ramadan Quiz # 11

 





❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1397 ❗


Sawal : Inmein se wo kaunsa waqt hai jab Allah Subhanahu logo ko Dozakh se Aazad farmata hai ?


A. Sehri ke waqt

B. iftar ke waqt

C. Asar ke waqt

D. inme se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab B : iftar ke waqt* 💐

------

Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah subhanahu iftar ke waqt logo ko (dozakh se) aazad farmata hai aur aisa (Ramadan ki) har raat hota hai

Sunan Ibn Majah 1643- Hasan

https://youtube.com/shorts/51Mo4jgtaLU

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1396 ❗ Ramadan Quiz # 10

 





❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1396 ❗


Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne dekha ki kuch log Ulte latke huye hain aur unke jabdo se khoon beh raha hai wo kaun log they ?


A. Roza nahi rakhne wale

B. Sehri nahi karne wale

C. Waqt se pahle iftar karne wale

D. Zakat nahi dene wale

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab C. Waqt se pahle iftar karne wale* 💐

------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main soya hua tha mere paas do shaks aaye aur mere bazu pakad kar mujhe sakht aur dushwar guzar pahad ke paas laye aur kahne lage iss par chadhiye main ne unhein kaha ke mujh mein iss par chadhne ki taqat nahi wo dono kahne lage hum aap ke liye Aasan kar denge toh main us pahad par chadh gaya jab upar pahuncha to waha Shadeed qism ki awazein aarehi thi main ne kaha ye Aawazein kaise hain wo kahne lage ye dozakhiyon ki aah pukar hai phir wo mujhe aage le gaye jaha par kuch log peiron ke bal ulte latak rahe they aur unke dono jabde kate huye they aur unke jabdo se khoon beh raha tha maine kaha ye kaun log hain wo kahne lage ye wo log hain jo iftari ke waqt se pahle hi apne roze iftar kar liya karte they

Sahih Ibn Hibban 7491 - Sahih


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1395 ❗ Ramadan Quiz # 9

 




❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1395 ❗


Sawal  : Rozeder ko do khushiya hasil hoti hain jismein se ek to iftar ki khushi hai dusri khushi kaunsi hai ?


A. Sehri ki khushi

B. Shab e Qadr ki khushi

C. Rabb se mulaqat ke waqt Roze ke sawab ki khushi

D. Inmein se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab C. Rabb se mulaqat ke waqt Roze ke sawab ki khushi* 💐

-----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Rozedar ke liye do khushiya hasil hongi (ek to jab) wo iftar karta hai to khush hota hai aur (dusra) jab wo apne Rabb se mulaqat karega to apne Roze ka sawab pakar khush hoga

Sahih Bukhari 1904


https://youtu.be/c5lGdg_2QAE


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1394 ❗ Ramadan Quiz #8





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1394 ❗


Sawal  : Wo kaunse Sahabi they jinhone logo ko ek imaam ke peeche jama karke taraweeh ki Namaz Jamat se Ada karwayee ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Umar Radi Allahu Anhu

C. Uthman Radi Allahu Anhu

D. Ali Radi Allahu Anhu

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahih Jawab B. Umar Radi Allahu Anhu* 💐

----------

Abdul Rahman bin Abdul Qari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ke saath Ramadan ki ek raat masjid ko gaya sab log mutfarriq aur muntashir  they , koi akela namaz pad raha tha aur kuch kisi ke peeche khade huye they is par umar Radi Allahu Anhu ne farmaya ki mera khayal hai agar mein tamam logo ko ek Qari ke peeche jama kar du to zyada achcha hoga , aapne ye soch kar Ubai ibn kaab Radi Allahu Anhu ko unka imam bana diya phir ek raat jab main inke saath  phir se nikla to dekha ki log apney imam ke peeche namaz ( taraweeh) pad rahey they, Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya ye naya tareeqa behtar aur munasib hai

Sahih Bukhari 2010

https://youtu.be/RgFQJQ7XTuI

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1393 ❗ Ramadan Quiz #7

 



❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1393 ❗


Sawal : Jisne Fajr hone se pahle Ramadan ke roze ki niyyat nahi ki to usko roze ka kitna sawab milega ?


A. Aadha Sawab

B. Pura Sawab

C. Ek Tihayee - 1/3

D. Uska Roza hi nahi hoga

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab D. Uska Roza hi nahi hoga* 💐

-----------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  jisne Fajr hone se pahle (Ramadan ke) roze ki niyyat nahi ki to uska roza nahi hoga

(Ulmao ka kahna hai ki Niyyat Dil ke irade ka naam hai, Zuban se Ada karna zaruri nahi aur Niyyat ki dua kisi hadith se sabit bhi nahi,  Aap Roze ke liye uth kar sehri karte ho to wahi aapki niyyat hoti hai ki aap roza rakhna chah rahe hain)

Sunan Nasaii 2340 : Sahih


https://youtu.be/wQrPIhgZmLA


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1392 ❗ Ramadan Quiz # 6







 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1392 ❗


Sawal  : Ar-Raiyan kya hai ?


A. Jannat ki Khushbu

B. Jannat ka Mahal

C. Jannat ka Darwaza

D. Jannat mein Rozedar ka iftar

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab C. Jannat ka Darwaza* 💐

-------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jannat mein ek darwaza hai jisey Ar-Raiyan kahtey hain Qayamat ke din us darwazey se sirf rozedaar hi jannat mein dakhil honge unkey siwa aur koi usmein se dakhil nahi hoga, pukara jayega ki rozedar kaha hain ? wo khade ho jayenge, unkey siwa us sey aur koi andar  nahi jane payega aur jab ye log andar chaley jayengey to ye darwaza band kar diya jayega phir us se koi andar nahi ja sakega

Sahih Bukhari 1896


https://youtu.be/B5glCbbO5i0

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1391 ❗ Ramadan Quiz # 5

 



❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1391 ❗


Sawal  : inme se kaun hai jis par Allah Subhanahu aur uske Farishtein Rahmat bhejte hain ?


A. Sehri Khane walo par

B. Iftar karne walo par

C. Roze rakhne walo par

D. Taraweeh padhne walo par

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab A. Sehri Khane walo par* 💐

---------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Sehri ka khana barkat wala hota hai isliye usko na chorha karo chahe paani ka ek ghunt hi pee liya karo,  Beshak Allah Subhanahu aur uske farishte Sehri khaane walo par Rehmat bhejte hain

Musnad Ahmed 3727-Sahih

https://youtube.com/shorts/8aDBWZUnGww


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1390 ❗ Ramadan Quiz # 4

 




❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1390 ❗


Sawal  : Momeen ki Behtareen Sehri kya hai ?


A. Paani

B. Zamzam 

C. Khajur

D. Doodh

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)

 


✅ *Sahih Jawab C. Khajur* 💐

-----------

Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaya Momeen ki Behtareen Sehri Khajoor hain

Sunan Abu Dawud 2345-Sahih


https://youtu.be/7-eOgzS7LGQ


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1389 ❗ Ramadan Quiz # 3



❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1389 ❗


 Sawal  :  Hamare aur Ahal-e-Kitab ke Roze mein kis cheez ka farq hai ?


A. Iftar khane ka 

B. Roze ki Niyyat ka

C. Fajr ki Namaz ka

D. Sehri ke Luqme ka

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab D. Sehri ke luqme ka* 💐

------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hamare aur Ahal-e-Kitab ke Roze mein Sehri ke luqme ka farq hai (Ahl-e-Kitab Sehri nahi karte)

Sahih Muslim  2550 


https://youtu.be/9S_i_mz6dnE


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1388 ❗ Ramadan Quiz # 2




 


❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1388 ❗


Sawal : Jisne imaan ke saath sawab ki niyat se Ramadan ke sare roze rakhe uske kitne gunah maaf honge ?


A. Pichle ek saal ke sare gunah

B. Agle ek saal ke sare gunah

C. Pichle sare gunah

D. Pichle aur Agle sare gunah

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi Jawab C. Pichle sare gunah* 💐

----------

✦ Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisne imaan ke saath sawab ki niyat se Ramazan ke roze rakhe uske pichle sare gunah bakhsh diye jayenge

Sunan Ibn Majah 1641-Sahih


https://youtube.com/shorts/6fOzJy0Lvuk

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1387 ❗ Ramadan Quiz #1






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1387 ❗

Sawal  Allah Subhanahu ne Ramadan ke Rozo ko hum par farz kyu kiya hai ?


A. Taaki Hum Shukrguzar baney

B. Taaki Ham Miskeen ko Zakat de

C. Taaki Ham Yateem ki dekhbhal karey

D. Taaki Hum Parhezgar baney

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahi jawab D. Taaki Hum Parhezgar baney* 💐

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ

--------

✦ Al Quran : Eh Imaan walo Roze tum par farz kiye gaye hain jis tarah tumse pahle logo par farz kiye gaye they taki tum Parhezgar bano 

Surah Al-Baqara 2 :183

https://youtu.be/mNNqp7slgso