Search Hadith
Video of the week
Traffic
Total Pageviews
Category
- ♥ Night Azkar ♥ (7)
- ♥ 40 Rabbana Dua ♥ (2)
- ♥ 99 Names of Allah ♥ (3)
- ♥ Evening Azkar ♥ (5)
- ♥ Morning Azkar ♥ (3)
- ♥ Namaz ke baad ke Azkar ♥ (5)
- ✦Islamic Quiz✦ (1473)
- Aadab Al Mufrad (7)
- Achchey Aamal ( Good Deeds) (73)
- Ahl-E-bait (3)
- Akhlaq (manners) (55)
- Al Baihiqi (1)
- Al-isra Wa Al-Mairaj (9)
- Al-Quran (326)
- Al-Silsila-As-Sahiha (121)
- Allah ka Zikr (15)
- Allahu (1)
- Aqeedah (Islamic Belief) (10)
- Awliya Allah (Wali) (7)
- Azab (Punishment) (45)
- Azan-Aqamat ( Adhan-Aqamat) (16)
- Azkar Gif Gallery (10)
- Badshaguni ( Bad Omen) (2)
- Baihiqi (12)
- Barish (Rain) (2)
- Bewa-Miskeen-Yateem( Widow-Poor-Orphan) (16)
- Bidat (innovation) (8)
- Burey Aamal ( Evil Deeds) (54)
- Burey Aamal (Evil Deeds) (6)
- Buri Nazar (Evil Eye) (8)
- Daily Azkar (115)
- Daily Duas (97)
- Dajjal (Antichrist) (7)
- Dawa (Medicine) (1)
- Dawat Aur Tableeg (10)
- Dhil-Hajj (14)
- Dost-Dushman (Friend-Enemy) (9)
- Dua (10)
- Dua-Azkar (43)
- Dua-Azkar (Supplication/invocation) (163)
- Dua-E-Qunut (1)
- Duniya-Aakhirah ( World-Hereafter) (35)
- Duniya-Aakhirat(This World and hereafter) (1)
- Durud aur Salam (20)
- Durud e IBrahim (2)
- Eesal e Sawab (5)
- Eid Al-Adha (19)
- Eid Al-Fitr (9)
- Eid Greetings (4)
- Family (15)
- Farishtey (Angels) (12)
- Fitney-Fasad(Affliction and trial) (10)
- Gaib-ka-ilm ( The Knowledge of Unseen) (4)
- Geebat (Backbiting) (6)
- Grahan (Eclipse) (1)
- Gunaah (Sin) (23)
- Gusal (Bathing) (1)
- Hadith Qudsi (13)
- Hajj (Pilgrimage) (36)
- Halal-Haram (14)
- iLaj (Treatment) (15)
- ilm (Knowledge) (7)
- Imaan ( faith) (13)
- Insaniyat (Humanity) (39)
- Islami Science (3)
- Islamic Conversation Gallery (1)
- Istikhara (1)
- jamia Tirmidhi (99)
- Janaza (funeral) (5)
- jannat-Dojakh ( Hell-Paradise) (113)
- Jannat-Dozakh ( Hell-Paradise) (13)
- Jhoot (Lie) (11)
- Jihad (56)
- Jinn (3)
- Jumaa (Friday) (30)
- Kabira Gunah (2)
- Kafir ( Disbeliever) (4)
- Khana (Food) (25)
- Kharid-o-Farokht (Business) (3)
- Khas Namazein aur Ibadatein (Special Prayers & Worships) (11)
- Khwab (Dream) (1)
- Khwateen ke liye ( Women Special) (15)
- Laanat (Curse) (11)
- Libas (Cloth) (3)
- Maghfirat (forgiveness) (61)
- Makka-Madina (16)
- Malik Muwatta (3)
- Mareez (Patient) (10)
- Married Life (23)
- Masjid (11)
- Masnad Ahmed (58)
- Maut (Death) (44)
- Meezan (Scale) (1)
- Mishkat (2)
- Miswak (1)
- Mix Azkar (4)
- Mix Four Azkar (48)
- Moon (Chand) (3)
- Muharram-Ahl-E-bait Radi allahu anhuma (18)
- Munafiq (Hypocrite) (2)
- Museebat-Pareshani(affliction-Problem) (21)
- Muslim Brotherhood (41)
- Musnad Ahmed (1)
- Mustadrak Al-Hakim (2)
- Namaz (Prayer) (131)
- Namaz ke baad ke Azkar (2)
- Namaz ke baad ke Azkar in English (1)
- Namaz ke baad ke Azkar in Roman (1)
- Naseehat (Advice) (14)
- Nawafil (17)
- Nikah (Marrige) (17)
- Padosi (Neighbour) (2)
- Paki-Napaki (Cleanliness) (3)
- Pending (1)
- Qabr (Grave) (21)
- Qarz (Debt) (13)
- Qasam (Oath) (5)
- Qayamat ( Last day) (74)
- Qayamat ki Nishaniya (Sign of Last day) (25)
- Quran ki Fazilat (The virtue of Quran) (3)
- Quranic Videos with subtitles (4)
- Qurbani (Sacrifice) (14)
- Rajab Aur Shaban (3)
- Ramadan gallery (4)
- Ramadan Quiz (36)
- Ramadhan (Ramazan) (72)
- Rishtedaar ( Relatives) (10)
- Rizq (Sustence) (19)
- Roza ( fasting) (46)
- Sadqa e Jariya (2)
- Sadqa-Khairat-Zakat (Charity) (49)
- Sadqa-Zakat (Charity) (1)
- Safar (Journey) (7)
- Sahaba Radi allahu Anhuma (19)
- Sahi Al Targib Wa Al Tarhib (6)
- Sahih Al Jamea (7)
- Sahih Bukhari (349)
- Sahih Ibn Hibban (11)
- Sahih Muslim (186)
- Sajda(prostration) (1)
- Salat Al-Tasbeeh (1)
- Sazda(prostration) (1)
- Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam (33)
- Shafaat (intercession) (13)
- Shaheed (Martyr) (26)
- Shaitan (Devil) (17)
- Shan-e-Rasool ﷺ (29)
- Sharab aur Juaa (Wine & Gambling) (9)
- Short Duas / Aayat (200)
- Sood-Riba (Interest and Usury) (5)
- Special Days (4)
- Special Post (8)
- Sunan Abu Dawud (160)
- Sunan ibn majah (127)
- Sunan Nasaii (57)
- Sunnat Tareeqa ( Sunnah Way) (33)
- Surah Al-Fatiha (1)
- Tabrani (18)
- Tahajjud (5)
- Takabbur (arrogant) (3)
- Talaq(Divorce) (7)
- Taqdeer (Destiny) (11)
- Taqleed (1)
- Tauba-Astigfar (Asking pardon) (16)
- Tawheed-Shirk ( Oneness of Allah) (65)
- Tawheed-Shirk (Oneness Of Allah) (1)
- Tibbe Nabwi (Medicine) (7)
- Umrah (17)
- Urdu Taqreer (20)
- Waldein ( Parents ) (18)
- Waseela (2)
- waseeyat (1)
- Weerasat (1)
- Witr (Witr Prayer) (6)
- Wudhu (Ablution) (12)
- Yahud o Nasara (Christians and Jews) (12)
- Yateem aur Bewa ( Orphan and Widow) (1)
- Zeenat ( beauty) (1)
- Zina (illegal intercourse) (4)
Search Hadith
Wednesday, December 27, 2023
✦ : Al Quran: Aur Apne Rabb ka apne Dil hi Dil mein aajizi aur khauf aur halki Aawaaz se Subah aur Shaam zikr karte raho
Tuesday, December 26, 2023
Al Quran: Ek dusre ka bura naam na rakho , imaan lane ke baad burey naam rakhna gunah hai
*Bismillahhirrahmanirraheem*
*Al Quran : Ek dusre ka bura naam na rakho , imaan lane ke baad burey naam rakhna gunah hai*
-----------
*يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا يَسْخَرْ قَوْمٌ مِّن قَوْمٍ عَسَىٰ أَن يَكُونُوا خَيْرًا مِّنْهُمْ
وَلَا نِسَاءٌ مِّن نِّسَاءٍ عَسَىٰ أَن يَكُنَّ خَيْرًا مِّنْهُنَّ*
وَلَا تَلْمِزُوا أَنفُسَكُمْ وَلَا تَنَابَزُوا بِالْأَلْقَابِ
بِئْسَ الِاسْمُ الْفُسُوقُ بَعْدَ الْإِيمَانِ ۚ وَمَن لَّمْ يَتُبْ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ*
-----------
✦ : Al Quran: Momeeno koi qaum kisi qaum ka mazaq na udaye mumkin hain ki wo log unse behtar ho aur na Aurtein hi dusri Aurto ka mazaq udaye mumkin hai ki wo unse achchi ho aur apne Momeen Bhai ko Aib na lagao aur na ek dusre ka bura naam rakho , imaan lane ke baad burey naam rakhna gunah hai aur jo tauba na karein wo zaalim hain
Surah Al Hujrat 49 : 11
-----------
✦ :القرآن : مومنو! کوئی قوم کسی قوم کا مذاق نہ اڑائے، ممکن ہے کہ وہ لوگ ان سے بہتر ہوں، اور نہ ہی عورتیں دوسری عورتوں کا مذاق اڑائیں۔ ممکن ہے کہ وہ ان سے اچھی ہوں۔ اور اپنے (مومن بھائی) کو عیب نہ لگاؤ اور نہ ایک دوسرے کا برا نام رکھو۔ ایمان لانے کے بعد برا نام (رکھنا) گناہ ہے۔ اور جو توبہ نہ کریں وہ ظالم ہیں
سورہ الحجرات-۱۱
-----------
✦ :अल क़ुरान : मोमिनों कोई क़ौम किसी क़ौम का मज़ाक़ ना उड़ायें मुमकिन है की वो लोग उन से बहतर हो और ना औरतें ही दूसरी औरतों का मज़ाक़ उड़ायें मुमकिन है कि वो उनसे अच्छी हों और अपने मोमिन भाई को ऐब ना लगाओ और ना एक दूसरे का बुरा नाम रखो ईमान लाने के बाद बुरे नाम रखना गुनाह है और जो तौबा ना करें वो ज़ालिम हैं
सुरह अल हुजरात 49 : 11
-----------
✦ Al Quran: O you who have believed, let not a people ridicule [another] people; perhaps they may be better than them; nor let women ridicule [other] women; perhaps they may be better than them. And do not insult one another and do not call each other by [offensive] nicknames. Wretched is the name of disobedience after [one's] faith. And whoever does not repent - then it is those who are the wrongdoers.
Surah Al Hujrat 49 : 11
Sunday, December 10, 2023
Mafhum-e-Hadith: Zikr aur durud wali majlis
*Bismillahirrahmanirraheem*
*Mafhum-e-Hadith: Zikr aur durud wali majlis*
--------
*قَالَ رسول اللّه ﷺ مَا جَلَسَ قَوْمٌ مَجْلِسًا لَمْ يَذْكُرُوا اللَّهَ فِيهِ وَلَمْ يُصَلُّوا عَلَى نَبِيِّهِمْ إِلاَّ كَانَ عَلَيْهِمْ تِرَةً فَإِنْ شَاءَ عَذَّبَهُمْ وَإِنْ شَاءَ غَفَرَ لَهُمْ*
--------
✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jis majlis (mehfil) mein Allah subhanahu ka zikr na kiya jaye aur Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam par durud na bheja jaye us majlis wale nuqsan mein hai, Ab agar Allah chahe to unhe azab de aur chahe to unhe bakhs de
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1304-Sahih
--------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”لوگ کسی مجلس میں بیٹھیں اور اللہ کی یاد نہ کریں، اور نہ اپنے نبی صلی اللہ علیہ وسلم پر ( درود ) بھیجیں تو یہ چیز ان کے لیے حسرت و ندامت کا باعث بن سکتی ہے۔ اللہ چاہے تو انہیں عذاب دے، اور چاہے تو انہیں بخش دے“
جامع ترمذی ٣٣٨٠ صحیح
--------
✦ : जिस मजलिस (महफ़िल) में अल्लाह सुबहानहु का ज़िक्र ना किया जाये और रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम पर दुरुद ना भेजा जाए उस मजलिस वाले नुक़सान में है,
अब . अल्लाह चाहे तो उन्हे अज़ाब दे और चाहे तो उन्हे बख्श दे
जामेअ तिरमिज़ी 3380 - सही
--------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said No group gather in a sitting in which they do not remember Allah, nor sent Salat upon their Prophet, except it will be a source of remorse (guilt) for them. If He wills, He will punish them, and if He wills, He will forgive them.”
Jamia Tirmidhi 3380-Sahih
Sunday, December 3, 2023
Mafhum e Hadith : Ek Tihayee (1/3) Pait bhar kar hi khana chahiye
Bismillahhirrahmanirraheem
Mafhum e Hadith : Ek Tihayee (1/3) Pait bhar kar hi khana chahiye
--------
قَالَ رسول اللّه ﷺ مَا مَلَأَ آدَمِيٌّ وِعَاءً شَرًّا مِنْ بَطْنٍ بِحَسْبِ ابْنِ آدَمَ أُكُلَاتٌ يُقِمْنَ صُلْبَهُ، فَإِنْ كَانَ لَا مَحَالَةَ، فَثُلُثٌ لِطَعَامِهِ وَثُلُثٌ لِشَرَابِهِ وَثُلُثٌ لِنَفَسِهِ
--------
✦ : Rasool Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Kisi Aadmi ne koi Bartan apne pait se zyada Bura nahi bhara, Aadmi ke liye kuch luqme hi kaafi hain jo uski Peeth ko seedha rakhein aur agar zyadah hi khana zaruri ho to Pait ka Ek tihayee hissa apne khaane ke liye rakhe, Ek tihayee Pani peene ke liye aur Ek tihayee Saans lene ke liye baaqi rakhe
Jaame Tirmizi : 2380-Sahih
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا کسی آدمی نے کوئی برتن اپنے پیٹ سے زیادہ برا نہیں بھرا، آدمی کے لیے کچھ لقمے ہی کافی ہیں جو اس کی پیٹھ کو سیدھا رکھیں اور اگر زیادہ ہی کھانا ضروری ہو تو پیٹ کا ایک تہائی حصہ اپنے کھانے کے لیے، ایک تہائی پانی پینے کے لیے اور ایک تہائی سانس لینے کے لیے باقی رکھے
جامع ترمذی -۰۸۳۲-صحِیح
--------
✦ :रसूल अल्लाह सल्लाल्लाहु अलैही वसल्लम ने फ़रमाया किसी आदमी ने कोई बर्तन अपने पेट से ज़्यादा बुरा नहीं भरा, आदमी के लिए कुछ लुक़्मे ही काफ़ी हैं जो उसकी पीट को सीधा रखें और अगर ज़्यादा ही खाना ज़रूरी हो तो पेट का एक तिहाई हिस्सा अपने खाने के लिए रखे एक तिहाई पानी पीने के लिए और एक तिहाई साँस लेने के लिए बाक़ी रखे
जामे तिर्मिज़ी-2380-सहीह
--------
✦ :Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said A human being fills no worse vessel than his stomach. It is sufficient for a human being to eat a few mouthfuls to keep his spine straight. But if he must (fill it), then one third of food, one third for drink and one third for his breath.
Jame Tirmizi : 2380 Sahih
Thursday, October 12, 2023
Al Quran: Aur kayi Nabee hain jinke saath ho kar bahut Allah wale ladey hain phir Allah Subhanahu ki raah mein taklif pahunchne par na haarey hain aur na sust huye aur na Wo dabey hain
*Bismillahhirrahmanirraheem*
Al Quran: Aur kayi Nabee hain jinke saath ho kar bahut Allah wale ladey hain phir Allah Subhanahu ki raah mein taklif pahunchne par na haarey hain aur na sust huye aur na Wo dabey hain aur Allah Subhanahu Sabit qadam rahne walo ko pasand karta hai
-----------
*وَكَأَيِّن مِّن نَّبِيٍّ قَاتَلَ مَعَهُ رِبِّيُّونَ كَثِيرٌ فَمَا وَهَنُوا لِمَا أَصَابَهُمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَمَا ضَعُفُوا وَمَا اسْتَكَانُوا وَاللَّهُ يُحِبُّ الصَّابِرِينَ*
-----------
القرآن:اور کئی نبی ہیں جن کے ساتھ ہو کر بہت الله والے لڑے ہیں پھر الله کی راہ میں تکلیف پہنچنے پر نہ ہارے ہیں اور نہ سست ہوئے اور نہ وہ دبے ہیں اور الله ثابت قدم رہنے والوں کو پسند کرتا ہے
سورة آل عمران- ۳: ١٤٦
-----------
अल क़ुरान: और कई नबी हैं जिनके साथ हो कर बहुत अल्लाह वाले लड़े हैं फिर अल्लाह सुबहानहू की राह में तकलीफ़ पहुँचने पर ना हारे हैं और ना सुस्त हुए हैं और ना वो दबे हैं और अल्लाह सुबहानहू साबित क़दम रहने वालों को पसन्द करता है
सुरह आल ए इमरान- 3:146
-----------
Al Quran: And how many a prophet [fought and] with him fought many religious scholars. But they never lost assurance due to what afflicted them in the cause of Allah, nor did they weaken or submit. And Allah loves the steadfast.
Surah Aal-e-Imran 3:146
Wednesday, October 11, 2023
Al Quran : Un logo (Kafiron) ka peecha karne se himmat na haaro agar tum taklif uthate ho to wo bhi tumhari tarah taklif uthate hain
*Bismillahhirrahmanirraheem*
*Al Quran : Un logo (Kafiron) ka peecha karne se himmat na haaro agar tum taklif uthate ho to wo bhi tumhari tarah taklif uthate hain*
--------
وَدَّ الَّذِينَ كَفَرُوا لَوْ تَغْفُلُونَ عَنْ أَسْلِحَتِكُمْ وَأَمْتِعَتِكُمْ فَيَمِيلُونَ عَلَيْكُم مَّيْلَةً وَاحِدَةً
وَلَا تَهِنُوا فِي ابْتِغَاءِ الْقَوْمِ إِن تَكُونُوا تَأْلَمُونَ فَإِنَّهُمْ يَأْلَمُونَ كَمَا تَأْلَمُونَ
وَتَرْجُونَ مِنَ اللَّهِ مَا لَا يَرْجُونَ وَكَانَ اللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمًا
--------
Al Quran: Kafir chahte hain ki kisi tarah tum apne hathyaro aur asbaab se bekhabar ho jaao taaki tum par achanak ek saath toot padein Aur un logo ka peecha karne se himmat na haaro agar tum taklif uthate ho to wo bhi tumhari tarah taklif uthate hain halanki Tum Allah Subhanahu se jis cheez ke ummeedwar ho, wo nahi hain aur Allah Subhanahu sab kuch jaanne wala aur hikmat wala hai
--------
القرآن: کافر چاہتے ہیں کہ کسی طرح تم اپنے ہتھیاروں اور اسباب سے بے خبر ہو جاؤ تاکہ تم پر اچانک ایک ساتھ ٹوٹ پڑیں اور ان لوگوں کا پیچھا کرنے سے ہمت نہ ہارو اگر تم تکلیف اٹھاتے ہو تو وہ بھی تمہاری طرح تکلیف اٹھاتے ہیں حالانکہ تم الله سے جس چیز کے امیدوار ہو وہ نہیں ہیں اور الله سب کچھ جاننے والا حکمت ولا ہے
سورہ نساء : 102 & 104
--------
अल क़ुरान: काफ़िर चाहते हैं कि किसी तरह तुम अपने हथियारों और असबाब से बेख़बर हो जाओ ताकि तुम पर अचानक एक साथ टूट पड़ें और उन लोगों का पीछा करने से हिम्मत ना हारो अगर तुम तकलीफ़ उठाते हो तो वो भी तुम्हारी तरह तकलीफ़ उठाते हैं हालाँकि तुम अल्लाह सुबहानहू से जिस चीज़ के उम्मीदवार हो वो नहीं हैं और अल्लाह सुबहानहू सब कुछ सुन्ने वाला और हिकमत वाला है
सूरह : निसा-102 &104
--------
Al Quran: Those who disbelieve wish that you would neglect your weapons and your baggage so they could come down upon you in one [single] attack. And do not weaken in pursuit of the enemy. If you should be suffering - so are they suffering as you are suffering, but you expect from Allah that which they expect not. And Allah is ever Knowing and Wise.
Surah An-Nisa 4 :102 &104
--------------
#palestine #freepalestine #gaza #islam #israel #jerusalem #savepalestine #muslim #syria #palestina #indonesia #palestinian #love #lebanon #alquds #turkey #jordan #westbank #palestinewillbefree #allah #savegaza #alaqsa #iraq #quran #gazaunderattack #bds #boycottisrael #egypt #hijrah #prayforpalestine
Wednesday, October 4, 2023
✦ : Hadith : Nazar lagna haq hai ye bulandi wale ko neechey utar deti hai
Bismillahirrahmanirraheem
✦ : Hadith : Nazar lagna haq hai ye bulandi wale ko neechey utar deti hai
*قَالَ رَسُولَ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم الْعَيْنُ حَقٌّ تَسْتَنْزِلُ الْحَالِقَ*
--------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Nazar lagna haq hai ye bulandi wale ko neechey utar deti hai (Yani achcha Ohda ya Achchi Sehat ya Achchi Aulad par bhi nazar lagti hai )
--------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا نظر لگنا حق ہے،یہ بلندی والے کو نیچے اتار دیتی ہے ( یعنی اچّھا عہدہ یا اچّھی صحت یا اچّھی اولاد پر بھی نظر لگتی ہے)
سلسلہ صحیحہ : ٢٣٢٧
--------
✦ : रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया नज़र लगना हक है ये बुलंदी वाले को नीचे उतार देती है (यानि अच्छा ओहदा या अच्छी सेहत या अच्छी औलाद पर भी नजर लगती है)
अल सिलसिला साहिहा : 2327
--------
✦ : RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said The effect of an evil eye is a real ,It brings down the high ones ( it means good position or good health or good children may also be affected with evil eye)
Al Silsilatus Sahiha : 2327
Monday, October 2, 2023
Sawal 1474 : Wo kaunse Sahabi hain jinki Zuban par Allah Subhanahu ne Haq rakh diya tha aur wo haq baat hi karte they ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1474 : Wo kaunse Sahabi hain jinki Zuban par Allah Subhanahu ne Haq rakh diya tha aur wo haq baat hi karte they ?
A. Umar Radi Allahu Anhu
B. Uthman Radi Allahu Anhu
C. Talha Radi Allahu Anhu
D. Inmein se koi nahi
✅ *A. Umar Radi Allahu Anhu* 💐
----------
Rasool Allah Sal-Allahu alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne Umar Radi Allahu Anhu ki zuban par haq rakh diya hai wo usee ke mutabiq baat karte hain
Sunan Ibne Majah-108- Sahih
Sawal 1473 : Inmein se wo kaunse log hain jo Qayamat ke din ye aarzoo karenge ki kaash unko zameen mein dafan karke mitti barabar kar di jati ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1473 : Inmein se wo kaunse log hain jo Qayamat ke din ye aarzoo karenge ki kaash unko zameen mein dafan karke mitti barabar kar di jati ?
A. Yateem ka maal khane wale
B. Sood khane wale
C. Kufr karne wale
D. Namaz nahi padhne wale
✅ *Sahih Jawab C. Kufr karne wale* 💐
---------
✦ : *Al Quran: Jin logo ne kufr kiya tha aur Rasool Alaihi Salam ki nafarmaani ki thi wo us din (yani qayamt ke din) Aarzu karenge ki kaash unko zameen mein dafan karke mitti barabar kar di jati*
-------
✦ : *AL Quran Surah An- Nisa 4: 42*
Sawal 1472 inmein se kaunse waqt Aasman ke darwaze khol diye jate hain aur Dua Qubul hoti hai ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1472 inmein se kaunse waqt Aasman ke darwaze khol diye jate hain aur Dua Qubul hoti hai ?
A. Jihad ke waqt
B. Mareez ki Ayadat ke waqt
C. Baarish ke waqt
D. Azan ke waqt
✅ *Sahih Jawab D. Azan ke waqt* 💐
----------
Rasool-Allah SalAllahu alaihi wasallam ne farmaya jab Namaz ke liye pukara jata hai (Yani Azan di jati hai) Aasmaan ke darwaze khol diye jate hain aur Dua qubool ki jaati hai
Al Silsila tus Sahiha 531
Tuesday, September 26, 2023
Sawal 1471 : Inmein se wo kya hai jiski wajah se zyada tar log jannat mein jayenge ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1471 : Inmein se wo kya hai jiski wajah se zyada tar log jannat mein jayenge ?
A. Achcha Akhlaq
B. Sila Rahmi
C. Kasrat se Astagfar
D. Raham dili
✅ *Sahih Jawab A. Achcha Akhlaq * 💐
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam se Sawal kiya gaya zyada tar log kis wajah se jannat mein jaenge Aap Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya wo Husn e Akhlaq yani Achcha Akhlaq hai
Musnad Ahmed - 6646 -Sahih
\
https://youtu.be/n7UwUv0nOyU
Sawal 1470 : Wo kaun log hain jin par Allah aur unke farishte Rahmat aur barkat bhejte hain ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1470 : Wo kaun log hain jin par Allah aur unke farishte Rahmat aur barkat bhejte hain ?
A. Miskeen ko khilane wale
B. Zakat Ada karne wale
C. Namaz mein Safo ko milane wale
D. Inmein se koi nahi
✅ *Sahi Jawab C. Namaz mein Safo ko milane wale* 💐
--------------
RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya yaqeenan Allah Subhanahu aur uske Farishte un logon par rehmat aur barkat bhejte hain jo (Namaz mein) Safon ko milate hain aur jis Shakhs ne khaali jagah ko pur kiya Allah Subhanahu uske badle ek darja buland kar dega
Al Silsila tus Sahiha-563-Sahih
http://youtu.be/R9N_5T8vw_0
Sawal 1469 : Kaunsi Namaz ke waqt par Farishto ki dutiyan badalti rahti hain ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1469 : Kaunsi Namaz ke waqt par Farishto ki dutiyan badalti rahti hain ?
A. Fajr aur Zuhar
B. Asar aur Maghrib
C. Fajar aur Asar
D. Fajar aur Isha
✅ *Sahi Jawab C. Fajar aur Asar* 💐
-----------
RasoolAllah sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Raat aur din Farishton ki duty badlti rehti hai aur Fajr aur Asar ki Namazo mein (duty par aane walo aur rukhsat paane walo ka) ijtema hota hai phir tumhare paas rehne wale Farishtein jab upar chadte hain to Allah Subhanahu puchta hai halanki Wo unse bahut zyada apne bando ke mutalliq janta hai , ke mere bando ko tum kis haal mein chorha wo Jawab dete hain ke hamne jab unhein chorha to wo (Fajr ki Namaz) padh rahe the aur jab unke paas gaye tab wo Asar ki Namaz padh rahe the
Sahih Bukhari : 555
https://www.youtube.com/watch?v=VfzfICBPOTQ
Sawal 1468 : Shaitan kis waqt rota hai ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1468 : Shaitan kis waqt rota hai ?
A. Jab koi Gair mehram ko dekh kar Nazar jhuka leta hai
B. Jab koi Allah ki raah mein jihad karta hai
C. Jab koi ilm sikhne ke liye ghar se nikalta hai
D. Jab koi Sajde wali aayat padh kar sajda karta hai
✅ *Sahih Jawab D. Jab koi Sajde wali aayat padh kar sajda karta hai* 💐
---------
RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jab Insaan sajde wali aayat padh kar sajdah karta hai to Shaitan rota hai aur kahta hai hayy afsos! Is Insaan ko sajdah karne ka hukum diya gaya isne sajdah kiya , iske liye Jannat hai aur mujhe sajdah karne ka hukum diya gaya lekin maine nafarmaani ki so mere liye aag hai
Masnad Ahmad 2010-Sahih
https://youtu.be/tbqaUNCxAco
Monday, September 25, 2023
Sawal 1467 :. Bhukhar ke ilaj mein kis cheez ka istemal karne ka hukm diya gaya hai ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1467 :. Bhukhar ke ilaj mein kis cheez ka istemal karne ka hukm diya gaya hai ?
A. Anjeer
B. Pani
C. Kalonji
D. Zaitun
✅ *Sahih Jawab B : Pani* 💐
-----------
RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Bukhar Jahannum ke josh maarne ke asar se hota hai isliye usey paani se thanda kar liya karo
Sahih Bukhari 3262-Sahih
https://youtu.be/ahFFpWIq2R8
Sawal 1466 : Musalaman ke Sare Aamalo mein se Afzal Aamal kaunsa hai ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1466 : Musalaman ke Sare Aamalo mein se Afzal Aamal kaunsa hai ?
A. Namaz
B. Roza
C. Zakat
D. Hajj
✅ *Sahi Jawab A. Namaz* 💐
-----------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tumahare sare Aamal mein se Afzal Amal namaz hai
Sunan Ibn Maja - 278 Sahih
Sawal 1465 : inmein se wo kaun hai jiske liye farishte ye dua karte hain | اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ | Eh Allah usko bakhsh de ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz - ❗
Sawal 1465 : inmein se wo kaun hai jiske liye farishte ye dua karte hain | اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ | Eh Allah usko bakhsh de ?
A. Wuzu karke Namaz ka intezar karne wala
B. Talwar lekar Allah ki raah mein nikalne wala
C. Beemari par sabr karne wala
D. Sila Rahmi karne wala
✅ *Sahi Jawab A. Wuzu karke Namaz ka intezar karne wala* 💐
-----------
RasoolAllah sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Tum mein se koi Shakhs jitni der Namaz ke intezar me baithta hai Namaz hi me rahta hai jab tak bewuzu na ho jaye Farishte uske liye Dua karte rahte hain
اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ، اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ، اللهُمَّ اغْفِرْ لَهُ
Eh Allah usko bakhsh de , Eh Allah usko bakhsh de Eh Allah usko bakhsh de
Sahih Muslim 1511-Sahih
https://youtu.be/zTMbrQRqC8I
Sunday, September 24, 2023
Sawal 1464 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Aksar kaunse din Safar ke liye nikalte they ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz - ❗
Sawal 1464 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Aksar kaunse din Safar ke liye nikalte they ?
A. Jumerat - Thursday
B. Peer - Monday
C. Aitwar - Sunday
D. Juma - Friday
✅ *Sahi Jawab : A. Jumerat - Thursday * 💐
---------
Kaab bin Malik Radi Allahu ANhu kaha karte they ki bahut kam aisa hota tha ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam kisi safar mein Jumerat ke siwa aur kisi din nikle
(yani Aap aksar jumerat ko hi safar ke liye nikalte they)
Sahih Bukhari 2649
https://youtu.be/MInmQngZTls
Sawal 1463 : Allah Subhanahu ne Quran ki Kaunsi surah mein ye farmaya ki Maangne wale ko jhidki na dena yani uska bura na kahna ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Sawal 1463 : Allah Subhanahu ne Quran ki Kaunsi surah mein ye farmaya ki Maangne wale ko jhidki na dena yani uska bura na kahna ?
A. Surah Al Kauther
B. Surah Ad Duha
C. Surah Al Ma'uun
D. Surah Al Humazah
✅ *Sahi Jawab B. Surah Ad Dhuha* 💐
---------------
Allah Subhana ne Quran mein Surah Ad-Dhuha mein farmaya
فَأَمَّا الْيَتِيمَ فَلَا تَقْهَرْ وَأَمَّا السَّائِلَ فَلَا تَنْهَرْ
Tum Yateem par sitam na karna aur Maangne wale ko jhidki na dena yani uska bura na kahna
Surah Ad-Dhuha 93:10-11
Sawal 1462 : Allah Subhanahu ne Surah Baqarah mein Farishto se farmaya ki Mainz Zameen par apna Khalifa banane wala hu , Wo khalifa kaun they ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz - ❗
Sawal 1462 : Allah Subhanahu ne Surah Baqarah mein Farishto se farmaya ki Mainz Zameen par apna Khalifa banane wala hu , Wo khalifa kaun they ?
A. Muhammed SallAllahu Alaihi Wasallam
B. Ibrahim Alaihi Salam
C. Nooh Alaihi Salam
D. Adam Alaihi Salam
✅ *Sahi Jawab D Adam Alaihi salam* 💐
----------
Al Quran : Aur jab tumhare RABB ne farishto se farmaya
وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي جَاعِلٌ فِي الْأَرْضِ خَلِيفَةً
main zameen mein (apna) khalifa banane wala hu , unhone kaha kya tu aise shakhs ko khalifa banana chahta hai jo fasad kare aur khoon kharaba karta rahe aur hum teri tarif ke saath tasbeeh aur taqdees karte rahte hain (Allah subhanahu) ne farmaya main wo baatein janta hu jo tum nahi jaante
Surah Baqarah , Aayat 30
https://youtu.be/1vNJYYYfXqA
Sawal 1461 : Inmein se kaunse waqt mein safar karne ka hukm diya gaya hai ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz -1461 ❗
Sawal 1461 : Inmein se kaunse waqt mein safar karne ka hukm diya gaya hai ?
A. Fajr ke baad
B. Zuhar ke baad
C. Raat ke waqt
D. Asar ke baad
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahi Jawab C. Raat ke waqt* 💐
---------
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat ke waqt safar kiya karo kyunki Raat ke waqt zameen lapet li jati hai (Yani duri jaldi tay ho jati hai)
Sunan Abu Dawud 2571-Sahih
https://www.youtube.com/watch?v=SZebjjLhh-4
Sawal 1460 : Khadija radi Allahu Anha se nikah ke waqt RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki Umar mubarak kitni thi
❗ Only-Quran-Hadith Quiz -1460 ❗
Sawal 1460 : Khadija radi Allahu Anha se nikah ke waqt RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki Umar mubarak kitni thi
A. 25
B. 30
C. 35
D. 40
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahi Jawab A 25* 💐
---------
Ibn Hisham ne kaha ki jab RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka Nikah Khadija radi Allahu Anha se hua us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki umar 25 saal thi aur Khadija Radi Allahu Anha ki umar 40 saal thi ,
aur Ibrahim ke siwa sari Aulad Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko khadija Radi Allahu Anha se hi huyee aur jab tak wo zinda rahi Aapne kisi aur se nikah nahi farmaya
Seerat-Un-Nabee , Ibn Hisham , 190
Sawal 1459 : Allah Subhanahu ka Dastarkhwan kisko kaha gaya hai ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1459 ❗
Sawal 1459 : Allah Subhanahu ka Dastarkhwan kisko kaha gaya hai ?
A. Namaz
B. Quran
C. Sehri
D. Iftar
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahi Jawab B : Quran* 💐
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Quran Majid Allah subhanahu ka dastarkhwan hai jaha tak mumkin ho isski dawat qubul karo
ye Quran majid Allah subhanahu ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai,
ye jhukta nahi ke issko khada karna padhe, teda nahi hota ke seedha karna padhe, iske Ajaib kabhi khatam na honge aur baar baar kasrat se padhte rehne se bhi purana nahi hota (yani iss se dil nahi bharta),
iski tilawat kiya karo kyunki Allah Subhanahu iski tilawat par tumhein har harf ke badle das neikiya ka ajar ata farmata hai
yaad rakho main ye nahi kehta ke alif laam meem ek harf hai balke Alif ek harf hai laam ek harf hai meem ek harf hai ( sirf Alif laam meem padhne se 30 nekiya mil jati hai)
Mustadrak Al-Hakim, 1/741 Sahih
Sawal 1458 : Murde ko Qabr mein uska thikana yani Jannat ya Jahannam kab dikhaya jata hai ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz - ❗
Sawal 1458 : Murde ko Qabr mein uska thikana yani Jannat ya Jahannam kab dikhaya jata hai ?
A. Peer aur Jumerat ko
B. Juma ke din mein
C. Subah aur Sham ho
D. Juma ki raat ko
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahi Jawab C Har Subah aur Sham ko* 💐
----------------
★ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se har Aadmee ko (Qabr mein) Subah aur Sham uska thikana dikhaya jata hai , agar wo jannati hai to Ahl e jannat ka aur agar wo
jahannami hai to Ahl-e-Jahannam ka aur ye bhi kaha jata hai ki Qayamat ke roz jab tujhe uthaya jaega to ye tera thikana hoga
Musnad e Ahmed 3299-Sahih
Tuesday, September 12, 2023
Mafhum-e-Hadith : Kisi Momeen par Jhuth bolne ya jhutha ilzam lagane ki saza
Monday, September 11, 2023
Hadith : Jis Shakhs ne Duniya mein Sharab pee aur taubah na kee Wo Aakhirat mein Sharab na pee sakega
*Bismilllahirrhamnirraheem*
✦ : Hadith : Jis Shakhs ne Duniya mein Sharab pee aur taubah na kee Wo Aakhirat mein Sharab na pee sakega
--------
*قَالَ رَسُولَ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم : مَنْ شَرِبَ الْخَمْرَ فِى الدُّنْيَا وَلَمْ يَتُبْ لَمْ يَشْرَبْهَا فِى الآخِرَةِ و إِنْ أُدْخلَ الْجَنَّةَ*
--------
✦ : RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jis Shakhs ne Duniya mein Sharab pee aur taubah na kee Wo Aakhirat mein Sharab na pee sakega agarchey Jannat mein hi kyu na dakhil ho jaye
Al Silsila-tus Sahiha-1689 : Sahih
--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے دنیا میں شراب پی اور توبہ نہ كی ، وہ آخرت میں شراب نہ پی سكے گا اگرچہ جنت میں ہی كیوں نہ داخل ہو جائے
سلسلہ صحیحہ- ١٦٨٩ -صحیح
--------
✦ : रसूलअल्लाह सल्लाल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जिस शख़्स ने दुनिया में शराब पी और तौबा ना की वो आख़िरत में शराब ना पी सकेगा अगरचे जन्नत में ही क्यों ना दाखिल हो जाए
सिलसिला सहीहा -1689-सहीह
--------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever drinks alcohol in this world and does not repent, he will not be able to drink alcohol in the Hereafter, even if he does not enter Paradise.
Al Silsila-tus Sahiha-1689 : Sahih
Monday, September 4, 2023
Hadith : Momeen ko takleef pahuchne par milne wala Ajar
*Bismilllahirrhamnirraheem*
✦ : Hadith : Momeen ko takleef pahuchne par milne wala Ajar
---------
قَالَ رَسُولَ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم لَا يَزَالُ الْبَلَاءُ بِالْمُؤْمِنِ وَالْمُؤْمِنَةِ، فِي جَسَدِهِ وَأَهْلِهِ وَمَالِهِ، حَتَّى يَلْقَى اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ وَمَا عَلَيْهِ خَطِيئَةٌ
---------
✦: Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Momeen mard aur momeen aurat ko takleef pahunchti rahti hai uske jism mein uske Ahl-e-Ayaal mein aur maal mein yahan tak ke wo Allah Subhanhu se milta hai to us par koi gunah nahi hota
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا مومن مرد اور مومن عورت کو تکلیف پہنچتی رہتی ہے، اس کے جسم میں، اس کے اہل و عیال میں اور مال میں یہاں تک کہ وہ اللہ تعالیٰ سے ملتا ہے تو اس پر کوئی گناہ نہیں ہوتا۔
---------
✦: रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया मोमीन मर्द और मोमीन औरत को तकलीफ़ पहुँचती रहती है , उसके जिस्म में उसके अहल ओ अयाल में और माल में यहाँ तक के वो अल्लाह सुबहानहु से मिलता है तो उस पर कोई गुनाह नहीं होता
आदाब अल मुफ़रद (ईमाम बुखारी) : 494
---------
✦ : RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Affliction will continue to trouble the believers, men and women, in their bodies, their families, and their property until they meet Allah Almighty purified of every wrong action
---------
Al-Adab Al-Mufrad ( Imam Bukhari) 494 -Sahih
Wednesday, August 9, 2023
Mafhum-e-Hadith : Gairullah ko Sajda e tazimi islam mein jayaz nahi hai
*Bismilllahirrhamnirraheem*
✦ : Mafhum-e-Hadith : Gairullah ko Sajda e tazimi islam mein jayaz nahi hai
----------|
عَنْ قَيْسِ بْنِ سَعْدٍ، قَالَ فَأَتَيْتُ النَّبِيَّ ﷺ فَقُلْتُ إِنِّي أَتَيْتُ الْحِيرَةَ فَرَأَيْتُهُمْ يَسْجُدُونَ لِمَرْزُبَانٍ لَهُمْ فَأَنْتَ يَا رَسُولَ اللَّهِ ﷺ أَحَقُّ أَنْ نَسْجُدَ لَكَ . قَالَ " أَرَأَيْتَ لَوْ مَرَرْتَ بِقَبْرِي أَكُنْتَ تَسْجُدُ لَهُ " . قَالَ قُلْتُ لاَ . قَالَ " فَلاَ تَفْعَلُوا لَوْ كُنْتُ آمِرًا أَحَدًا أَنْ يَسْجُدَ لأَحَدٍ لأَمَرْتُ النِّسَاءَ أَنْ يَسْجُدْنَ لأَزْوَاجِهِنَّ لِمَا جَعَلَ اللَّهُ لَهُمْ عَلَيْهِنَّ مِنَ الْحَقِّ .
----------
✦ : Qai bin Saad Radi Allahu bayan karte hain ki main Heera shahar gaya to mein ne wahan logon ko apne sardar ke liye Sajda (Tazimi) karte hue dekha Ya Rasool Allah SallAllahu Alaihi Wasallam aap is baat ke ziyada mustahiq hain ke hum aap ko sajda karen Aap SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya batao kya agar tum meri Qabr ke paas se guzroge to usko bhi sajda karo ge ? unhone kaha nahi to Aap SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya to phir aisa na karna, agar mein kisi ko kisi ke liye sajda karne ka hukm deta to aurton ko hukm deta ke woh apne shoharon ko sajda karen is wajah se ki Allah Subhanahu ne shoharon ka haq aurton par muqarrar kya hai
Sunan Abu Dawud 2140 : Sahih
----------
قیس بن سعد رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ میں حیرہ شہر گیا تو میں نے وہاں لوگوں کو اپنے سردار کے لیے سجدہ کرتے ہوئے دیکھا يا رسول اللّه ﷺ آپ اس بات کے زیادہ مستحق ہیں کہ ہم آپ کو سجدہ کریں ، آپ ﷺ نے فرمایا بتاؤ کیا اگر تم میری قبر کے پاس سے گزرو گے ، تو اسے بھی سجدہ کرو گے ؟ انہونے کہا : نہیں ، آپ ﷺ نے فرمایا تم ایسا نہ کرنا ، اگر میں کسی کو کسی کے لیے سجدہ کرنے کا حکم دیتا تو عورتوں کو حکم دیتا کہ وہ اپنے شوہروں کو سجدہ کریں اس وجہ سے کہ شوہروں کا حق اللہ سبحانه نے مقرر کیا ہے
----------
✦ : कैस बिन साद रदी अल्लाहु अनहू बयान करते हैं की मै हीरा शहर गया तो मैंने वहाँ लोगों को अपने सरदार के लिए सजदा (ताज़िमी) करते हुए देखा , या रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम आप इस बात के ज़्यादा मुस्तहक हैं की हम आपको सजदा करे आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया बताओ क्या तुम मेरी कब्र के पास से गुज़रोगे तो उसको भी सजदा करोगे ? उन्होंने कहा नहीं तो आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया तो फिर ऐसा ना करना अगर मैं किसी को किसी के लिए सजदा करने का हुक्म देता तो औरतों को हुक्म देता की वो अपने शोहरों को सजदा करें वो इस वजह से की अल्लाह सुबहानहु ने शोहरों का हक़ औरतों पर मुकर्रर किया है
सुनन अबु दावूद : 2140 - सही
---------
✦ : Narrated Qays ibn Sa'd Radi Allahu Anhu I went to Hirah and saw them prostrating themselves before a chief of theirs, but you have most right, Messenger of Allah SallAllahu Alaihi Wasalla, to have (people) prostrating themselves before you. He SallAllahu Alaihi Wasallam said: Tell me , if you were to pass my grave, would you prostrate yourself before it? I said: No. He then said: Do not do so. If I were to command anyone to make prostration before another I would command women to prostrate themselves before their husbands, because of the special right over them given to husbands by Allah.
Sunan Abu Dawud 2140 : Sahih
Sunday, July 30, 2023
Sawal 1457 : : Ek Gareeb Musalman Daulatman Musalman se kitne saal pahle jannat mein jayega ?
❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1457 ❗
Sawal 1457 : : Ek Gareeb Musalman Daulatman Musalman se kitne saal pahle jannat mein jayega ?
A. 70 Saal
B. 700 Saal
C. 50 Saal
D. 500 Saal
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahi Jawab D. 500 Saal* 💐
----------------
★ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Gareeb momeen daulatmand momeen se Aadha din yani 500 Saal pahle jannat mein jayega
Sunan Ibn Maja 4122 -Sahih
★ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Main jannat ke darwaze par khada hua to dekha waha Aksar dakhil hone wale Mohtaj aur mehnat mazduri karne wale log they
aur maaldar log ek taraf rok diye gaye hain unka Hisab lena baqi hai aur jo log dozakhi they wo to dozakh ke liye bhej diye gaye hai
Sahih Bukhari - 6547