Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, June 10, 2021

Azkar al Lail - Night Azkar - Raat ko padhne ke Azkar



Bismillahirrahmanirraheem

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

Azkar al Lail - Night Azkar - Raat ko padhne ke Azkar


1 ✦ Hadith: Bistar par let te waqt Aayat al kursi padh lene se subah tak shaitan kareeb nahi aa sakta
-------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . 
(iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. 
Sahih Bukhari, Jild 3, 2311

اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ 
لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ 
لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ
 مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ 
يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ 
وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِه
ِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّه
ُ السَّمَاواتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ 
حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ
-------
✦ Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum , 
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum, 
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard) 
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih, 
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum, 
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa, 
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard) 
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) 
wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
✦ Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 
-------
✦ Tarjuma Aayat Al-Kursi
ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi,
Zinda hamesha rahne wala,
use na ungh aati hai na neend,
jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai,
kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,
jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai
aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe,
uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai
aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi
wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai
Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 

 



2 ✦ Hadith: Sote waqt Surah Al-Kafirun padha karo kyunki is surah mein Shrik se nijat hai
-------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya sote waqt Qul Ya Ayyuhal Kafiroon..(Surah kafirun aakhir tak)  padh liya kero kyunki is Surah mein Shirk se Nijat 
hai
Sunan Abu Dawud, 5055
--------
قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ  لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ
وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ وَلَا أَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدتُّمْ
وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِيَ دِينِ
--------
✦ Qul Ya Ayyuhalkafiroon. La Aaabudu ma taAAbudoon. 
WaLa antum AAabidoona ma Aaabud.,WaLa ana AAabidun ma AAabadtum. 
WaLa antum AAabidoona ma Aaabud., Lakum deenukum waliya deen.
--------
✦ Kah do  Eh Kafiroh Jin (butoh) ki tum ibadat Karte ho unki mein ibadat Nahi karta ,Aur jis Allah ki main Ibadat karta hu uski tum ibadat Nahi Karte, Aur Jin ki tum ibadat 
Karte ho unki Main ibadat Karne wala Nahi Hu, Aur na tum uski bandagi Karne wale  ho jiski Mai bandagi karta Hu ,Tum apne Deen par mein Apne Deen par



3 ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam her raat Surah Ikhlas, falaq,  An-Nas  3 par padh kar apne upar dam farmate
-------
✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam her raat jab bister par aram farmate toh apni dono hatheliyon ko mila kar  Surah 
Ikhlas, Falaq, An-Nas  teeno surah mukamal  padh kar un par phunkte aur phir dono hatheliyon ko jaha tak mumkin hota apne jism par pherte they pehle sir aur chehre 
par haath pherte aur samne ke badan par ye aamal Aap Sallallahu Alaihi Wasallam teen baar karte they
Sahih Bukhari  5017

قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ، اللَّـهُ الصَّمَدُ، لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ، وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
-------
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
AL Quran , Surah Al-ikhlas (112)

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ‌ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ‌ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ، وَمِن شَرِّ‌ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ‌ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
-------
Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbil falaq, Min sharri ma khalaq
wa min sharri Ghasiqin iza waqab, wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad
wa min sharri Haseedin iza hasad
-------
Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se 
jab wo hasad kare
Al Quran Surah Al-Falaq (113)


قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ‌ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ‌ النَّاسِ، مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas, Min  Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi (lazi) Yuwaswaso fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas
Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.
Al Quran, Surah An-Nas (114)




4 ✦ Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat
-----
✦  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke 
liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009 
------
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ  كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا 
وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ

✦  Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi
sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq 
nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai.
✦  ALLAH Subhanahu kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga 
✦ Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , 
✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , 
✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, 
✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. 
✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286



5 ✦ Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye raat mein inko padh liya aur subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya   jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski 
maut ho gayee to wo jannati hai.

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka 
bini'matika 'alaiya,  wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
-------
✦ Tarjuma : Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye 
Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe 
ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
Sahih Bukhari, Vol 7, 6306



6 ✦ Hadith: Samundar ke jhag ke barabar gunah maaf
-----------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke 
barabar ho. 
-----------
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ ش َرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُوَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ 
لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله
سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر
-------------
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, 
✦ Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah
✦ SubhanAllah, Walhamdulillah, 
✦ Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar
Al Silsila As Sahiha , 415
--------
✦: Allah ke siwa koi mabud nahi hai, Wo tanha hai uska koi sharik nahi hai, usee ke liye baadshahi hai aur usee ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par kudrat rakhne 
wala hai
✦:Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi 
✦ Allah ki zaat paak hai
✦  Tamam tarife Allah ke liye hain
✦ Allah ke siwa koi maabood nahi
✦ Allah sabse bada hai
--

7 ✦ Sote Waqt Padhne ki Dua
-------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  iss dua ko tum sote waqt padh liya karo

اللَّهُمَّ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي وَمِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ
✦ Allahumma Aalimal-ghaibi wash-shahadati faṭiras-samawati wal-arḍ, Rabba kulli shai’in wa malikahu, Ash-hadu an la ilaha illa anta, Audhu bika min sharri nafsi wa 
min sharrish-shaiṭāni washirkihi)
✦ Tarjuma : Eh Allah Eh gaib aur khuli baato ko janne wale , Aasman aur zameen ko palne wale , har cheez ke RABB aur malik ,main gawahi deta hu ki tere siwa koi 
mabud nahi aur main tujhse apne nafs ki burayee aur shaitan ki burayee aur uske shrik se panah maangta hu
Jamia Tirmizi, 3392


8 ✦ Hadith : Is dua ko raat ko padhne ke baad agar subah ko zinda uthe to sawab milega
-----
✦ RasoolAllah Sallallahu  Alaihi Wasallam ne farmaye jab tum apne bistar par jao to ye dua padho agar tum isko padhne ke baad raat mein mar gaye to fitrat par yani deen e islam par maroge aur subah ko zinda uthe to sawab milega

اللَّهُمَّ أَسلَمتُ نَفسِي إِلَيكَ، وَفَوَّضتُ أَمرِي إِلَيكَ
وَوَجَّهتُ وَجهِي إِلَيكَ، وَأَلجَأتُ ظَهرِي إِلَيكَ
رَغبَةً وَرَهبَةً إِلَيكَ، لاَ مَلجَأَ وَلاَ مَنجَا مِنكَ إِلاَّ إِلَيكَ
آمَنتُ بِكِتَابِكَ الَّذِي أَنزَلتَ، وَبِنَبِيِّكَ الَّذِي أَرسَلتَ‌‏

Allahumma aslamtu nafsi ilaika,  wa fauwadtu Amri ilaika, wa wajjahtu wajhi ilaika, wa alja'tu zahri ilaika, reghbatan wa rahbatan ilaika. La malja'a wa la manja minka illa 
ilaika. Amantu bikitabikal-ladhi anzalta wa Binabiyyikalladhi Arsalta.
-----
✦ Eh Allah mein apni jaan tere supurd (hawale ) kar di hai aur apna rukh teri taraf mod diya aur apna mamala tere supurd ker diya aur teri panah li teri taraf ragbat ki 
wajah se aur tujh se dar kar tere siwa koi panah, aur nijat ki jagah nahi mein teri Kitab  par iman laya jo tune nazil ki aur tere Nabi Sallallahu Alahih Wasallam par iman 
laya jo tune bheje
Sahih Bukhari Jild 8, 7488


9 ✦Hadith: Jo shaks apne bister par aaya aur usne ye kaha to usne tamam makhluq ke mukammal tareefi kalmat ada kar diye
---
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shaks apne bister par aaya aur usne ye kaha to usne tamam makhluq ke mukammal tareefi kalmat ada kar 
diye
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي  كَفَانِي وَآوَانِي، االْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي  أَطْعَمَنِي وَسَقَانِي، الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي  مَنَّ عَلَيَّ وَأَفْضَل، اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِعِزَّتِكَ أَن تُنْجِيَنِي مِنَ النَّار
Alhamdulillahil-ladhi Kafani Wa Awani, Alhamdulillahil-ladhi At'amni wa saqani, Alhamdulillahil-ladhi manna Alayya wa Afzal, Allahumma inni Asaluka Bi-izzatika An 
Tunjiyani Minan Naar

✦ Tamam tareefat us Allah ke liye hai jo mujhe kafi hua aur mujhe panah di, tamam tareefat us Allah ke liye jisne mujhe khilaya aur peelaya, tamam tareefat us Allah ke 
liye hai Jisne mujh par ehsan aur fazal kiya Eh Allah main teri izzat ka wasta de kar sawal karta hu ke tu mujhe aag se nijat de de 
Al-Silsila-As-Sahiha  - 2964


10✦ Raat ko bistar par jakar padhne ki dua
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab bistar par jate to farmate 

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لَا كَافِيَ لَهُ وَلَا مُؤْوِيَ

★ Tamam taarifein Allah ke liye hai jisne hame khilaya peelaya ( haar taraha se)  kafi hua aur hame thikana diya kitne log hain jinka na koi kifayat karne wala hai na 
thikana dene wala
Sahih Muslim  - 6894


11 ✦: Sone se pahle aur Qayamat ke Azab se bachne ki dua
-------
✦ Abdullah bin masood Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam jab bistar par sone ke liye tashreef le jaate to apna daya haath 
rukhsar mubarak ke neeche rakhte aur farmate 

اللَّهُمَّ قِنِي عَذَابَكَ يَوْمَ تَبْعَثُ - أَوْ تَجْمَعُ - عِبَادَكَ
Allahumma qini Azabaka yawma tab'asu wa tajmau ibadaka
Ya Allah mujhe apne azab se bacha lena jis din tu apne bando ko uthayega ya jama karega 
Sunan Ibn majah, 3877
------


12 ✦ Hadith: Sone se pahle ki Dua
-------
✦ Huzefa Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  jab apne bistar par let-te to ye farmate

اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
(Allahumma Bismika Amutu wa Aahya)
Ya ALLAH, tere hi naam ke saath main mrta hun  aur zinda rahta hu
Sahih Bukhari, Vol7,  6312


13 ✦ Qabr  Aur Pul Sirat ke Andhero mein Noor ban kar aane wale Azkar
-------
✦ : Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki jisne har namaz ke baad aur bistar par jaate huye ye kalimat 3 baar kahe to ye uske liye Qabr mein aur Pul sirat mein 
Noor ban jayenge yaha tak ki apne padhne wale ko jannat mein dakhil karwa denge 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ

✦ : Allahu Akbar Kabeera Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat
La ilaha illAllah Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Allah Sabse bada hai , Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke mukammal  Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar
✦ : Allah ke siwa koi mabud nahi,  Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke Mukammal , Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar

Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan
Imam Al Suyuti ne bhi Jamia Al-Hadith mein isko Hasan kaha hai



14 ✦ Hadith: Sone se pahle 33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah aur 34 baar Allahu Akbar padh liya karo (Tasbeeh Fatima)
-------
Fatima Radi Allahu Anha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam se ek khadim manga tha phir Aap 
Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhein ek aise cheez na bata du jo tumahare liye usay behtar ho sote waqt (33) baar SubhanAllah ,  (33) baar 
Alhamdulillah  aur (34) baar Allah hu Akbar  padh liya karo Ali Radi Allahu Anhu ne farmaya phir mein ne inn kalmon ko kabhi nahi chorha unse pucha gaya jang e siffin 
ki raaton mein bhi nahi kaha ke siffin ki raaton mein bhi nahi 
Sahih Bukhari  - 5362

------

 

No comments:

Post a Comment