Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, June 10, 2021

Azkar al Lail - Night Azkar - Raat ko padhne ke Azkar



Bismillahirrahmanirraheem

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

Azkar al Lail - Night Azkar - Raat ko padhne ke Azkar


1 ✦ Hadith: Bistar par let te waqt Aayat al kursi padh lene se subah tak shaitan kareeb nahi aa sakta
-------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . 
(iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. 
Sahih Bukhari, Jild 3, 2311

اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ 
لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ 
لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ
 مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ 
يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ 
وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِه
ِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّه
ُ السَّمَاواتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ 
حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ
-------
✦ Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum , 
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum, 
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard) 
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih, 
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum, 
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa, 
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard) 
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) 
wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
✦ Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 
-------
✦ Tarjuma Aayat Al-Kursi
ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi,
Zinda hamesha rahne wala,
use na ungh aati hai na neend,
jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai,
kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,
jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai
aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe,
uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai
aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi
wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai
Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 

 



2 ✦ Hadith: Sote waqt Surah Al-Kafirun padha karo kyunki is surah mein Shrik se nijat hai
-------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya sote waqt Qul Ya Ayyuhal Kafiroon..(Surah kafirun aakhir tak)  padh liya kero kyunki is Surah mein Shirk se Nijat 
hai
Sunan Abu Dawud, 5055
--------
قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ  لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ
وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ وَلَا أَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدتُّمْ
وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِيَ دِينِ
--------
✦ Qul Ya Ayyuhalkafiroon. La Aaabudu ma taAAbudoon. 
WaLa antum AAabidoona ma Aaabud.,WaLa ana AAabidun ma AAabadtum. 
WaLa antum AAabidoona ma Aaabud., Lakum deenukum waliya deen.
--------
✦ Kah do  Eh Kafiroh Jin (butoh) ki tum ibadat Karte ho unki mein ibadat Nahi karta ,Aur jis Allah ki main Ibadat karta hu uski tum ibadat Nahi Karte, Aur Jin ki tum ibadat 
Karte ho unki Main ibadat Karne wala Nahi Hu, Aur na tum uski bandagi Karne wale  ho jiski Mai bandagi karta Hu ,Tum apne Deen par mein Apne Deen par



3 ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam her raat Surah Ikhlas, falaq,  An-Nas  3 par padh kar apne upar dam farmate
-------
✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam her raat jab bister par aram farmate toh apni dono hatheliyon ko mila kar  Surah 
Ikhlas, Falaq, An-Nas  teeno surah mukamal  padh kar un par phunkte aur phir dono hatheliyon ko jaha tak mumkin hota apne jism par pherte they pehle sir aur chehre 
par haath pherte aur samne ke badan par ye aamal Aap Sallallahu Alaihi Wasallam teen baar karte they
Sahih Bukhari  5017

قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ، اللَّـهُ الصَّمَدُ، لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ، وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
-------
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
AL Quran , Surah Al-ikhlas (112)

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ‌ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ‌ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ، وَمِن شَرِّ‌ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ‌ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
-------
Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbil falaq, Min sharri ma khalaq
wa min sharri Ghasiqin iza waqab, wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad
wa min sharri Haseedin iza hasad
-------
Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se 
jab wo hasad kare
Al Quran Surah Al-Falaq (113)


قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ‌ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ‌ النَّاسِ، مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas, Min  Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi (lazi) Yuwaswaso fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas
Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.
Al Quran, Surah An-Nas (114)




4 ✦ Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat
-----
✦  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke 
liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009 
------
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ  كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا 
وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ

✦  Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi
sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq 
nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai.
✦  ALLAH Subhanahu kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga 
✦ Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , 
✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , 
✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, 
✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. 
✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286



5 ✦ Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye raat mein inko padh liya aur subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya   jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski 
maut ho gayee to wo jannati hai.

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka 
bini'matika 'alaiya,  wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
-------
✦ Tarjuma : Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye 
Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe 
ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
Sahih Bukhari, Vol 7, 6306



6 ✦ Hadith: Samundar ke jhag ke barabar gunah maaf
-----------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke 
barabar ho. 
-----------
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ ش َرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُوَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ 
لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله
سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر
-------------
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, 
✦ Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah
✦ SubhanAllah, Walhamdulillah, 
✦ Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar
Al Silsila As Sahiha , 415
--------
✦: Allah ke siwa koi mabud nahi hai, Wo tanha hai uska koi sharik nahi hai, usee ke liye baadshahi hai aur usee ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par kudrat rakhne 
wala hai
✦:Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi 
✦ Allah ki zaat paak hai
✦  Tamam tarife Allah ke liye hain
✦ Allah ke siwa koi maabood nahi
✦ Allah sabse bada hai
--

7 ✦ Sote Waqt Padhne ki Dua
-------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  iss dua ko tum sote waqt padh liya karo

اللَّهُمَّ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي وَمِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ
✦ Allahumma Aalimal-ghaibi wash-shahadati faṭiras-samawati wal-arḍ, Rabba kulli shai’in wa malikahu, Ash-hadu an la ilaha illa anta, Audhu bika min sharri nafsi wa 
min sharrish-shaiṭāni washirkihi)
✦ Tarjuma : Eh Allah Eh gaib aur khuli baato ko janne wale , Aasman aur zameen ko palne wale , har cheez ke RABB aur malik ,main gawahi deta hu ki tere siwa koi 
mabud nahi aur main tujhse apne nafs ki burayee aur shaitan ki burayee aur uske shrik se panah maangta hu
Jamia Tirmizi, 3392


8 ✦ Hadith : Is dua ko raat ko padhne ke baad agar subah ko zinda uthe to sawab milega
-----
✦ RasoolAllah Sallallahu  Alaihi Wasallam ne farmaye jab tum apne bistar par jao to ye dua padho agar tum isko padhne ke baad raat mein mar gaye to fitrat par yani deen e islam par maroge aur subah ko zinda uthe to sawab milega

اللَّهُمَّ أَسلَمتُ نَفسِي إِلَيكَ، وَفَوَّضتُ أَمرِي إِلَيكَ
وَوَجَّهتُ وَجهِي إِلَيكَ، وَأَلجَأتُ ظَهرِي إِلَيكَ
رَغبَةً وَرَهبَةً إِلَيكَ، لاَ مَلجَأَ وَلاَ مَنجَا مِنكَ إِلاَّ إِلَيكَ
آمَنتُ بِكِتَابِكَ الَّذِي أَنزَلتَ، وَبِنَبِيِّكَ الَّذِي أَرسَلتَ‌‏

Allahumma aslamtu nafsi ilaika,  wa fauwadtu Amri ilaika, wa wajjahtu wajhi ilaika, wa alja'tu zahri ilaika, reghbatan wa rahbatan ilaika. La malja'a wa la manja minka illa 
ilaika. Amantu bikitabikal-ladhi anzalta wa Binabiyyikalladhi Arsalta.
-----
✦ Eh Allah mein apni jaan tere supurd (hawale ) kar di hai aur apna rukh teri taraf mod diya aur apna mamala tere supurd ker diya aur teri panah li teri taraf ragbat ki 
wajah se aur tujh se dar kar tere siwa koi panah, aur nijat ki jagah nahi mein teri Kitab  par iman laya jo tune nazil ki aur tere Nabi Sallallahu Alahih Wasallam par iman 
laya jo tune bheje
Sahih Bukhari Jild 8, 7488


9 ✦Hadith: Jo shaks apne bister par aaya aur usne ye kaha to usne tamam makhluq ke mukammal tareefi kalmat ada kar diye
---
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shaks apne bister par aaya aur usne ye kaha to usne tamam makhluq ke mukammal tareefi kalmat ada kar 
diye
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي  كَفَانِي وَآوَانِي، االْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي  أَطْعَمَنِي وَسَقَانِي، الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي  مَنَّ عَلَيَّ وَأَفْضَل، اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِعِزَّتِكَ أَن تُنْجِيَنِي مِنَ النَّار
Alhamdulillahil-ladhi Kafani Wa Awani, Alhamdulillahil-ladhi At'amni wa saqani, Alhamdulillahil-ladhi manna Alayya wa Afzal, Allahumma inni Asaluka Bi-izzatika An 
Tunjiyani Minan Naar

✦ Tamam tareefat us Allah ke liye hai jo mujhe kafi hua aur mujhe panah di, tamam tareefat us Allah ke liye jisne mujhe khilaya aur peelaya, tamam tareefat us Allah ke 
liye hai Jisne mujh par ehsan aur fazal kiya Eh Allah main teri izzat ka wasta de kar sawal karta hu ke tu mujhe aag se nijat de de 
Al-Silsila-As-Sahiha  - 2964


10✦ Raat ko bistar par jakar padhne ki dua
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab bistar par jate to farmate 

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَكَفَانَا وَآوَانَا فَكَمْ مِمَّنْ لَا كَافِيَ لَهُ وَلَا مُؤْوِيَ

★ Tamam taarifein Allah ke liye hai jisne hame khilaya peelaya ( haar taraha se)  kafi hua aur hame thikana diya kitne log hain jinka na koi kifayat karne wala hai na 
thikana dene wala
Sahih Muslim  - 6894


11 ✦: Sone se pahle aur Qayamat ke Azab se bachne ki dua
-------
✦ Abdullah bin masood Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam jab bistar par sone ke liye tashreef le jaate to apna daya haath 
rukhsar mubarak ke neeche rakhte aur farmate 

اللَّهُمَّ قِنِي عَذَابَكَ يَوْمَ تَبْعَثُ - أَوْ تَجْمَعُ - عِبَادَكَ
Allahumma qini Azabaka yawma tab'asu wa tajmau ibadaka
Ya Allah mujhe apne azab se bacha lena jis din tu apne bando ko uthayega ya jama karega 
Sunan Ibn majah, 3877
------


12 ✦ Hadith: Sone se pahle ki Dua
-------
✦ Huzefa Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  jab apne bistar par let-te to ye farmate

اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
(Allahumma Bismika Amutu wa Aahya)
Ya ALLAH, tere hi naam ke saath main mrta hun  aur zinda rahta hu
Sahih Bukhari, Vol7,  6312


13 ✦ Qabr  Aur Pul Sirat ke Andhero mein Noor ban kar aane wale Azkar
-------
✦ : Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki jisne har namaz ke baad aur bistar par jaate huye ye kalimat 3 baar kahe to ye uske liye Qabr mein aur Pul sirat mein 
Noor ban jayenge yaha tak ki apne padhne wale ko jannat mein dakhil karwa denge 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا عَدَدَ الشَّفْعِ ، وَالْوِتْرِ، وَكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ 
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ عَدَدَ الشَّفْعِ وَالْوِتْرِ وَكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الطَّيِّبَاتِ الْمُبَارَكَاتِ

✦ : Allahu Akbar Kabeera Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat
La ilaha illAllah Adadash-shaf‘i wa’l-witr, Wa kalimaatillahit-Taammaatit-Tayyibaatil-Mubaarakaat

✦ : Allah Sabse bada hai , Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke mukammal  Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar
✦ : Allah ke siwa koi mabud nahi,  Juft (Even) aur taaq (Odd) Adad ke barabar aur Allah ke Mukammal , Mubarak aur Pakiza kalimat ki tadada ke barabar

Musannaf Ibn Abi Shaybah, 29256 -Hasan
Imam Al Suyuti ne bhi Jamia Al-Hadith mein isko Hasan kaha hai



14 ✦ Hadith: Sone se pahle 33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah aur 34 baar Allahu Akbar padh liya karo (Tasbeeh Fatima)
-------
Fatima Radi Allahu Anha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam se ek khadim manga tha phir Aap 
Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhein ek aise cheez na bata du jo tumahare liye usay behtar ho sote waqt (33) baar SubhanAllah ,  (33) baar 
Alhamdulillah  aur (34) baar Allah hu Akbar  padh liya karo Ali Radi Allahu Anhu ne farmaya phir mein ne inn kalmon ko kabhi nahi chorha unse pucha gaya jang e siffin 
ki raaton mein bhi nahi kaha ke siffin ki raaton mein bhi nahi 
Sahih Bukhari  - 5362

------

 

✦: Jisne raat mein yakeen ke sath ye padha aur subah hone se pahle uski maut huyee to wo Jannati hai

  









Bismillahirrahmanirraheem 

✦: Jisne raat mein yakeen ke sath ye padha aur subah hone se pahle uski maut huyee to wo Jannati hai
---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye  Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai.
--------
اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
---
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, 
Khalaqtani wa ana abduka, 
wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, 
Awuzu bika min sharri ma sana'tu, 
abu'u Laka bini'matika 'alaiya, 
wa Abu'u Laka bizambi
fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
---------
✦ Tarjuma : Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
✦ Sahih Bukhari, Vol 7, 6306
-----
شداد بن اوس رضی اللہ عنہ نے بیان کیا اور ان سے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے کہ سیدالاستغفار ۔ ( مغفرت مانگنے کے سب کلمات کا سردار ) یہ ہے یوں کہے ، ‏ اے اللہ ! تو میرا رب ہے ، تیرے سوا کوئی معبود نہیں ۔ تو نے ہی مجھے پیدا کیا اور میں تیرا ہی بندہ ہوں میں اپنی طاقت کے مطابق تجھ سے کئے ہوئے عہد اور وعدہ پرقائم ہوں ۔ ان بری حرکتوں کے عذاب سے جو میں نے کی ہیں تیری پناہ مانگتا ہوں مجھ پر نعمتیں تیری ہیں اس کااقرار کرتا ہوں ۔ میری مغفرت کر دے کہ تیرے سوا اور کوئی بھی گناہ نہیں معاف کرتا ۔
 آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس نے اس دعا کے الفاظ پر یقین رکھتے ہوئے  رات میں ان کو پڑھ لیا اور پھر اس کاصبح ہونے سے پہلے انتقال ہو گیا تو وہ جنتی ہے
صحیح بخاری ٦٣٠٦
-------
✦ रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया सय्यद-अल-अस्तिगफार: अल्लाह से मगफिरत मांगने का सबसे अच्छा तरीक़ा ) ये है जिसने इस दुआ के अल्फाज़ पर यकीन रखते हुए रात में इसको पढ़ लिया और फिर सुबह होने से पहले उसकी मौत हो गयी तो वो जन्नती है

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ तर्जुमा : एह अल्लाह तू मेरा रब है तेरे सिवा कोई माबूद नहीं , तूने ही मुझे पैदा किया है और मैं तेरी ही बंदा हूँ , मैं अपने ताक़त के मुताबिक़ तुझसे किये हुए अहद और वादे पर क़ायम हूँ ,मैं तुझसे उस चीज़ की बुराई से पनाह मांगता हूँ जिसको मैंने किया , मैं तेरे सामने तेरी नेअमतों का इकरार करता हूँ जो तूने मुझे अता फरमाई और मैं अपने गुनाहों का भी  इकरार करता हूँ ,तू मुझे माफ़ कर दे , बेशक तेरे सिवा गुनाहों को कोई माफ़ करने वाला नहीं है
✦ सही बुखारी, जिल्द 7 हदीस 6306
---
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said if somebody recites it (Sayyadal Astagfar)  at night with firm faith in it and dies before the morning he will be from the people of Paradise. The Prophet (ﷺ) said "The most superior way of asking forgiveness from Allah is

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa ant, Khalaqtani wa ana abduk, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata't,Awuzu bika min sharri ma sana't, abu'u Laka bini'matika 'alay, wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
---------
Translation: O Allah, You are my Lord, none has the right to be
worshiped except You, You created me and I am Your servant and I Obey to Your covenant and promise as best as I can,I take refuge in You from the evil of which I committed. I acknowledge Your favor upon me and I acknowledge my sin,so forgive me, indeed none can forgive sins except You.
Sahih Bukhari, 6306









✦ Hadith : Sone se pahle 33 baar SubhanAllah , 33 baar Alhamdulillah aur 34 baar Allahu Akbar padh liya karo (Tasbeeh Fatima)

 










Bismillahirahmanirraheem

✦  Hadith : Sone se pahle 33 baar SubhanAllah , 33 baar Alhamdulillah  aur 34 baar Allahu Akbar  padh liya karo (Tasbeeh Fatima)
 --------
✦ : Hazrat Ali Radi Allahu se rivayat hai ki  Fatima Radi Allahu Anha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam se ek khadim manga to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhein ek aise cheez na bata du jo tumahare liye us se bhi behtar ho, phir farmaya  sote waqt (33) baar SubhanAllah , (33) baar Alhamdulillah  aur (34) baar Allah hu Akbar  padh liya karo Ali Radi Allahu Anhu ne farmaya phir mein ne inn azkar ko kabhi nahi chorha 
 --------
فاطمہ رضی اللہ عنہا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوئی تھیں اور آپ سے ایک خادم مانگا تھا، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ کیا میں تمہیں ایک ایسی چیز نہ بتا دوں جو تمہارے لیے اس سے بہتر ہو۔ سوتے وقت تینتیس ( 33 ) مرتبہ «سبحان الله»،‏‏‏‏ تینتیس ( 33 ) مرتبہ «الحمد الله» اور چونتیس ( 34 ) مرتبہ «الله اكبر» پڑھ لیا کرو!  علی رضی اللہ عنہ نے کہا کہ پھر میں نے ان ازکار  پڑھنا کو کبھی نہیں چھوڑا۔
 --------
✦ अली रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की एक बार फातिमा रदी अल्लाहु अन्हा रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम की खिदमत में हाज़िर हुयी और आप सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम से एक खादिम माँगा 
तो आप सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया क्या मैं तुम्हे एक असिई चीज़ ना बता दूँ जो तुम्हारे लिए उस से भी बेहतर हो , फिर फ़रमाया सोते वक़्त 33 बार सुबहानअल्लाह , 33 बार अल्हम्दुलिल्लाह , 33 बार 
अल्लाहु अकबर पढ़ लिया करो अली रदी अल्लाहु अन्हु ने फ़रमाया फिर मैंने इन अज़कार को पढ़ना कभी नहीं छोड़ा 
 --------
✦ :  Narrated Ali radi Allahu Anhu that Fatima Radi Allahu Anha came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  Asking for a servant. He said,let me  inform you of 
something better than that ,  When you go to bed, recite Subhan Allah' thirty three times, 'Al hamduli l-lah' thirty three times, and 'Allahu Akbar' thirty four times. 
Ali Radi Allahu Anhu Said  after hearing this I have never failed to recite it
Sahih Bukhari  - 5362







Monday, June 7, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1359*❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1359*❗


*Sawal : Qayamat ke din sabse pahle jo muaamla hazir kiya jayega wo kin ka hoga?*


A. Shohar aur biwi

B. Baap aur bete 

C. Padosi

D. Yateem bachcho ka

E. Ameer aur gareeb 

F. Gulam aur Malik

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1359*❗


*Quiz : The first matter which will be presented on the Day of Qayamah , will belong to whom?*


A. Husband and wife

B. Father and Son

C. Neighbours

D. Orphan Kids

E. Poor and Rich

F. Slave and his Owner

G. None of the above 

H. O lord increase my Knowledge 



💐 Sahih Jawab : C 💐✅

-----

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya 

Qayamat ke din sabse pahle do padosiyo ka muqaddama pesh hogaMishkat ul Masabeeh : 5000-Sahih

-----

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: أَوَّلُ خَصْمَيْنِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ جَارَانِ


💐Answer: C 💐✅

-----

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Said The first matter which will be presented on the Day of Qayamah , will belong to the Neighbors.

Mishkat ul Masabeeh : 5000-Sahih

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1358*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1358*❗


Sawal 1 : Kaunse Nabee ne ye dua ki thi ki "Eh Mere RABB is zameen par ek bhi kafir ko zinda na rahne de"


Sawal 2 : Kaunse Nabee ne ye dua ki thi "Eh mere RABB tu hum mein aur in nafarman logo mein judayee farma de"


A. RasoolAllah SallAllaahu Alaihi Wasallam

B. Musa Alaihi Salam

C. Ibrahim Alaihi Salam

D. Eesa Alaihi Salam

E. Nooh Alaihi Salam

F. Saleh Alaihi Salam

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Note : Agar kisi bhi sawal ka Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1358*❗


Question 1: Which Prophet made this dua "O my Lord  leave not one of the disbelievers on the earth"

Question 2: Which Prophet made this dua "Separate us from the people who are the Fasiqun"


A. RasoolAllah SallAllaahu Alaihi Wasallam

B. Musa Alaihi Salam

C. Ibrahim Alaihi Salam

D. Eesa Alaihi Salam

E. Nooh Alaihi Salam

F. Saleh Alaihi Salam

G. None of the above 

H. O lord increase my Knowledge 


Note : If your answer is option G ,please mention the correct answer ,to be declared a winner.


💐 Sahih Jawab : EB 💐✅

------

Aur Nooh Alaihi Salam ne kaha eh mere RAB zameen par kafiro mein se koi rahne wala no chorhna, aur tune chorh diya to tere bando ko gumrah kar denge aur unki jo aulad hogi wo fajir aur kafir hogi

Surah Nooh (71) , Aayat 26


Al Quran : Wo (Bani israeel) bole ke Musa (Alaihi salam) jab tak wo log waha hain hum kabhi nahi jayenge , agar ladna jaruri hai to tum aur tumhara RABB jao aur lado hum to yahi baithe rahenge.Musa Alaihi salam ne Allah se kaha ki Ya RABB main apne aur apne bhai (Hrun Alaihi salam) ke siwa aur kisi par ikhtiyar nahi rakhta to tu hum mein aur in nafarman logo mein judayee farma de

Surah maeda (5), Ayat 23-25




💐 Answer : EB 💐✅

------

And Nuh (Noah) said: "My Lord! Leave not one of the disbelievers on the earth! If You leave them, they will mislead Your slaves, and they will beget none but wicked disbelievers.

Surah Nooh (71) , Aayat 26


They said: "O Musa (Moses)! We shall never enter it as long as they are there. So go you and your Lord and fight you two, we are sitting right here.He [Musa (Moses)] said: "O my Lord! I have power only over myself and my brother (Harun), so separate us from the people who are the Fasiqun (rebellious and disobedient to Allah)!"

Surah maeda (5), Ayat 23-25

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1357*❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1357*❗


*Quran ke in lafzo ko unke mayno se milan kijiye - Match the following ( Refer : Surah Al-balad, Surah Ash-Shams )*


A. النَّهَارِ - An-Nahar

B.  مَسْغَبَةٍ - Masghaba

C. عَيْنَيْنِ - Aynayn

D. نَاقَةَ - Naqata

E. أَفْلَحَ -Aflaha

F. كَبَدٍ - Kabad

G. كَذَّبَتْ -  Kadhdhabat

H. Sahi Jawab ka intezar hai

----------

1. Din

2. Wo Na kamayab hua

3. Jhutla diya

4. Oontni

5. Bhookh

6. Museebat

7. Do Honth

8. Do Kaan

9. Inmein se koi nahi



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1357*❗


* Match the following Quranic words with their meanings ( Refer : Surah Al-balad, Surah Ash-Shams )*


A. النَّهَارِ - An-Nahar

B.  مَسْغَبَةٍ - Masghaba

C. عَيْنَيْنِ - Aynayn

D. نَاقَةَ - Naqata

E. أَفْلَحَ -Aflaha

F. كَبَدٍ - Kabad

G. كَذَّبَتْ -  Kadhdhabat

H. Sahi Jawab ka intezar hai

----------

1. Day

2. He Fails

3. Denied

4. She Camel

5. Hunger

6. Hardship

7. Two lips

8. Two Ears

9. None of the above


💐 Sahih Jawab : 1594963 💐✅

--------------

وَالنَّهَارِ إِذَا جَلَّاهَا 

Kasam hai din ki jo suraj ko roshan kare 

Surah As-Shams 91 : 3

--------------

اَوۡ اِطۡعٰمٌ فِیۡ یَوۡمٍ ذِیۡ مَسْغَبَةٍ

Ya Bhook ke din khana khilana

Surah Al-Balad 90 : 14

---------------

اَلَمۡ نَجۡعَلۡ لَّہ عَیۡنَیۡنِ

Kya Humne iski do Aakhein nahi banayee

Surah Al-Balad 90 : 8

---------------

فَقَالَ لَہُمۡ  رَسُوۡلُ اللّٰہِ نَاقَةَ اللّٰہِ وَ سُقۡیٰهَا

Inhein Allah ke Rasool ne farma diya tha ke Allah Taala ki Oontni aur iske peene ki bari ki (hifazaat karo)

Surah As-Shams 91 : 13

---------------

قَدۡ اَفۡلَحَ مَنۡ  زَکّٰهَا

Jisne isko paak kiya woh Kamyaab hua

Surah As-Shams 91 : 9

---------------

لَقَدۡ خَلَقۡنَا الۡاِنۡسَانَ فِیۡ کَبَدٍ

Yaqeenan humne insaan ko museebat mein (rahne wala) paida kiya hai

Surah Al-Balad 90 : 4

---------------

كَذَّبَتْ ثَمُودُ بِطَغْوَاهَا

Qaum Samood ne apni Sarkaashi se (saleh Alaihi salam ko) Jhutlaya tha

Surah As-Shams 91 : 11


💐 Answer : 1594963 💐✅

----------------

وَالنَّهَارِ إِذَا جَلَّاهَا 

And by the day when it displays it

Surah As-Shams 91 : 3

----------------

اَوۡ اِطۡعٰمٌ فِیۡ یَوۡمٍ ذِیۡ مَسْغَبَةٍ

Or feeding on a day of severe hunger

Surah Al-Balad 90 : 14

-------------

اَلَمۡ نَجۡعَلۡ لَّہ عَیۡنَیۡنِ

Have We not made for him two eyes? 

Surah Al-Balad 90 : 8

--------------

فَقَالَ لَہُمۡ  رَسُوۡلُ اللّٰہِ نَاقَةَ اللّٰہِ وَ سُقۡیٰهَا

And the messenger of Allah [Salih] said to them, "[Do not harm] the she-camel of Allah or [prevent her from] her drink.

Surah As-Shams 91 : 13

---------------

قَدۡ اَفۡلَحَ مَنۡ  زَکّٰهَا

He has succeeded who purifies it.

Surah As-Shams 91 : 9

--------------

لَقَدۡ خَلَقۡنَا الۡاِنۡسَانَ فِیۡ کَبَدٍ

We have certainly created man into hardship

Surah Al-Balad 90 : 4

---------------

كَذَّبَتْ ثَمُودُ بِطَغْوَاهَا

Thamud denied [their prophet] by reason of their transgression

Surah As-Shams 91 : 11


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1356* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1356* ❗


*Sawal  : Wo kaunsa amal hai jo 2 saal se bhi zyada ki ibadat karne se Afzal hai ?*


A. Kisi mujahid ke ghar ki dekhbhal karna

B. Chasht ki 2 rakat namaz padhna

C. Fitno ke daur mein 5 waqt ki namaz padhna

D. Kisi Musalman ki madada ke liye jana

E. Allah ki raah mein hijrat karne wale

F. Allah ki raah mein ek din ke liye pahra dena

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Quiz : Which deed is better than the worship of more than 2 years ?


A. Look after the house of the Mujahid behind him

B. Praying 2 rakah of Duha (Chasht)

C. Praying 5 times at the time of turmoil (fitna)

D. Step out to help any muslim

E. To Migrate for the sake of Allah

F. Patroling any border a day, for Allah's sake

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my Knowledge)


💐 *Sahih Jawab : F* 💐✅
-------
✦: Rasool-Allah Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Behsak Allah Subhanahu ki raah mein ek din ke liye pehra dena Ek hazar  dino ( yani 2 saal se bhi zyada)  ki ibadat se behtar hai

Musnad Ahmed - 4802-Sahih


💐 *Answer : F* 💐✅
-------

✦: Rasool-Allah Allah Sallallahu Alaihi Said Indeed patrolling in the way Allah for a day is better than worship of one thousand days ( Which is more than two years)

Musnad Ahmed - 4802-Sahih

Wednesday, June 2, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1355* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1355* ❗


*Sawal : Rasool-Allah  Sallallahu Alahihi Wasallam ne Madina Hijrat se pahle Kuch Sahaba ko waha bhje diya tha , un Sahaba ko Waha namaz kaun padhata tha ?*


A. Abu Salma Radi Allahu Anhu 

B. Uthman bin mazoon Radi Allahu Anhu 

C. Salim Radi Allahu Anhu 

D. Uthman bin Affan Radi Allahu Anhu 

E. Abu Hudaifa Radi Allahu Anhu 

F. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Quiz : Before migration , Rasool-Allah  Sallallahu Alahihi Wasallam Sent some sahaba to madina , who used to lead them in prayer  ?


A. Abu Salma Radi Allahu Anhu 

B. Uthman bin mazoon Radi Allahu Anhu 

C. Salim Radi Allahu Anhu 

D. Uthman bin Affan Radi Allahu Anhu 

E. Abu Hudaifa Radi Allahu Anhu 

F. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu 

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my Knowledge)


💐 *Sahih Jawab : C*💐✅

------

Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki pahle Mujajirin jo Rasool-Allah  Sallallahu Alahihi Wasallam ke Hijrat se bhi pahle Quba ke muqam Al-Usba mein pahuchey they to unki imamat Abu Huzaifa ke Gulam Salim Radi Allahu Anhu kiya karte they aur unko Quran Majid sabse zyada yaad tha

Sahih Bukhari-692


💐 *Answer : C*💐✅

------

Narrated Ibn Umar Radi Allahu Anhu When the earliest emigrants came to Al-Usba  a place in Quba, before the arrival of the Rasool-Allah  Sallallahu Alahihi Wasallam, Salim Radi Allahu Anhu who was the slave of Abu Hudhaifa, and knew the Qur'an more than the others used to lead them in prayer.

Sahih Bukhari-692


 

Tuesday, June 1, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1354* ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1354* ❗

Sawal 1 : Wo kaunse Nabee hain jinko Allah Subhanahu ne do Aasmani kitabo ka ilm diya tha ?

Sawal 2 : Wo kaunse Nabee hain jinke liye Allah Suhanahu ne farmaya ki wo apne maa  baap ke saath neik suluq karne wale they ?

A. Musa Alaihi Salam 

B. Isa Alaihi Salam 

C. Dawud Alaihi Salam 

D. Yaqub Alaihi Salam 

E. Sulaiman Alaihi Salam 

F. Yahya Alaihi Salam 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1354* ❗

Quiz 1 : To whom Allah gave the knowledge of two books of heaven ?

Quiz 2 : For whom Allah said that he was dutiful towards his parents ?

A. Musa Alaihi Salam 

B. Isa Alaihi Salam 

C. Dawud Alaihi Salam 

D. Yaqub Alaihi Salam 

E. Sulaiman Alaihi Salam 

F. Yahya Alaihi Salam 

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my Knowledge)


💐 *Sahih Jawab : BF*💐✅

------

Al Quran : Eh Yahya (Alaihi Salam) kitab ko mazbuti se pakdo aur humne unhe bachpan hi mein hikmat ata farmayee thi Aur unhe apne paas se raham dili aur pakizgi inayat farmayee aur wo parhezgar they Aur apne maa baap ke saath neik suluq karne wale they aur sarkash aur nafarman nahi they Aur un par salam ho jis din wo paida huye aur jis din wafat huyee aur jis din wo zinda karke uthaye jayenge

Surah Maryam(19) 12-15


Al Quran : Jab Allah farmayega Eh Isa ibn Maryam (Alaihi salam) mere un ehsano ko yaad karo jo maine tum apr aur tumhari walida par kiye jab maine Rooh-ul-Quddus (Jibril Alaihi salam) se tumhari madad ki tum jhoole (cradle) mein aur jawan hokar logo se guftgu karte they aur maine tumko Kitab aur danayee aur taurat aur injeel sikhayee

Surah Al-Maaida 5:110


💐 *Answer : BF*💐✅

------

(It was said to his son): "O Yahya (John)! Hold fast the Scripture [the Taurat (Torah)]." And We gave him wisdom while yet a 

child.And (made him) sympathetic to men as a mercy (or a grant) from Us, and pure from sins [i.e. Yahya (John)] and he was righteous, And dutiful towards his parents, and he was neither arrogant nor disobedient (to Allah or to his parents) And Salam (peace) be on him the day he was born, and the day he dies, and the day he will be raised up to life (again)!

Surah Maryam(19) 12-15


(Remember) when Allah will say (on the Day of Qayamah). O Isa (jesus), son of Maryam (Mary) Alaihi salam, Remember My 

Favour to you and to your mother when I supported you with Ruh-ul-Qudus [Jibril Alaihi Salam] so that you spoke to the people in the cradle and in maturity; and when I taught you writing, Al-Hikmah (the power of understanding), the Taurat (Torah) and the Injeel (Gospel).

Surah Al-Maaida 5:110