Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, December 18, 2018

❗Only-Quran-Hadith Quiz 601❗


 ❗Only-Quran-Hadith Quiz  601❗


Sawal 1 : Jannat mein Mujahido ke liye kitne darje hain ?

A. 70
B. 100
B. 7
C. 700
E. 80
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Allah ke waha sabse unche darje ka naam kya hai ?

A. Dar As-Salam
B. Al-Firdaus
C. Al-Mava
D. Al-Adan
E. Al-Waseela
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal 1 : How many grades are reserved for the Mujahidin in paradise?

A. 70
B. 100
C. 7
D. 700
E. 80
F.  None of the above
G. I want to know

Sawal 2 : What is the name of the Highest grade near Allah ?

A. Dar As-Salam
B. Al-Firdaus
C. Al-Mava
D. Al-Adan
E. Al-Waseela
F.  None of the above
G. I want to know

 ✅ *Sahi Jawab BE* 
----------
Abu Hurairah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jannat mein 100 darje hain jo ALLAH taala ne apne raaste mein jihad karne walon (Mujahido) ke liye tayyar kiye hain unkey do darjon mein itna fasla hai jitna aasman aur zameen mein hai isliye jab ALLAH taaala se mangna ho to Al-firdaus mango kyunki wo jannat ka darmiyani hissa aur buland jannat hai
Sahih Bukhari, Vol 4,2790
----------
*قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم*
*إِنَّ فِي الْجَنَّةِ مِائَةَ دَرَجَةٍ أَعَدَّهَا اللَّهُ لِلْمُجَاهِدِينَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ، مَا بَيْنَ الدَّرَجَتَيْنِ كَمَا بَيْنَ السَّمَاءِ وَالأَرْضِ، فَإِذَا سَأَلْتُمُ اللَّهَ فَاسْأَلُوهُ الْفِرْدَوْسَ، فَإِنَّهُ أَوْسَطُ الْجَنَّةِ وَأَعْلَى الْجَنَّةِ،*
----------
Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya *Al-Waseela Allah subhnahu ke waha (sabse aala) darja hai , uske upar koi darja nahi* tum mere liye Allah subhanahu se us waseele ka sawal kiya karo
Al-Silsila-tus-Sahiha 2988
---------
*قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : الْوَسِيلَةُ دَرَجَةٌ عِنْدَ اللهِ لَيْسَ فَوْقَهَا دَرَجَةٌ فَسَلُوا اللهَ أَنْ يُؤْتِيَنِي الْوَسِيلَةَ*
----------
Note :  
✦ Dusra sawal ye nahi tha ki Jannat ka sabse uncha darja kaunsa hai ? sawal ye tha ki Allah ke waha sabse uncha darja kaunsa hai.Jannat al firdaus mein to bahut sare momeen bhi rahenge magar Al waseela aisa muqam hai jo sirf ek bande ko diya jayega aur ummed hai ki wo RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam honge

✦ Hadith : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Muazzin ki adhan suno to wahi kaho jo muazzin kahta hai , uske baad mujh par durud padho, kyunki jo mujh par ek baar durud padhta hai ALLAH subhanahu us par 10 rahmatein nazil farmata hai , iske baad ALLAH subhanahu se mere liye Al-waseela maango kyunki waseela jannat mein ek muqam hai jo ALLAH ke bando mein se sirf ek bande ko milega aur jo koi mere liye waseela talab karega uske liye meri shafaat wajib ho jayegi
Sahih Muslim, Vol 1, 849

✦ RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Al waseela sirf ek hi shaks ko ata kiya jayega aur main ummed rakhta hu ki wo main hi hu
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1544-Sahih

 ✅ *Answer BE*  💐
----------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallamsaid, "Paradise has one-hundred grades which ALLAH has reserved for the Mujahidin who fight in His Cause, and the distance between each of two grades is like the distance between the Heaven and the Earth. So, when you ask ALLAH (for something), ask for Al-firdaus which is the best and highest Paradise.
Sahih Bukhari, Book 52, No. 48
----------
قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم
إِنَّ فِي الْجَنَّةِ مِائَةَ دَرَجَةٍ أَعَدَّهَا اللَّهُ لِلْمُجَاهِدِينَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ، مَا بَيْنَ الدَّرَجَتَيْنِ كَمَا بَيْنَ السَّمَاءِ وَالأَرْضِ، فَإِذَا سَأَلْتُمُ اللَّهَ فَاسْأَلُوهُ الْفِرْدَوْسَ، فَإِنَّهُ أَوْسَطُ الْجَنَّةِ وَأَعْلَى الْجَنَّةِ،
----------
✦ Narrated Abu Saeed khudri radi Allahu anhu that RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam said Al-Waseela is a (highest) grade near Allah , there is no grade above this,  so you asked Allah, Al-waseela for me. 
Al-Silsila-tus-Sahiha 2988
---------
قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : الْوَسِيلَةُ دَرَجَةٌ عِنْدَ اللهِ لَيْسَ فَوْقَهَا دَرَجَةٌ فَسَلُوا اللهَ أَنْ يُؤْتِيَنِي الْوَسِيلَةَ
---------
✦Note : 
 It was not the question that what is the name of highest grade of paradise , the question was  what is the name of the *Highest grade near Allah* ?  Al-firdaus will be given to many muslims but Al waseela may be given to the Rasool-Allah salAalalhu alaihi wasallam only

The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam When you hear the Mu'adhdhin, repeat what he says, then invoke a blessing on me, for everyone who invokes a blessing on me will receive ten blessings from Allah; then beg from Allah Al-Waseela for me, which is a rank (grade) in Paradise fitting for only one of Allah's servants, and I hope that I may be that one. If anyone who asks that I be given the Wasila, he will be assured of my intercession.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 747

The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: No one will attain Al-Waseela except for one man, and I hope that I am him.

Jamia Tirmidhi , Book 46, 3612-Sahih

No comments:

Post a Comment