Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, April 22, 2017

❗islamic Quiz-111❗


islamic Quiz-111
Sawal: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne kiske liye ye farmaya ki wo hum mein se nahi hai?
A. Jo Padosi ko takleef pahuchaye
B. Jo Chori karta ho
C. Jo Hamare bado ka ehatram na kare
D. Jo hamare Janaze mein shamil na ho
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------------
Quiz :For whom the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said that He is not one of us...
A. The one who hurt neighbor
B. The one who steal something
C. The one who does not respect our elders
D. The one who does not attend our funeral
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab C

Hadith: jo shakhs hamare choto par raham na kare aur hamare bado ka ehatram na kare wo hum mein se nahi hai
----------------
Abdullah ibn Amr ibn Al-As Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo hamare choto par raham na kare aur hamare bado ke huquq ko na pahchane wo hum mein se nahi hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1506-Sahih

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki maine suna Abu Qasim ( Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ) ne farmaya jo hamesha sach kahne wale aur tasdeeq ki huyee baat kahte hai ki Meharbani aur raham dili sirf usee se cheen li jati hai jo badbakht hota hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1505-Hasan

Anas bin Malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki ek budha shakhs Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se mulaqat ke liye hazir hua , logo ne usko raasta dene mein der ki to us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs hamare choto par raham na kare aur hamare bado ka ehatram na kare wo hum mein se nahi hai
Jamia Tirmidhi Jild 1,1982-Hasan
--------------------------------

Answer C


Narrated Abdullah ibn Amr ibn Al-As Radi allahu anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Those who do not show mercy to our young ones and do not realise the right of our elders are not from us.
Sunan Abu Dawud, Book 42, 4925-Sahih

Narrated Abu Hurairah Radi allahu anhu I heard AbulQasim Sal-Allahu Alaihi Wasallam who spoke the truth and whose word was verified say: Mercy is taken away only from him who is miserable.
Sunan Abu Dawud, Book 42, 4924-Hasan

Anas bin Malik Radi allahu anhu narrated that An older man came to talk to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , and the people were hesitant to make room for him. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said He is not one of us who does not have mercy on our young and does not respect our elders."
Jamia Tirmidhi , Book 1, 1919-Hasan

No comments:

Post a Comment