Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, September 15, 2014

Mafhum-e-hadith- Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland




Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-hadith- Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland

Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada durud bhejte hain 
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 466-Hasan 

Hazrat Hussain ibn Ali radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bakheel wo hai jiske samney mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na bhejey 
Jamia Tirmidhi, Vol2, #1469 – Sahih 

Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland hongey 
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 ( Sahih) 

Abdullah bin Abi talha apney walid se rivayat kartey hain ki ek din Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef laaye to aapkey chehre Mubarak par khushi mehsus ho rahi thi to humney Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki aapkey chehrey Mubarak par khushi ki wajah kya hai? to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya abhi mere pass Jibril tashreef laaye aur kaha ki ( Allah farmata hai) kya tum is baat se khush nahi ho ki tumhari ummat mein se jo shaksh ek martaba durud bhejega to main us par 10 rahmat nazil karunga aur tumhari ummmat mein se jo shaksh ek martaba Salam bhejega to main us par 10 martaba salamati bhejunga 
Sunan Nasai, Vol 2, #1298 (Hasan) 

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho 
Sunan Abu Dawud, vol2, 274-Sahih 
-------------------------------------------------------------------------------
Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid. 
Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid



English Translation:

Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu narrated that :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The person closest to me on the Day of Judgement is the one who sent the most Salat (durud) upon me." 
Jamia Tirmidhi, Vol. 1, Book 3, Hadith 484-Hasan 

It was narrated from Husain ibn Ali may Allah be pleased with them that the Messenger of Allah peace be upon him said: The miser is the one in whose presence I am mentioned and he does not send blessings upon me. 
Jamia Tirmidhi , 3546 – Sahih 

Anas bin Malik Radi Allahu Anhu said The prophet peace be upon him Said whoever send Salah ( Durud) upon me Once, Allah will send him Salah upon him ten fold, and will erase ten sins from him and will raise him ten degrees in Status 
Sunan An Nasaii, Vol 2, 1298 ( Sahih) 

It was narrated from Abdullah bin Abi Talhah, from his father, that The Messenger of Allah Peace be upon him came one day with a joyful expression on his face. He Peace be upon him said: "Jibril came to me and said: ( Allah Said) 'Will it not please you, O Muhammad, (to know) that no one of your Ummah will send salah upon you but I will send salah upon him tenfold, and no one will send salams upon you but I will send salams upon him tenfold?" 
Sunan Nasai, Vol 2, #1296 (Hasan) 


Abu Hurairah Radi allahu anhu said that The Prophet peace be upon him said: invoke blessings on me, for your blessings reach me wherever you may be. 
Sunan Abu Dawud, Book #10, #2037-Sahih

No comments:

Post a Comment