Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, December 11, 2012

Mafhum-e-Hadith: Karz aur Ranj-o-Gam Dur Karney ki Dua


Mafhum-e-Hadith: Karz aur Ranj-o-Gam Dur Karney ki Dua

Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Din Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Masjid mein tashreef laye wahan Aapney ek Ansari shaksh ko dekha jinka naam Abu Umama tha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha Eh Abu Umama kya baat hai main tumko aisey waqt mein masjid mein dekh raha hu jabki namaz ka Waqt nahi hai Abu Umama ne k
aha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe Gam (worry) aur karzo ne ghair rakha hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tujho aisey kalimat na sikhauu jinko agar tu kahey to Allah subhanahu teri tamam fikar dur farma dega aur tere Tamam Karz Ada ho jayega , unhoney kaha kyun nahi , bateeye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Subah aur Shaam ke waqt ye Dua parha kar
“ اللهم انى اعوذ بك من الهم والحزن ..واعوذ بك من العجز والكسل .. واعوذ من الجبن والبخل ... واعوذ بك من غلبة الدين وقهر الرجال ”
( "Allahuma inni 'auzubika minal hammi wal hazan, wa 'auzubika minal ajzi wal kasal, wa 'auzubika minal jubni wal bukhal, wa 'auzubika minal ghalabatid diini wa qahri rijal.")
Eh Allah, main Ranj (worry) aur gam (grief) se teri panaah maangta hu,
mein Aajazi aur Susti se teri panaah maangta hu,
mein Buzdili aur Bukhal se teri panaah maangta hu,
main Karz ke boje se aur Logon ke Qahar se teri panaah maangta hu

Abu Umama Radi Allahu Anhu ne kaha ki jab mainey is par Amal kiya to Allah subhanhu ne meri tamam fikr dur farma di aur tamam Karz Ada karwa diya
Sunan Abu Dawud, Vol1, 1542



----------------------------------------------------------------------



Narrated AbuSa'id al-Khudri Radi Allahu Anhu : One day the Apostle of Allah (peace_be_upon_him) entered the mosque. He saw there a man from the Ansar called AbuUmamah. He Sallallahu Alaihi Wasallam said: What is the matter that I am seeing you sitting in the mosque when there is no time of prayer? He said: I am entangled in cares (worry) and debts, Apostle of Allah. He Sallallahu Alaihi Wasallam replied: Shall I not teach you words by which, when you say them, Allah will remove your care (worry) , and settle your debt? He said: Why not, Apostle of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ? He Sallallahu Alaihi Wasallam said: Say in the morning and evening: 
“ اللهم انى اعوذ بك من الهم والحزن ..واعوذ بك من العجز والكسل .. واعوذ من الجبن والبخل ... واعوذ بك من غلبة الدين وقهر الرجال ”

O Allah I seek refuge in You from Care (worry) and grief, 
I seek refuge in You from incapacity (hopelessness) and slackness (laziness) 
I seek refuge in You from cowardice and niggardliness (miserliness) and 
and I seek refuge in you from being overcome by debt and being put in subjection by men." 

Abu Umama said: When I did that Allah removed my care(worry) and settled my debt. 
Sunan Abu Dawud, Book #8, Hadith #1550

No comments:

Post a Comment