Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Hadith: Allah subhanahu kisi bandey se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai aur..
Hadith: Allah subhanahu kisi bandey se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai aur..
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab Allah subhanahu kisi bandey se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai aur kahta hai ki Allah falah bandey se Muhabbbat karta hai tum bhi
us sey Muhabbat karo, Jibril Alaihi salam bhi us sey Muhabbat karney lagtey hain phir wo tamam aasman walon ko aawaz dete hain ki Allah subhanahu falah bandey se Muhabbat karta hai tum bhi us sey Muhabbat karo phir tamam aasman waley us sey Muhabbat karney lagtey hain uskey baad wo zameen mein bhi Maqbul aur Mehboob ban jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6040
_____________________
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جب اللہ کسی بندہ سے محبت کرتا ہے تو جبرائیل علیہ السلام کو آواز دیتا ہے کہ اللہ فلاں بندے سے محبت کرتا ہے تم بھی اس سے محبت کرو۔ جبرائیل علیہ السلام بھی اس سے محبت کرنے لگتے ہیں، پھر وہ تمام آسمان والوں میں آواز دیتے ہیں کہ اللہ فلاں بندے سے محبت کرتا ہے۔ تم بھی اس سے محبت کرو۔ پھر تمام آسمان والے اس سے محبت کرنے لگتے ہیں۔ اس کے بعد وہ زمین میں بھی ( اللہ کے بندوں کا ) مقبول اور محبوب بن جاتا ہے۔
صحیح بخاری جلد۷ ۶۰۴۰
________________
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "If Allah loves a person, He calls Gabriel saying: 'Allah loves so and so; O Gabriel, love him.' Gabriel would love him, and then Gabriel would make an announcement among the residents of the Heaven, 'Allah loves so-and-so, therefore, you should love him also.' So, all the residents of the Heavens would love him and then he is granted the pleasure of the people of the earth."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 66
No comments:
Post a Comment