Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, December 11, 2012

Mafhum-e-Quran: Kasam ko puri karna ya phir uska kaffara Ada karna jaruri hai


Bismillah irrhaman Nirrahim

Mafhum-e-Quran: Kasam ko puri karna ya phir uska kaffara Ada karna jaruri hai

Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhey naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta (mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darjey ka khana khilana hai jo tum apney ghar walo ko khilatey ho ya 10 miskino ko kapdey dena ya Ek Ghulam Aazd karn
a phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke rozey rakhey ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) aur tumhey chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , Allah Subhanahu isi tarah tumharey liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Abu Bakr Radi Allahu Anhu kabhi bhi apni kasam nahi todtey they yahan tak ki Allah Subhanahu ne kasam ke kaffarey ki aayat nazil ki, us waqt unhoney kaha ki ab agar main koi kasam kahaunga aur uskey siwa koi cheez bhalaii ki hogi to main wohi kaam karunga jsimein bhalaii hogi aur kasam ka kaffara ada kar dunga
Sahih Bukhari, 6621

----------------------------------------------------------
English Translation:
Allah will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . And protect your oaths (i.e. do not swear much) . Thus Allah make clear to you His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that you may be grateful.
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Abu Bakr As-Siddiq radi allahu anhu had never broken his oaths till Allah revealed the expiation for the oaths. Then he said, "If I take an oath to do something and later on I find something else better than the first one, then I do what is better and make expiation for my oath."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 618


Mafhum-e-Hadith: Karz aur Ranj-o-Gam Dur Karney ki Dua


Mafhum-e-Hadith: Karz aur Ranj-o-Gam Dur Karney ki Dua

Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Din Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Masjid mein tashreef laye wahan Aapney ek Ansari shaksh ko dekha jinka naam Abu Umama tha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha Eh Abu Umama kya baat hai main tumko aisey waqt mein masjid mein dekh raha hu jabki namaz ka Waqt nahi hai Abu Umama ne k
aha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe Gam (worry) aur karzo ne ghair rakha hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tujho aisey kalimat na sikhauu jinko agar tu kahey to Allah subhanahu teri tamam fikar dur farma dega aur tere Tamam Karz Ada ho jayega , unhoney kaha kyun nahi , bateeye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Subah aur Shaam ke waqt ye Dua parha kar
“ اللهم انى اعوذ بك من الهم والحزن ..واعوذ بك من العجز والكسل .. واعوذ من الجبن والبخل ... واعوذ بك من غلبة الدين وقهر الرجال ”
( "Allahuma inni 'auzubika minal hammi wal hazan, wa 'auzubika minal ajzi wal kasal, wa 'auzubika minal jubni wal bukhal, wa 'auzubika minal ghalabatid diini wa qahri rijal.")
Eh Allah, main Ranj (worry) aur gam (grief) se teri panaah maangta hu,
mein Aajazi aur Susti se teri panaah maangta hu,
mein Buzdili aur Bukhal se teri panaah maangta hu,
main Karz ke boje se aur Logon ke Qahar se teri panaah maangta hu

Abu Umama Radi Allahu Anhu ne kaha ki jab mainey is par Amal kiya to Allah subhanhu ne meri tamam fikr dur farma di aur tamam Karz Ada karwa diya
Sunan Abu Dawud, Vol1, 1542



----------------------------------------------------------------------



Narrated AbuSa'id al-Khudri Radi Allahu Anhu : One day the Apostle of Allah (peace_be_upon_him) entered the mosque. He saw there a man from the Ansar called AbuUmamah. He Sallallahu Alaihi Wasallam said: What is the matter that I am seeing you sitting in the mosque when there is no time of prayer? He said: I am entangled in cares (worry) and debts, Apostle of Allah. He Sallallahu Alaihi Wasallam replied: Shall I not teach you words by which, when you say them, Allah will remove your care (worry) , and settle your debt? He said: Why not, Apostle of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ? He Sallallahu Alaihi Wasallam said: Say in the morning and evening: 
“ اللهم انى اعوذ بك من الهم والحزن ..واعوذ بك من العجز والكسل .. واعوذ من الجبن والبخل ... واعوذ بك من غلبة الدين وقهر الرجال ”

O Allah I seek refuge in You from Care (worry) and grief, 
I seek refuge in You from incapacity (hopelessness) and slackness (laziness) 
I seek refuge in You from cowardice and niggardliness (miserliness) and 
and I seek refuge in you from being overcome by debt and being put in subjection by men." 

Abu Umama said: When I did that Allah removed my care(worry) and settled my debt. 
Sunan Abu Dawud, Book #8, Hadith #1550

Al Quran: Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho.....



Bismillah irrahman nirrahim

Al Quran: Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho.....

Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho , Allah ki taraf gawahii do , chahey Apni jaano par ho ya Apney Maan Baap aur rishteydaron par , chahey koi Maaldaar ho ya faqeer , Allah inka tumse ziyada khair khwah hai
Al Quran An-Nisa, (4) Aayah 135

Hadith: Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Usama Radi Allahu Anhu ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se ek aurat ki sifarish ki ( jisney chori ki thi) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se pahley ke log isliye halaq ho gaye ki wo kamzoron par to hadd ( Saza) Qayam kartey they aur Buland martaba logo ko chor dete they us zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai agar Fatima Radi Allahu Anha ne bhi chori ki hoti to main uska bhi haath kaat leta
Sahih Bukhari, Vol 8, 6787

----------------------------------------------------------------
English Translation:
O you who believe! Stand out firmly for justice, as witnesses to Allah, even though it be against yourselves, or your parents, or your kin, be he rich or poor, Allah is a Better Protector to both (than you).
Al Quran An-Nisa, Ch 4, Verse 135

Hadith: Narrated 'Aisha Radi Allahu Anhu : Usama Radi Allahu Anhu approached the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam on behalf of a woman (who had committed theft). The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The people before you were destroyed because they used to inflict the legal punishments on the poor and forgive the rich. By Him in Whose Hand my soul is! If Fatima (the daughter of the Prophet ) did that (i.e. stole), I would cut off her hand."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 81, Number 778

Hadith: Allah subhanahu kisi bandey se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai aur..




Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Allah subhanahu kisi bandey se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai aur..

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab Allah subhanahu kisi bandey se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai aur kahta hai ki Allah falah bandey se Muhabbbat karta hai tum bhi 
us sey Muhabbat karo, Jibril Alaihi salam bhi us sey Muhabbat karney lagtey hain phir wo tamam aasman walon ko aawaz dete hain ki Allah subhanahu falah bandey se Muhabbat karta hai tum bhi us sey Muhabbat karo phir tamam aasman waley us sey Muhabbat karney lagtey hain uskey baad wo zameen mein bhi Maqbul aur Mehboob ban jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6040


_____________________


نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جب اللہ کسی بندہ سے محبت کرتا ہے تو جبرائیل علیہ السلام کو آواز دیتا ہے کہ اللہ فلاں بندے سے محبت کرتا ہے تم بھی اس سے محبت کرو۔ جبرائیل علیہ السلام بھی اس سے محبت کرنے لگتے ہیں، پھر وہ تمام آسمان والوں میں آواز دیتے ہیں کہ اللہ فلاں بندے سے محبت کرتا ہے۔ تم بھی اس سے محبت کرو۔ پھر تمام آسمان والے اس سے محبت کرنے لگتے ہیں۔ اس کے بعد وہ زمین میں بھی ( اللہ کے بندوں کا ) مقبول اور محبوب بن جاتا ہے۔ 

صحیح بخاری جلد۷ ۶۰۴۰

________________

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "If Allah loves a person, He calls Gabriel saying: 'Allah loves so and so; O Gabriel, love him.' Gabriel would love him, and then Gabriel would make an announcement among the residents of the Heaven, 'Allah loves so-and-so, therefore, you should love him also.' So, all the residents of the Heavens would love him and then he is granted the pleasure of the people of the earth."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 66

Monday, December 10, 2012

Mafhum-e-Hadith: Namaz ko Jamaat ke saath parhney ki Fazilat


Bismillah irrahman Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Namaz ko Jamaat ke saath parhney ki Fazilat
(Importence of prayer in a congregation )

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karkey Masjid ke liye nikley aur jab wahan pahunchey to dekhey ki log namaz se farig ho chukey they (yani jamaat ho chuki thi) to Allah subhanahu usko bhi utna sawab dengey jitna us shakhsh ko mila hai jisney Jamaat ke saath namaz Parhi ho aur jamaat se namaz Parhney walon ke Ajar mein bhi kuch kami na hogi
Sunan Abu Dawud, 562

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Jamaat ki namaz Akeley shaksh ki namaz se 25 darja ziyada hai
Sahih Muslim, 1472
------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu The Prophet (peace_be_upon_him) said: whoever performs ablution, and performs his ablution perfectly, and then goes to the mosque and finds that the people had finished the prayer (in congregation), Allah will give him a reward like one who prayed in congregation and attended it; The reward of those who prayed in congregation will not be curtailed
Sunan Abu Dawud,Book 2, Number 0564:

Abu Huraira reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: prayer said in a congregation is twenty-five degrees more excellent than prayer said by a single person.
Sahih Muslim, Book #004, Hadith #1360


Mafhum-e-Hadith: in-Sha-Allah kahney ki fazillat


Bismillah irrahman Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: in-Sha-Allah kahney ki fazillat
( Importence of Saying in-Sha-Allah)

Urdu Translation:
Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Sulaiman Alaihi Salam ne ek din kaha ki Aaj raat mein apni 90 aurton (yani biwiyon) ke pass jauunga aur sabse Ek Ghudsawar ( horse rider) bachcha paida hoga jo Allah Subhanahu ke raastey mein Jihad karega is par unkey saathi ne kaha ki In-Sha-Allah lekin Sulaiman Alaihi Salam ne in-Sha-Allah nahi kaha, phir wo apni tamam aurton (biwiyon) ke pass gaye lekin Ek ke siwa kisi se hamal nahi hua aur wo bhi nakis ( adhura) bachcha paida hua , us jaan ki kasm jiskey haath mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke jaan hai agar unhoney In-Sha-Allah kah diya hota to (tamam biwiyon ke yahan bachchey paida hotey) aur sab ghodo (horse) par sawar hokar Allah subhanahu ke Rasstey mein Jihad karney waley hotey
Sahih Bukhari, Vol8, 6639
----------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "(The Prophet) Solomon Alaihi Salam once said, 'Tonight I will sleep with ninety women ( wives), each of whom will bring forth a (would-be) cavalier who will fight in Allah's Cause." On this, his companion said to him, "Say: Allah willing!" But he did not say Allah willing. Solomon Alihi Salam then slept with all the women (wives), but none of them became pregnant but one woman (wife) who later delivered a half-man. By Him in Whose Hand Muhammad's soul is, if he (Solomon) had said, 'Allah willing' (all his wives would have brought forth boys) and they would have fought in Allah's Cause as cavaliers. "
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 634:


Mafhum-e-Hadith: Aur Umar radi allahu anhu ka Imaan mukammal ho gaya


Abdullah bin Hisham Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath they aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ka haath pakdey huye they Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap mujhe har cheez se ziy
ada azeez hai siwaye apni jaan ke to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nahi, us Zaat ki kasam jiskey hatah mein meri jaan hai (tumhara imaan us waqt tak muqammal nahi ho sakta) jab tak ki main tumhey tumhari Apni jaan se bhi ziyada azeez na ho jauu Umar Radi Allahu Anhu se arz kiya ki Allah ki kasam ab se Aap mujhe apni jaan se bhi ziyada azeez hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haan Umar ab ( tumhara Imaan pura ho gaya)
Sahih Bukhari, Vol 8, 6632

----------------------------------------------------
Narrated 'Abdullah bin Hisham Radi Allahu Anhu : We were with the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam and he Sallallahu Alaihi Wasallam was holding the hand of 'Umar bin Al-Khattab. 'Umar said to Him, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! You are dearer to me than everything except my own self." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "No, by Him in Whose Hand my soul is, (you will not have complete faith) till I am dearer to you than your own self." Then 'Umar said to him, "However, now, by Allah, you are dearer to me than my own self." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Now, O 'Umar, (you are a believer)."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 628


Mafhum-e-Hadith: Hadith: Musalmaan ki madad karney ka Sawab


Bismillah irrahman Nirrhim

Hadith: Musalmaan ki madad karney ka Sawab
( The Rewards for Helping Muslims)
Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek musalman dusrey musalman ka bhai hai ,isliye us par zulm na karey aur na zulm honey de. Jo shaksh apney bhai ki jarurat puri karey Allah taala uski jarurat puri karega. Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur karey Allah taala uski Qayamat ki museebaton mein se ek badi museebat ko dur farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye Allah taala Qayamat mein uskey aib ko chupayega.
Sahih Bukhari, 2442

English Translation:
Narrated 'Abdullah bin Umar Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A Muslim is a brother of another Muslim, so he should not oppress him, nor should he hand him over to an oppressor. Whoever fulfilled the needs of his brother, Allah will fulfill his needs; whoever brought his (Muslim) brother out of a discomfort, Allah will bring him out of the discomforts of the Day of Resurrection, and whoever screened ( hide mistakes) a Muslim, Allah will screen him on the Day of Resurrection . "
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 43, No. 622:


AL Quran- Beshaq Musalman Aapas mein bhai bhai hain isliye apney bhaiyon mein sulah kara diya karo



Bismillah-Irrahman-Nirrahim

Beshaq Musalman Aapas mein bhai bhai hain isliye apney bhaiyon mein sulah kara diya karo aur Allah se daro taki tum par Raham kiya jaye
AL Quran: Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #10
Hadith: Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh kisi momeen par se duniya ki sakhtiyon mein se ek sakhti dur karega to Allah Subhanahu us par aakhirat ki sakhtiyon mein se ek sakhti dur karega
Aur jo shaksh muflis ko mohlat de ( yani us par apney karz ke liye sakhti na karey) to Allah subhanahu us par aasani karega aakhirat mein , Aur jo shaksh kisi Musalman ko AIb chupayega duniya mein to Allah subhanahu uska Aib chupayega duniya mein aur aakhirat mein, Allah subhanahu apney bandey ki madad mein rahta hai jab tak banda apney (musalman) bhai ki madad mein rahta hai……
Sahih Muslim, Volume 6, 6853 ( Part 1 )
-----------------------------------------------------
English Translation:
The believers are nothing else than brothers (in Islam). So make reconciliation between your brothers, and fear Allah, that you may receive mercy.
AL Quran: Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #10

Abu Huraira reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: He who alleviates the suffering of a brother out of the sufferings of the world, Allah would alleviate his suffering from the sufferings of the Day of Resurrection, and he who finds relief for one who is hard pressed, Allah would make things easy for him in the Hereafter, and he who conceals (the faults) of a Muslim, Allah would conceal his faults in the world and in the Hereafter. Allah is at the back of a servant so long as the servant is at the back of his brother
Sahih Muslim, Vol , # Book 035, Number 6518 ( part 1)