Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, June 8, 2023

✦ : Hadith: Allah Subhanahu ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq se burey log

 



Bismillahhirrahmanirraheem

✦ : Hadith: Allah Subhanahu ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq se burey log
-------
Umma habiba aur Umm salma Radi Allahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jisko unhone habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhone uska zikr RasoollAllah SallAllahu Alaihi wasallam se bhi kiya, RasoollAllah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki agar koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banate aur usmein tasweerain bana detey , ye log Allah Subhanahu ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq se burey honge
Sahih Bukhari  427 
-------
ام حبیبہ اور ام سلمہ رضی اللہ عنہما دونوں  نے ایک کلیسا کا ذکر کیا جسے انھوں نے حبشہ میں دیکھا تو اس میں مورتیں ( تصویریں ) تھیں ۔ انھوں نے اس کا تذکرہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے بھی کیا ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ان کا یہ قاعدہ تھا کہ اگر ان میں کوئی نیکوکار ( نیک ) شخص مر جاتا تو وہ لوگ اس کی قبر پر مسجد بناتے اور اس میں یہی مورتیں ( تصویریں ) بنا دیتے پس یہ لوگ خدا کی درگاہ میں قیامت کے دن تمام مخلوق میں برے ہوں گے ۔
-------
✦ : उम्म हबीबा और उम्म सलमा रदी अल्ल्लाहू अन्हुमा ने एक कलिसा (चर्च) का ज़िक्र किया जिसे उन्होने हबशा में देखा था उसमें मूर्तियाँ (या तस्वीरें) थी उन्होने उसका ज़िक्र रसूल अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम से भी किया, रसूल अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की अगर कोई नेक शख्स मर जाता तो वो लोग उसकी क़ब्र पर मस्जिद बनाते और उसमें यही तस्वीरें बना देते , ये लोग अल्लाह की बारगाह में क़यामत के दिन तमाम मखलूक़ से बुरे होंगे 
सही बुखारी  427 
-------
Narrated Aisha radi allahu anha Um Habiba and Um Salama radi allahu anhuma mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet peace be upon him about it, on which he peace be upon him said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection. 
Sahih Bukhari Book 8, #419

Tuesday, May 30, 2023

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1422 ❗Ramdan Quiz #36





Sawal  : Kausni Ibadat ko Qarz kaha gaya hai ?


A. Roza

B. Hajj

C. Umrah

D. Namaz

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab A. Roza* 💐

------------

Abu Zarr Radi Allahu Anhu se riwayat hai Unhone Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Roza kya hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Qarz hai jiska badla diya jaega 

Musnad Ahmed # 3675

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1421 ❗Ramdan Quiz #35






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1421 ❗


Sawal : Inmein se wo kaun hai jisko Qayamat ke din Zehreela saanp uske jabdo se pakad lega ?


A. Gheebat karne wale

B. Sharab peene wale

C. Shirk Karne wale

D. Zakat nahi dene wale

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ *Sahih Jawab D. Zakat nahi dene wale* 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley ganjey saanp ki shakal ikhtriyar kar lega uski aankhon ke pass do siyah(black) nuqtey honge jaise saanp ke hote hain phir wo saanp uskey dono jabdo se usey pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun 

Sahih Bukhari 1403

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1420 ❗Ramdan Quiz #34






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1420 ❗

Sawal : Agar roza iftar ke liye khajur na mile to kis se iftari karni chahiye?


A. Doodh

B. Zaitun

C. Namak

D. Paani

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab D. Paani* 💐

------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi roza iftar kare to khajur se kare aur agar khajur na mile to paani se kare kyunki paani paak karne wala hai

Sunan Ibn Majah 1699-Sahih

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1419 ❗Ramdan Quiz #33




  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1419 ❗

Sawal  : Agar koi kisi Rozedaar ka roza iftar karaye to usko kitna sawab hoga ?


A. Rozedaar ka Ek tehayee

B. Rozedaar ke barabar

C. Rozedaar ka aadha

D. Inmein se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahih Jawab B. Rozedaar ke barabar* 💐

-----------

✦ Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Jo kisi Rozedar ka roza iftar karaye to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi

Sunan Ibn Majah 1746-Sahih

Monday, May 29, 2023

Hadith : Jis Shakhs par Qarz ho aur Wo ada karne ki niyyat rakhta ho to Allah ki taraf se uske saath madad hoti hai

 



Bismillahhirrahmanirraheem


 ★ : Hadith : Jis Shakhs par Qarz ho aur Wo ada karne ki niyyat rakhta ho to Allah ki taraf se uske saath madad hoti hai

--------

قَالَ رَسُولَ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم مَنْ كَانَ عَلَيْهِ دَيْنٌ يَنْوِي أَدَاءَهُ، كَانَ مَعَهُ مِنَ اللهِ عَوْنٌ وَسَبَّبَ اللهُ لَهُ رِزْقاً

--------

✦ :RasoolAllah SalAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jis Shakhs par Qarz ho aur Wo ada karne ki niyyat rakhta ho to Allah Subhanahu ki taraf se uske saath madad hoti hai aur Allah Subhanahu uske liye Rizq ka sabab bana deta hai 

Silsila-Sahiha-1695-Sahih

--------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جس شخص پر قرض ہو اور وہ ادا كرنے كی نیت ركھتا ہو تو اللہ كی طرف سےاس كے ساتھ مدد ہوتی ہے ، اور اللہ تعالیٰ اس كے لئے رزق كا سبب بنا دیتا  ہے

سلسلہ صحیحہ ١٦٩٥ -صحیح

--------

 ★ : रसूलअल्लाह सल्लाल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जिस शख़्स पर क़र्ज़ हो और वो अदा करने की निय्यत रखता हो तो अल्लाह सुबहानहु की तरफ़ से उसके साथ मदद होती है और अल्लाह सुबहानहु उसके लिये रिज़्क का सबब बना देता है 

सिलसिला सहीहा- 1695-सहीह

--------

✦ : RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Said the person who has a debt and intends to pay it, then Allah Subhanahu will help him, and Allah Subhanahu will provide him the source of sustenance

 Al Silsila tus Sahiha 1695-Sahih

Saturday, April 29, 2023

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1418 ❗ Ramadan Quiz # 32





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1418 ❗

Sawal : Shab e Qadr kis se behtar hai ?


A. 1000 saalo se

B. 1000 mahino se

C. 700 saal se

D. 70 Saal se

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab B. 1000 mahino se 💐

--------

لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍ 

Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai 

Al Quran : Surah Al-Qadr  97 : 3

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1417 ❗ Ramadan Quiz # 31

 





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1417 ❗


Sawal: Wo kaun log hain jinki peshani aur peetho ko jahannam mein garam sone chandi se daaga jayega ?


A. Sood khane wale

B. Zakat Ada nahi karne wale

C. Yateemo ka maal khane wale

D. Meeras ka maal khane wale

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab B. Zakat Ada nahi karne wale 💐

-----------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi sone aur chandi ka malik ho aur uski Zakat ada nahi karta ho to us sone aur chandi ke takhte (plates) banaye jayenge aur usko jahannam ki aag mein garam kiya jayega phir uski (zakat na dene wale ki) peshani aur karwatein (pahlu) aur peeth ko daga jayega, aur jab wo thande ho jayenge to phir se inko garam kiya jayega aur ye azab usko us din tak hota rahega jiski miqdar (duration) pachas hazar saal hai , phir Allah apne bando ke beech faisla farma dega aur wo jannat ya jahannam ki taraf apna rasta dekh lega

Sahih Muslim 2290

https://youtu.be/Mv1pYwh4B64



❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1416 ❗ Ramadan Quiz # 30







 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1416 ❗ 


Sawal: Ramzan ke roze ke baad kaunse roze rakhne se purey saal bhar ke roze ka sawab milta hai ?


A. 14,15,16 ke roze

B. Muharram ke 10 roze

C. Shawaal ke 6 roze

D. Arafa ke 2 roze

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab C. Shawwal ke 6 roze 💐

-----------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ramdan ke rozey rakhey aur uskey baad 6 (roze) shawwal ke bhi rakhe to usko hamesha ke rozo ka sawab hoga 

Sahih Muslim  2758


✦ Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo Eid ul Fitar ke baad 6 din roza rakhe to usko purey sal roza rakhne ka sawab milega, jo ek neki laayega usko iska 10 guna ajar milega

Sunan Ibn Maja 1715-Sahih


✦ Note : Ulma kahte hain ki agar koi eid ke foran baad na rakh saka ho to pure shawwal mahine mein kabhi bhi ek ek karke ya ek hi saath ye 6 rozey rakhe ja sakte hain


https://www.youtube.com/watch?v=YeMLeOGSH8E

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1415 ❗ Ramadan Quiz # 29

  






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1415 ❗ 


Sawal: Kis cheez ko dehk kar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Apni ek biwi se farmaya ye Aapko Jahhanum mein le jane ke liye kaafi hai agar app Zakat nahi dogi to ?


A. Chandi ke Kangan

B. Chandi ki Anguthiya

C. Chandi ke Bartan

D. Sone ke kangan

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab B. Chandi ki Anguthiya 💐

-----------

✦  Abdullah bin shaddad Radi allahu anhu se rivayat hai ki hum log Aisha Radi allahu anha ke paas gaye to wo kahne lagi mere paas Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam aaye Aapne mere haath mein chandi ki anguthiyan dekhi aur farmaya , Aisha ye kya hai ? maine arz kiya ki ye maine isliye banwayee hai ki aapke liye banao singar karu , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne pucha , kya aap inki zakat ada karti ho maine kaha nahi , ya jo Allah ko manzur tha kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ye aapko jahannam mein je jaane ke liye kaafi hai (agar aap zakat nahi dogi to)

Sunan Abu dawud 1565-Sahih


https://youtu.be/KdIvvJ8UHkU

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1414 ❗ Ramadan Quiz # 28






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1414 ❗


Sawal: Inmein se kab roza rakhna mana hai?


A. Shawaal ke mahine mein

B. Eid ul Fitr ke din

C. 9 Zil Hija ko 

D. Hajj ke mahine mein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab B. Eid al Fitr ke din 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do din ke roze se mana farmaya hai (ek) Eid Al-fitar aur (dusra) Eid Al-Adha 

Sahih Muslim 2676


https://youtu.be/0BbqfKsqk3I

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1413 ❗ Ramadan Quiz # 27

 







 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1413 ❗


Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al Fitr ki Namaz ko jaane se pahle kya karte they ?


A. Khajurein khate

B. 2 Rakaat padhte

C. Miskeen ko khana dete

D. inmein se koi nahi

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab A. Khajurein khate 💐

------------

Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al Fitr ke din tab tak (Namaz ke liye) nahi nikalte jab tak khuch Khajurein na kha lete aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Taaq  yani 1, 3, 5, 7.....  khajurein khaya karte they

Sahih Bukhari 953 


https://youtube.com/shorts/JfxAH7TmKrU


❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1412 ❗ Ramadan Quiz # 26






  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1412 ❗


Sawal:  Inmein se Zakat ul Fitr kis par farz nahi hai ?


A. Ghulam par

B. Beemar par

C. Bachche par

D. Inmein se sab par farz hai

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab D. Inmein se sab par farz hai 💐

------------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Zakat-ul-Fitra ek sa khajur ya ek sa jou (barley ) (One Sa' = 3 Kilograms approx) farz qarar di hai jo Ghulam, Aazad, Mard, Aurat, chotey aur badey tamam musalmano par farz hai aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Eid ki Namaz ko jane se pahle ye Ada kar diya jaye 

Sahih Bukhari 1503

https://youtu.be/ZDF4CYIaRHM

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1411 ❗ Ramadan Quiz # 25

 






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1411 ❗


Sawal : Ummat ke logon mein kis waqt tak khair baki rahegi ?


A. Jab tak wo roza rakhte rahenge

B. Jab tak wo sehari mein jaldi karenge

C. Jab tak wo iftaar mein jaldi karenge

D. Jab tak wo taraweeh padhte rahege

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab C. Jab tak wo iftaar mein jaldi karenge 💐

------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi karte rahenge

Sahih Bukhari 1957


https://youtube.com/shorts/O09N97ILYbw

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1410 ❗ Ramadan Quiz # 24






 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1410 ❗ 


Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazan mein kis waqt Eitkaf  karte they ?


A. Sirf Shab e Qadr ki raat

B. Aakhri 3 dino mein

C. Aakhri 7 dino mein

D. Aakhri 10 dino mein

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih Jawab D. Aakhri 10 dino mein 💐

------------

Abdullah bin Umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazan ke Aakhri Ashre yani Aakhri 10 dino mein Eitkaaf karte they 

Sahih Bukhari  2025

https://youtube.com/shorts/aokosgkK0a0

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1409 ❗ Ramadan Quiz # 23





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1409 ❗


Sawal  : Kis waqt Farishto ki tadad Zameen par Kankariyo se bhi zyada ho jati hai ?


A. Shab e Qadr ko

B. Arafa ke din

C. Eid ke din

D. Ramzan ke Aakhri Ashre mein


✅ Sahih Jawab A. Shab e Qadr ko 💐

----------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shab e Qadr 27 ya 29 ki raat hai iss raat mein zameen par farishton ki tadad kankariyon ki tadad se zyada hoti hai

Al-Silsila tus Sahiha - 2262


https://youtu.be/wSv8rLKsNEc


Sunday, April 16, 2023

✦ : Naye chand ko dekhkar padhne Ki dua

 








Bismillahirrahmanirraheem


✦ : Naye chand ko dekhkar padhne Ki dua

--------------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab chand dekhte to ye dua padhte

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-imaan, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah

Tarjuma: Eh Allah hum par is chand ko khair, imaan, salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur tera RABB ALLAH hi hai

Jamia Tirmidhi-3451-Hasan

------------

رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم جب چاند دیکھتے تو یہ دعا پڑھتے 

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ،رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

اے اللہ ہم پر اِس چاند کو خیر ، ایمان ، سلامتی اور اسلام كے ساتھ طلوع فرما ( اے چاند) میرا اور تیرا رب اللہ ہی ہے 

 ٣٤٥١ -  جامع ترمذی 

--------------

✦ : रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम जब चाँद देखते तो ये दुआ पढ़ते 

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

अल्लहुम्मा अहिल्लाहू अलैना बिल-अमनि वल-ईमान, वस-सलामती 

वल-इस्लाम, रब्बी वा रब्बुक-अल्लाह

तर्जुमा : एह अल्लाह हम पर इस चाँद को खैर , ईमान , सलामती और इस्लाम के साथ तुलु फरमा, (एह चाँद) मेरा और तेरा रब अल्लाह ही है,

जामी तिरमिज़ी 3451-हसन

--------------

✦ : ✦ : RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam used to supplicate at the sight of the new moon with these words

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah,

O Allah, let this moon appear on us with security and Iman; with safety and Islam. (O moon!) Your RABB and mine is ALLAH,

Jamia Tirmidhi -3451-Hasan

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1408 ❗ Ramadan Quiz # 22

 



 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1408 ❗


Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Shab e Qadr ki ye dua kisko sikhayee thi ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Ali Radi Allahu Anhu

C. Aisha Radi Allahu Anha

D. Fatima Radi Allahu Anha

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ Sahih jawab C. Aisha Radi Allahu Anha 💐

--------

✦ Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam agar 

Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, faafu anni

Tarjumah: Eh  Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma

Sunan ibn Majah 731-Sahih


https://youtu.be/bZe3bcpYkLw

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1407 ❗ Ramadan Quiz # 21

 





 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1407 ❗


Sawal : Wo kaunsa khas waqt hai jis ke liye farmaya gaya ke us waqt Rozedaar ki dua radd nahi hoti hai ?


A. Sehri ke waqt

B. Iftar ke waqt

C. Taraweeh ke waqt

D. Asar ke waqt

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ Sahih Jawab B. Iftar ke waqt 💐

---------------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti

Sunan ibn Majah 1753-Hasan


https://youtu.be/CQcF6a9CXr4

❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1406 ❗ Ramadan Quiz # 20

  






❗ Only-Quran-Hadith Quiz  - 1406 ❗ 


Sawal: Kis waqt Roza rakhna Neki nahi hai?


A. Beemari mein

B. Safar mein

C. Jung mein

D. Ramazan ke baad 

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)


✅ B. Safar mein 💐

---------------

✦ RasoollAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Safar mein Roza rakhna koi Neki nahi 

Sunan Ibn Majah 1664–Sahih


https://youtu.be/y1Q5j2cPGG4