❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1336*❗
Pahle sawal mein jawab ek se zyada hai
Ek baar RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek sahabi ko Yahudi aur Eesaeeyon ke pass islam ki taalim dene ke liye bheja to unko ek tarteeb se islam ki dawat dene ko kaha
Sawal 1 : Sabse pahle kis baat ki dawat dene ko kaha aur uske baad kaunsi aur uske baad kaunsi ..tarteeb se jawab dijiye
Example .ABC / EFG..?
Sawal 2 : Inmein se kisko Nisful-iman kaha gaya hai
A. Kalma
B. Zakat
C. Namaz
D. Roza
E. Quran
F. Wuzu
G. Hajj
H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma
❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1336*❗
First Quiz has more than one answers
Once RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam sent a sahabi /companion to invite the jews and Christians towards islam and advised him to spread the teachings of islam in a particular order
Quiz 1 : In what order did RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ask the sahabi to invite them ?
Kindly answer in that order Example .ABC / EFG..?
Quiz 2 : Amongst these what is half of the faith (Nisful-iman) ?
A. Kalma /testimony
B. Charity (Zakat )
C. Prayer (Salah)
D. Fasring (Roza)
E. Quran
F. Ablution (Wudhu)
G. Hajj
H. O Allah increase my knowledge
💐 Sahih jawab : ACB / F 💐✅
--------
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Maaz RadiAllahu Anhu ko Yemen ki janib bheja aur farmaya tum Ahle kitaab (Yahoodiyo aur eesayeeyon) ke paas pahuchoge tum inhen is baat ki dawat dena ke wo gawahi de ke Allah ke siwa koi sachcha mabood nahi, aur Main us ka Rasool hu, agar wo us se maan le to inhen batana ke Allah Subhanahu ne un par raat aur din mein paanch Namazain farz ki hain, agar wo usko bhi maan le to batana ke Allah Subahnahu ne un ke maalon mein un par Zakat farz ki hai, jo un ke maldaron se li jayegi aur unkeke mohtajon mein baanti jayegi, agar wo is ko maan le to phir un ke umdah aur nafees maal wasool karne se bachte rahna (balke Zakat mein awsat maal lena), aur mazloom ki baddua se bhi bachna, is liye ke is ke aur Allah Subahnahu ke darmiyan koi rukawat nahi hain.
Sunan Ibn Majah 1783-Sahih
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Subhan'Allaah Aadhe (Nisf) Meezan ke barabar hai, Alhmadulillah ka sawab tarazu ko bhar deta hai aur Allahu Akbar Zameen aur Asman ke darmiyani hisse ko bhar deta hai, roza aadha Sabr hai aur wuzu Aadha Imaan (Nisful Iman) hai
Masnad Ahmed-5444-Sahih
💐 Answer : CG 💐✅
--------
✦: When the Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam send Muadh Radi Allahu Anhu to Yemen, and said: “You are going to some people among the People of the Book. Call them to bear witness that none has the right to be worshipped but Allah, and that I am the messenger of Allah. If they obey that, then tell them that Allah has enjoined upon them five prayers every day and night. If they obey that, then tell them that Allah has enjoined upon them charity (Zakat) from their wealth, to be taken from the rich and given to their poor. If they obey that, then beware of (taking) the best of their wealth. And beware of the supplication of the oppressed, for there is no barrier between and Allah.”
Sunan Ibn Majah 1783-Sahih
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said that SubhanAllah is equal to Half Scale (Meezan) and and the rewards of (saying) Alhamdulillah fill the meezan , and Saying) Allahu Akbar fills the gaps between heaven and the earth, fasting is half patience and the ablution is half faith
Masnad Ahmed-5444 Sahih
No comments:
Post a Comment