Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, April 10, 2021

✦: Al Quran : Buri tabeer (chaal) to tadbeer karne wale par hi laut kar jati hain

 





Bismillahirrahmanirraheem

وَلَا يَحِيقُ الْمَكْرُ السَّيِّئُ إِلَّا بِأَهْلِهِ

------

✦: Al Quran : Buri tabeer (chaal) to tadbeer karne wale par hi laut kar jati hain

------

بری تدبیر(چال) تو تدبیر کرنے والے ہی پر لوٹ کر جاتی ہیں

-------

✦: बुरी तदबीर (चाल) तो तदबीर करने वाले पर ही लौट कर जाती हैं

-

✦:  The evil plot encompasses only him who makes it

------

Al Quran Surah Fatir 35:43

 

✦: Al Quran : Apne Rabb ka hukm aane tak sabr karo, beshak aap hamari aankhon ke samne ho




Bismillahirrahmanirraheem
وَاصْبِرْ لِحُكْمِ رَبِّكَ فَإِنَّكَ بِأَعْيُنِنَا
------
✦: Al Quran : Apne Rabb ka hukm aane tak sabr karo, beshak aap hamari aankhon ke samne ho
----------
اور اپنے رب کا حکم آنے تک صبر کر کیوں کہ بےشک آپ ہماری آنکھوں کے سامنے ہیں
-------
✦: अपने रब्ब का हुक्म आने तक सब्र करो , बेशक आप हमारी आँखों के सामने हैं
-
✦: And be patient, for the decision of your Lord, for indeed, you are in Our eyes
------
Al Quran Surah Tur 51:48




 

✦: Al Quran : Aur raat ke kuch waqt mein bhi aur sitaro ke gurub hone ke baad bhi uski tasbeeh kiya karo

 





Bismillahirrahmanirraheem
وَمِنَ اللَّيْلِ فَسَبِّحْهُ وَإِدْبَارَ النُّجُومِ
------
✦: Al Quran : Aur raat ke kuch waqt mein bhi aur sitaro ke gurub hone ke baad bhi uski tasbeeh kiya karo
----------
اور رات کے کچھ وقت میں بھی اور ستاروں کے غروب ہونے کے بعد بھی اس کی تسبیح کیا کرو
-------
✦: रात के कुछ वक़्त में भी और सितारों के गुरूब होने के बाद भी उसकी तस्बीह किया करो
-
✦: And in a part of the night exalt Him and after [the setting of] the stars.
------
Al Quran Surah Tur 51:49




 

✦: Al Quran : Aur jab utha karo to apne Rabb ki tarif ke saath tasbeeh kiya karo

 





Bismillahirrahmanirraheem
وَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ حِينَ تَقُومُ
------
✦: Al Quran : Aur jab utha karo to apne Rabb ki tarif ke saath tasbeeh kiya karo
----------
اور جب اُٹھا کرو تو اپنے پروردگار کی تعریف کے ساتھ تسبیح کیا کرو
-------
✦: और जब उठा करो तो अपने रब्ब की तारीफ़ के साथ तस्बीह किया करो
-
✦: And exalt [Allah] with praise of your Lord when you arise
------
Al Quran Surah Tur 51:48






Wednesday, April 7, 2021

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1340*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1340*❗


Ek sahabi ko Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne duniya mein hi ye kah diya tha ki tum dozakh se aazad kar diye gaye ho aur usee wajah se us din ke baad se unko ek naya laqab mil gaya tha 


Sawal 1 : Us din ke baad se unko kaunsa laqab diya gaya ?


A. Tayyar

B. Saifullah

C. Asadullah

D. Ateeq

E. Ameen

F. Gani

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Sawal 2 : Wo Sahabi kaun they ?


A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Saad bin maaz radi allahu anhu

C. Umar radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Uthman radi allahu anhu

F. Abu Talha Radi Allahu Anhu 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Note : Agar jawab G yani inmein se koi nahi ho to sahi jawab bhi dijiye*


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1340*❗


Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam told to a sahabi that you are free from the hell fire and because of that he got a another name


Sawal 1 : Which name was given to him after that day  ?


A. Tayyar

B. Saifullah

C. Asadullah

D. Ateeq

E. Ameen

F. Gani

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


Sawal 2 : Who was he  ?

A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

B. Saad bin maaz radi allahu anhu

C. Umar radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Uthman radi allahu anhu

F. Abu Talha Radi Allahu Anhu 

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


*Note : if answer is G kindly give the correct answer*


💐 *Sahih jawab : DA* 💐✅

-------

Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu apne walid se rivayat karte hain ki Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu ka naam Abdullah bin uthman Radi Allahu Anhu tha Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unse farmaya tum Atiqullah yani Allah Subhanahu ki taraf se Dozakh se aazad kiye huye shaksh ho , isee wajah se unka naam Ateeq rakh diya gaya 

Sahih Ibn Hibban 6864 -Sahih


💐 *Answer : DA* 💐✅

-------

Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu Nartrated from his father that  name of the Abu Bakr Radi Allahu Anhuwas Abdullah bin uthman Radi Allahu Anhu , Once Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam told him , You are Atiqullah means you have been freed from the Hell fire by Allah , after that he was given a name "Ateeq".

Sahih Ibn Hibban 6864 -Sahih

Tuesday, April 6, 2021

Hadith :Sharabi aur Zaani insan ke andar se iman nikal liya jata hai


 
 

*Bismillahirrahmanirraheem*

✦: *Hadith :Sharabi aur Zaani insan ke andar se iman nikal liya jata hai*
------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh Zina karta hai ya Sharab peeta hai to Allah Subhanahu us se iman is tarah nikal deta hai jaise ki insan apne sir se kameez nikal deta hai
Mustadrak Ala Sahihain (Al Hakim) 57-Sahih

------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص زنا کرتا ہے یا شراب پیتا ہے  تو الله سبحانه اس سے ایمان اس طرح نکال دیتا ہے جیسے کی انسان اپنے سر سے کمیز نکال دیتا ہے
مستدرک صحیحین  ٥٧-صحیح  

------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स ज़िना करता है या शराब पीता है तो अल्लाह सुबहानहु उस से ईमान इस तरह निकाल देता है जिस तरह इन्सान अपने सर से क़मीज़ निकाल देता है
मुस्तदरक़ सहीहैन - 57 सही (अल हाकिम)
------
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said If anybody commit Adultery (Zina) or drinks Wine , Allah Subhanahu takes out the faith from him as somebody take off his shirt
Mustadrak Ala Sahihain (Al Hakim) 57 -Sahih

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1339*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1339*❗


*Ek baar ek sahabi ki mayyat ko dafan karne ke baad Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam unki Qabr ke pass khade hokar bahut der tak kuch padhte rahe unko dekhkar sahaba bhi wahi padhne lage*

*Sawal 1 : Aap Sallallahu Alahih Wasallam us waqt kya padhte rahe ?*


A. SubhanAllah Wallahu Akbar

B. Allahumma Sabbit Qalabahu Wa Lisanahu

C. Allahumma Sallim , Allahumma Sallim 

D. La ilaha illAllah Wa lillaihil hamd

E. Yagfirullahu Lana wa lakum

F. La ilaha illAllah Wallahu Akbar Wa lahawla wa la Quwwata illa billah

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


Sawal 2 : Wo Sahabi kaun they ?


A. Talha Radi Allahu Anhu

B. Saad bin maaz radi allahu anhu

C. Jafer bin Abu tailb radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Hanzala radi allahu anhu

F. Abu Talha Radi Allahu Anhu 

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1339*❗


*Once Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam went to the funerel of a Sahabi and after the burial of him, He Sallallahu Alaihi Wasallam started reciting some azkar for some time, Sahaba also started reciting with him*


*Quiz 1 : Which Azkars Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Recited that time ?*


A. SubhanAllah Wallahu Akbar

B. Allahumma Sabbit Qalabahu Wa Lisanahu

C. Allahumma Sallim , Allahumma Sallim 

D. La ilaha illAllah Wa lillaihil hamd

E. Yagfirullahu Lana wa lakum

F. La ilaha illAllah Wallahu Akbar Wa lahawla wa la Quwwata illa billah

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


Sawal 2 : Whose funerel was that ?


A. Talha Radi Allahu Anhu

B. Saad bin maaz radi allahu anhu

C. Jafer bin Abu tailb radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Hanzala radi allahu anhu

F. Abu Talha Radi Allahu Anhu 

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


💐 Sahih jawab : AB 💐✅

-------

Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hum ek din Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke saath me Saad RadiAllahu Anhu ki wafaat ke mauqe par unki taraf gaye, Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unki Namaze Janaza ada ki aur unko qabr me rakha gaya aur unpar mitti barabar kar di gayee toh Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Allah Subhanahu ki tasbeeh kahi (yani SubhanAllah kaha)  aur hamne bhi Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke saath kafi der tak Allah Subhanahu ki tasbeeh bayan ki, phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Allahu Akbar kaha hum bhi Aapke saath Allahu Akbar kahte rahe. Kisi ne kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Aapke SubhaanAllah aur Allahu Akbar kahne ki kya wajah thi? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is Saleh bande par uski qabr tang ho gayee thi (in Azkar ko padhne ke baad) Allah Subhanahu ne unke liye qabr farakh kar di

Masnad Ahmed 11734-Sahih



💐 Answer : AB 💐✅

-------

 Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu said that we went with Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam to attend the funerel of  Saad Radi Allahu Anhu , when Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam finished his funerel prayer, he was put in the grave and dust were placed ,After that Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  started reciting SubhanAllah continously for some time, we also started reciting same and than He recited Takbir continously (Allahu Akbar) for some time and we also started reciting Takbir with him , somebody asked Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam what was the reasone of saying SubhanAllah and Allahu Akabr, He said The grave of this pious Slave was being narrow , ( after reciting this) Allah Subhanahu let his grave wide.

Masnad Ahmed 11734-Sahih

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1338*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1338*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Jab Dozakh mein kuch log bheje jayenge to waha ke daroga unse puchenge ki tumhare pass koi darr sunane wala nahi aaya tha to wo log iske jawab mein kya kahnge ?*


A. Hamare pass darr sunane wala aaya tha

B. Nahi Hamare pass koi nahi aaya

C. Hamne unko jhoothla diya

D. Hamne unko kaha ki ham tumko sangsaar kar denge

E. Hamne kaha ki Allah ne kuch bhi nazil nahi kiya hai

F. Hamne kaha ki Tum log gumrah ho

G. Agar hamne samjha hota to dozakh mein nahi hote

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1338*❗

*Answers are more than one*


*Quiz: When some people will be sent to the Hell,  the gatekeeper will ask them, Did there not come to you a warner, in his reply what they will say ?*

A. Yes, a warner had come to us

B. Nobody came to us

C. We denied them

D. We said to him we will stone you

E. We said to him Allah has not sent down anything

F. We said to him You are not but in great error

G. If only we had been listening  we would not be among the companions of the fire

H. O Allah increase my knowledge 

💐 Sahih jawab : ACEFG 💐✅

-------

كُلَّمَا أُلْقِيَ فِيهَا فَوْجٌ سَأَلَهُمْ خَزَنَتُهَا أَلَمْ يَأْتِكُمْ نَذِيرٌ ﴿٨﴾ قَالُوا بَلَىٰ قَدْ جَاءَنَا نَذِيرٌ فَكَذَّبْنَا وَقُلْنَا مَا نَزَّلَ اللَّهُ مِن شَيْءٍ إِنْ أَنتُمْ إِلَّا فِي ضَلَالٍ كَبِيرٍ ﴿٩﴾ وَقَالُوا لَوْ كُنَّا نَسْمَعُ أَوْ نَعْقِلُ مَا كُنَّا فِي أَصْحَابِ السَّعِيرِ ﴿١٠﴾

-------

Jab usmein ek giroh dala jayega toh unse dozakh ke daroghe puchenge kya tumhare paas koi daranewala nahi aaya tha woh 

kahenge beshak hamare paas daranewala aaya tha par humne jhutlaya diya aur kah diya ki Allah ne kuch bhi nazil nahi kiya tum khud badi gumrahi mein pade huye ho aur kahenge agar humne Suna ya samjha hota toh hum dozakhiyo mein na hote

Surah Mulk 67:8-10


💐 Answer : ACEFG 💐✅

-------

كُلَّمَا أُلْقِيَ فِيهَا فَوْجٌ سَأَلَهُمْ خَزَنَتُهَا أَلَمْ يَأْتِكُمْ نَذِيرٌ ﴿٨﴾ قَالُوا بَلَىٰ قَدْ جَاءَنَا نَذِيرٌ فَكَذَّبْنَا وَقُلْنَا مَا نَزَّلَ اللَّهُ مِن شَيْءٍ إِنْ أَنتُمْ إِلَّا فِي ضَلَالٍ كَبِيرٍ ﴿٩﴾ وَقَالُوا لَوْ كُنَّا نَسْمَعُ أَوْ نَعْقِلُ مَا كُنَّا فِي أَصْحَابِ السَّعِيرِ ﴿١٠﴾

-------

Every time a company is thrown into it, its keepers ask them, "Did there not come to you a warner?" (8) They will say," Yes, a warner had come to us, but we denied and said, 'Allah has not sent down anything. You are not but in great error.'" (9) And they will say, "If only we had been listening or reasoning, we would not be among the companions of the Fire.

Surah Mulk 67:8-10


Sunday, April 4, 2021

Hadith : Teen Aadmi aise hain jinki Aankhine Qayamat ke din dozakh ki aag ko nahi dekhegi


 

*Bismillahirrahmanirraheem*

✦: Hadith : Teen Aadmi aise hain jinki Aankhine Qayamat ke din dozakh ki aag ko nahi dekhegi
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya teen Aadmi aise hain jinki Aankhein Qayamat ke din dozakh ki aag ko nahi dekhegi
1. Wo aankh jo Allah ke darr se roye
2. Wo aankh jisne Allah ke raaste mein pahra diya
3. Wo aankh jisne Allah ki Haram ki huyee Cheezon ko nahi dekha
As-Silsila As-Sahiha 1477

-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تین آدمی ایسے ہیں جن كی آنكھیں قیامت كے دن آگ نہیں دیكھیں گی، وہ آنكھ جو اللہ كے ڈر سے روئی، وہ آنكھ جس نے اللہ كے راستے میں پہرہ دیا، اور وہ آنكھ جس نے اللہ كی حرام كردہ چیزوں كو نہیں دیكھا
سلسلہ صحیحہ -١٤٧٧ 
-----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तीन आदमी ऐसे हैं जिनकी आँखें क़यामत के दिन दोज़ख की आग को नहीं देखेगी
1. वो आँख जो अल्लाह के डर से रोये
2. वो आँख जिसने अल्लाह सुबहानहु के रास्ते में पहरा दिया
3. वो आँख जिसने अल्लाह की हराम की हुयी चीज़ों को नहीं देखा
अल सिलसिला सहीहा-1477

-------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Three eyes will not see the Hellfire
1. An eye standing guard in the way of Allah
2. An eye weeping from fear of Allah
3. An eye lowering its gaze from what Allah has forbidden
As-Silsila As-Sahiha 1477

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1337*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1337*❗


Sawal 1 : Duniya mein dusre number par kaunsi Masjid banayee gayee ?


A. Masjid e Haram

B. Masjid e Nabwi

C. Masjid e Aqsa

D. Masjid e Quba

E. Masjid e Aisha

F. Masjid Al ZIrar

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


Sawal 2 : Wo Masjid Pahli Majid ke banne ke kitne saalo ke baad banayee gayee ?


A. 7

B. 70

C. 700

D. 40

E. 50

F. 100

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1337*❗


Quiz 1 : Which Second masjid was build on the surface of the earth ?


A. Masjid e Haram

B. Masjid e Nabwi

C. Masjid e Aqsa

D. Masjid e Quba

E. Masjid e Aisha

F. Masjid Al Zirar

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


Quiz 2 : How many years of diffence in the construction between the first and second masjid?


A. 7

B. 70

C. 700

D. 40

E. 50

F. 100

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


💐 Sahih jawab : CD 💐✅

----------

Abu Zarr Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam! Sab se pahle is zameen par kaunsi Masjid bani hai? Aap Sallallahu Alaihih Wasallam ne Farmaya ke Masjid Al Haram phair maine arz kiya aur iske baad? Farmaya ke Masjid Al Aqsa ( Bait ul Muqaddas) meine arz kiya, in dono ki tameer ke Darmiyan kitna fasla raha hai ? Aap Sallallahu Alaihih Wasallam ne farmaya ke 40 Saal , phir farmaya ab jahan bhi namaz ka waqt ho jaye wahan namaz padh lo, Badi Fazilat Namaz Padhna Hai

Sahih Bukhari 3366


Answer CD

----------

Narrated Abu Dhar: I said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Which mosque was first built on the surface of the earth?" He said, "Al- Masjid-ul-,Haram (in Mecca)." I said, "Which was built next?" He replied "The mosque of Al-Aqsa ( in Jerusalem) ." I said, "What was the period of construction between the two?" He said, "Forty years." He added, "Wherever (you may be, and) the prayer time becomes due, perform the prayer there, for the best thing is to do so (i.e. to offer the prayers in time).

Sahih Bukhari 33664

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1336*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1336*❗

Pahle sawal mein jawab ek se zyada hai

Ek baar RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek sahabi ko Yahudi aur Eesaeeyon ke pass islam ki taalim dene ke liye bheja to unko ek tarteeb se islam ki dawat dene ko kaha 


Sawal 1 : Sabse pahle kis baat ki dawat dene ko kaha aur uske baad kaunsi aur uske baad kaunsi ..tarteeb se jawab dijiye 

Example .ABC / EFG..?


Sawal 2 : Inmein se kisko Nisful-iman kaha gaya hai 


A. Kalma 

B. Zakat 

C. Namaz 

D. Roza

E. Quran

F. Wuzu

G. Hajj

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1336*❗

First Quiz has more than one answers

Once  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam sent a sahabi /companion to invite the jews and Christians towards islam and advised him to spread the teachings of islam in a particular order


Quiz 1 : In what order did RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ask the sahabi to  invite them ?

Kindly answer in that order Example .ABC / EFG..?


Quiz 2 : Amongst these what is half of the faith (Nisful-iman) ?


A. Kalma /testimony

B. Charity (Zakat )

C. Prayer (Salah)

D. Fasring (Roza)

E. Quran

F. Ablution (Wudhu)

G. Hajj

H. O Allah increase my knowledge 


💐 Sahih jawab : ACB / F 💐✅
--------

✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Maaz RadiAllahu Anhu ko Yemen ki janib bheja aur farmaya tum Ahle kitaab  (Yahoodiyo aur eesayeeyon) ke paas pahuchoge tum inhen is baat ki dawat dena ke wo gawahi de ke Allah ke siwa koi sachcha mabood nahi, aur Main us ka Rasool hu, agar wo us se maan le to inhen batana ke Allah Subhanahu ne un par raat aur din mein paanch Namazain farz ki hain, agar wo usko bhi maan le to batana ke Allah Subahnahu ne un ke maalon mein un par Zakat farz ki hai, jo un ke maldaron se li jayegi aur unkeke mohtajon mein baanti jayegi, agar wo is ko maan le to phir un ke umdah aur nafees maal wasool karne se bachte rahna (balke Zakat mein awsat maal lena), aur mazloom ki baddua se bhi bachna, is liye ke is ke aur Allah Subahnahu ke darmiyan koi rukawat nahi hain.
Sunan Ibn Majah 1783-Sahih


✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Subhan'Allaah Aadhe (Nisf) Meezan ke barabar hai, Alhmadulillah ka sawab tarazu ko bhar deta hai aur Allahu Akbar Zameen aur Asman ke darmiyani hisse ko bhar deta hai, roza aadha Sabr hai aur wuzu Aadha Imaan (Nisful Iman) hai

Masnad Ahmed-5444-Sahih


💐 Answer  : CG 💐✅

--------

✦:  When the Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  send Muadh Radi Allahu Anhu to Yemen, and said: “You are going to some people among the People of the Book. Call them to bear witness that none has the right to be worshipped but Allah, and that I am the messenger of Allah. If they obey that, then tell them that Allah has enjoined upon them five prayers every day and night. If they obey that, then tell them that Allah has enjoined upon them charity (Zakat) from their wealth, to be taken from the rich and given to their poor. If they obey that, then beware of (taking) the best of their wealth. And beware of the supplication of the oppressed, for there is no barrier between and Allah.”
Sunan Ibn Majah 1783-Sahih

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said that SubhanAllah is equal to Half Scale (Meezan) and and the rewards of (saying) Alhamdulillah fill the meezan , and Saying) Allahu Akbar fills the gaps between heaven and the earth, fasting is half patience and the ablution is half faith

Masnad Ahmed-5444 Sahih

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1335*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1335*❗

*Sawal 1 : Qayamat ke din Adam Alaihi salam ko apni Aulad mein se kitne fisad (percent) logo ko dozakh ki taraf bhejne ka hukm diya jayega ?*

*Sawal 2 : Qayamat ke din jannat mein jane wale logo ki kitni safein hogi ?*


A. 40

B. 70

C. 99

D. 80

E. 90

F. 50

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Note : Agar jawab G yani inmein se koi nahi ho to sahi jawab bhi dijiye*


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1335*❗


*Quiz 1 : On day day of Qayamah Adam Alaihi salam will be ordered to sent people to the hell from his offsprings , that order will be for how many percent ?*

*Quiz 2 : How many rows of those people who will go to paradise ?*

A. 40

B. 70

C. 99

D. 80

E. 90

F. 50

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 

*Note : If Answer is G reply with correct answer*

💐 Sahih jawab : CG 💐✅

--------

✦: RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Qayamat ke din sab se pahle  Adam Alaihi Salam ko pukara jaye ga, phir inki aulad inko dekhegi to kaha jayega ke ye tumhare Dada Adam hain, (Pukarne par) woh kahe ge ke Labbaik wa Saadaik, Allah Subhanahu farmayega ke apni aulad mein se dozakh ka hissa nikal lo, Adam Alaihi Salam arz kare ge Eh Rabb Kitno ko nikalo Allah Subhanahu farmayega har 100 mein se 99 Dozakhi (yani 99% dozakhi aur 1% jannati) Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alahih Wasallam! Jab hum mein se 99 nikal diye jaye ge to bakhi kya rah jaye ga? Nabi e Akram Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke tamam Ummato mein meri Ummat itni hi Tadad mein hogi jaise kaale bail ke jism par safed baal hote hain

Sahih Bukhari 6529


✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jannat mein jaane walon ki 120 safein (qatarein) hongi unmein se 80 safein is ummat ke logo ki hongi aur 40 safein dusri ummati ki hongi

Sunan Ibn maja 4289-Hasan


💐 Answer : CG 💐✅

--------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said The first man to be called on the Day of Resurrection will be Adam who will be shown his offspring, and it will be said to them, 'This is your father, Adam.' Adam will say (responding to the call), 'Labbaik and Sa`daik' Then Allah will say (to Adam), 'Take out of your offspring, the people of Hell.' Adam will say, 'O Lord, how many should I take out?' Allah will say, 'Take out ninety-nine out of every hundred." They (the Prophet's companions) said, "O Allah's Apostle! If ninety-nine out of every one hundred of us are taken away, what will remain out of us?" He said, "My followers in comparison to the other nations are like a white hair on a black ox.

Sahih Bukhari 6529

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said The people of Paradise are one hundred and twenty (120) rows, eighty (80) from this nation and forty (40) from all other nations.

Sunan Ibn Maja 4289-Hasan

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1334*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1334*❗


*Sawal 1 : Jannat ki Kunji kisko kaha gaya hai ?*

*Sawal 2 : Sadqat ke Darwaze kisko kaha gaya hai ?*


A. Waldein

B. Hajj aur Umrah

C. Roza

D. Sadqa

E. Yateem

F. Talwar

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1334*❗

Quiz 1 : What is the key of paradise ?

Quiz 2 : What is the door of charity ?


A. Parents

B. Hajj & Umrah

C. Fasting

D. Chairty

E.  Orphan

F. Sword

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge 


💐 *Sahi Jawab : FG* 💐✅

-----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Talwarein jannat ki chabiyan (Kunjiyan)  hain

Al-Silsila-tus-Sahiha#1459 -Sahih


✦ : Abu Zarr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya rozana apne upar sadqa karo to maine kaha Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam main sadqa kaise karu mere paas to maal bhi nahi hai , ye sunkar RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshak sadqaat ke darwaze ye hain Allahu Akbar Wa SubhanAllah Wa Alhamdulillah Wa  La ilaha illaaha Wa Astagfirullah ( yani in azkar ko padhne par sadqe ka sawab milta hai)

Masnad Ahmed 3614-Sahih


💐 *Answer : FG* 💐✅
-----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said Swords are the keys of paradise

Mustadrak Shaihain - 6141 -Sahih

✦ : Narrated By Abu Dharr Radi Allahu anhu  that RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said A charity is due for each person on every day I said Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam How can I give charity , I dont have any wealth, RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said The doors of the charity are Allahu Akbar Wa SubhanAllah Wa Alhamdulillah Wa  La ilaha illaaha Wa Astagfirullah ( it means if you say these words you will get the rewards of the charity)

Masnad Ahmed -3614 Sahih

Thursday, April 1, 2021

✦ Kamzor aur Buzurg logo ke liye aasan aur bahut faydemand amal

  




URDU 




ENGLISH



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Kamzor aur Buzurg logo ke liye aasan aur bahut faydemand amal 
---------------- 
✦ Umme Hani Radi Allah Anha se riyavat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasllam mere pass se guzre to maine kaha Ya Rasool-ALlah Sal-Allahu Alahi Wasllam main budhi aur kamzor ho chuki hu, mujhe koi amal bataeeye Jo main baithe baithe kar saku, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasllam ne farmaya 100 bar Subhanallah kaho ye tumhare liye Ismail Alaihi Salam ki aulad se 100 gardenein (Gulam) Aazad karne ke barabar hai,Aur 100 bar Alhamdullilah kaho ye tumhare liye 100 zean aur lagam pehne huye(tayyar shuda) ghode ke barabr hoga Jo tum Allah Subhanahu ke raste mai do,Aur 100 bar Allah hu Akbar kaho ye tumhare liye Nakel dali maqbul Oontniyo ke barabr hoga, Aur 100 bar La ilaha ilAllah kahao Ibn khalf ne kaha: mere khayal mai Aap Sallahahu Alahai Wasllam ne farmaya ye asman aur Zameen ko bhar dega ,us din kisi 
Shaqs ka ammal itna buland nahi hoga siwaye us shaqs ke Jo us tarah kare 
At Tabrani , 298 , Hasan
Al-Silsilat As-Sahiha-2855
---------------- 
ام ہانی بنت ابی طالب سے مروی ہے کہتی ہیں کہ رسول اللہ ﷺ میرے پاس سے گزرے تو میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! میں بوڑھی اور کمزور ہو چکی ہوں، مجھے کوئی عمل بتایئے جو میں بیٹھے بیٹھے کر سکوں۔ آپ ﷺ نے فرمایا: سو مرتبہ سبحان اللہ کہو، یہ تمہارے لئے اولاد اسماعیل سے سو 
گرد نیں آزاد کرنے کے برابر ہے۔ اور سو مرتبہ الحمدللہ کہو، یہ تمہارے لئے سو عدد زین اور لگام پہنائے ہوئے( تیار شدہ)گھوڑوں کے برابر ہوگاجو تم اللہ کے راستے میں دو۔ اور سو مرتبہ اللہ اکبر کہو، یہ تمہارے لئے نکیل ڈالی ہوئی مقبول اونٹنیوں کے برابر ہوگا۔ سو مرتبہ لا الہ الا اللہ کہو۔ ابن خلف 
نے کہا: میرے خیال میں آپﷺ نے فرمایا: یہ آسمان و زمین کو بھر دے گا، اس دن کسی شخص کا عمل اتنا بلند نہیں ہو گا سوائے اس شخص کے جو اس طرح کہے

السلسلہ صحیحہ حدیث ٢٨٥٥ -صحیح 
طبرانی ٢٩٨ حسن 

---------------- 
✦ उम्म हानि रदी अल्लाहु अन्हा से रियावत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम मेरे पास से गुज़रे तो मैने कहा या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम मैं बूढ़ी और कमज़ोर हो चुकी हूँ , मुझे कोई अमल बताईए जो मैं बैठे बैठे कर सकु, 
आप सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया 100 बार सुबहान अल्लाह कहो ये तुम्हारे लिए ईस्माईल अलैही सलाम की औलाद से 100 गर्दनें (गुलाम) आज़ाद करने के बराबर है,और 100 बार अल्हम्दुलिल्लाह कहो ये तुम्हारे लिए 100 ज़ेन और लगाम पहने हुए (तय्यार शुदा) घोड़े के बरबर होगा जो तुम अल्लाह सुबहानहु के रास्ते में दो,और 100 बार अल्लाहू अकबर कहो ये तुम्हारे लिए नकेल डाली मक़बूल ऊंटनियो के बराबर होगा
और 100 बार ला इलाहा ईलअल्लाह कहो इब्न खलफ ने कहा: मेरे ख़याल में आप सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया ये आसमान और ज़मीन को भर देगा ,उस दिन किसी शख्स का आमाल इतना बुलंद नही होगा सिवाए उस शख्स के जो उसी तरह करे 
तबरानी 298 , हसन
अल-सिलसिला अस सहिहा , 2855
--------------------------
✦ A very easy and beneficial deeds for the older and weaker people
------------------
✦ Narrated by Umm Hani bint Abu-Talib that she said: The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam passed by me, so I said: I got older and weaker, or as she sai
d, so command me of an act which I shall perform while sitting. He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Make Tasbih (SubhanAlah) 100 times, for it is tantamount to freeing a 100 slave among the sons of Ismail, And make Tahmid (Alhamdulillah) 100 times, for it is worth a 100 saddled and bridled horses upon which you carry (equipments and people) in the cause of Allah, And make Takbir (Allahu Akbar) 100 times, for its equivalent to a 100 adorned accepted camels (given in charity for the sake of Allah), And make Tahlil )La ilha ilAllah) 100 times. Ibn Khalaf (the one who narrates on the authority of `Asim) I think he said: It fills in between the heaven and earth, and no one can do better than that except one who does the same as you do)) 
At Tabrani , 298 , Hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2855

Mix Four Azkar - 46

  



Bismillahirrahmanirraheem


قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ

لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

سورة الإخلاص

✦ Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad

✦ Al Quran : Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai

✦:Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him. 

Surah Al-ikhlas (112)

****

سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ

✦: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem

✦: Allah ki zaat paak hai aur usee ki hamd hai, Allah ki zaat paak hai aur wo bada azmat wala hai

✦: Glory be to Allah , and Praise, ✦:Glory be to Allah and Supreme

****

أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

✦:Ashhadu An La ilaha illAllahu, Wa Ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu

✦:Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam)Allah ke bande aur Rasool hain

✦: I bear witness that there is no God except Allah, and I bear 

witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah

****

 اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ‌‏

✦:Allahumma Aainni Ala Zikrika Wa Shukrika Wa Husni ibadatika 

✦:  Eh Allah , meri madad kar tera zikr karne mein , aur tera shukar ada karne mein aur teri achchi ibadat karne mein

✦: O Allah, Help me in remembering You, in giving You thanks, and worshipping You well.