Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, October 12, 2023

Al Quran: Aur kayi Nabee hain jinke saath ho kar bahut Allah wale ladey hain phir Allah Subhanahu ki raah mein taklif pahunchne par na haarey hain aur na sust huye aur na Wo dabey hain

 







*Bismillahhirrahmanirraheem*


Al Quran: Aur kayi Nabee hain jinke saath ho kar bahut Allah wale ladey hain phir Allah Subhanahu ki raah mein taklif pahunchne par na haarey hain aur na sust huye aur na Wo dabey hain aur Allah Subhanahu Sabit qadam rahne walo ko pasand karta hai 

-----------

*وَكَأَيِّن مِّن نَّبِيٍّ قَاتَلَ مَعَهُ رِبِّيُّونَ كَثِيرٌ فَمَا وَهَنُوا لِمَا أَصَابَهُمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَمَا ضَعُفُوا وَمَا اسْتَكَانُوا  وَاللَّهُ يُحِبُّ الصَّابِرِينَ*

-----------

القرآن:اور کئی نبی ہیں جن کے ساتھ ہو کر بہت الله والے لڑے ہیں پھر الله کی راہ میں تکلیف پہنچنے پر نہ ہارے ہیں اور نہ سست ہوئے اور نہ وہ دبے ہیں اور الله ثابت قدم رہنے والوں کو پسند کرتا ہے

سورة آل عمران- ۳: ١٤٦ 

-----------

अल क़ुरान: और कई नबी हैं जिनके साथ हो कर बहुत अल्लाह वाले लड़े हैं फिर अल्लाह सुबहानहू की राह में तकलीफ़ पहुँचने पर ना हारे हैं और ना सुस्त हुए हैं और ना वो दबे हैं और अल्लाह सुबहानहू साबित क़दम रहने वालों को पसन्द करता है 

सुरह आल ए इमरान- 3:146

-----------

Al Quran: And how many a prophet [fought and] with him fought many religious scholars. But they never lost assurance due to what afflicted them in the cause of Allah, nor did they weaken or submit. And Allah loves the steadfast.

Surah Aal-e-Imran 3:146


Wednesday, October 11, 2023

Al Quran : Un logo (Kafiron) ka peecha karne se himmat na haaro agar tum taklif uthate ho to wo bhi tumhari tarah taklif uthate hain

 





*Bismillahhirrahmanirraheem*

*Al Quran : Un logo (Kafiron) ka peecha karne se himmat na haaro agar tum taklif uthate ho to wo bhi tumhari tarah taklif uthate hain*

--------

وَدَّ الَّذِينَ كَفَرُوا لَوْ تَغْفُلُونَ عَنْ أَسْلِحَتِكُمْ وَأَمْتِعَتِكُمْ فَيَمِيلُونَ عَلَيْكُم مَّيْلَةً وَاحِدَةً

وَلَا تَهِنُوا فِي ابْتِغَاءِ الْقَوْمِ إِن تَكُونُوا تَأْلَمُونَ فَإِنَّهُمْ يَأْلَمُونَ كَمَا تَأْلَمُونَ 

 وَتَرْجُونَ مِنَ اللَّهِ مَا لَا يَرْجُونَ  وَكَانَ اللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمًا

--------

Al Quran: Kafir chahte hain ki kisi tarah tum apne hathyaro aur asbaab se bekhabar ho jaao taaki tum par achanak ek saath toot padein Aur un logo ka peecha karne se himmat na haaro agar tum taklif uthate ho to wo bhi tumhari tarah taklif uthate hain halanki Tum Allah Subhanahu se jis cheez ke ummeedwar ho, wo nahi hain aur Allah Subhanahu sab kuch jaanne wala aur hikmat wala hai 

--------

القرآن: کافر چاہتے ہیں کہ کسی طرح تم اپنے ہتھیاروں  اور اسباب سے بے خبر ہو جاؤ تاکہ تم پر اچانک ایک ساتھ  ٹوٹ پڑیں اور ان لوگوں کا پیچھا کرنے سے ہمت نہ ہارو اگر تم تکلیف اٹھاتے ہو تو وہ بھی تمہاری طرح تکلیف اٹھاتے ہیں حالانکہ تم الله سے جس چیز کے امیدوار ہو وہ نہیں ہیں اور الله سب کچھ جاننے والا حکمت ولا ہے

سورہ نساء : 102 & 104 

--------

अल क़ुरान: काफ़िर चाहते हैं कि किसी तरह तुम अपने हथियारों और असबाब से बेख़बर हो जाओ ताकि तुम पर अचानक एक साथ टूट पड़ें और उन लोगों का पीछा करने से हिम्मत ना हारो अगर तुम तकलीफ़ उठाते हो तो वो भी तुम्हारी तरह तकलीफ़ उठाते हैं हालाँकि तुम अल्लाह सुबहानहू से जिस चीज़ के उम्मीदवार हो वो नहीं हैं और अल्लाह सुबहानहू सब कुछ सुन्ने वाला और हिकमत वाला है 

सूरह : निसा-102 &104

--------

Al Quran: Those who disbelieve wish that you would neglect your weapons and your baggage so they could come down upon you in one [single] attack. And do not weaken in pursuit of the enemy. If you should be suffering - so are they suffering as you are suffering, but you expect from Allah that which they expect not. And Allah is ever Knowing and Wise.

Surah An-Nisa 4 :102 &104

--------------

#palestine #freepalestine #gaza #islam #israel #jerusalem #savepalestine #muslim #syria #palestina #indonesia #palestinian #love #lebanon #alquds #turkey #jordan #westbank #palestinewillbefree #allah #savegaza #alaqsa #iraq #quran #gazaunderattack #bds #boycottisrael #egypt #hijrah #prayforpalestine

Wednesday, October 4, 2023

✦ : Hadith : Nazar lagna haq hai ye bulandi wale ko neechey utar deti hai

 


Bismillahirrahmanirraheem

✦ : Hadith : Nazar lagna haq hai ye bulandi wale ko neechey utar deti hai 

*قَالَ رَسُولَ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم  الْعَيْنُ حَقٌّ تَسْتَنْزِلُ الْحَالِقَ*

--------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Nazar lagna haq hai ye bulandi wale ko neechey utar deti hai (Yani achcha Ohda ya Achchi Sehat ya Achchi Aulad par bhi nazar lagti hai ) 

--------

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  نظر لگنا حق ہے،یہ بلندی والے کو نیچے اتار دیتی ہے ( یعنی  اچّھا عہدہ  یا اچّھی صحت یا اچّھی اولاد  پر بھی نظر لگتی ہے)

سلسلہ صحیحہ :  ٢٣٢٧  

--------

✦ :  रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया नज़र लगना हक है ये बुलंदी वाले को नीचे उतार देती है (यानि अच्छा ओहदा या अच्छी सेहत या अच्छी औलाद पर भी नजर लगती है) 

अल सिलसिला साहिहा : 2327

--------

✦ : RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said The effect of an evil eye is a real ,It brings down the high ones ( it means good position or good health or good children may also be affected with evil eye) 


Al Silsilatus Sahiha : 2327


Monday, October 2, 2023

Sawal 1474 : Wo kaunse Sahabi hain jinki Zuban par Allah Subhanahu ne Haq rakh diya tha aur wo haq baat hi karte they ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 




 



 Sawal 1474 : Wo kaunse Sahabi hain jinki Zuban par Allah Subhanahu ne Haq rakh diya tha aur wo haq baat hi karte they ?


A. Umar Radi Allahu Anhu

B. Uthman Radi Allahu Anhu

C. Talha Radi Allahu Anhu

D. Inmein se koi nahi


✅ *A. Umar Radi Allahu Anhu* 💐

----------

Rasool Allah Sal-Allahu alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne Umar Radi Allahu Anhu  ki zuban par haq rakh diya hai wo usee ke mutabiq baat karte hain 

Sunan Ibne Majah-108- Sahih







Sawal 1473 : Inmein se wo kaunse log hain jo Qayamat ke din ye aarzoo karenge ki kaash unko zameen mein dafan karke mitti barabar kar di jati ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 






Sawal 1473 : Inmein se wo kaunse log hain jo Qayamat ke din ye aarzoo karenge ki kaash unko zameen mein dafan karke mitti barabar kar di jati ?


A. Yateem ka maal khane wale

B. Sood khane wale

C. Kufr karne wale

D. Namaz nahi padhne wale


✅ *Sahih Jawab C. Kufr karne wale* 💐

---------

✦ : *Al Quran: Jin logo ne kufr kiya tha aur Rasool Alaihi Salam ki nafarmaani ki thi wo us din (yani qayamt ke din) Aarzu karenge ki kaash unko zameen mein dafan karke mitti barabar kar di jati*

-------

✦ : *AL Quran Surah An- Nisa 4: 42*




Sawal 1472 inmein se kaunse waqt Aasman ke darwaze khol diye jate hain aur Dua Qubul hoti hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  ❗ 

 




 Sawal 1472  inmein se  kaunse waqt Aasman ke darwaze khol diye jate hain aur Dua Qubul hoti hai ?


A. Jihad ke waqt

B. Mareez ki Ayadat ke waqt

C. Baarish ke waqt

D. Azan ke waqt



✅ *Sahih Jawab D. Azan ke waqt* 💐

----------

 Rasool-Allah  SalAllahu alaihi wasallam ne farmaya jab Namaz ke liye pukara jata hai (Yani Azan di jati hai)  Aasmaan ke darwaze khol diye jate hain aur Dua qubool ki jaati hai 

Al Silsila tus Sahiha 531