Bismillahirrahmanirraheem
1. ✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo koi dil se Alhamdulillahi Rabbil Aalamin kahega (yani zuban ke saath dil se bhi iska yakeen ho ki Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hai) to uske liye 30 nekiya likhi jayegi aur 30 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 5450 -Sahih
✦: Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
✦:Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hai)
====
2. ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh bhi ikhlas ke saath (sachche dil se) la ilaha illAllah kahta hai to uske liye aasman ke darwaze khol diye jate hain yaha tak ki wo kalma arsh tak pahuch jata hai aur wo usee haal mein tab tak rahta hai jab tak banda kabira gunah na kare (yani jaise hi isko padhne wala banda kabira gunah karta hai to uska kaha hua wo kalma arsh se dur ho jata hai)
Jamia tirmizi 3590- Hasan
✦: La ilaha illAllah
✦: Allah ke siwa koi mabud nahi
====
3. ✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya La hawla wa la Quwwata illa billah zyada padha karo kyunki ye Jannat ke khazano mein se ek khazana hai
Jamia Tirmizi 3601-Sahih
✦: La Hawla wa la Quwwata illa billah
✦:Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi
====
4. ✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai
Sahih Ibn Hibban , 834-Hasan
✦: Subhan-Allahil-Azeem wa biHamdihi
✦: Allah ki zaat paak hai aur wo bada azmat wala hai aur usee ki hamd hai