Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, November 13, 2014

AL Quran : Hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi ka



Bismillahirrahmanirrahim 
.
AL Quran : Hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte
.
Hadith: Abu hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki do aadmiyon ne aapas mein gaali galoch ki jinmein se ek musalman tha aur dusra yahudi tha , Mualman ne kaha us RAB ki kasam jisne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ko sare jahan par barguzida kiya hai , Yahudi ne kaha ki us RAB ki kasam jisne Musa Alaihi salam ko sare jahan par barguzida kiya hai , rawi ne kaha ki musalman yahudi ki baat sunkar khafa ho gaya aur uske munh par ek tamancha maar diya.
Yahudi Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke pass gaya aur sara waqiya arz kiya , phir Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Musa alaihi salam par mujhko fazilat na do kyunki Qaymata ke din soor phunkte hi sab behosh ho jayenge aur main sabse pahla shaks hunga jisko hosh aayega aur main dekhunga ki Musa alaihi salam Arsh ilahi ka kona thame huye hain mujhe ye nahi malum ki Musa alaihi salam un logo mein they jo behosh huye ya phir mujhse pahle hosh mein aaye ya phir Allah subhanahu ne unko behosh nahi hone diya 
Sahih Bukhari, Vol 8, 6517
.
Al Quran : Rasool (Sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi. Sab imaan rakhte hain Allah par aur aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , ( aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285
------------------------------------------------------
دو آدمیوں نے آپس میں گالی گلوچ کی۔ جن میں سے ایک مسلمان تھا اور دوسرا یہودی تھا۔ مسلمان نے کہا کہ اس پروردگار کی قسم جس نے محمد صلی اللہ علیہ وسلم کو تمام جہان پر برگزیدہ کیا۔ یہودی نے کہا کہ اس پروردگار کی قسم جس نے موسیٰ علیہ السلام کو تمام جہان پر برگزیدہ کیا۔ راوی نے بیان کیا کہ مسلمان یہودی کی بات سن کر خفا ہو گیا اور اس کے منہ پر ایک طمانچہ رسید کیا۔ وہ یہودی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس گیا اور نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے اپنا اور مسلمان کا سارا واقعہ بیان کیا۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”دیکھو موسیٰ علیہ السلام پر مجھ کو فضیلت مت دو کیونکہ قیامت کے دن ایسا ہو گا کہ صور پھونکتے ہی تمام لوگ بیہوش ہو جائیں گے اور میں سب سے پہلا شخص ہوں گا جسے ہوش آئے گا۔ میں کیا دیکھوں گا کہ موسیٰ علیہ السلام عرش الٰہی کا کونہ تھامے ہوئے ہیں۔ مجھے نہیں معلوم کی موسیٰ علیہ السلام بھی ان لوگوں میں ہوں گے جو بیہوش ہوئے تھے اور پھر مجھ سے پہلے ہی ہوش میں آ گئے تھے یا ان میں سے ہوں گے جنہیں اللہ تعالیٰ نے اس سے مستثنیٰ کر دیا۔“

رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اس پر ایمان لائے (یعنی اس کی تصدیق کی) جو کچھ ان پر ان کے رب کی طرف سے نازل کیا گیا اور اہلِ ایمان نے بھی، سب ہی (دل سے) اﷲ پر اور اس کے فرشتوں پر اور اس کی کتابوں پر اور اس کے رسولوں پر ایمان لائے، (نیز کہتے ہیں:) ہم اس کے پیغمبروں میں سے کسی کے درمیان بھی (ایمان لانے میں) فرق نہیں کرتے، اور (اﷲ کے حضور) عرض کرتے ہیں: ہم نے (تیرا حکم) سنا اور اطاعت (قبول) کی، اے ہمارے رب! ہم تیری بخشش کے طلب گار ہیں اور (ہم سب کو) تیری ہی طرف لوٹنا ہے
---------------------

Hadith: Narrated Abu Huraira Radhi allahu anhu :
Two men, a Muslim and a Jew, abused each other. The Muslim said, "By Him Who gave superiority to Muhammad over all the people." On that, the Jew said, "By Him Who gave superiority to Moses over all the people." The Muslim became furious at that and slapped the Jew in the face. The Jew went to Allah's Messenger (sallallahu alaihi wasallam ) and informed him of what had happened between him and the Muslim.
Allah's Apostle sallallahu alaihi wasallam said, "Don't give me superiority over Moses, for the people will fall unconscious on the Day of Resurrection and I will be the first to gain consciousness, and behold ! Moses will be there holding the side of Allah's Throne. I will not know whether Moses has been among those people who have become unconscious and then has regained consciousness before me, or has been among those exempted by Allah from falling unconscious."
Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 76, Hadith 524

Al Quran: The Messenger (Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) believes in what has been sent down to him from his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allah, His Angels, His Books, and His Messengers. (They say), "We make no distinction between one another of His Messengers" - and they say, "We hear, and we obey. (We seek) Your Forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all)."
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285

Hadith: Jumaa ki namaz ko 3 tarah ke log aate hain



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jumaa ki namaz ko 3 tarah ke log aate hain

.
Abdullah ibn Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jumaa mein 3 tarah ke log aate hain, ek to wo jo waha aakar behuda baat kare, uska hissa yahi hai (yani usko kuch sawab na milega) aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah Subhanahu se Dua kare agar Allah chahega to uski Dua Qubul karega aur chahega to nahi karega, aur teesra wo hai jo wahan aakar khamoshi se baith jaye na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aagey bade aur na kisi ko takleef pahuchaye to uska ye amal is jumaa se lekar agli jumaa tak bulki aur teen deen ziyada tak ke liye gunaahon ka kaffara ban jayega, 
kyunki Allah subhanahu ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki karta hai usko 10 gunaa sawab milega
Sunan Abu Dawud, Vol 1 ,1101-Hasan

अब्दुल्लाह इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया ज़ूमा में 3 तरह के लोग आते हैं, एक तो वो जो वहां आकर बेहूदा बात करे, उसका हिस्सा यही है
(यानी उसको कुछ 
सवाब ना मिलेगा )
  और दूसरा वो है जो वहाँ आकर अल्लाह सुबहानहु से दुआ करे अगर अल्लाह चाहेगा तो उसकी दुआ क़ुबूल करेगा और चाहेगा तो नही करेगा, और तीसरे  वो है जो वहाँ आकर खामोशी से बैठ जाए ना लोगों की गर्दनें फाँद कर 
आगे बड़े और ना किसी को तकलीफ़ पहुचाए तो उसका ये अमल इस ज़ूमा से लेकर अगली ज़ूमा तक बल्कि और तीन दिन ज़ियादा तक के लिए गुनाहों का कफ़्फ़रा बन जाएगा, 
क्यूंकी अल्लाह सुबहानहु का इरशाद है की जो शख्स एक नेकी करता है उसको 10 गुना सवाब मिलेगा
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1 ,1101-हसन

-----------------------------------------------
Hadith : Three types of people attend Friday prayer
.
Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As: The Prophet peace_be_upon_him said: Three types of people attend Friday prayer; One is present in a frivolous way and that is all he gets from it; another comes with a supplication, Allah may grant or refuse his request as He wishes; another is present silently and quietly with-out stepping over a Muslim or annoying anyone, and that is an atonement for his sins till the next Friday and three days more, the reason being that Allah, the Exalted, says: "He who does a good deed will have ten times as much" .
Sunan Abu Dawud, Book 3, 1108-Hasan

Al Quran : Allah par zameen aur aasman ki koi cheez chupi huyee nahi hai Wo jis tarah chahe Maa ke pet mein tumhara naqsha banata hai



Bismillahirrahmanirrahim 
.
Al Quran : Allah par zameen aur aasman ki koi cheez chupi huyee nahi hai Wo jis tarah chahe Maa ke pet mein tumhara naqsha banata hai , Uske siwa aur koi mabud nahi (wo) zabardast hikmat wala hai 
Al Quran , Surah Aal-e-Imran (3), Verse 5-6
.

Al Quran : Aasmano aur zameen mein ALLAH hi ki baadshahi hai jo chahta hai paida karta hai
jisey chahta hai ladkiyan Ata karta hai jisey chahta hai ladkey ata karta hai, ya ladkey aur ladkiyin milakar deta hai aur jisey chahta hai baanjh kar deta hai beshak wo khabardar kudrat wala hai
Surah Ash-Shura (42), Verse 49-50
.
Al Quran : Eh hamare RAB humein apna farmadar bana de aur hamari Aulad mein se bhi ek jamaat ko apna farmabardar bana de aur humein hamare ibadat ke tareeqe bata de aur hamari tauba Qubul farma beshaq tu bada Tauba Qubul karne wala aur bada rahama karne wala hai
Al Quran , Surah Al-Baqara (2), Verse 128

--------------------------------------------------
Al Quran : Truly, nothing is hidden from Allah, in the earth or in the heaven.
He it is Who shapes you in the wombs as He wills. None has the right to be worshipped but He, the All-Mighty, the All-Wise.
Surah Aal-e-Imran (3), Verse 5-6
.
Al Quran : To ALLAH belongs the kingdom of the heavens and the earth. He creates what He wills. 
He bestows female (offspring) upon whom He wills, and bestows male (offspring) upon whom He wills.Or He bestows both males and females, and He renders barren whom He wills. Verily, He is the All-Knower and is Able to do all things.
Al Quran, Surah Ash-Shura (42), Verse 49-50
.
Al Quran : Our Lord , make us submissive unto You and of our offspring a nation submissive unto You, And show us our rites (ceremonies or services), and accept our repentance. Truly, You are the One Who accepts repentance, the Most Merciful.
Al Quran , Surah Al-baqara (2), Verse 128

Al Quran : ALLAH kisi shakhs ko uski taqat se zyada taklef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga



Bismillahirrahmanirrahim 

لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا ۚ لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ ۗ رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِ ۖ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ۚ أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ.
Al Quran : ALLAH kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga 



Eh hamare RAB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , 
Eh hamare RAB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , 
Eh hamare RAB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, 
aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. 
Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
Al Quran, Surah Al-Baqara (2) Verse 286



--------------------------------------------
اللہ کسی پر اس کی طاقت سے زیادہ بوجھ نہیں ڈالتا ۔    ہر ایک پائے گا جو کمائے گا اور بھرے گا جو کرے گا ۔  اے پروردگار! اگر ہم بھول جائیں یا غلطی کر بھیٹیں تو ہم سے مواخذہ نہ فرمانا اور اے ہمارے پروردگار! ہمارے اوپر اس طرح کا کوئی بار نہ ڈال ،  جیسا تونے ان لوگوں پر ڈالا ،  جو ہم سے پہلے ہو گذرے اور اے ہمارے پروردگار! ہم پر کوئی ایسا بوجھ نہ لاد ،  جس کو اٹھانے کی ہم میں طاقت نہ ہو اور ہمیں معاف کر ،  ہمیں بخش اور ہم پر رحم فرما ۔  تو ہمارا مولیٰ ہے ،  پس کافروں کے مقابل میں ہماری مدد کر!
القرآن سورة البقرہ (۲) ٢٨٦ 
-------------------------




Allah burdens not a person beyond his scope. He gets reward for that (good) which he has earned, and he is punished for that (evil) which he has earned. 
Our Lord! Punish us not if we forget or fall into error,
Our Lord! Lay not on us a burden like that which You did lay on those before us,
Our Lord! Put not on us a burden greater than we have strength to bear. 
Pardon us and grant us Forgiveness. Have mercy on us. 
You are our Maula (Protector) and give us victory over the disbelieving people. 
Al Quran, Surah Al-Baqara (2) Verse 286
 

Al Quran : Humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai



Bismillahirrahmanirrahim 
.
Al Quran : Humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai
---------------------------------------------------

آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ 

كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ 

وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

---------------------------------------------------
Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi
sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte
aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , 
Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285

---------------------------------------------------

رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اس پر ایمان لائے (یعنی اس کی تصدیق کی) جو کچھ ان پر ان کے رب کی طرف سے نازل کیا گیا اور اہلِ ایمان نے بھی، سب ہی (دل سے) اﷲ پر اور اس کے فرشتوں پر اور اس کی کتابوں پر اور اس کے رسولوں پر ایمان لائے، (نیز کہتے ہیں:) ہم اس کے پیغمبروں میں سے کسی کے درمیان بھی (ایمان لانے میں) فرق نہیں کرتے، اور (اﷲ کے حضور) عرض کرتے ہیں: ہم نے (تیرا حکم) سنا اور اطاعت (قبول) کی، اے ہمارے رب! ہم تیری بخشش کے طلب گار ہیں اور (ہم سب کو) تیری ہی طرف لوٹنا ہے
-----------------------------------

Al Quran: The Messenger (Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) believes in what has been sent down to him from his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allah, His Angels, His Books, and His Messengers. (They say), "We make no distinction between one another of His Messengers" - and they say, "We hear, and we obey. (We seek) Your Forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all)."
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285

Hadith: Koi Shaksh tum mai se Maut ki araju na kare



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Koi Shaksh tum mai se Maut ki Aarzu na kare
---------------
✦ Saad bin Ubaid Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Koi Shaksh tum mai se Maut ki aarzu na kare, Ager woh naik hai to mumkin hai neki mai aur zyada ho aur ager bura hai to mumkin hai is se toba kare le. 
Sahih al-Bukhari Vol: 8, 7235
---------------
✦ साद बिन उबैद रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूलअल्लाह  सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया: 
कोई शख्स तुम में से मौत की आरजू ना करे, अगर वो नेक  है तो मुमकिन है की नेकी में  और ज़्यादा हो और अगर बुरा है तो मुमकिन है इस से तौबा  करे ले.
सही अल-बुखारी जिल्द  8, 7235
----------
✦ Narrated Sa`d bin Ubaid Radi allahu anhu Allah's Messenger (SallallahuAlaihi Wasallam) said, "None of you should long for death, for if he is a good man, he may increase his good deeds, and if he is an evil-doer, he may stop the evil deeds and repent."
Sahih al-Bukhari,Vol. 9, Book 90, Hadith 341

Mafhum-e-Hadith:Qayamat ke din kafiron ko unke chehre ke bal chalaya jayega







Bismillahirrahmanirrahim
.
Mafhum-e-Hadith:Qayamat ke din kafiron ko unke chehre ke bal chalaya jayega
.
Sahl bin Sad Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din logo ka hashr safed aur surkh aamez zameen par hoga jaise maidey ki roti saaf aur safed hoti hai , us zameen par kisi ka koi nishan na hoga 
Sahih Bukhari, Vol 8, 6521
.
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya (Qayamat ke din)logon ka hashr 3 firqon mein hoga (pahle firqe waley) log (jannat ki) Ummeed karne wale aur darne wale honge (dusra firqe walon mein) ek oont par 2 aadmee sawar honge kisi oont par 3 honge aue kisi par 4 honge aur kisi par 10 sawar honge , aur baki (teesre firqe waley) logon ko Aag jamaa karegi jab wo Qailula(Afternoon nap)karenge to Aag bhi unke saath thahari hogi , jab wo raat guzarange to Aag bhi unke saath wahan thahri hogi, jab wo subah karenge to Aag bhi subah ke waqt wahan mojud hogi aur jab wo sham karenge to Aag bhi sham ke waqt usnke saath mojud hogi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6522
.
Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Sahabi ne pucha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Qayamat ke din kafiron ko unke chehre ke bal kis tarah hasher kiya jayega, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo zaat ( yani ALLAH) jisne inhe duniya mein do paanw par chalaya , kya use is par kudrat nahi ki wo unhe Qayamat ke din chehre ke bal chalaye Qatada Radhi Allahu Anhu ne farmaya ki hamare RAB ki ezzat ki Qasam jarur hai , beshak wo munh ke bal bhi chala sakta hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6523
.
Ibn Abbas Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se suna ki aap minbar par khutba farma rahe they tum Allah se us haal mein miloge ki nange paanw , nange badan aur baghir khatna kiye huye honge
Sahih Bukhari, Vol 8,6525
----------------------------------------

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”قیامت کے دن لوگوں کا حشر سفید و سرخی آمیز زمین پر ہو گا جیسے میدہ کی روٹی صاف و سفید ہوتی ہے۔ اس زمین پر کسی ( چیز ) کا کوئی نشان نہ ہو گا۔“ 
صحیح بخاری جلد ۸ حدیث ۶۵۲۱

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”لوگوں کا حشر تین فرقوں میں ہو گا ( ایک فرقہ والے ) لوگ رغبت کرنے نیز ڈرنے والے ہوں گے۔ ( دوسرا فرقہ ایسے لوگوں کا ہو گا کہ ) ایک اونٹ پر دو آدمی سوار ہوں گے کسی اونٹ پر تین ہوں گے، کسی اونٹ پر چار ہوں گے اور کسی پر دس ہوں گے۔ اور باقی لوگوں کو آگ جمع کرے گی ( اہل شرک کا یہ تیسرا فرقہ ہو گا ) جب وہ قیلولہ کریں گے تو آگ بھی ان کے ساتھ ٹھہری ہو گی جب وہ رات گزاریں گے تو آگ بھی ان کے ساتھ وہاں ٹھہری ہو گی جب وہ صبح کریں گے تو آگ بھی صبح کے وقت وہاں موجود ہو گی اور جب وہ شام کریں گے تو آگ بھی شام کے وقت ان کے ساتھ موجود ہو گی۔“ 
صحیح بخاری جلد ۸ ۶۵۲۲

حضرت انس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ایک صحابی نے کہا، اے اللہ کے نبی! قیامت میں کافروں کو ان کے چہرے کے بل کس طرح حشر کیا جائے گا۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ وہ ذات جس نے انہیں دنیا میں دو پاؤں پر چلایا اسے اس پر قدرت نہیں ہے کہ قیامت کے دن انہیں چہرے کے بل چلا دے۔ قتادہ رضی اللہ عنہ نے کہا کہ ضرور ہے، ہمارے رب کی عزت کی قسم، بیشک وہ منہ کے بل چلا سکتا ہے۔ 
صحیح بخاری جلد ۸ ۶۵۲۳ 

حضرت ابن عباس رضی الله عنہ سے روایت ہے میں نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا کہ آپ منبر پر خطبہ میں فرما رہے تھے کہ تم اللہ تعالیٰ سے اس حال میں ملو گے کہ ننگے پاؤں، ننگے جسم اور بغیر ختنہ ہو گے۔ 
صحیح بخاری جلد ۸ ۶۵۲۵

--------------------------


Narrated Sahl bin Sad Radhi allahu anhu :
I heard the Prophet sallallahu alaihi wasallam saying, "The people will be gathered on the Day of Resurrection on reddish white land like a pure loaf of bread (made of pure fine flour)." Sahl added: That land will have no landmarks for anybody (to make use of).
Sahih Bukhari Book 76, 528

Narrated By Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The people will be gathered in three ways: (The first way will be of) those who will wish or have a hope (for Paradise) and will have a fear (of punishment), (The second batch will be those who will gather) riding two on a camel or three on a camel or four on a camel or ten on a camel. (The third batch) the rest of the people will be urged to gather by the Fire which will accompany them at the time of their afternoon nap and stay with them where they will spend the night, and will be with them in the morning wherever they may be then, and will be with them in the afternoon wherever they may be then." 
Sahih Bukhari Book 76, 529

Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu A man said, O Prophet of ALLAH Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Will a Kafir (disbeliever) be gathered (driven prone) on his face?" The Prophet Peace said, "Is not He Who made him walk with his legs in this world, able to make him walk on his face on the Day of Resurrection?" Qatada Radhi Allahu Anhu said: Yes, (He can), by the Power of Our Lord!
Sahih Bukhari Book 76, No. 530

Narrated Ibn Abbas Radhi allahu anhu 
I heard Allah's Messenger saltum Allah lallahu alaihi wasallam while he was delivering a sermon on a pulpit, saying, "You will meet Allah barefooted, naked, and uncircumcised.
Sahih Bukhari Book 76, 532

Hadith: jo shaksh Namaz mein khade hokar 10 aaytein padhega wo ghafilon mein nahi likha jayega



*Bismillahirrahmannirraheem*

✦ Hadith: Jo Shaksh Namaz mein khade hokar 10 aaytein padhega wo ghafilon mein nahi likha jayega
----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh Namaz mein khade hokar 10 aaytein padhega wo ghafilon mein nahi likha jayega Aur jo Namaz mein khade hokar 100 ayatein padhega wo farmabardaron mein se likha jayega aur jo 1000 aaaytein padhega wo behad sawab pane walo mein se likha jayega
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1385-Sahih
----
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا جو شخص نماز میں کھڑے ہوکر ١٠ آیتیں پڑھےگا وہ غافلوں میں نہیں لکھا جائےگا  اور جو شخص نماز میں کھڑے ہوکر ١٠٠  آیتیں پڑھےگا وہ   فرمابرداروں  میں لکھا جائےگا  
 اور جو شخص نماز میں کھڑے ہوکر ١٠٠٠   آیتیں پڑھےگا  وہ بیحد ثواب پانے والوں میں لکھا جائے گا 
سنن ابی داؤد جلد ۱ حدیث ۱۳۸۵ صحیح
----
✦ रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया  जो शख्स नमाज़ में खड़े होकर 10 आयतें पढ़ेगा वो गाफिलों में नहीं लिखा  जाएगा, जो शख्स नमाज़ में खड़े होकर 100 आयतें पढ़ेगा वो फरमाबरदारों में 
 लिखा जाएगा, जो शख्स नमाज़ में खड़े होकर 1000 आयतें पढ़ेगा वो बेहद सवाब पाने वालों में से लिखा जाएगा 
सुनन अबू दाऊद , जिल्द 1, हदीस 1385-सही
----
✦ The Prophet sallallahu alaihi wasallam said If anyone prays and recites regularly ten verses, he will not be recorded among the negligent, if anyone prays and recites a hundred verses, he will be recorded among those who are obedient to Allah and if anyone prays and recites one thousand verses, he will be recorded among those who receive huge rewards.
Sunan Abu Dawud, Book 6, 1393-Sahih