Search Hadith

Video of the week

Traffic

A visitor from Makkah viewed 'Al-Quran : Aap ke RABB ki Qasam' 26 mins ago
A visitor from Surat viewed 'Al-Quran : Aap ke RABB ki Qasam' 1 hr 14 mins ago
A visitor from Faisalabad viewed 'Mafhum-e-hadith: Aankho ke baal' 1 hr 33 mins ago
A visitor from North york viewed 'Morning Azkar In Hindi' 1 hr 34 mins ago
A visitor from Kerala viewed 'Mafhum-e-Hadith: Ramazan ke roz' 1 hr 59 mins ago
A visitor from Dubai viewed 'Hadith: Rozedar ke munh ki Bu A' 2 hrs 12 mins ago
A visitor from India viewed 'Only-Quran-Hadith' 3 hrs 27 mins ago
A visitor from Vadodara viewed 'Al-Quran : Aap ke RABB ki Qasam' 3 hrs 28 mins ago
A visitor from Hyderabad viewed 'Hadith : Jis Shakhs par Qarz ho' 3 hrs 29 mins ago
A visitor from Islamabad viewed 'Beshak har Mushkil ke sath aasa' 4 hrs 19 mins ago

Total Pageviews

4,422,928

Category

Search Hadith

Sunday, July 30, 2023

Sawal 1432 : Inmein se jannat mein sabse pahle kaunsi jamat dakhil hogi ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1432 ❗ 

 


 Sawal 1432 : Inmein se jannat mein sabse pahle kaunsi jamat dakhil hogi ?


A. Muhajireen

B. Ansaar

C. Badr Ke Shaheed

D. Uhad ke Shaheed

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)



✅ *Sahi Jawab A. Muhajireen* 💐 

----------

✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu bayan krte hain ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya aapko meri ummat ki us jamaat ke bare mai ilm hai jo sab se pahle jannat mai dakhil hogi ? Maine kaha Allah aur uske Rasool hi behtar jante hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Wo jamat Muhajireen ki hai, Wo roz e Qayamat jannat ke darwaze par aakar darwaza kholne ka mutalba karenge, Darban unse puchega, Kya Tumhara hisab-o kitab ho chuka hai ? Wo kahenge  kis mozu par hamse hisab kitab liya jayega ? Allah Subhanahu ke raaste mein marte dam tak hamari Talwarein hamare kandhon par rahein, so unke liye darwaza khol diya jayega aur (wo jannat mai dakhil ho kar) aam logon ke dakhile se  chalees (40) saal pahle wo andar aaram bhi kr chuke honge

Al Silsila tus Sahiha 1433 | 3923



No comments:

Post a Comment